Fir darj hone se le kar bari ya saza ka procedure

Parcha darj hone ke baad ka proceedure



Fir darj hone se le kar bari ya saza ka procedure 




Criminal process after FIR

 humare mulak main jahan rishwat ka bol bala hai or buhat se log thane or court ke naam se hi ghabrate hain .or main wajah yeh hoti hai ke logon ko proceedure ka pata nahi hota hai .hum kuch koshish karain gai ke logon ko jo ke masoom hote hain wo jab tak apne koi juram ju  kia na hu tu ap ko kisi juram main asani se phansaia nahi ja sakta . or agar app kisi bhi waja se pershan hain tu humain call karain or masle ka hal maloom karain .Police wale Parcha karne ka khof dala kr awam se bhari rishwat wasool karte hain ,jabke humare bholi awam ko yeh bhi pata nahi hota ke yeh log jhoota parcha nahi de sakte or agar jhoota parcha de bhi dain ge tu court main us ki koi value nahi ho gi . or court main  chote cases ka kharcha kuch bhi nahi hota magar police wale apni dehari lagane ke chakar main logon ko dra dhmka kr bhari rishwat wasool karte hain . tu iss sorat main humara yehi mashwara hai . ke kisis bhi soorat main black mail nahi hona or humare number per call karain .neeche pic main Fir ka proceedure dia gia hai jo ke parcha hone se le kar bari ya saza pr khatam hota hai logon ki rahnamain ke liye







Mlc or doctory malaza

Fir darj karne se pehle police ki ziamadari hai k zahmi logon ka fori medical karwain ju ke hospital se karwaia jata hai. yeh baat awam ke liye jannana bhi zaroori hai k agar police fori medical k liye nahi le ker jati tu aap mutalqa magistrate ko application de kar ijazat le sakte hain medical ki or police ki ghair mojodgi main bhi medical karwa sakte hain .medical ki ahmeet ko jannain ke liye  yeh post parhain Zakhmio ka mediacal karwana

FIR


sab se pehle police application ko dekhti hai k aaia ju application di gai hai iss main koi qabl e dastandazi juram banta bhi hai k nahi agar juram banta hai tu FIR darj hu gi or agar nahi banta tu nahi magar aap k liye yeh jannana zaroori hai k agar juaram banta hai or police fir nahi de rahi tu aap police k aala hukam ko aaplication de sakte hain or  iss ke ilawa under section 22 A 22B session court main bhi ja sakte hain police station main application kese di jati hai us ke liye yeh article prhain Police station main application kese dete hain

FIR k Baad


Fir ke  Bad sub se pehla marhla jo aata hai wo case ke bare main tafteesh ka ya investigation ka hota hai Investigation shroo karne ke liye Police qanoon ke tehat pehle FiR darj karti hai or us ke baad Mulzam ya mulzaman ko girftar karti hai .or agar aap ke mulzam griftar nahi kar rahi tu yeh article prhain  Mulzman ko griftar kese karwaia jai
Investigation main sara kam Shahdtain akthi karna hota hai or lagie gai ilzamat ke bare main saboot jama karna hota hai  or lagai gai ilazamat ki tafteesh  karna hoti  hai ke wo sahi hain ya kia mulzam begunah hai.

Moqa mulaza karna


 police FiR ke baad waqua ki jaga pr puhnchti hai or waha se saboot jama karti hai or wo tamam hathyar or mal muqdma jama karti hai ju k kisi juram main istamal hoa.or moqe pr logo ke bianat qalam band karti hai.
Magar Pakistam main hota kuch aise hai ke police investigation ki aar main buhat se begunah logon ko bhi griftar kar leti hai or un ko pata hota hai ke ye begunah hain magar police ka maqsad sirf  apni jaib garm karna hota hai

Jismani Remand


agar iss main sahi tareeke se tafteesh ki jaye tu police ka kam  mulzam ko arrest kar ke 24 ghenton ke andar mutalqa magistrate ke pass pesh karna hota hai or  majistrate 2 or 4 din ka ya case ki nooiat ke mutabiq ziada remand bhi de sakta hai . us remand ke khatam hone ke baad mulzam ko dobara majistrate ki court main dobara pesh kar dia jata  hai or court dekhti hai ke investigation officer or tafteeshe ne investigation main kia progress dikhai hai .
Aggar court samjhti hai ke mulzam guilty hai or iss ke pass abhi mazeed recovery or investigation hona baqi hai tu court mazeed remand de sakti hai .jo ke 15 din se ziada ka nahi hota .
jese hi court samjhti hai ab investigation complete ho gai hai ya mulzam prove kar deta hai through  lawyer ke wo begunah hai tu court mazeed remand nahi deti or
Mulzam ko judicial remand per jail bhaij dia jata hai remand ke bare tafseel janneain ke liye yeh article parhain  physical remand or judicial remand 

Bail ya zamanat

jiss ke baad mulzaman apni after arrest bail (zamanat ) apply kar sakty hain.
zamanat hone ki soorat main un zamanat per rihai mil jaati hai or we apni dates per court main pesh hone ki zamanat dete hain
or agar wo date per pesh nahi hote tu un ki zamanat cancel ker ke un ko dubara girftar ker liya jata hai.
IO or tafteeshi apni investigation complete karne ke baad chaalan under setion 173 crpc bana ker court main pesh kar deta hai .
or mulzam ko gunahgar ya begunah qarar de deta hai


Fard e Juram Or Charge Sheet


court  case ka jaiza lene ke baad dekhti hai ke ayya ke mulzam per case chalane ke liye kafi saboot or shahadtain majood hain tu wo mulzam ko court main talab kar leti hai or  fard e juram aaid kar deti hai
Fard juram mulzam ko parh kar sunaia jaata hai or us zuban main jiss main us ko aasaani se samjh aa jai
ke app per flan flan ilzam hai ki app kabool karte hu agar mulzam kabool kar le tu us ko foran saza suna di jati hai . aisa aksar jua gambling ke cases main hota hia or patang bazi or dosre chote cases main jahan mulzam samjhta hai ke agar wo juram qabool kar leta hai tu us ko thora sa fine hi hoga or us ki case se jaan choot jai gi
Magar jin cases main saza or jail hona hoti hai un cases main koi bhi mulzam kasoorwar hone ke bawajood bhi kabool nahi karta or case ka baqida aghaz ho jata hai .
sab se pehle istghasa (prosicution) apne  witness court main pesh karta hai or ilzam saabat karne ki koshish ki jaati hai
mulzam ka wakeel istaghasa ke gawahan per jirah karne ka haq rakhta hai jiss se gwahan ki gawahi  ka pata chalta hai
Istaghasa ki shahdtain pori hu jane ke baad mulzam apni safai pesh karne ke liye apne gawh court main pesh karta hai or un per istaghasa ka wakil jirah karta hai
or akhir main final behas hoti hai
court tamam shahdain poori hone ke baad dekhti hai ke ayya juram saabat hota hai ya ke nahi agar saabat hota hai tu saza warna mulzam bari hu jata hai
yeh tamam  procedure uper banye gai map se wazia hu jata hai


Kinds of FIR

There are three types Fir

  1. A-class FiR
Yeh Fir sachi hoti hai iss class main shamil FIr main kam peshrafat hoti hai kionke mulzam namaloom hote hain or mulzmaan ka surag nahi milta
PLD-2013-sindh-423

  1. B-class FiR
Yeh Fir jhooti hoti hai or badniti per mubni hoti hai. iss class main shamil FIr main kam peshrafat hoti hai.or agar sabat hu jai ke FIR ke mudai ke khalaf 182 ki karwai amal main laai ja sakti hai.
PLD-2013-sindh-423

  1. C-class FiR
Yeh Fir jhoot ha ya sachi sabat karna mushkal hota hai or iss class main evidence ki kami hoti or iss class ki FIr main mulzam ko iss liye bari kar dia jata hai ke mulzam ke khalaf saboot nakafi hote hain.
PLD-2013-sindh-423

For more information Call or  Whatsapp karain  +
0324-4010279

        

                         
Map of court procedure in criminal cases


Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your cooperation, plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks





























 

























Comments

  1. Replies
    1. Rishwat wale pr investigation kaise krwe k is ny mulzm party se bi rishwat lay kr chor dia aur fir drj krwane k hm se 50000 lia h

      Delete
    2. Rishwat lene wale ke khalaf karwai hu sakti hai through anti corruption . anti corruption main tamam prove k sath application dain. iss ke ilawa aap un k hakam bala ko bhi application de sakte hain.in ko pakrane k liye anti corruption main application rishwat dene se pehle bhi de sakte hain or anti corruption wale magistrate ki qiadat main team tashkil dain ge or moqa per range hatho mulzam ko girftar bhi kar sakte hain

      Delete
    3. Hamara ghar 12badar block Allama Iqbal town ma choir hue chor sb saman 25 lakh ka la kr Chaka gia chor park Ali ha mager police na usa jail bahaha dia ha kabari ka name be batai han is ka bawjood saman buramad nahi kra Saki

      Delete
  2. Sir,
    mary ghr per 20 august ko myra sala gate phlang k ghr mn dakhil hoa or mari bation or bivi ko mara or carosen oil dal ke aag lgany ki koshish ki. mary ghr man tor-phorr ki or 1-1/2 lakh ka nuqsan kr dia or apni bhen ko zabardasti ly gia.
    man ny police station written itla di mgr police ny kuch nhi kia phir mn ny case kr dia. modran court ny pehly shahadatan lin phir opponent ko summon kiy mgr 3 sumn k bad b wo paish nhi hoy. 20 december ko un ki paishi hy Sir, agr wo is paishi py bhi nhi aaty to mjhy kia krna chahiy

    shukria
    Mehboob Ali
    03335544399

    ReplyDelete
    Replies
    1. jab mara tha us waqat aap ko 15 per call karni chahiye thi or agar koi zakhmi hoa tha tu us ka MLc karwana tha . aap ne shaid koi family case kia hai ju na aane per yaktarfa hu jai ga

      Delete
    2. Good sir kafi helpful hai

      Delete
    3. Sir agar kisi mulzim ki adalat mein peshi hai aur woh hazir na ho adalat mein kisi majboori ya bemari ki wajah se tou phir Kya hoga?

      Delete
    4. mulzam agar peshi par hazar nahi hote tu inn ko chahye ke hazri maafi ki application dain. us date pr nahi tu agli date pr de dain. ghair hazri pr court warrant jari kar sakti hai or aik se ziada ghair hazri pr zamanat cancel kar de gi

      Delete
    5. Salam hazri maafi ki application ke baad kya hoga? Means judge kya karenge ?plz Reply

      Delete
    6. Maaf kar dain ge hazri agar banti hoi na banti hoi tu reject

      Delete
    7. Acha humne application de hai and wanted ko wo 3 se 4 months baad ki date den is this possible? Q ke judge ne dobara 10 days bad ki hi date de de

      Delete
    8. Hazri maafi m hearing date kuch months ke gap ki mil sakti hai ya 15 days gap ki hi milegi kindly reply

      Delete
    9. jinab illegal tareeke hum nahi batate. jab aap pehle ghair hazar hain or aab aap mazeed mahino ki date.

      Delete
    10. Assalamo alaikum sir ap say myra swaal ya ha k agr koi 18 year say kam umar larka ya larki pr kisi k qatal ka ilzaam lag jaay or sabit b ho jaay k qatal isi nay kiya ha to is sorat may kiya usay saza hogi agr

      Delete
    11. Saza hogi to us ki saza kiya ha kindly reply plz

      Delete
    12. wa salam G bhai agar chota bacha juram karta hai tu us ko qanoon juvenile act 2018 deal karta hai or juvenile court ju ke bacho ke case sunti hai us main us ka case chalya jata hai.saza milti hai agar case qatal jesa sangeen hu.baqi aap yeh act khud parh saktain hain.

      Delete
  3. Aslamo alikum sir last week hamari aur 2 /3 logon ki ghar ki dewaron par sipha sahaba ka naam likh gya aur hamko maloom ni kis ne likha aur police ne ham par fir darj krwai jail mein rakha phir zamant hoi abi date parni mager ham sab be qasoor halfiy Biyan deny ko tiyar hi. Aur mein spain hota hn mujy wapis b jana hi ider pata ni kitna time lagta

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam g bhai aap se call pr baat hu gai thi.

      Delete
    2. Assalamoalikum bhai
      Bhai fir se pehle jo application police station ja ker di jati hai uska procedure bata dein k wo kaise di jati hai aor kidhar se likhwai jati hai aor uski computerization kaise hoti hai
      Please iska procedure bata dein
      Aor amanaat main khayant wala case hai to konsi dafa application per likhi naye gi bataiye ga bhai .
      Thanks
      Shoaib aslam
      Gujranwala pakistan

      Delete
    3. Please sir fir (parchay) se pehle jo report ya application di jati hai iska pdocedure bata dein.
      Thanks

      Delete
    4. AOA bhai iss post main video bhi hai or article bhi sara tareeka bataya gia hai application ka

      https://legalhelp1.blogspot.com/2019/01/thana-police-statiion-main-application.html

      Delete
  4. Salam sir mere bhai aur us k dost ko police ne arest kerke un per 30bore pistal aur chori ki bike daldi ha kal peshi hai friday ko un dono ko. J. C. Kerdi thi kal monday ko judge k sam ne zamanat k liye jana h un ki zamanat hosake gi kal ya nhi aur kia byan dena chahiyye

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam bhai pehle din zamanat nahi hoti. han agar banti hu tu kuch peshion ke baad hu jati hai

      Delete
    2. aoa sir ap sy cl p bt ho skhthi hai lya

      Delete
    3. yes ask or call or whatsapp 03244010279

      Delete
    4. Sir mjhy itna bta dy ke me online kam krta ho 1 month pehly 1 larki NY mesnger PR kam btaya or me kia half kam hua agy us ka issue a gya to us NY advance mjhy fee di the 10 thousand ..wo kehte fee wapas kro me kaha me apna kam kia hy ...to ab wo different logo sy call krate dhamki dete mera address nikal lia kehte hy police bheejo ge case kro ge gang hy tumhara ye wo .....kia sir eaa case bn sakta hy ???? Mjhy darna chahey ?? Police case bnta ???

      Delete
  5. Husband ka kisi or larki sy reshta ho to iski kitni saza hoti h or serf larky ko hoti h ya larki ko bhi plzzz tell me

    ReplyDelete
    Replies
    1. kisi bhi larke or larki k talqat ko sabat nahi kar sakte.iss per na kabhi saza hoi hai. or na hu sakti hai. iss pr wife ko faisla karna hota hai k sath rehna hai ya divorce leni hai.

      Delete
  6. Sir hamare area me police Constable moter bike pe najaiz aam sheriyo ko tang karti ha un ki talashi leti ha raha chalet aam shehri bohat pareshan ha WO dara dhamka k pese wasol kartey han in police wallo k khelaf kiya karwai kare

    ReplyDelete
  7. Sir mera aik masla bna hwa ha m 2018 m aik gari GLI bank sy lease krwai thi but m Wo sale krdi jisko sale ki us ny gari ka tracker utar k gari ghyb krdi or Ab wo instalment ni jama krwa ra or bank waly mere pechy pry hain plz mujy koi solution btayn m bohat preshan hn.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa G bhai hm ne garion k bht sare cases hal kiye hain Gari main kam az kam 3 tracker lagte hain or us main sale kis tarah se karna hota hai us ka bhi special tareeka hai.aap call or whatsapp 03244010279

      Delete
    2. Assalam o wAlaikum,sir hum ne 1 plot khareeda that apne Bhai see agreement he aur paper bhi,Bhai ne wo plot let k chor Diya that,to kiss ne kabza Karli that,phr hum ne makan Khali dekha to hum shift ho Gaye,jaise shift ho opposite party ne fir katwadi,ap court me pichly 1 saal see paish ho rahy Meri wife k khilaf bhi fir he,ab muddaiee kabhi aata he kabhi nahi hum ne saboot waghera bhi paish kardiye.

      Delete
    3. Wa salam agar mudai nahi aa raha or aap sache hain tu 249 A ki application de kar bari hu jain. or bari hone ke baad damages claim karain.

      Delete
    4. Sir Taya meri phopo wagaira mery Abu ki kharidi hoi property main apna hissa Lena ka mutalba kar rahy hn or application bhi di hai hum Kya Karin sir humary pass sary property document hn

      Delete
    5. Agat olad main sirf batian hun or nareena olad na hu tu chacha or taya wagaira ka hissa banta hai.

      Delete
    6. Salam sir hamra ek masla tha Len den ka rishty daro se un logo ne thany se rity kar waty rahy pessy dy kar os ky bd Waha se Kam nhi bana pher wo ek drkhas ly kar sp sb ky pas gy Hy ham Waha pesh ho gy thy Waha pesh ho ne se phely un ki sb chezy wapsi kar wa di thi pher sp sb ky pas wo gy sulha bhe ho gai hy sb Kuch ho gy ab police waly asy ghr a jaty hy tang kr ne Banda do fala ye Hy wo hy thany ao sham k ham bhot zalel ho pary hy or asy koi fir nhi ghr a kar ret kar dy dyty hy pessy lety hy ab ka koi ha tu bato plzz

      Delete
    7. aap agar punjab se hain tu 1787 per complain karain. ya citizen portal ka app download karain or waha per shakayat karain. mutalqa SP ya ASP ke pass aap ki darkhast chali jai gi or wo aap ko or police walo ko bula kar sunain ge or
      un ke khalaf karwai hu gi .inshallah masla hal hu jai ga.

      Delete
  8. Sir mere Bhai per mobile chori ka jhuta ilzam lgaya gya Aur fir karadi to Aise me hum Kya karenge

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa

      G agar FIr hu gai hai tu foran abori zamanat karwain take girftari se bach sakain.

      Delete
  9. Aoa
    G agar FIr hu gai hai tu foran abori zamanat karwain take girftari se bach sakain.

    ReplyDelete
  10. Salam sir, mera aik dost hai uska apne rishtydaro sey jaidaad ka masla hai, opposite party mein aik police wala (sipahi) hai jiska is mamly sey koi taluq nhi hai sirf un logon sey dosti ki bina per mere dost or us k walis sahab ko harass kr raha hai, kbhi police mobile la k unko pitwa raha hai kbhi ghr sey utha k le jata hai sirf is bina pe k wo SP k sath hota h, kindly guide kren k kya karwai hosakti hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam. Jaidad ke tanaza pr case civil court main chalta hai jiss ka police ke sath koi link nahi. agar police ka koi ahalkar tang kar raha hai ju bhi mamla hai wo aap citizen portal per de sakte hain agar chote city main hain DPO ko application de sakte hain Lahore main hain tu CCPO ko application de sakte. ya phir 8787 pr call kar ke seedha IG punjab ko complaint kar sakte hain

      Delete
  11. Meray aik teacher pe kisi larki ny jhoota harrasment ka ilzam laga k apni Jan pechan se by force jhooti FIR Kara di ha ....
    Bail tu ho gae ha unki tu abh agay Kiya procedure adopt karna chahye sbko pata ha woh begunnah Hein ....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ok agar wo beguna hain tu koi gwah nahi aaye ga un ke khalaf ya gwah jhoote aain ge tu wo bari hu jain ge.for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  12. Sr agr Koi Banda lawyer krny ki himat nhi rakhta to Kya Court us ko free laywr farahm krti hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. nahi sirf us soorat main milta hai agar aap harasat main hain or aap ke pass koi lawyer nahi

      Delete
  13. Agar police mili bahgat and rishwat lay k mulziman ko investigation stage p beygunah kir day to mudai ko kia kit a chart.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap ko tafteesh change karne ke liye board ko application dena hu gi.Lahore main yeh kam qila gujjar singh main SSp ko application dete hain baqi aap apne zila se maloom kar ke mutalqa afsar ko tafteesh change karne ki darkhawast dain.

      Delete
    2. Helo sir please meri help kry... Hmry ratives m aik bndy ny qarz lia business k lye... Usy bht bara loss ho gya ohir qarz leny waly stany lgy to us ny gurnti k Tor py sb ko cheaque dy dye... Kun k usy ni pta tha k aisa krna jurm h... Ab sb. Ny un py case kr dye hn fir krwa di h... Kuch ny cheaque ko galt fillup kr k bht bari amount bhr k us bndy ko buri trha phsa dia h... Sb khty hn jail ho jay gi 2'3 Sal ki. Kindly ap ko hal btay please apki bht mhrbani hogi.

      Delete
    3. assalamoalakum sir maray plot pr kubza group nay mera tala tor kr apna laga deya hay police humare mdad nahe kr rahee pls mery medadkaray

      Delete
    4. Ap ko jab pata chala tha usi waqat taala tor kar andar ghus jana chahie tha. mukan ka qabza wapis lene ke liye special qanoon hai us ka section 9 hai. speedy wapis lene k liye iss ke ilawa 8787 per call kar ke apni shikayat IG sab ko record karwain or aap ki application aa jai gi ASP ke pass or iss ke ilawa citizen portal pr bhi aap complain kar sakte hain

      Delete
  14. Awsome Allah apko ajir dain ameen

    ReplyDelete
  15. Sir mery bhai ko us k behnoi ny kuch paisy account main bhejy thy.
    mery bhai ny woh paisy hmari behn ko wapas kr diye by hand.jb behnoi wapas aye dubai sy tu unhon ny apni wife sy paisy ly liye.
    kuch month bad un husband wife ki larai ho gai aur wife ny us per haq mehr aur kharchay ka dawa kr dia.
    ab behnoi ny mery bhai k khilaf applications dena start kr di un transactions ki base per.
    woh applications reject hui tu ab writ file kr di hai court main.
    mery bhai ko kya krna chahiye kya court FIR ka hukm dy gi?aur agr FIR ka hukm dy tu kya krna chahiye takay woh arrest na ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aise cases main jaldi FIR ka amkan nahi hota. FIR sirf us soorat main hu gi agar wo police ko koi bhari rishwat waghira de ga. dosri baat aap ne poochi hai ke griftari se bachne ke liye tu us ke liye aap ko FIR ke foran baad abori zamanat karwana hu gi

      Delete
    2. Mai nay kisi ko qarz raqam dia badlay may usnay mutchay cheque dia jo return ho gia jb bhi wapis kernay ka bolta hun nahi ker raha

      Delete
  16. Sir zamant k bd police station sa apna mobile or wallet Kaisa Lu ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. simply un se mangain agar wo nahi dete tu mutalqa SP ko application dain.

      Delete
  17. Sir mare bike chori hoi faislabad sy fir ho gai h citizens portal k zria sy ab next process kia ho ga?

    ReplyDelete
  18. Sir meray bhai ko gair qanoni tor pr arrest kiya gya bina qasoor or 8 din qaid rakhne or marny k baad 9th day fir ki gai what is a procedure now we will do bina qasoor k or dhamki daitay agr koch kaha to or barha parcha kr dein ge

    ReplyDelete
    Replies
    1. itna time band rakha or aap nahi bole or koi karwai nahi ki asal wajah aap khud hain. 9 din bara time hota hai or abb konse zila se hain aab tu parcha hu gia abb us ki bail karwin or case ko pursue karain.aap ko same day karwai karni chahiye thi.

      Delete
  19. Mari bhai pr peshawer mai fir darj hai k is ny bandook sy hamary bndo ko zakhmi kiya hy ab us fir pr mary bhai ko karachi mai arrest kr diya hy ab jb adalat gayai tu peshawer k investigation officer ny bataya hy k is ko amanat k tor pr rakho mai document poray kr k is ko peshawer transfer kr saib gy to ab wo bnda idar ni a ra aur adalat kehta hy k is ko amanat k tor pr rakha hy Zamanat k tariqa kar kya hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. app ki baat samjh nahi aa rahi. us ne griftari dali hai? kia aap ka bhai ju griftar hoa hai wo namzad FIR hai? kia us ko girftar karne ke baad kisi court karachi ya peshawar main peshs kia hai ?

      Delete
    2. G ha wo fir mai namzad tha aur ab wo karachi malir jail ma hai, aur city court mai pash kiya pr waya sy zamanat reject ho gaye, ab bolty hy k hab peshawer sy investigation officer ny ayaingy tmb tk yai mulzim hamary amanat hy, aur peshawer walay log nu a ry, bs humy sirf pasa diya, ab hm kya kary highcourt sy zamanat ho jai gi

      Delete
    3. Hm peshawer mai koi karwai kr sakty hy tha k court sy humay koi order mil jai

      Delete
    4. call pr baat karain detail main janen ke liye or whatsapp pr documents bhi share karain

      Delete
    5. 03244010279 is my number for calling and whatsapp

      Delete
    6. Sallam sir, ab peshawer mai court sy mery bhai ka zamanat hogiya ,aur wo documents b. through TCS landy jail karachi bej, ab jail superintendent kehta hy k hm dobara is home department bejiengy aur waha sy yai documents verified ho k dobara hamary pas ayiengy tb hm is chorraingy,,to yai kia process hy, koye dusra tarika hy jis yai process jaldi ho saky

      Delete
    7. kionke yeh robkar court ka mulazam le kar jail main jata or banda raha hu jata hai ab peshawar se court ka mulazam tu robkar le kar karachi nahi ja sakta. so yeh cheez kese confirm hu gi aap ne court se karwai hai. so verification wo karwain ge aap sath lag kar zara jaldi kam karwa lain kharcha waghaira pay kar ke mulazmeen ko.

      Delete
  20. Sir agr koi kisi k ghr j k ladies ko damkhi dy mard ghr ma na ho to asy ma un py kona case draj ho ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. Lady ko foran 15 per call karni chahye or us ke baad police station main application deni chahye. dhamki ka section or ghar main ghusne ka section lage ga

      Delete
  21. Assalam-o-Alaikum!
    Sir 2018 m Sahiwal m hostel rehty huy (arzi qyaam gaah) ki FiR mjh py or mery kuch dosto py hui thi or student life m hi hmy 2din jail rehna pra or kisi dost k kuch jaan pehchan waly thy jinho ny hmari bail krwa di thi.
    Sir, us sy pehly koi aisa case e ni tha jis ki waja sy pata hota k bad koi challan wgera hota hai or court ana prta hai.
    Q k m Sheikhupura m private teaching krta hu or wo 2018 wala case abhi b mery record m show hota hai jis waja sy m bht preshan hu.
    To ab kya krna chahiay ?
    Koi fine wgera wala mamla hoga?
    Is ki saza kitni hogi?
    Kya solution hai please guide me???

    ReplyDelete
  22. Sir m bail krwany walo m sy kisi k sath rabty m ni hu just thany ka name yaad jaha FiR hui thi
    To ab kya krna chahiay???

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      G hu jai ga masla hal, us main record nikalwa kar check karna pare ga.aap ishtahari hun ge us main aap ka status PO khatam karwa kar case lar kar khatam karna pare ga for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  23. Sir 2017 men hamara jhagra hua or hum ne unn pe FIR kerwai or unnhon ne bhe hum pe baad men FIR kerwa de, uss k baad pehli peshi se pehle hamari sulah ho gae or hum 2no freeqen ne sulah nama court men jama kerwa dia.
    Ab men ne study complete ker li ha or study visa k liye apply kerna ha, iss k liye charater certificate banwana ha, to kia uss FIR ko mery character certificate pe mention kia jaye ga ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. banwa kar dainkhain certificate aap ko saza tu hui nahi agar issue aata hai tu phir iss ka hal karna pare ga. bari hone ke order ki copy lekar jama karwani hu gi

      Delete
  24. Aoa sir .sir agr koi bunda govt ki jga par kabza kr rha ho or Dara dhamka k subko chup krwaya ho or just mehkmay ki jga ho wo b koi action na leta ho or jis mulazim k pas wo jga ha or wo b us curuot admi k khilaf kuch na kr skta hi to us admi ka Kya hal ha plz sir Anser me

    ReplyDelete
    Replies
    1. WA salam bhai jiss mehkme ki jaga hai or ju mutalqa officer hai wohi action le sakta hai or un ke khalaf karwai karwa sakta hai. magar aisa dekhne main aya hai ke aksar mehkme wale karwai nahi karte kionke un ke pass raqam nahi hoti mehkme ki tarf se or un ko tention lene ki zarrorat nahi hoti kionke wo us ko govt property samjhte hain.

      Delete
  25. Sir hum apni complain kesy Kar skty hain?? Citizen portal app to download Kar le hay Lin application kesy Karain???

    ReplyDelete
    Replies
    1. simple tareeka hai agar aap ko samjh nahi aa rahi tu youtube per video dekh lain related iss ke

      Delete
  26. Sir meet social media pa fake account hain KO I usy 1 sall sy challa raha hay meny FIA GRw ma complain me the 27 Jan 2021 KO LA kin unka KOi acha respons nhi hay kindly Keri help Karin ta k wo account band kiye ja skain..... Kindly catochoxdry@gmail.com pa rabta Karin plzzzz..... I need your help

    ReplyDelete
    Replies
    1. G agar aap ki application per karwai nahi hoi tu app 22A or 22b ke tehat session court main FIR karwane ke liye writ kar sakte hain.

      Delete
  27. Sir please help me🙏🙏

    ReplyDelete
  28. Sir meri bike ak dost le gya tha or usne wardat ki dakaiti ki waha jisko loot raha tha usne unko pakarne ki koshish ki or woh bhaag gae meri bike chor k ab bike thane me agai hai gari mere name par nhi hai kisi or k name par hai jis k name par gari hai usne kaha k mene isko di thi to mjhy cal ai thane se me thane gya to mene unhy bataya k mera dost le kar gya tha bike ab woh keh rhy hain k agr tm ne 2 din me use nhi pakarvaya to tmhy uthaenge hum to sir me kia karn woh banda bhi mjhy nhi mil rha ab me police ko kia bolo apni jan kaise churao

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap k sath phone per bat hu gai thi thk hai. agar fir hu jai tu sab se pehle prearrest abori zamanat karwate hain or agar na hoi hu fir tu phir harrassment ke order lete hain.barhal ap se tafseeli bat hu gai thi

      Delete
  29. Bhai main ek bhot bary madly mn phans gia hn,meri wife ny nikha namy main changing kr k family court mn case kia wo b one sided howa,but mery haq mn howa .wo phr applicant court main gyboy tempering kr k mery against ghr degree karya main city mn jb k mera just plot likha tha.wo one sided tha.main ny mansokhi ki speak ki wo b judge ny kharig kr ,ab main kia krn.plz guide me

    ReplyDelete
    Replies
    1. agar us ne tempering ki hai nikah nama main tu aap original nakah name ki copy nikalwa sakte hain. or aap ke pass nikah nama ju tha wo kaha hai. char papers hote hain nika nama ke chaar papers tempring kese hu gai. call me or whatsapp 0032449

      Delete
  30. Mery bahnoi ne mj se 1lakh 60 hzr lia kam k li or jo k ab dy nai raha sal ho gya h me is pr kesy case kro kya police fori koi action ly gi ya wo b sqlo lagay gi or fee b ly gi kyq mjy ap bta skty h

    ReplyDelete
    Replies
    1. raqam recover karwana aasan kam nai hai.aap police case tab banwa sakte hain jab aap ke pass koi check hu ya uner section 406 amanat main khianat ka parcha karwaia ja sakta hai. ju ke karwana aasan nahi aap dawa recovery ka kar sakte hain jiss per time lage ga . yehi remedies aap ke pass mojod hain

      Delete
  31. Agr muhrem ho chori k kase ma police la jaye or Madi Palti passye magye tu Kia krna chye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ap se phone or BAAT hu Gai thi phir bhi logo ki rahnamai k Liye agar police Le jaye kisi BHI case main tu sab see pehle pata lagain k aap k khalaf koi parcha HOA hai k nahi.agar parcha hai TU bail karwain or agar illegal custody hai TU phir habeas 491 crpc k tehat thane main bailif dalwa kar bhi Banda baramad karwa sakte Hain.pese Dena na Dena AAP ki headache hai. Ap sula kar sakte hain mudai k Sath or na BHI kar sakte hain

      Delete
  32. Aoa sir Mara ak larki ka sath relation. Tha or Wo us Ki shadi ho GE or shadi ka bad be humara bat cheet hote the me jab b us Ko kahta ka ab mujhy tum say bat nahi karni Tu Wo apny AP Ko nuksan pohchny Ki kodhish karte ka m asa kar Lon GE wasa Tu me Dar jata or us Ko kahta ok hum bat karty rahy gya asy kafi time guzar gya then me us Ko kaha ab bus or nahi tumhri AK bachi hay then us nah kaha mujy milo me AK bar milna me park me milny gya us nay zabardashte Mara phone liya or lay ka ghr chlo GE or Mari kuch private. Picture. Mari family Koor jitnya be contact thy un Ko Ki then Mary upr fir kar de ka me us Ki picture. Dakhta or blackmail. Karta ...plz guide me

    ReplyDelete
    Replies
    1. aap phone ka cdr nikalwain. location se trace hu jai ga.aap apna bian likhwain ke kab phone cheena or kab wapis mila ok.for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  33. Asslam o alikum sir. Mery bhai pr jhuti FIR hy. Aburi zmanat pr hy. 4 mah sy peshi ho rhi hy. FIR krwany waly ko gawah pesh krny ka bola gya hy. Ab agr wo jhuty gawah pesh kr dy to hmaen kiya krna chaheaye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa salam .Abori zamanat ka ground bht mahdood hote hain or aap ko sabat karna hota hai ke mujh ko sazaish ke tehat phansaia gia hai or meri police se ya mudai se koi or ranjish hai. agar court aap ki bail kharaj karti hai tu aap high court main apply kar sakte hain. magar griftari se bachna sharat hai

      Delete
    2. Thak u sir۔ jb bail kharaj ho joy phir griftari foran ho jati hy ya pehly police ko koi oder jata hy tb ho gi.
      Mtlb koi time space hota hy k banda bhag joy gariftari sy bachny k leay.

      Delete
    3. Aor sir unho ny fir me kaha en logo ny hmara rasta roka hmaen dandy maary.
      1.Chu k wo heavy party hy rishwat dy kr mery bhai ko mujrim sabit agrkr lety haen to eski maximum kiya saza ho skti hy?
      2.aor agr bhai bri ho joy phir jhooti fir krwany waly ki kiya saza ho gi.
      3.phir kiya ham us jhuty py ulta case kr skty haen? procedure b plz btaeye

      Delete
    4. Aoa bail dismiss hone ke foran baad griftar kar lete hain. baz oqat court main hi griftar kar lia jata hai. jhoti Fir ke khalaf harjana ka case kar sakte hain bari hone ke baad. or 182 crpc ke tehat karwai hu gi. wo karwai police karti hai.

      Delete
  34. Greetings walekum sir sir i am talking Our boy has a police station in it His SHO and DSP one face Both are fully supporting a man Against the person whom he is supporting, I gave a complaint to the SHO in the return and to the DSP after getting it done by the SP, but in such a way that the quota is not satisfied. After that the SHO and DSP insulted my father by calling the police station and climbed into our village, whose video is also available with me, for this I want legal help from you, tell me so that I can take legal action against him in that way.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Police ke khalaf karwai ke liye 1787 per call karain ya online complaint darj karwain. yeh call IG punjab ko jai gi or wo dono party ko sun kar faisla karain ge
      iss ke ilawa aap subai muhtasib , citizen portal,or anticorruption main bhi application police ke khalaf de sakte hain.

      Delete
  35. Greetings walekum sir Five brothers on alcohol f.i.r. Out of which one of our brothers has been arrested by the police. Whose police did not even present the challan even after passing 24 hours, nor did we show the copy of the FIR, what can we do for him in the court?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Police ke khalaf karwai ke liye 1787 per call karain ya online complaint darj karwain. yeh call IG punjab ko jai gi or wo dono party ko sun kar faisla karain ge
      iss ke ilawa aap subai muhtasib , citizen portal,or anticorruption main bhi application police ke khalaf de sakte hain.iss ke ilawa habeas file kar sakte hain session court as well as high court main bhi

      Delete
  36. السلام علیکم سر سر میں نے ایک کمنٹ ابھی کیا تھا انگلش میں جس کے لیے میں معذرت چاہتا ہوں کہ میں نے اردو میں کیا تھا ٹرانسلیٹ انگلش میں ہو گیا ہے لہذا درخواست ہے کہ ہمیں اس کے طریقے کار اور یہ دونوں جو ہے نہ مجھے بتائیں اردو میں بتائیں تاکہ میں سمجھ سکوں شکریہ سر مہربانی سر آپ کس ٹائم تک طویل ہوتے ہیں موبائل پر

    ReplyDelete
  37. Sir hun nahi job Kerry ha Karachi waha say 2bundy thay Jano kastmar ke jab say mob Nikla ta or hum nay 15ker de the ap hum Multan ma ha or ASI ka phone Aya ha K fir Kate the ap ko mudai bn K ana Pery Ga plz plz Jawab lazme Dena sir is bat ko 4say mnt ho Jay ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa aap mudai hian nahi ja sakte tu na jao. mulzim ka jana lazmi hota hai. baqi aap ka swal sai samjh bhi nahi aa raha

      Delete
  38. Sir 1 larki NY online kam kraya mjh sy form fill online krana tha or bhi us ny 10 thousand diya PR kam half hua me apna kia agy us ky I'd card ka issue bn gya to ab wo kehte 10 hazar do me kaha wo mere fee the ...to ab wo dhamki dete 1 month ho gya calls krte kehte gang hy ap logo ka case krao ge police ae ge ye wo ...plz sir itna bta dy kia esa Case bn sakta ??? Mjhy darna chahey ??? Police esa case jis me koi solid proof na ho police hath dalte ??? Bs transaction hy 10 hazar ki ...BTa dy kindly

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa agar kisi kam ke liye aap ko pese pay kiye the or wo kam nahi hu pa raha ya koi bhi issue ban gia hai tu aap ka ikhlaqi faraz banta hai k us ki payment sari nahi kar sakte tu aadhi kar dain or us ko payyar se samjha bhi dain. zaroori nahi ke hum har kam main wait karian k agla banda karwai kare.

      Delete
  39. Asalam o Alikum sir mein ny yeh pochna tha. Keh ek mulzim ki zamanat kerwai gai hai. Takreeban 8 din pehlay own per case 376 ii ka hai. Lakin mudai ny pehli hi peshi per bayan muzimaan ky haq mein dy diya hai. Keh yeh dono banday merey mulzim nhi. Isi bunyaad per judge shb ny zamanat di. Aab masla yeh hai keh 1 mulzim wapis Australia bhaag giya hai zamanat hotay hi. Or os sy koi rabta bhi nhi ho raha. Aab kiya ho ga. 5 march ko peshi hai. Kiya zamanati ko jurmana ho ga ya zamanati ko jail custody ker diya jaye gaa. Rehnumai farma dein. Plz

    ReplyDelete
  40. Sir kal sham ko mere bhai or colony k 15 20 bachon ko police le gai hai patang bazi k ilzam main kafi logon ko to ghr se utha k le gay bgair wja k or FIR b kaat di hai SHO bht batmeezi kr rha hai or 1 bachy ki to kafi pitai b lga di k is ne hm se batmeezi ki hai jb k usne kuch b nai kha tha or kal kafi ghnton or minatton k bad ja k shaksi zamanat di thi aaj wo b nai de rha or aaj or kal chutti ki wja se court b bnd tha suba se unko handcuffs main rkha hua hai khana b sham 6 bjy khany dia ab kya kren q k wo bnda kisi ki b sun nai rha or aaj to unko jail bhejne ka kah rha tha bht mushkil se thany main rukwaya hai ab kal b chutti hai parson pe baat chli jani hai court wali or sb bachon k ghr waly bht tension main hain plz koi solution btayen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa Kite flying aik jan lewa khel hai. iss se bacho ko door rehna chahye or waldain ko bhi bacho ko rokna chahye.zamanat iss ke aik du dino main hu jati hai. or sunday wale din bhi aik court urgen zamantain lene ke liye har zila main open hoti hai. aap ko kis ne kaha ke sunday ko zamant nahi hoti. police ke khalaf shakait aap 1787 per IGP ko kar sakte hain iss ke ilawa citizen portal ka app download kar ke bhi complaint kar sakte hain.for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete

  41. Helo sir please meri help kry... Hmry ratives m aik bndy ny qarz lia business k lye... Usy bht bara loss ho gya ohir qarz leny waly stany lgy to us ny gurnti k Tor py sb ko cheaque dy dye... Kun k usy ni pta tha k aisa krna jurm h... Ab sb. Ny un py case kr dye hn fir krwa di h... Kuch ny cheaque ko galt fillup kr k bht bari amount bhr k us bndy ko buri trha phsa dia h... Sb khty hn jail ho jay gi 2'3 Sal ki. Kindly ap ko hal btay please apki bht mhrbani hogi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa jinab check wo bhi blank bantna or logo ko dhoka dena or phir baad main kehna ke main phanas gia hun yeh achi baat nahi. agar koi banda qaraz lene walo se sachi baat kare or apne wada pe poora utre tu koi bhi parche ki taraf nahi jata log usi waqat hi parcha karwate hain jab bar bar ghalat biani hoti hai

      Delete
  42. Agr chori sabt hojati hai or Banda waps b kr de 3 lakh lekin unka ilzam sady 5 lakh ka ho to ase m court m Kya saza milegi Mulzim ko jurm m ak 2 lady or ak Banda hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar case ka trial abhi nahi hoa ya jjari ha tu mudai waha bian de kar case khatam karwa sakta magar bian istarah se dena ha ke acceptable hu kionke ye juram qabal e razi nama nahi hai

      Delete
  43. fard kia hota hy ju IO (Investigation Officer) Jama Karwata hy

    ReplyDelete
  44. Sir me aik museebat me hoon mj per aik lakh chori ka casee ha unhon ne fir krwadi ha iska koi hal ha sir

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sulah kar lain, pese wapis de kar. Ya zamanat karwani pare gi or case larna pare ga.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation