How can I become a lawyer in Pakistan? | how to become a lawyer step by step | Wakalat kia Hai, Wakil kese Bana ja Sakta hai, Wakil kitne pese Kamata hai, Wakalat karne main kitna kharcha aa sakta hai.






Wakalat karne ka process





Meaning of Lawyer.
Lawyer ko Urdu main wakil. Alwakil  Allah pak ke 99 names ju hain un main se aik name hai.
wakalat aik Muqadas, Muazaz or bawaqar pesha (profession )hai. Jiss main aap logo ki qanooni rahnamai karte hain.

Wakalat Nama kia hota hai.

Wakalat Nama aik document hai ju ke aap or ap ke wakil ke darmian aik agreement ki haseeat rakhta hai. Or us agreement ke dono fareeq paband hote hain.

Wakalat karne ke liye aap ko konsi decree leni parti hai 

  • Wakalat main dakhla lene ke liye aap ko sab se pehle aap ko FA pass ya FSC ya koi bhi iss ke masavi decree leni parti hai .
  • Jiss ke baad aap ko law admission test pass karna hota hai. Ju ke regular 3 Mah ke baad lia ja raha hai. 
  • Test pass karne ke baad aap kisi bhi Law college main dakhla le sakte hain.
  • Kionke law ki books English main hain lihaza aap ki English achi honi zaroori hai.
  • Law ki annual fees 2023 main 2 lakh se 3 lakh ke lag bhag hai. 
  • Iss ke Ilawa papers or books or college aane jane ka kharcha bhi hai.aap ko sara budget pehle se bana lena chahye.
  • Law ka course ya LLB karne ke liye 5 saal ka arsa darkar hota hai . Ju ke Humare door main LLB 3 saal ka tha per hum FA ke baad dakhla nahi le sakte the or hum ne Graduation (BA) ke baad dakhla le sakte the.
  • Law main passing marks 45 hote hain ju ke MA karne ke liye 33 hote hain. So iss main aap ko ziada muhtaat rehna parta magar parhne wale bachu ke liye koi mushkal nahi hai 
  • Law complete karne ke foran baad aap ko Intimation jama karwana parta hai. Intimation aap ka period hota jiss main aap kisi senior lawyer ke sath wakalat seekhte hain.
  • Intimation ke duraan aap ko maroon Tie or larkio ke liye maroon dupatta pehnnana hota hai. Iss period main aap kam seekhte hain.
  • Jiss ke baad aap ka test hota hai. Jiss ko Law Gat ka test kaha jata hai. Yeh test pass karne main guzashta door main Students ko buhat pereshani ka samna karna par raha tha. Or Students kai kai attempt main iss ko clear kar rahe the.
  • Law Gat clear karne ke baad Bar Council aap ko license jaari karti hai, jiss ke baad aap lower Courts main wakalat kar sakte hain.licence lene se pehle aap ne 20 cases ki list bhi Bar Council main Jama karwani hoti hai yeh wo cases hote hain jinn main aap ne intimation ke duran kam kia hota hai .
  • License Fee or intimation fee aap Bar Council ki website se dekh sakte hain ju ke Amoman kam ziada hoti rehti hai.
  • Aaj Kal aap apna Intimation Online bhi apply kar sakte hain. Ju ke yeh sahoolat humare door main nahi hoti thi.
  • Aik baat yad rakhne ki hai ju ke buhat se Student yad nahi rakhte wo yeh hai ke aap jese hi apna LLB complete karain foran result ke baad apna Intimation jama karwain, kionke aap ko us waqat taak License issue nahi hu ga jab tak aap ka Intimation period poora nahi hu jata.kuch Student apna Intimation jama nahi karwate or practice shroo kar dete hain, Student ka wo period account nahi kia jata ju Intimation jama karwai bghair guzra.
  • Jese hi aap ka Bar Council ka lower Court ka license mil jaye foran apne City ki Bar association ki membership bhi le lain. Yeh membership aap ko life time ke hi le leni chahye. Iss membership ke bghair aap Bar association main hone wale elections main hissa nahi le sakain ge. Membership ke sath aap ko apna vote bhi biomatric karwana zaroori hai. Agar aap ki Bar association main biomatric vote register hain tu. Aksar small Bar association main Abhi elections biomatric nahi hote.
  • Ap ke Lower Court ke License ko jab 2 Saal poore hu jain tu Foran aap ne High Court ke License ke liye Apply karna hai. Kionke Ap ki High Court ki practice High Court ke License se Start hu gi.or agar aap license late lain ge tu aap ka Supreme Court ka license late hu jai ga
  • High Court ka license lene ke baad aap ko High Court Bar association ki membership leni bhi zaroori Hoti hai. Jiss ke bghair aap High Court Bar main vote cast nahi kar sakain ge.
Kisi bhi Profession aap ki kamyabi sirf or sirf mehnat se hu sakti hai. Lihaza jiss qadar aap time dain ge apne profession ko us qadar aap kamyab hun ge.

Kuch Students practice start karne ke foran baad pese kamne ka sochte hain magar yad rakhain ke pehle 5 saal kisi bhi Profession main aap ko seekhne ke liye darkar hote hain.

Junior Wukla ke sath bara masla yeh hota hai ke un ko koi client case nahi deta. Kionke Clients ko daar hota hai ke junior Wukla un ka case kharab na kar dain. Halanke wo law graduates hote hain. Agar aap ka bara koi issue nahi hai tu aap un per itbar kar sakte hain.

Junior wukla ko bhi Start main kisi law Firm ko join karna chahye jiss se ke un ka kharcha bhi chalta rahe or kam seekhne ko mile or Time zaia na hu.Kionke aksar dekha gia hai ke buhat saare Students practice start karne ke baad kam per tawajh nahi dete. Elections compaign main hissa lete hain ya practice main regular nahi hote. Jiss ki wajah se qeemti time zaia hu jata hai.

Or yehi wajah hoti hai ke wo lamba arsa guzaar dene ke baad bhi wakalat main nam paida nahi kar paate.

Wakil kitna pesa kamate hain.

Log aksar swal poochte hain ya un ke zahan main yeh Sawal aata hai.

Kisi bhi Profession main kamyabi ka raaz mehnat or dayanatdari per hota hai. Agar aap dayanatdari se kam karain ge tu aap ke Clients repeat karain ge aap ko or aap ke kaam main barkat aai gi.







For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.
































































 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation