Daruaman | What is the meaning of darulaman ? process of Darul amaan main kisi larki ko kese bhaja ja sakta hai or kese kisi orat ya larki ko bazyab karwaya ja sakta hai .


What is the meaning of darulaman?


"Dār al-Amān" is an Arabic term that translates to "abode of peace" or "house of safety." It is often used in Islamic contexts to refer to a place or region where peace and security prevail, allowing individuals to practice their faith without fear or persecution.

Yes, in Pakistan, "Darul Aman" is commonly used to refer to shelters or safe houses for women who are victims of domestic violence or facing other threats. These facilities provide a secure environment where women can seek refuge and support. The term is derived from its broader Islamic meaning of "abode of peace" but is specifically applied to these protective spaces in the context of social services in Pakistan.

Process of dar ul amaan. 




Darulaman meaning in Urdu .

Baz oqat dekha gia hai ke kisi larki ka ya orat ke ghar wale kisi wajah se dushman ban jate hain ya kisi wajah se jaan ko khatra hota hai ya kisi wajah se us ka ghar nahi hota tu us ko Darul amaan main kese bhaja ja sakta hai . Or agar wo already Darul amaan main hai tu kis tarah us orat ko dar ul amaan se bazyab karwaia ja sakta hai?

Process Darul amaan bhjne ka tareeqa



Kisi bhi larki ko darul amaan bhajne ke liye magistrate ( judge) ko application dena hu gi or us application main tamam wajoohat bian karna hun gien jiss bunyad per Darul amaan jana chahti hai.
Application ke sath larki ko bhi court main pesh karna hu ga. Judge behas sunne ke baad agar samjhta hai ke waqia larki ki jaan ko khatra hai ya koi dosri reasons mojod hain tu wo order pass kare ga or larki ko Darul amaan bhaij dia jai ga.

Yad rahe ke court larki se pooche gi ke aap Darul amaan jana chahti hu, agar larki inkar kar de tu court larki ke marzi ke khalaf us ko Darul amaan main nahi bhaj sakti.

Darul amaan se Larki ko bazyab karwana

Larki ko Darul amaan se bazyab karwana ke liye kisi Larki ke relative (bap, bhai, bhain ya koi or rishtadar jiss ke sath larki jana chahti hu) ko  mutalqa Magistrate ke pass application dena hu gi . Ke larki humare sath rehna chahti hai sulah hu gai hai ya ju bhi reasons hain un ko tehreer Karna zaroori hai. 

Magistrate application per aap ke dalial sunnen ke baad agar mutmaeen hu jata hai tu larki ko Darul amaan se next working day talab kar le ga agar aap mutmaeen na kar sake tu application kharaj bhi hu sakti. Kharaj hu jai tu aap us ko challenge kar sakte.

Next day jab larki ko court me laia jai ga tu larki bian de gi ke aaya wo apne iss rishtadar jiss ne application di hai us ke sath jana chahti hai ya nahi. Agar larki agree hoti hai tu court order kar deti hai or larki bazyab hu jaati hai 

Magar application dene se pehle larki se marzi poochain ke aaya ke wo jana chahti hai.

Agar Court zaroorat mahsoos kare tu aap se surety bond bhi talab kar sakti hai.

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.





























 























Comments

  1. Sir mera divorce o gya 3 month ago meri bv ny dusra shadi kr li bchu ki cutody ma le skta hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa bhai case karu or. Bachu ko milna shroo karu , phir lene ka bhi moqa ban jai ga

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon ki custody of minors after divorce or separation

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.