Police Harassment Laws in Pakistan Dhamkio ke khalaf kia kia jai (harassment )


Police harassment laws in Pakistan 




What you can do against police harassment.

  1. You can application to police officers IG , DPO, CCPO, SP Discipline etc
  2. You can file petition before additional Session judge under section 22A and 22B 
  3. You  can file constitution petition before before High court under section 199 of construction.
police ki dhamkian (harassment)private logon k sath mil kar   harasan karne se kese bacha jai .Police apni investigation  k doran apni dehari banane key liye ya baaz ooqat kisi or moqa pr logo ko dra dhamka kr rishwat wasool karti hai .ya kisi dosre k khne per , ya kisi bhi wajah se app ko harasan kia jaa raha hai or app begunah hain or app kisi parche main malwas nahi hain na hi app k khalaf koi fir hai . tu app ke pass kia remedy available hai .

Harassment petition file karna Harassment app before justice of peace (ASJ) k pass file kar sakte hain








                          mandarja bala video main detail ke sath mozon per discuss ki gai hai                          .

Procedure


  1. app aik application under section 22A 22B session court main file karain ge
  2. jiss main tamam facts (halat o waqiat)  bian kie jain ge
  3. jis k baad additional session judge app ka bian record kare ga
  4. app ki pic court main li jai gi
  5. or court mutalqa SHO ko  or dosre log ju police ke sath mil ke harasan kar rahe hain ko direction jari kr de gi ke is ko illegal tor pr harasan na kia jai .
  6. Us ki musadqa copy banwa kar court se police station main jma karwa di jai gi
  7. or police app ko harasan karne se baaz aa jai gi
  8. Agar petition file karne ke bawajood private parties or police party baz nahi aati tu aap high court ma constitution petition under section 199 file kar sakte hain jiss main aap aik se ziada police stations ko party bana sakte hain.

Iss ke ilawa aap citizens portal ka app download karain play store se or waha per bhi application file kar sakte hain.



IG Punjab ko application de sakte hain, IG punjab ko online call 1787 per kar ke apni shakiat note karwa sakte hain 
Ya google se search karain IG complaint cell or waha per apni shakiat register karwain.
Yeh online applications IG sab aap ke mutalqa ASP ko send kar dain ge or aap ko or police ka admi ju ziadti kar raha ha bula lia jai ga or sun kar faisla kia jata hai

High Court and Supreme Court decisions about Police Harassment.

  1. Supreme Court ne qarar dia Police ki taraf se Chand lamho ke ghair qanooni griftarri bhi Juram hai jiske khalaf shehri apni izaat nafas majrooh hone or ziadti ke khalaf baqida muqadma daraj karwa sakta hai. (Harjane ka case bhi file kar sakta hai ) (2020-SCMR-361)
  2. Agar police maqable main private log mare jain or police party ko kharash tak na aaye tu muqabla jaali taswar hu ga.(2004-YLR-798)
  3. Agar Police muqadma kharaj kar de tu yeh judicial hukam na hai- agar police ke pass mawad aa jai tu dubara challan dia ja sakta hai (1984-pcrlj-1333)
  4. Agar koi police ahalkar kisi gumshuda ya igwa hone wale bache ki information milne per fori karwai nahi karta tu iss ko aik saal qaid ki saza hu sakti hai. (Section 08 Zainab Alert response and recovery Act 2020)
  5. Police rules 1934 ka qanoon no 24-7 mutalqa Police officer ko bhi ikhtayar deta hai ke wo daraj shuda FIR ko mansookh kar sakta hai.
  6. Police ka shehri ko ghair qanooni harrassat main rakhna or ghair qanooni torture cell main rakhna police ka ikhtayarat ka ghair qanooni istamal or najaiz istamal hai.iss ko rokne ke liye Adlia ko or muashre ko apna role play karna hu ga.(plj-2021-CRC-1553)
  7. Agar police kisi shehri ki bilawajah talashi leti hai ya griftar karti hai tu shaehri iss ke khalaf harjane ka muqadma daraj karwa sakta hai.(2020-SCMR-361)
  8. Police shehrio ke lain dain ke mamle main madakhlat nahi kar sakti hai.(CRLJ-2009-290)
  9. Supreme Court ne qarar dia ke tamam government Servent include Police, Patwari, doctors, waghira awam ke nokar hain.(1990-SCMR-418)
  10. Kisi mulzam ko griftar karne ke baad 24 ghente main court main pesh na karne wale police officer ko aik saal tak qaid ya jurmana hu ga.(157- police order-2002)
  11. Agar police kisi ko ghair qanooni harrassat main rakhti hai tu per section 342 PPC  or 155C ke tehat FIR hu gi.
  12. Police station main muharar ka ohda 24 ghente main aik minute ke liye bhi khali nahi reh sakta( chapter 22 rule 8 police rules 1934)
  13. Agar police chadar or chat diwari ka taqadas pamal karti hai in per under section 452/34 PPC or 155C ke tehat Fir daraj hu gi . Jiss ki saza 3 saal saza or jurmana hai 
  14. Police kisi ke ghar main bghair warrant ke dakhal nahi hu sakti or agar police bghair warrant ke dakhal hoi or ghar walo ne tashdad kia tu ahal e makan per koi juram nahi banta.(1997-CRLJ-740)
  15. Aala police officers naqas tafteesh karne wale police walo ke khalaf mehkmana or taziri karwai karain jaha ehtasab nahi waha zimadari bhi nahi.(PLJ-2022-CR-C-492-DB-multan B)
  16. Agar police insani haqooq ki khalaf warzi Karti hai tu mutasreen under section 35A civil procedure code ke tehat harjane ka muqadma kar sakte hain or court police ko harjana ada Karne ka hukam bhi de sakti hai.(2018-CLC-1858)
  17. Agar koi police officer under arrest mulzam per tashdad karta hai tu iss police officer ko 5 saal tak qaid or jurmana ki saza hu sakti hai (article 156(D) Police order 2002.

Mazeed maloomat key liye call karain 0092-324-4010279 whats app available

Popular Posts

























  Case transfer karwana aik city se dosre city















































 























Comments

  1. Salaam alaikum
    Achcha sar agar apni biwi ko talaq de de tu bacha kaise liya ja sakta hai
    Please reply me

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      G bacha lena aasan nahi hota maa se magar aap case kar sakte hain or mil sakte hain bache ko or phir ahsita ahista agar maa aage shadi kar leti hai or aap court main sabat kar dete hain k main bache ko acha parha likha sakta hu.tu phir aap ko mile ga

      Delete
    2. Sir ik asi hai jo ham ko ek mamly py hirsan kr Raha hai aur pese mang Raha hai

      Delete
    3. kaha ke rehne wale hain aap. Call me to discuss 03244010279 whatsapp

      Delete
    4. Sir hamare alag hony ki wajah hai susral waly uske Bhai behan akar dhamkiya dety hain mere ghr pay tamsha karty Hain hath uthaty hain ..Mera shohar khara ho Kar dekhta hai aise shohar k sath Kon rehna chahe ga

      Delete
    5. Reyasate pakistan ke sheri ko agar police harasa kare to os par kia kanoni karwai ban sakti he

      Delete
    6. Harassment file karain session court main or agar police harrasa Karne see baz na aaye TU high court ja sakte Hain us ke ilawa 1787 pr IG Punjab ko complain likhwa sakte Hain us k ilawa citizens portal bhi hai.

      Delete
  2. Aslam o alikum
    Sir meri wife mery sath ni rehna chati us ka matlba ha k wo apny maa bap k pas rahy gi mery bachy b us k pas hain jab k ma usy usy apny sath rakhna chta hn or us ne family court main case kr dia ma apny bachy kesy le skta hn plz meri renmai kr den

    ReplyDelete
  3. Jab k meri truf se koi zyadti b nahi hai ma us ki har requirement b pori kr raha tha ab 7 months se us ko karcha b ni de raha mera matalba ha k wo a k mery sath rehy ma is ki har requirement puri kron ga kia case kr k wo ye 7 months ka kharcha muj se wasool kr skti ha plz sir renmai kr den

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      bachu ka kharcha husband ki zimadari hai bv ka kharcha court nahi dalti agar bv apne husband k sath nahi rehti. bache barhal orat ko milte hain or kharcha husband ko pay karna hota hai. behtar hal yehi hai k aap dono sulah kar lain

      Delete
    2. Salam sir Mai apny husband k sath rehna Ni chahti hum alag hona chahty hain. Bachy 7 sal tk mere pass rahengy uske bad bhiii apny sath rakhny k liye mujhe kia case karna hugs plzzz reply

      Delete
    3. divorce ka case kar ke elhda hu sakti hain or us ke baad union council se certificate bane ga bacho ke kharce ka case foran karain. or bacha saat saal ke baad bap ko lena aasan nahi hota

      Delete
    4. for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  4. salam. sir meri khula hui hai uski waja ghar k bury halaat thy jo meri nand or us k shohar ki waja se huy.wo waheen rehti hai poori family. meri nand or ex ki.jaidad ikathi hai. wo mujhy talaq dilwa k bachy cheen rahe thi. ab ex ne bacho ki custody ka case kia hai. mujhy apni nand se boht khof hai. wahan rehty bhi mery betay ko ek bar nuqsan deny ka kia tha us ne. wo bacho ko nuqsan na dy. mera ex bacho ko ghar le jana chahta. mai esa ni chahti. court mai hum unki jaidad ka proof ni dy sakty. is soorat mai kya krun?

    ReplyDelete
    Replies
    1. w salam orat family court main bht mazboot hai aap ne kharche ka case kio nahi kia agar nahi kia tu karo. husband ko bache lena buhat mushkal hote hain.aasani se nahi milain ge. court main batao ke main bacho ko acha paal sakti hun or apne haq mahar or saman jahez or nan nafqa ka case karo. case inshallah aap ke haq main rahe ga or bache ap se nahi jain ge.

      Delete
    2. mazeed malomat ke liye call or whatsapp 03244010279

      Delete
    3. sir ji wo to krna hai lekin bacho ko agar wo khrcha deta hai or ghar le k jany ka krta mulny k liye to mai kesy rokun usy?

      Delete
    4. court aikdam se ghar le kar jane ki bachu ko ijazat nahi deti or jab ghar le kar jane ki ijazat milti hai tu us se pehle us se zamanti or surety bond lia jata hai wo le kar bhag nahi sakta. or na hi kharcha lene se yeh hu ga ke wo bachu ka haqdar ban jai ga court sirf bachu ka faida dekhti hai

      Delete
  5. Buchon ki full custody kese milti ma KO? Means ESA hoskta k ma KO dar ho k Baap or us k ghar waly brain wash karengy ya KOi b masla hoga tou full custody mil skti kia ma KO?

    ReplyDelete
    Replies
    1. bachu ki custody milti hai agar aap ne case file kia hu custody ka or reguler kharcha pay karain or milan bach ko regularly. us ke baad court sochti hai ke bacho ka fiada maa ke pass hai ya bap ke pass. yeh post hai bachu ki custody ke bare main jiss main husband ke tamam rights bachu ko kab mil sakta hai or chution main salgira pr or dosre events per bachh ko ghar le kar ja skata hai as per judgement of Supreme court

      Delete
    2. https://legalhelp1.blogspot.com/search?q=bachon+ki+custody
      yeh article ha with videos copy or past kar lain in adress bar

      Delete
  6. Salaam sir, mai khula Lena chati apny husband se mental and physical abusement Ki bunyad p. Mujhy puchna ye ha k Shadi p Jo gold wagera milta wo wo mang sakty kia? Or Meri beti ha 3 years Ki tou kia usey milny lejany ki court permission dy dygi us k father ko ya court mai hi mulaqat hogi? Or agar unki job commission base ho or basic salary kum ho tou court kis base p expense bandti?

    ReplyDelete
  7. khulla le dain ge aap ko agar aap nahi rehna chati husband ke sath. Gold ju bhi shadi pe milta hai wo larki ka hota hai or gift main aata hai.or aap kharche main us ki income show karain ge ke commission kitni hai or dosre zaraia kitne hain bank balance ke through ya property ke thrhoug ya garian hain ya ju bhi aap court ko dikha sakain income us ke dikhane ke liye zaroori nahi ke just sallary slip hi income show karti hai.mulaqat ke liye agar wo case karta hai tu phir court main mulaqat hu gi. or agar wo reguler pay karta hai tu phir supreme court ki authority ke mutabaq mulaqat kar sakte ga . call or whatsapp karain mazeed maloomat ke liye 03244010279

    ReplyDelete
  8. AoA. sir mery betay k baap aboori kharcha nahe dy raha. sir agar wo kharcha nai deta us ka case custody ka kharij ho jy ga ya nahee? or aagay ja kar jb bacha 7 saal ka ho ga to wo custody case karny ka ehel ho ga ya nahee? or bachy se mulaqat jo kar raha wo hum kesy rukwain gy?

