Registery karwane ka tareeka zameen ya Makan ki

How to register sale deed

Zameen ya makan ki registery kese karwai jati hai or yeh kin marahal se guzar Kar Hoti ha 

Farad bai 
Sab se pehle jiss shakas se aap ne makan ya Zameen kharidna ha wo farad e bai nikalwai ga iss zameen ki. Farad bai ke baghair Zameen ki registery nahi hu sakti yeh lazmi ha. 
Farad e bai se zameen ki malkiat maloom Hoti ha
Or farad e bai se pata chalta hai ke Zameen par Kisi qisim ka stay ya maqdma na hey.
Aik waqat ma aik hi farad e bai nikal sakti ha
Farad e bai nikalwane ke baad agar registery na karwai jai tu farad e bai 14 din ke baad mansookh hu jati ha.

Iss ke baad agala marhla Zameen ki maleet ke hisaab se Online chalan fill karne ke baad E-stamp bank se nikalwain. 
Filer ke liye 5 percent tax Zameen ki maleet ke hisaab se Ada karna hu ga jab ke none filer 6 percent ke hisaab se Ada kare ga or agriculture Zameen par 4 percent ke hisaab se tax Ada Kia jai ga 
 E-stamp paper per buyer or seller ka name daraj hu ga Or stamp paper per Zameen ka DC rate likha hu ga ke kitne rupees ki Zameen sale ki ja rahi ha wo price likhi hu gi.

Iss ke baad istamp paper per tahreer likhwai jai gi. Ke kon kis ko Zameen sale kar raha ha or kitne rupees me Kar raha ha. Witnesses ke name or address likha jai ga. Or isi Tarah stamp paper per sale hone wale Zameen ya makan ka Map banaia Jai ga jiss ke charoo taraf nishan dahi ki jai gi ke aas or pass ke makan or Zameen kis ki malkiat Hain.

Iss sab ka maqsad Zameen ya makan ko safe karna ha keh kal koi or party ya farad iss zameen per qabza ya zabardasti qabz na hu or registery se maloom hu jai ke Zameen ka asal malak Kon ha.
  
Istamp paper likhwane ke bad zail ma diye gai documents attached karne ke baad Zilla ke registrar office jain.
Farad e bai
Seller or buyer ki id card ki copies
FBR Tax receipt
TMA Tax receipt
Tax and other taxes payment receipts

File complete karain or Zilla ke registrar ke pass jain or seller, buyer or gwahan ke sath jana ha seller aap ke haq main bian de ga or gwahan sameet sab ki pics lagai gi or signature or thumb impression ke baad aap ki registery hu jai gi. Or registery aap khud bhi receive kar sakte hain or aap ke Ghar per bhi send Kar di jaati ha.

Registery for overseas Pakistanies 

Agar aap overseas Pakistanies hain or aap ne registery karwani ha tu aap ko power of attorney maqarar karna pare ga or us main tamam iktayarat ju ke registery ke bare main hain dene parain ge take aap ki behalf per registery karwai ja sake.

Registery karwane ka tareeqa beemar insaan ke liye.


Some time aksar maa bap ya koi aisa banda ju ke beemar hota ha ya qareeb ul marag hota wo apni zindagi ma apni property transfer karna chahta ha or registery ke through karwana chahta.
Iss ke liye bhi local commission maqarar karwana pare ga ju ghar aa kar signature or thumb impression lagwa kar register karwa sake.

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.













































 






















Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation