How to get Stay Order on property or any other matters.


Process of Stay order under Order 39 rule 1 and 2 

Court Stay Order Hasil karna

Stay order meaning
stay order meaning is that in any case where the plaintiff has the risk of irreparable loss and case in his favor. court grant stays on the property, proceeding etc

Dear Reader Ajj hum Stay order kay bare main baat karian gai .ke Stay order kia hai or court se stay order kaise lia ja sakta hai
Stay order kia hai
Readers  stay order aik order hota hai jo ke court jari karti hai kisi bhi karwai ko rokne ke liye same usi jaga pr jahan pr wo mojod hota hai matlab ke court ka order hota hai ke mamle ko jun ka tun rakha jai jab tak mamla decide nahi ho jata
Stay order ko samjhane ke liye main iss misal ka sahara loon ga . ke agar app ko Warden sarak per rokta hai ke app ne kisi qanun ki khalaf warzi ki hai ya app ki gari chori ki tu nahi . tu wo app ko roke ga us waqat tak ke liye jab tak ke app k kagzat makaml  check nahi hu jate after checking wo ya tu app ko jane ki ijazat de de ga ya phir chalan kare ga ...........
yeh jo period app ki gari khari rahi yeh stay tha k court stay kisi mamle ko rok kr jun ka tun rakhne ka order kr deti  hai taake jab tak decide na ho jai ke kon asal malik hai us waqat tak stay laga dia jata hai
                                                    detail video on the stay order

court stay order section

court stay order grant order 39 rule 1 and 2.civil procedure code

Stay kin cheezon pr lag sakta hai


  1. Kisi property pr jo mutnaza hu
  2. kisi makan ya dukan pr jo rent per di gai ho
  3. kisi utility bill per pani bijli gas waghira
  4. kisi lain dain ke jhagre per 
  5. kisi bhi mutnaza raqam pr
  6. stay on proceeding
Gharz ke koi bhi mutnaza cheeez per jo k civil matter ho
Stay order hasil karne k liye kin cheezon ki zaroorat hoti hai

  1. Copy ID card
  2. Copy Malkiat ka saboot agar kisi jaidad pr stay lena hai
  3. copy karaya nama agar kraydar ne stay order lena hai
  4. copy bill ki jo ke kisi mehkme ne ziada bhija hai
  5. copy of ashtam waghira agar raqam ka laindain hai
Copy of
Stay order

copy of stay order
  • gharz kisi bhi karwai ko rokne ke liye app k pass  yeh batana k liye zaroori hu ke
  • agar karwai na roki gai tu mujhe naqable talafi naqsan hu ga
  • yeh ke main asal malik hun malkiat k saboot k sath
  • yeh k case ka balance meri tarf hai or faisla mere haq main hone ke poore imkanat hain

Superior Courts Case Laws about Stay order 

  1. Residential area main Private School na khoola ja sakta hai.(1999-clc-66)
  2. Ragam ka nuqsaan irreparable loss ke zumre main nahi aata hai dawa Stay nah hu ga(2010-YLR43)
  3. Wapda ke khalaf stay ke liye mutnaza raqam ka jama karwana zaroori hai (2011-YLR-1702)
  4. Public works ke khalaf stay nahi dia ja sakta hai (2013-Clc-333)
  5. Agar muda eleh mudai ke pesh karda kisi document ko dursat tasleem na kare tu iss bina per stay na hu ga (2020-ylr-2135)
  6. High Court ne stay order dene se inkar iss wakah se kar dia ke plaintiff or defendant business partners the or plaintiff ko koi right stay ka hasil na tha.( 2018-(m)plj-kar-141)
  7. Zubani muhda sale ki bina per Specific performance ke dawa main stay confirm na hu ga(2020-ylr-2239)
  8. Parties main sabqa zair samat dawa jaat ko chupane wala stay order ka haqdar nahi hu ga (2019-ylr-815)
  9. Kisi ki zameen per qabza karne wale ko kisi kisam ka qanooni tahfaz na dia ja sakta hai (2014-CLC-311)
  10. Agar kisi case ko sabat karne ke liye shahadat likhna zaroori hu tu iss ko prima facie case na kaha ja sakta hai.(2020-ylr-2179)
  11. Interim stay ki ziada se ziada miad 6 months ki Hoti hai agar 6 months se ziada stay order ko extended kia gia tu court iss ki reasons record kar ke High court ko report bhajne ki paband hai,  mazkoora qaida ka maqsad interim order ke ghalat Use ki hosla shikni  karna hai. Jiss ki mayad mazkoora qaida main 6 months maqarar ki gai hai.(2021-CLC-1560)
  12. Yeh teh shuda qanooni amar hai ke Courts ki taraf say abtadai stay order jari karte waqat plaintiff ke case ko badi o nazar main dekhne ke sath Sath mudai ko honey wale nuqsaan ka bhi moaina Karna chahye (PLD-2018-Peshawar-35)
  13. Agar aap Red pencil se revenue record main stay order ka indraaj karwa lain tu phir agar koi property khareede tu wo khareed o farokhat kaaladam tasawar hu gi kionke mushtari ko khud hushiar bash hona chahye, iss ko khareedne se pehle yeah tasali Kar laini chahye ke aaya yeh jaidad mutnaza tu nahi.(2019-MLD-201)
  14. Ad interim injunction (Stay order) couldn't  be issue to stay day to day function of any department (2014-clc-600)
  15. Awam ki falah o bahbood ke liye pehle se mojod kachi sarak ko paka karne ke khalaf stay order nahi hu ga (2021-clc-81)
  16. Agar kisi property ke 2 mutnaza malak hun tu court ka faisla aane tak property ki mojoda soorat haal bahal rakhi jai gi(2004-Clc-857)
  17. Sarkari duty main madakhlat ki babat stay order jari na hu sakta hai (2013-clc-lahore- 333)
  18. Stay order ke 3 aham loazmaat 1-irreperable loss 2- balance of case in favour of plaintiff 3- prima facie case agar yeh teeno loazmaat dawa ke record per mojod na hun tu stay nahi dia ja sakta (2019-mld-27(GB)) 
  19. Interim injunction status quo order would be deemed to be continued even if not specifically extended if written statement has not been submitted (1999-scmr-2215)(2000-mld-1755)
  20. Patwari ne stay order ki mojodgi main intiqal pass karwa dia- pitwari per aik hi waqat main different forums per karwai ki jaa sakti hai ( 2013-pcrlj-1119)
  21. زبانی معاہدہ بیعہ کی بناء پر دعویٰ تعمیل مختص میں سٹے کنفرم نہ ہو گا۔
    (2020 YLR 2239). 
    اگر مدعا علیہ، مدعی کی پیش کردہ کسی دستاویز کو، درست تسلیم نہ کرے، تو اس بناء پر سٹے نہ ہو گا. 
    (2020 YLR 2135). 
    اگر کسی Claim کو ثابت کرنے کیلئے، case  شہادت لکھنا ضروری ہو، تو اسے Prima facie کیس نہ کہا جا سکتا ہے ۔
    (2020 YLR 2179). 
    فریقین میں سابقہ زیر سماعت دعویٰ جات کو چھپانے والا، حکم امنتاعی کا حق دار نہ ہو گا
    (2019  YLR 815). 
    کسی کی زمین پر سے Trespasser کو کسی قسم کا کوئی قانونی تحفظ نہ دیا جا سکتا ہے ۔
    (2014 CLC 311).


TEMPORARY INJUNCTIONS AND INTERLOCUTORY ORDERS Temporary Injunctions 1. Where in any suit it is proved by affidavit or otherwisea) that any property in dispute in a suit is in danger of being wasted, damaged or alienated by any party to the suit, or wrongfully sold in execution of a decree, or b) that the defendant threatens or intends to remove or dispose of his property with a view to defraud his creditors, the Court may by order grant a temporary injunction to restrain such act, or make such other order for the purpose of staying and preventing the wasting, damaging, alienation, sale, removal or disposition of the property as the Court thinks fit, until the disposal of the suit or until further orders. 2. (1) In any suit for restraining the defendant from committing a breach of contract or other injury of any kind whether compensation is claimed in the suit or not, the plaintiff may, at any time after the commencement of the suit, and either before or after judgment, apply to the Court for a temporary injunction to restrain the defendant from committing the breach of contract or injury complained of or any breach of contract or injury of a like kind arising out of the same contract or relating to the same property or right. (2) The Court may by order grant such injunction, on such terms as to the duration of the injunction keeping an account giving security or other wise, as the Court thinks fit. (3) In case of disobedience, or breach of any such terms, the Court granting an injunction may order the property of the person guilty of such disobedience of breach to be attached, and may also order such person to be detained in [……] prison for a term not exceeding six months, unless in the meantime the Court directs his release. (4) No attachment under this rule shall remain in force for more than one year, at the end of which time, if the disobedience or breach continues the property attached may be sold, and out of the proceeds the Court may award such compensation as it thinks fit, and shall pay the balance, if any, to the party entitled thereto. [ (2-A) An interim injunction passed under rule 1 or 2 in the absence of defendant shall not ordinarily exceed fifteen days: Provided that such injunction may be extended for failure of its service on the defendant when such failure is not attributable to the plaintiff or when the defendant seeks time for defence of application for injunction. (2-B) The order of injunction made under rule 1 or 2 after hearing the parties or after notice to the defendant shall cease to have effect on the expiration of six months unless extended by the court after hearing the parties again and for reasons to be recorded for 

  • Mazeed maloomat k liye call karain

  • 03244010279 Whats app available


\Our Popular Posts





























 






















Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog Which is not possible without your copration, plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks

Proceso de pedido de estancia


¿Qué es la orden de permanencia?

Una orden de suspensión es la orden que recibimos en caso de emergencia cuando tenemos una propiedad (muebles o inmuebles) y alguien quiere arrebatar la propiedad, podemos obtener una orden de suspensión para detenerlos.
 
También hay otros asuntos, como este, ya que vive en una propiedad de alquiler y el propietario quiere que abandone la propiedad de manera ilegal e ilegal, puede presentarse ante el controlador de alquileres y obtener una orden de suspensión.

Usted y su socio hacen negocios y su socio quiere que abandone el negocio de manera ilegal e ilegal. Puede obtener una orden de suspensión de la corte civil para detenerlo.

Puede consultar su asunto y también podemos ayudarlo en línea, y también podemos redactar su caso también

Si tienes alguna duda llama o Whatsapp (+92-324-4010279)



زبانی معاہدہ بیعہ کی بناء پر دعویٰ تعمیل مختص میں سٹے کنفرم نہ ہو گا۔
(2020 YLR 2239). 
اگر مدعا علیہ، مدعی کی پیش کردہ کسی دستاویز کو، درست تسلیم نہ کرے، تو اس بناء پر سٹے نہ ہو گا. 
(2020 YLR 2135). 
اگر کسی Claim کو ثابت کرنے کیلئے، شہادت لکھنا ضروری ہو، تو اسے Prima facie کیس نہ کہا جا سکتا ہے ۔
(2020 YLR 2179). 
فریقین میں سابقہ زیر سماعت دعویٰ جات کو چھپانے والا، حکم امنتاعی کا حق دار نہ ہو گا
(2019  YLR 815). 
کسی کی زمین پر سے Trespasser کو کسی قسم کا کوئی قانونی تحفظ نہ دیا جا سکتا ہے ۔
(2014 CLC 311).

Comments

  1. Salam
    Mera nam Arshad hai or mein chakwal ka rehny wala hon. Mein pichly 15 saal se dubai mein mulazamat kar rha hon. Meri shad ko 7 saal ho gaye hein. Or 2 bachy hein. Mere bady 5 bhai or aik nehn hai jo sab apny apny ghar rehty hein. Ami abu mere sath rehty thy.
    Masla yeh hai k jab tak mein meri kamai ami abu k naam pe bhejta rha sab theek thaak tha. Lekan jesy hi mein pichly 1 saal se pesy apny pas rakhny shuru keye to meri maan ne mera or meri biwi bacho ka jeena haram kar or akhir aik din ghar se nikal dia or jitni bhi meri jama ponji thi sab pe qabza kar lia.
    Mein ne ab neya ghar banaya hai or biwi bacho ko shift kar dia.
    Ab meri maan meri biwi pe ghatiya ilzam lagati hein. Jaga jaga ja k mery or meri biwi k khilaf batien karti hien.or logo ko batati pher rhi hein k dono bachy haram k hein or mery 2 bhai un ki pusht panahi karty hein.
    Ab koi mujhy batye ga k mein keya kar sakta hon.
    Mujhy pesa or ghar wapis nai chahye mein sirf apni izat bachana chahta hon
    Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Uffffff afsos hum kis taraf ja rahy hain mara b ye e hal h Bhai sari Zindagi apny gar Walon ko di shadi Tak late ki ka sb settle h jain par ab jb gar bana diya sb ki shadiyan ki to ab sb ko bura lagta hn Mari wife ko gar sy nikal diya k main q us ka 7 data hn main Pakistan main Ni hun ab Mari wife b apny waldan ka taraf h Kiya kar sakty hain ab waldan hain kuch bol b Ni sakty bary hain par soch bht choti h ALLAH he sbr dy or madat kary

      Delete
    2. Sir hm ne apne bhen raxa mandi se varasrat se inteqal karlya meri 6 sister hai sb ne signatures karlya mger ak bhen apna hisaa mangti hai ab bhen ka beta kh raha cas krna Aur stay order lena kya osee stay order mela ga our hmra cas strong hai ke nahi pls let me know.. Eng varsat se inteqal pakaa hamri nam hai

      Delete
  2. Bhai masla yeh hai ke app ke against app ki mother hain.or app ka koi case bhi banta nahi hai . wajah yeh hai ke app apni marzi se pese bhehte rahe hain . yahan per istarah ki nainsafi aksar olad ke sath hoti rehti hai .Mera mashwara tu yeh hai ke app man ke izzat dosron ziada karo ghalt fehmi ju app ke beech main hai khatam hu jai gi or jab mann app ki side le gi tu bhai bhi theek hu jain ge.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Koi Ni thk hota ek dafa dil main bal ajay to ye to thk kaha sari Zindagi pardas main apni khrb karty hain k gar waly khush hn par wo humary bina rehny ka adi h jaty hain or phr pesy e sb hota h apni e ghalti h hum khud e zayda pesy day k lalchi kar daty hain or phr Zara si kami a Jay to hum ghalt h jaty hain or jb akal ati h to hath hali e hoty hain or sari Zindagi ki mehnat ka ye sila milta h apni e kamar tot jati h

      Delete
  3. Aoa. Man na recently 1 banda SA phone pee commitment ke plot sale krna ke laken bhai na plot sale krna SA mana ker deya laken tb tk agent khud plot ka bayana chuka tha aur apna letter head pad pa apna and purchaser ka agreement bna chuka tha. Mere na tau dealer SA ag tk mulakat hie ha na he purchaser SA. Ab woh dono mjha stay ka threat da raha hn.

    ReplyDelete
    Replies
    1. court aise bhi stay nahi de deti.byana 1200 wale ishtam pr likha jata hai or wo malik ki trf se hota hai. latter head pr ghair qanooni hai tu stay bhi nahi mile ga kionk malik ko tu pata bhi nahi

      Delete
  4. Agr humny agreement me likhwaya ho k k makan girvi khali kerwanay pr party Malik makan k against stay order Nahi ly Sakti ....is py koi action ho ga k. Nahi ...????

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agreement main likhne se koi faraq nahi parta agar aap ka stay banta hai tu mile ga

      Delete
  5. Ap se aik question hai hamara ghr hai us pe kraya dar ne stay lea hua hai pichle 6months se adalat mai case chap ra hai hum bht preshan hai judge agla se agli tareekh de dete hai wo b islea k karaye dar raseeday le k aye ga or wo kisi b date ko nhi aata.pichle 6 month se us ne kraya b nhi dya jis ki wajah se hum bht prehshan hai k kya kre q k judge faisal de he nhi ra hum ne us ghr ko bech k apni behn ki shadi krni hai or wo b ruki hue hai ap bta skte hai k kya krna chahye aesi situation mai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Corona ki wajh se na courts kam kar rahi hain or punjab gov k notification ke mutabiq aap june tak karaya daro ko tang bhi nahi kar sakte karaye k liye . aap kahan se hain ? call me for more information or whatsapp 03244010279

      Delete
  6. Assalamoalikum! Guzarish yeh h kindly bata dein stay order at property kitni dair tak reh skta ha maxmimum . And is that possible yeh linger on ho jai or kafi dair chl skta .. agar yes then kitni dair tak

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam har case main stay order hone k baad wo barqarar rehta hai. us k baad jab dono parties court main aa jati hain notices ke baad tu stay per behas hoti hai or agar aap ka stay confirm hu jata hai us behas ke baad tu wo case k khatam hone tak barqarar rehta hai

      Delete
  7. Assalamoalaikum sir,

    ma silk bank ka credit card pichlay 1.5 sal say use kr rha hu or hr month payment krta raha hu from feb 2019 to till august 2020. but ab esa ha k extra charges or hidden charges say tng aa kr mene payment krna stop krdi ha mre pas saray proof mojood hen kindly help me to resolve the matter. agr extra charges remove krdye jatay hen to ma remaining payment sari krdnga. iska koi legal way btaen. i am really upset.

    ReplyDelete
  8. Iss main aap ke pass du options hain 1 ke aap banking court se stay le kar un ke khalaf case larain agar raqam ziada hai tu yeh suitabe hai or agar lahore main hain tu hm karwa dain ge. us ke ilawa yeh hai k ap bank k mutalqa officer ko mil kar un se bargaining kar lain.isstarah bhi masla hal hu jata hai magar un se noc zaroor lena clearance k waqat warna wo aap se baad main phir pese mangain ge or clear nahi karain ge

    ReplyDelete
  9. aslam o alikum
    sir me real estate business krta hu me ny aik party k sath profit sharing agreement sign kia tha. party ki 17 kanal zmen thi 2 lack rupy per marla rate decide hua me ny zmen pr project plan kia or marketing start ki or project ma 2 plaza or shops start kr commercial project launch kia
    party ko phly yaken nae tha k land sy itna acha rate mly ga. me ny project sy shops sale kr party ko 1 crore 70 lac pay kia or 5 crore tk ki amount project pr khrch ki ab party areement ka inkar kr rae
    reason yh k agreement stamp paper pr sign nae kia gia
    6 crore ka project me ny 40 sy 50 crore tk phncha dia abi mzed oper ja skta ha but party lalich ka shikar ho gae
    me ny clients ko kuch shops registry b krwa k di han or kuch k ly fard jari krway han

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam . Bhai karoro ka project hai or aap ne 2000 rupees istamp pr kharch nahi kiye.kionke wo zaroori hota hai or us ko register bhe karwana hota hai. ab aap call pr baat batain dekhte hain hm kia kar sakte hain.03244010279 whatsapp

      Delete
  10. Rent agreement khogaya hai, stay kaisay lain phr

    ReplyDelete
    Replies
    1. Lahore main hain tu le dete hain hum agar or kisi city main hain tu batain. mil jata hai phir bhi. yaha konsa kam nahi hu jata 03244010279 whatsapp

      Delete
  11. Assalam o alykum
    Sir main ny Sarkari jagah par shop bana rakhi hy (bijli,telephone,pani) k bil mery name hain mujhy patwari sahab or teseel daar sahab ny kaam karny se rok diya jb k baqi dukandaron ko kuch nahi kaha un dukano ko kraya bhi daal diya main ny adalat se es par stay liya k mujhy is shop par rent daal diya jaey ya mujhy qimat daal di jaey. Adalat ny mujhy kaam jari rakhny ka order de diya but naib tehseel daar or patwari sahab ny zabar dasti mujhy or mery samaan ko shop se bahir nikaal diya or kaha ham es stay order ko nahi manty jao adalat ko bata do. Sir ab main kya karon es k bary

    ReplyDelete
    Replies
    1. app kaha se hain call karain ya whatsapp 03244010279 aap ko power use karana hu gi un ke khalaf chori ka parcha karwain. yaha per aise hi hai jiss ki lathi us ki bhains.agar aap pese de kar parcha karwa dete hain chori ka tu may be wo sulah kar lain ya phir un se deal kar lo jese dosro ne ki hai.

      Delete
  12. Myne ek ghar purchase kia tha jis ka bayana 5lakh or baqi raqam 120Lakh thi, owner 5 lakh le kr with family germany chala gya or possession humy de gya 6 months k time mai us ny wapis aa k humy LDA se NOC le kr provide krna tha for deal completion, lekin wo 10 months k baad pakistan aya to pta chala ye widow qouta property hy jo none transferable hy so LDA Decline his NOC Request ab wo humy byana bhi waqis ni kraha or possession bhi mang raha hy, police k pas gay to wo kehty hen civil matter hy Court jayn to wo kehty hen Remaining 120Lakh jama krwayn Court mai to stay milyga and case submit hoga. Any suggestions?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Call me to know app lahore se hain hm bhi lahore main hain dekh lete hain aap ka case.

      Delete
  13. Sir ek property hay us ka eik hi khasra no. Hay, us property k 6 malik hain, ager un main se kisi eik malik ke name per koe admi stay order lay aye, kia wo stay order sari property malkan per lago hota hay

    ReplyDelete
  14. Sir ek property hay us ka eik hi khasra no. Hay, us property k 6 malik hain, ager un main se kisi eik malik ke name per koe admi stay order lay aye, kia wo stay order sari property malkan per lago hota hay

    ReplyDelete
    Replies
    1. HU bhi sakta hai nahi bhi. Stay us property pr hota hai jiss ka zikar case main hota hai. or stay lete waqat documents phi pesh kiye jate hain agar aap ki property ka zikar nahi tu us per stay na hu ga

      Delete
  15. AoA
    M ny 1 dost k sath karobar kia hotel start kia. Mery pas srf kraynamy wala ashtam hy jis m dono k name hy.. hisab kitab sra dost pas tha sal guzr gia mera doost ab hisab
    denyy sy mukar gia.. or mujy khta jo pesy lgay thy wo leny to lo nhi to koi hisa nhi.. aj hotel ki qyamt jb strt kia us sy duble ho chuki.. mera doost ab hisab kitab m gr br kr rha ta k jb hisab krna b pry to loss show kry.. mujhy janna tha k kia mujy kraynamy waly ashtam py stay order mil skta hy??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Brother karaya nama aap k nam pr hai aap ne acha kia ke apne nam par rakha ab aap ko chahye ke karobar us se elhda kar lo agar wo hissab barabar nahi deta tu us ko kickout karo or chonke karya nama aap k nam pr hai wo aap ko nikal nahi sakta agar wo koshish karta hai tu aap stay lay lo.call karo for more information 03244010279 call or whatsapp

      Delete
  16. Mujhe thori rehnumai chahiye agar koi aval he to.please help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. G zaroor poochain kia sawal poochna chahte hain

      Delete
    2. Sir jis ghar mai log rehty hai aur wo sharakat par ho us par stay order hosakta hai? Yani ghr mai females bachi rerahe ho

      Delete
  17. Assalam O Alikum,

    Janab Stay order ka meximum period kia ha. civil pettion ka

    ReplyDelete
  18. Aslam Ailaikum sir mjh ek help chahye

    ReplyDelete
  19. Sir stay order har ghar par hosakta hai jis mai log rehty hai..? Yani bachi female

    ReplyDelete
    Replies
    1. hu sakta hai bhai. pehle aap samjh lo ke stay hota kia hai. aap ko koi ghar se nikal raha hai aap karya dar hain ya aap ne girvi lia hai ya aap ka koi or haq banta hai makan per or app ko koi dosra malak ya qabaz zabardasti nakalna chahta hai tu aap us ke khalaf court se stay le lain ge or apni malkiat girvi nama ya karya nama dikha kar ke mujhe zabardasti na nikala jai jab tak case ka faisla na hu jai. so court aap ki baat sun kar agar aap ka stay banta hai tu aap ko stay de deti hai

      Delete
  20. Sir mene new house construction keya hai lekn masla ye hai k mere gar ke back side par jaha mera bedroom hai waha per ek industry hai jisme heavy machinery install hai or ye industry rehashi abadi me hai buland sound wali machinery ke waja se ham bohat taklef me hai me es industry ko legal tareqa se kase close karwa skta hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai aap kuch mahle dar mil kar high court main writ kar sakte hain or iss ke ilwa bhi remedies majood hain. hum ne aik ne writ ki thi or court main lahore ka ilaqa hai baghban pura ka jaha per aik industry ka camical urta tha or ass pass ke gharo main tamam chezoon ko kala kar deta tha. us ke khalaf order le kar diye the. for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  21. Aslam o alikum bhai jan me stay lena chahata hn es jaga ka jo k mery wald sab ne apny bhai se os ka hesa khareda ha jes k ashtam mery pas hain or wo hesa mery chacha k pas h eo kehat h k ye mera h or wo jaga b red line me h kaya karon plzzz help me

    ReplyDelete
  22. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  23. Mera chachu shop pr kaam krta h Mery Abu bhi Malik h property m wo shop nhi Khali kr rha humy kia krna cahiay

    ReplyDelete
  24. Aslam alaekummujhy ye pochna hai k agr ksi khatoon ka intqal hogya hai or unky 4 bety hain or ye ek sath nhi rehna chahty or ek chahta hai k isi ghr men rhy tu kia usy stay order miljyga jbky baqi bhai bht zrort mnd hain or unhy ghr leny keley peson ki zrort hai jo k ghr bach ky hi mil skta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa salam waldain ki wafat ke baad jaidad ki taqseem hoti hai ya partition. qanuni warson main koi bhi court main case kar sakta hai takseem ke liye ya wo bahmi razamandi se khangi taqseem bhi kar sakte hain. or agar un ki aapis main nahi banti tu wo court ke through taqseem karwa sakte hain akela bhai ju bechna nahi chahta agar wo khareedana chahta bhaion ka hissa or raqam rakhta hai tu bhaion se hissa khareed bhi sakta hai. court taqseem karte hoe sab se pehle dekhti ha ke property partionable ha ke nahi or agar partion possible hu tu partion hu jati hai or sab ko apne hissa mil jata hai agar partition na hu sakti hu tu phir court auction ke order karti hai or auction ke baad raqam warsan main taqseem hoti hai. so ju bhai bechna nahi chahta wo court se stay le sakta hai utni dair tak jab tak court us ko taqseem na kar de.

      Delete
    2. for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
    3. Kia stay ordered wali jaga sale kr skty hn

      Delete
    4. Stay order aap ke pass hai us ko parhain or agar mana kia hai transfer karne se tu nahi kar sakte

      Delete
  25. I would like to thank you for sharing your thoughts and time into the stuff you post.
    Capital smart city Islamabad

    ReplyDelete
  26. Kia stay order wali jaga sale kr skty hn

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon ki custody of minors after divorce or separation

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.