    ReplyDelete
    Replies
    1. w salam agar wo nahi de raha bache ka kharcha aboori tu 17A ke tehat court us ka right close kar ke case decree kar de gi or phir execution main us ke warrant jari hu jain ge. bache ko aap na le kar aya karain ke yeh kharcha nahi de raha court main bola karain. or agar nahi de ga kharcha tu iss ke warrant jari hu jain ge iss ne kia case larna custody ka. kionk agar wo abhi kharcha nahi de raha tu apna record ganda kar raha hai court main jab wo bacha mange ga tu

      Delete
  9. Mri bivi ka 3 sal se mre sath jagra rehta ha k mene dosry shadi ki hoi ha uski ma ae din mre ghar ake apni bety k sath mre sath jgra kr k ma k sath chaly jaty ha me pir kch din me wapas leke ata ho lkin ab usne mara bhi ha or galia bhi dy ha or uski ma talak mang rahy ha ulta mjhpe ilzam laga rahy ha k mene use mara ha jb k usne khud apne ap ko tamachy mary ha ab masla bacho ka ha bachy bhi legai ha Ek 3 sal ki ha ek ek mahne ki ha mjhy dhamkia bhi dy jarhy ha mene
    apny bacho se milne ka bola tu mjhy bolty ha paresan mat kro me kesy apne bachy chor do or us ka demagi bemari bhi ha goli khaty ha demag ki me talak doga tu bachy kis k pas jaegy 03463602341 pe rabta kre plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. elehdgi ki soorat main bache court maa ko deti hai or aap ko bachu ka kharcha pay karna hu ga. aap ke pass remedy yeh hai k aap bachu ki custody ka case kar sakte hain jiss main court aap ko bachu se milne ki ijazat de de gi or aap bachu se mulaqat kar sakain ge

      Delete
  10. Agr husband ki death ho gai hy aur bewa ny doosri shadi kr li hy to un dono k bachon ki custody kis ko mily g

    ReplyDelete
  11. محترم سر میری بیٹی کے 2بیثے ہیں جن کی عمریں تین اور چار سال ہے اس کا شوہر اسے بلاوجہ مارتا پیٹتا ہے اور اسے گھر سے نکال دیتا ہے اسوقت میری بیٹی میرے پاس ھے اور اسکا چھوٹا بیٹا بھی مگر بڑا بیٹا ان کے پاس ہے وہ میری بیٹی کو طلاق دینا چاہتے ہیں اب آپ سے گزارش ہے اس کا کچھ حل فرمائیں میں اپنی بیٹی کا دوسرا بیٹا ان سے لینا چاہتا ہو اس بات کو چار ماہ گزر چکے ہیں اب پتا چلا ہے کہ وہ بچا جو ان کے پاس ہے بہت بیمار ھے میں اس کا علاج کروا لونگا اب آپ بتائیں میں کیا کروں پلیز جلد کوی حل بتائیں میرا تعلق فیصل آباد سے ھے میرا کونٹیکٹ نمبر 03066056815 خالد حسین لودھی میرا نام ھے پلیز

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai Mera number whatsaap ka har post or laga HOTA hai call or Whatsapp kar sakte Hain aap 03244010279 bacha court k through baramad hu Jai ga under section 491. Call me

      Delete
  12. Aoa sir AK lady police ko koi private bnda jaan ki dhamki deta ha ya mrta petta ha to wo kia kry plz reply

    ReplyDelete
  13. Us ne daily duty pe Jana ha bht khatra ha usy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Police wali ko agar khatra hai wo 15 per call kare Police ko bulai, or us ke baad Police station main application dain, Us ke baad agar phir bhi khatra hai dpo ya SP ko application dain.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation