Early hearing application in High Court | Early hearing application format | Cases ko jald kese khatam kia jai.






Early hearing of cases 




Cases diwani hun ya fojdari bht lamba chalte hain. jiss ki wajah se insaf ka hasool mumkan nazar na aata hai.kia wajoohat hain ke tareekha per tareekh milti chali jati hai or case kisi tarf lag nahi pata or kuch arsa ke baad mudai or muda aleh sulah kar ke apni jaan in cases se chura lete hain. 


Sab se bari wajah

 

Sab se bari wajah yeh hoti hai ke iss main aik party case ko khatam karna chahti hai tu dosri iss ko tool dena chahti or kabhi na khatam karna chati hai.


Qanoon main khamian


Aksar aise hota hai ke jab kisi cheez ke liye masal ke toor per court time deti hai tu kuch moqe diye jate hain us ke baad phir court ko batana parta hai ke akhri moqa dain or court akhri moqa deti hai phir akhri moqa bhi kai baar dia jata hai qatai akhri moqa or phir qatai akhri moqa yeh cheezain aab har koi samjh chuka hai abb har koi us waqat tak kam pr tawajh nahi karta jab tak us ko pata na chal jai ke ye moqa ke baad phir moqa na mile ga

 
Sadebab ya solution


ham kis tarah se inn mushkalat se bach sakte hain iss ka sab se assan hal yeh hai ke aap ko pata hu cases ki stages kia hain or hamara case kis stage per hai or agar itni dates se notices main ya shahdton main chal raha hai tu akhar kar iss marhle per ruk kio gia hai agar dosri party ka masla hai tu judge sab ko request kar ke case ko aage chalain or agar aap ke apne wakil sab koi cheez court ko nahi de rahe hain jiss ki wajah se mamla postpone hoa para hai tu apne wakil sab ke sath baith kar wo jawab ya ju cheez hai tayyar karain asal main hota youn hai ke case aap ka apna hota hai or aap ne sab kuch wakil sab pe chora hota hai.aap ko khud bhi help karni chahiye or pata hona chahye ke case main kia hu raha hai or cases ke marahal kia hain.


Darkhast High court main for early hearing 


akasr cases kai kai salloo se pending hote hain or mudai or muda elaih sirf dates hi le rahe hote hain or court bhi pain nahi le rahi hoti hai.aise moqe ke liye main ne aik post pehle bhi likhi thi case ka jaldi faisla karwane ke liye aap judge sab ke khalaf high court ja saket hain

Direction of early hearing of cases


 direction mil sakti hai court ko yeh case 6 mah main ya 4 mah main complete karain jiss ke baad aap ka case speed up hu sakta hai or agar 6 mah main complet nahi hota tu aap dubara direction le sakte hain Early hearing ki application



Choti date lena



Cases main aap jaldi faisla karwane main aap ka role yeh bhi hu sakta hai ke har date pr bahas kar ke choti dates li jain hafta war dates agar app lete rahain tu aap ka case kai saal pehle khatam hu sakta hai

                                                
Early disposel application in High court




For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about t his blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.



                                                              

Popular Posts


































































 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation