Haq mahar mojal or ghair mojal kia hai
Haqmahar kia hai ? Haqmahar ki teen iqsaam hain Mojal haqmahar Ghair mojal haqmahar Indaltalab haqmahar Mojal haqmahar wo raqam hoti hai ju ke shadi ke moqa per husband apni BV ko ada karta ha. Ju ke amooman 5000 ya 10000 hoti ha waqat ke sath sath kam ya ziada hoti rehti ha. Kionke humare mulak main mehngai buhat tezi se rates change kar deti ha. Mukhtasar ye ke mojal haqmahar wo raqam hoti hai ju husband shadi ke moqa per apni BV ko ada karta ha. Agar mojal haqmahar nikah nama main likha na jai ke mpqa per Ada Kar dia hai tu qabal adaigi samjha jai ga Ghair mojal haqmahar wo raqam hoti hai ya property mojoda ya future main dene ka wada kia jata hai.iss ki maqdar larki se pooch kar or husband se bahmi salah mashwara se ju teh pai wo likh di jati hai iss ki koi hadd maqarar nahi ha .ye hazro ma bhi hu sakti ha or karoro main bhi. Or Gold ki soorat ma ya kisi Zameen ki sorat main bhi ya makan pilot ki sorat main bhi. Yeh larki shadi ke baad kabhi bhi mang sakti h...