Posts

Showing posts from January 24, 2021

Early hearing application in High Court | Early hearing application format | Cases ko jald kese khatam kia jai.

Image
Early hearing of cases  Cases diwani hun ya fojdari bht lamba chalte hain. jiss ki wajah se insaf ka hasool mumkan nazar na aata hai.kia wajoohat hain ke tareekha per tareekh milti chali jati hai or case kisi tarf lag nahi pata or kuch arsa ke baad mudai or muda aleh sulah kar ke apni jaan in cases se chura lete hain.  Sab se bari wajah   Sab se bari wajah yeh hoti hai ke iss main aik party case ko khatam karna chahti hai tu dosri iss ko tool dena chahti or kabhi na khatam karna chati hai. Qanoon main khamian Aksar aise hota hai ke jab kisi cheez ke liye masal ke toor per court time deti hai tu kuch moqe diye jate hain us ke baad phir court ko batana parta hai ke akhri moqa dain or court akhri moqa deti hai phir akhri moqa bhi kai baar dia jata hai qatai akhri moqa or phir qatai akhri moqa yeh cheezain aab har koi samjh chuka hai abb har koi us waqat tak kam pr tawajh nahi karta jab tak us ko pata na chal jai ke ye moqa ke baad phir moqa na mile ga   Sadebab ya solution ham kis tarah s

Intqal jaidad ka process.(case laws) Mutation in Register haqdaran

Image
Mutation of properties  Register haqdaran Zameen main intqal intqal register haqdaran Case Laws on intiqal ( mutation ) Section 42 Land revenue act 1967 ke tehat zameen ka intqal kia jata hai zail main high court or supereme court ke faisle mojod hain jiss se intqal ke bare main roshni dali jai gi Intqal ko challange karne ke liye agar yeh mehkma maal ki mili bhagat se hoa tu yeh case civil court main hu ga or us main mehkma maal sobai government ke mulazmeen ko party banana zaroori hu ga 2020 SCMR 214 har nia intqal aik nai banai dawa paida karta hai trial court ne saail ke khalaf kia magar appalet court ne faisla badal dia jiss ko challange na kia gia abb wo final hu gia 2020 CLC 99 (Lah) Sale ka Intqal Intqal khud koi shahdat nahi itqal ko sabat karne ke liye qanoon e shahdat ke tehat mazboot shahdat ki zaroorat hoti hai 2019 SCMR567 Qanoon main dia gia tareeka nahi apnia gia sirf aik gwah pesh kia gia jiss ne miss pari ko shanakhat kia or hibba ke kiye jane ki tasdeeq ki magar qano