Haq mahar mojal or ghair mojal kia hai

 Haqmahar kia hai ?

 


Haqmahar ki teen iqsaam hain

  • Mojal haqmahar
  • Ghair mojal haqmahar
  • Indaltalab haqmahar
Mojal haqmahar  wo raqam hoti hai ju ke shadi ke moqa per husband apni BV ko ada karta ha. Ju ke amooman 5000 ya 10000 hoti ha waqat ke sath sath kam ya ziada hoti rehti ha. Kionke humare mulak main mehngai buhat tezi se rates change kar deti ha. Mukhtasar ye ke mojal haqmahar wo raqam hoti hai ju husband shadi ke moqa per apni BV ko ada karta ha. Agar mojal haqmahar nikah nama main likha na jai ke mpqa per Ada Kar dia hai tu qabal adaigi samjha jai ga 




Ghair mojal haqmahar wo raqam hoti hai ya property mojoda ya future main dene ka wada kia jata hai.iss ki maqdar larki se pooch kar or husband se bahmi salah mashwara se ju teh pai wo likh di jati hai iss ki koi hadd maqarar nahi ha .ye hazro ma bhi hu sakti ha or karoro main bhi. Or Gold ki soorat ma ya kisi Zameen ki sorat main bhi ya makan pilot ki sorat main bhi. Yeh larki shadi ke baad kabhi bhi mang sakti ha or agar husband ada nahi karta tu us ke sath ghar abad karne or haqooq e zojeiat ada karne se inkar kar sakti hai. Or shadi ke duran hi iss ka dawa kar sakti ha ye ghalat tasaar logo main paya jata hai ke larki sirf divorce ki sorat main hi haqmahar ka matalba kar sakti ha or aksar ortain iss ka dawa nahi kartien.

Baz dafa nikah nama pe mojal ya ghair mojal haqmahar likhna ki bajai indaltalab haqmahar likha hota ha jiss ka matlab bhi yehi hota ke larki jab marzi talab kar sakti ha.

Haqmahar asal main wo raqam hoti hai ju husband shadi ke iwaz larki ko ada karne ka paband hota ha iss main larki ki marzi se delay tu hu sakta magar ye aada karna hoti ha.

Agar larki divorce leti khulla ke zareea se tu us ko haqmahar wapis karna parta ha.poora ka poora (aab nai shariat court ke faisla ke matabaq)

High court or supreme court ke faisla jaat about haqmahar.


Shadi ke baad mehar ki raqam main azafa na Sirf jaiz hai balke qanoon ke tehat qabal e Amal bhi hai or mia bv ko shadi ke bandhan main rakhne ke liye koi sakhat sharat nahi hai (2024 LHC 572)
  1. Ghair manqoola(immoveable) jaidad batoor haqmahar ikhtiar saamat family court ko ha 2020-YLR-188


  1. Haqmahar key iwaz BV ke name arazi muntaqal ki ja sakti hai 2019-MLD-576-SC-AJK


  1. Duran e aabadi aik dosre ko diey gai gifts ko haqmahar consider na kia ja sakta ha PLD-2017-lahore-41


Court marriage procedure
  1. Nikah nama key mutalqa khane main zewaraat batoor haqmahar daraj the BV bghair Kisi shahdat ya gwah ke in zewaraat ki haqdar ha.2014-CLC-272

  1. Haqmahar na dene per bv haqooq e zojeiat ada karne se inkar kar sakti ha 2012-YLR-277

  1. Agar rukhsti na hoi hu tu aadhe haqmahar ki haqdar hu gi.2017-YLR-note-218) (2015-YLR-2533)


  1. Bv key khalaf bazu dawa zair samat hona iss ke khalaf haqmahar ki adaigi ki rah main rakawat nahi ban sakta.writ petition under section 199 dismissed.2017-MLD-413- karachi


  1. Nikah nama main Haj umrah per le jane ka Iqrar bhi haqmahar ke zumra main aata hai or husband aise qarar per amaldaramad karwane ka paband ha.PLD-2021- Islamabad -422


  1. Pehli bv ki ijazat nama key bghair dosri shadi karne se pehli bv ke mojal or ghair mojal haqmahar dono qabal e adaigi hu jate hain pehli bv iss ka taqaza kar sakti ha.2020-PLD-SC-613




  1. Agar haqmahar mojal hu tu jab tak contrary prove na hu tab tak yehi samjha jai ga ke abhi tak Ada na hua hai


  1. Husband ki wafat key baad BV ne susar  key khalaf haqmahar ka dawa kia kionke nikah nama main susar ne dulah ke wakil ke toor per signature kiye the iss liye bahu ka dawa haqmahar hasal karne ka susar key khalaf decree hu gia PLJ.2022- Lahore -137



  1. Nikah nama main likhi hoi property BV ke hi taswar ki jai gi husband iss ko sale na kar sakta ha or na hi koi court iss property ko attached ya auction kar sakti ha SCMR -2170-2016




  1. Shadi ke baad bhi haqmahar ki raqam ya property ko bazrea agreement mabain fareeqain tahreer kia ja sakta ha. Or agar husband haqmahar main azafa ka agreement likh de tu phir iss se inharaf nahi kar sakta or nah hi haqmahar wali property sale Kar sakta ha or na hi haqmahar wali property key khalaf ijrah decree amal main laya ja sakta hai SCMR-2170-2016


  1. Gold or property shadi ke waqat nikah nama main tahreer shuda ha. Husband ne Iqrar nama mafi haqmahar (agreement haqmahar mafi) batoor dastawaizi shahadat pesh kia jiss ko BV ne tasleem kia istarh BV ka dawa wasuli haqmahar dismiss hoa 2019-YLR-84


  1. Istamp paper per likh kar BV ne haqmahar chora aise dastawaizi shahadat se baad main BV inkar na kar sakti ha or aisi dastawaiz ki wo paband ha. 2019-YLR-84


  1. Agar husband haqmahar ki adaigi key baad BV se haqmahar cheen le tu BV court se raju kar ke haqmahar wasuli kar sakti ha 2012-MLD-553



  1. Shadi ke moqa per agar koi agreement About haqmahar likha jai tu us ka indraj kalam no 20 main kia jai ga 


  1. Supreme court decree The case of wife for dissolution of marriage on basis of khulla and directed that mutation for the plot given by the husband would now revert back to the husband 2015-SCMR-804





  1. Haqmahar ki wapisi ka dawa bian ka wo hissa jiss ko Jira main challenge na kia gia hu Us ko tasleem shuda taswar kia Jai ga.2020-CLC-910



  1. Khulla ki sorat main BV paband hai ke wo haqmahar ki raqam wapis kare agar usne wasuli ha tu or agar iss ne raqam wasul na ki ha tu iss ko haqmahar  nahi mile ga .2018-YLR-1251


  1. Husband ne bghair ijazat dosri shadi Kar li qarar paya key bghair ijazat dosri shadi karne per husband pehli bv ko foran haqmahar Ada Karne ka paband hu ga.2021-PLD-184- peshawar




  1. Bewa ki taraf se husband ki death ke baad haqmahar ka agreement pesh kia gia ju ke property ki babat tha. Jiss ke do gwah nabaligh the aise mashkook agreement ki bina per shari warsaan ko warasat se mahroom nahi kia ja sakta.2022-SCMR-13


  1. Nikah nama key Kalam number 16 main di gai property haqmahar ka hissa taswar hu gi.PLD-2016-SC-613

  1. Agar Haqmahar main likhi hoi property kisi bhai bhain ya kisi or rishtadar ke nam per hai or dulha ya husband ke nam per nahi hai or jiss ke nam per property ha us ke signature nikahnama per nahi hain or us ki marzi ke khalaf property likh di gai hai tu .  tu iss bhai ya bhain ya ju bhi rishta hai us ko property se mahroom nahi kia ja sakta.2023 CLC 1021

Makamal haq mahar aada kiye bghair BV ko haq e zojiat ada karne per majboor nahi kia ja sakta ( 2020-YLR-1820-Peshawar


نکاح نامہ میں لکھی گئی ایسی شرط غیر شرعی ہے جس میں لکھا گیا ہو کہ شوہر طلاق یا دوسری شادی کی صورت میں ہرجانہ ادا کرے گا.
2021 SCMR 186


Haq Mahar husband ke zima BV ka qaraz hota hai ju agar BV maaf na kare tu har soorat qabal e adaigi hai.
2005-MLD-348

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.

                                           . .   .  .    Popular Articals


























  Case transfer karwana aik city se dosre city

   


























 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation