Cyber crime ke bare main high court or supreme court ke faisla jaat















Case Laws about Cyber Crime













Cyber crime ke jurime in dino bht aam hain humare muashre main abhi tak log nahi jante ke wo kitna bara juram kar rahe hain. Zair nazar High court or supreme court ke faisla jaat se aap crimes ki sangini ka andaza laga sakte hain.

  1. Mulzam per mudaia ke nam per us ki marzi ke bghair  Facebook account banane or us ki pics upload karne ka ilzam tha. IP address se Kisi bhi mulzam ko baasaani pakra ja sakta hai zamanat kharaj PLD 2017 Peshawar page 10
  2.  Yad rahe ke Kisi shakhas ki ijazat ke bghair iss ki tasweer ke sath iss ke profile banana Electronics transactions ke sections 36 or 37 ke tehat or new cyber crime act ke tehat naqabal zamanat juram hai
  3. Mudai ke name mulzam ne fake Facebook account banaya or phir us ko badnam karne ke liye fahash or ghaleez posts lagain High court ne mulzam ki zamanat kharaj karte hoe qarar dia "ke yeh aik sangeen juram hai mulzam zamanat ka haqdaar nahi 2018 YLR 329
  4. Mulzam per woman ki nude pic Facebook per upload karne ka ilzam tha high court ne zamanat kharaj karte hue qarar dia chahe juram mamnoa clause main nahi aata lakin juram ki sangini ke pesh nazar zamanat nahi di ja sakti 2019 PCRLJ 769
  5. Mulzam per Facebook ID hacked kar ke bghair ijazat zaati pics upload karne ka ilzam tha zamanat kharaj hoi 2016 PCRLJ 1916
  6. Electronics transactions 2002 Act ke sections 36 or 37 jaali decree or diploma jaat ki Online sale. Investigation ke duran mulzam se hone wali baramadi iss ko juram se connect karti hai mulzam zamanat ka haqdaar nahi ha 2016 PCRLJ 1371
  7. Facebook per mudaia ki nude pics upload karne ki dhamki de kar black mail karne ka ilzam tha mulzam iss banyad per zamanat ka haqdaar nahi ke juram mamnoa clause main nahi aata 2019 pcrlj 769
  8. Section 26 Wife ki taraf se husband ka mobile check karna koi juram na hai personal Data protection bill 2018 
  9. Woman ko harass kar ke qabal itraz pics banain  magar pics se woman ki shanakhat na hoti ha zamanat manzoor 2021 SCMR 1815
  10. Jab ilzam lagta ha tu FiA aik application Facebook ko Karti ha Facebook iss ke baad tamam data FIA ke hawale kar deti ha iss liye agar mulzam samjhta ha ke Facebook crime Kar key Bach jai ga yeh us ki kham khiali hai. 2020 pcrlj 579
  11. Social media Facebook per fake account kar nude pic's share kar ke Kisi ki shuhrat ko uchalna juram hai aisa juram 497 crpc ki mamnooa clause mai. Na bhi aata hu tu bhi mulzam zamanat ka haqdar nahi. 2018 pcrlj 1667
  12. Mana karne ke bawajood kisi ko bar bar message karna juram hai jiss ki saza 3 saal gaid ya 10 lakh rupees Fine ya dono sazain bhi hu saktien hain sec 24 PECA 2016
  13. Koi shakhas agar kisi woman ke kapre utarta hai or nude pic's bana kar internet per upload karta ha tu us ko umar qaid ki saza hu sakti ha sec 354A PPC
  14. Kisi shakhas ki video banana ya pics banana or iss ki ijazat ke baghair social media pa upload karna juram hai jiss ki saza 3 saal gaid ha sec 21 PECCA 2016 sub section d and i
  15. Mulzam per ilzam tha ke us ne through mobile social media pa bachu ke sath jinsi juraim ka material share kia fransic laboratory ki report bhi postive aai mulzam ka juram agarccha mamnooa clause mai na aata ha phir bhi zamanat nahi di ja sakti 2022 SCMR SC 216
  16. Qabal e itraz pics viral/share Kar dien social media per mulzam ka act khatoon Ke family ke liye sharmindgi ka basis tha or khatoon ki shadi khatre main thi zamanat kharaj.2022 SCMR 526
  17. Mulzam per Facebook account ke through   sarkari idaro ke khalaf nafrat angaiz mawad share karne ka ilzam tha jabke FIR ke Indraj main takheer thi or case bhi further investigation ka banta tha electronic juram ki rok tham ke act 2016 ke section 10 or 11 ke tehat zamanat manzoor hoi 2021 pcrlj 506



For re information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.






































































 






















Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation