Posts

Showing posts from July 15, 2021

Ijrah ya Ajra execution ya tameel e decree kia hai

Image
Civil court main jab koi case decre hu jata hai tu us ke baad ju decree hoa hota hai us ki takmeel ki bari aati hai .court ke pass chand tareeke hain jiss ke through court decree ki tameel ya Ijrah karwati hai Decree ki Iqsam kuch decree hoti hain jin ki takmeel bhi mukhtalif tareeke se karwai jati hai Saman Jahez ki Decree Saman jahez ki decree ju ke family court pass karti hai us ki takmeel ke liye baliff ko decree holder ke sath husband ke ghar bhaij dia jata hai jahan per bailiff court ke namindgi karte hoe list ke mutabiq saman jahez le kar deti hai or bailiff apni report bana kr court main jama karwa dete hai. Money decree Peso ki decree main court agar decree holder koi farad talika jama karwata hai ke falan property sale kar ke ju madun e decree ke nam hai mujhe recovery karwa ke di jai tu court mutalqa property sale kar ke decree ki tameel karwa sakti hai Specific performance dawa ki decree kuch cases aise bhi hote hain ke jin main court revenue department ko ya registrar ko o