FIR darj karwane ka tareeka. | how to launch FIR in Pakistan in Urdu |
Process of FIR |
yeh FiR kia hai .Fir mukhafif hai First information report ka .jise hum urdu ya punjabi main parcha kehte hain.
What to mention in FIR application
To launch a First Information Report (FIR) in Pakistan, visit the nearest police station and provide details of the incident to the duty officer. It's essential to provide accurate information, your identification, id card and any supporting evidence you may have. Remember to note down the FIR number for future reference. If you face any difficulties, consider seeking legal advice or assistance from our legal professionals.
First of all you will have to write application with details of offenses committed. Remember you need to mention compulsory.
- Your name and address
- Place of occurrence
- Time and date of occurrence
- People who are witnesses of occurrence, or people before the offense happened.
- Signature of applicant
- and phone numbers of criminals and applicants are important if you know their phone numbers.
- Write down your application as described in video below.
- Submit it computer section of Police station and get computer slip compulsory mentioned detail of dairy number and name of investigation officer and number,
- photo copy of your application before submission.
- Request to police for medical if any injury or rape etc, Police will prepare duct with details and your medical will be conducted in the supervision of police in nearest government hospital.
- If your application not converted in FIR, application to SP, attatch all supporting documents and copy of application submitted in Police station.
- File application under section 22A 22B in session court, if police not launch FIR.
detail main janene k liye videos daikhain
yeh Aik fir ki picture hai jo videos k ooper ap ki agahi ke liye hai ke parcha ya FIR kia hoti hia . main ne apni practice ke duran note kia hai ke humare bahion ko FIR ke bare main ptaa hi nahin hota .Fir humesha iss form per likhi jati hai or yeh FIR app ke application ki same copy hoti hai .yani jo application app thane main dete hain police ka faraz banta hai ke agar wo kabale dast andazi hai tu FIR darj ki jaye . Humare buhat se logon ko yeh bhi nahin pata hota keh thane main application dene ke liye kese or kis tarah likhi jati hai .
Dosto FIR dene ke liye application app urdu main SHO keh nam likhte hain .
jiss main first line app iss tarah se likhte hain .uper top per aik application start copy attatch ki hai .
" Bakihdmat Janab SHO saab Thana B division Kasur "
jiss k baad darkhawast bray indraj e muqdma barkhlaf mulzman 1 asghar wald sakna jese k oper copy darkhwast main wazia hai
iss ke bad app apna muda bian karte hain . or police ke pass thane main application Thana muharar ko ya computer section main di jati hai . or wo application ko register main darj ker ke us ka dairy number app ko de deta hai
Dairy number ya Slip of application
dosto yeh Slip lena zaroori hota hai kionke agar app yeh number na lain ge tu police wale Adalat main iss bat se ankari ho jate hain ke un ko koi application di hi nahi gai hai
thane main application dene se pehle iss ke aik copy apne pass rakhte hain jo ke app ke kam aye gi agar us per fir darj nahin hoti tu
Police walon ki hatulmakan koshish hoti hai ke mamle ko yahin le de ke rafa dafa kia jaye take
na un ko kam karna pare or dono parties ko aadalat se draa kar keh wahan per app ke sath buhat bura ho ga app yahin sulah kar lo . sulah karne se un ka faida yeh hota hai ke wo mulzam party se bhari rishwat le lete hain or thorri rishwat mudai se be le lete hain . or sulah karwa kar
apni jaibain garm kar lete hain . or mazloom thane ke nam se ghabrata hai
app ki fir agar police katti hai tu app un ko zubani na likhwain balke us application ki hu bahu copy fir main likhwain kion ke agar app zubani likhwain ge tu wo buhat sari app ki batain iss tareeke se likhain ge ke kal ko jab case adalat main jaye ga zamanat ke liye agar pori baat ko short cut main likha ho ga tu zamanat aram se ho jai gi .so agar ap apni pori bat Fir main likhwana chahte hain tu app us koWritten yani darkhwast ki surat main likh kar dain
koshish karain ke darkhwast kisi Lawyer se likhwa lain agar available na ho tu mashwara karne ke liye app mujhe call kar sakte hain 00923244010279 pr
hum app ko mufat mashwara dain ge or jahan tak ho saka app ki madad bhi karain ge
Fir ke Baad agar app kisi mulzam ko girftar karwate hain tu koshish karain ke griftar karte waqat griftari ke video buna lain . kionke yahn per roz ke waqiat hain ke police griftar karne ke baad griftari nahi dalti thane ke register per oor mulzam se bhari rishwat le kar us ko chor deti hai
or agar saail ehtajaj kare tu iss ko dra dhamka kar chup karwa dia jata hai
agar app ke pass girftari ki video hu gi tu app ke pass 2 remedies mojod hoti hain
1 app anticorruption main ja sakte hain . wo tu app beghair video ke bhi ja sakte hain magar agar video ya saboot app ke pass hun ge tu app ka case buhat mazboot hu jai ga
7- app lower court magistrate ke pass istaghasa dair kar sakte hain .
Qanooni mashwara jaat ke liye call karain
0324-4010279 whatsapp
Popular Posts
Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .and as we want to awareness about the law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights, so we need to advertise our blog which is not possible without your cooperation, plz tell about this blog and share our posts on social media. Thanks
Asalam u Alaikom,
ReplyDeletesir ap ka kya hal hy omied hy ap khariyat sy ho gy.sir ma ny apny mobail ki darkhast me ek ghalte kar de thi,jo chori ho gya hy.ma ny darkhast me chore ki jgah (gum) ka lafz astmal kar dya hy or darkhast computerised triky se kar de hy,gis ki raseed be neklwa le hy,ges ki wjah sy FIR chore ki nhi katy ge,ap please es ka koi hal bta de.
ma ap ka bohat (shokar gzar) hon ga,
ap ka bohat bohat shokriya.
{wasalam}
W salam, agar app ne application chori ki likhni thi magar gum ki likhi hai tu abb change nahi ho sakti,chalain ab koi baat nahi,gumshudgi ki bi fir hu jati hai. kia chor ko app jante hain tu police station main us ka nam batain, or agar fir nahi hu rahi tu app police ke aala officer ko ju operation ka hu application dain hu jai gi .
ReplyDeleteAsalam.o.aelikum sir Mera nam Rana Suleman Ahmad h sir maaliki Islam nami shkahs ny mujy dubai m Kam krny ki offer di jis k ewaz mny usko 85000 rupy dia Jo uska Bhai mare gar sy a kr liy KR gia phr us admi ny mujy visit visa bija or wahna bhulwa kr Raiz k hatun samgal kr dia 2month zabardasti Kam kria tashdut krty thy or jab mny sallary k bare m pucha Tu marany lagy mny chori Sy baag kr Dubai police station gia wahna call ki police ny Tu wahna ni pucha or mujy damkia di phr police ny Mera passport or ticket kra kr di or m pakPakis aya sir mere 85000 visa ka experience or 2month ki sallray ni Dy rhy sir m gareeb admi hn itny passy afford ni kr skta baremeharni mujy insaaf dain mere passy waps krain Jain or sir maaliki Islam ki koi company ni h achi sallary ka lalch Dy kr gareeb logun k bachun ko 2 9 hatun sy lout rha h or yahan sy admi bhulwa kr agy samgal krta h abi b usk pass 2 admi h Jo uski qaid m please help me .
ReplyDeleteW salam bhai aise log badnama dhaba hain humare mulalk ke liye . app un ke khalaf karwai karna chhte hain tu app ko FIA main application dena hu gi. https://legalhelp1.blogspot.com/search/label/FIA
ReplyDeleteBahar ke mulak bhejne k nam pr dhoka dene walon k khalaf karwai
FIA Main Application Dena Insani smugglers ke Khalaf
Dear Readers Fia main Application dena police station main application dene se buhat mukhtalf hota hia Ajj hum App ko Insani Smugglers ke khalaf Application dene ka tareeka batate hain
Q : Application kon de sakta hia
Ans : Appliction wo complainat de sakta hai jo beron Mulak jane ke naam per lota gia hu
Application dene ke liye kin Documents ki zaroorat hoti hai
Copy ID card
Affidavit Raqam ke bare main
Wo documents jin se saabat hota hu ke raqam di gai hai
Account main Transaction karwane ki soorat main saboot
Tumam Documents ki copies sath di jati hain or asal apne pass mahfooz rakhi jati hain magar application asal di jati hai magar iss ki copy apne pass rakhi jati hai gharz ke app ne jo bhi jama karwaia hai us ki copy app ke pass mojod honi chahiye
Do Gawah
Procedure
Tamam Documents le kar Fia main jate hian or wahan per moojod amla se pooch kar us mulazam ko application di jati hai Jo iss ko register karta hia
Us FIA mulazam se Application ka Dairi number le lete hain
Inquery
iss application ki 3 mah inquery hoti hai or iss ke baad FIR darj hoti hai. iss inquery ke duran app ko bazareea letter or app ke mulzman ko bhi bazreea letter bulaia jata hai . or app ki tarf se die gai gawahan ko bhi suna jata hai agar juram sabat hota ho to investigation Officer report buana kr FIR ke liye bhaij deta hai . jiss ke baad FIR darj kar li jati hai
Mazeed mufat qanooni mashwara jaat ke liye Call karain
0324-4010279
0345-4375944
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks
Sir jinsi tashadud ki bar waqt reporting ka kya tareeka hy
ReplyDeletejinsi tashadad hu ya koi or tashadad us ke liye same tareeke se aaplication likahain same time bghir waqat zaia kiye police station main us per dairy number lagwain. or police ki nigrani main medical karwain . or agar police medical nhi karwati tu phir yeh through magistrate hu ga. mazeed maloomat ke liye call karain
Delete0324-4010279 whatsapp available
15 per call karna fori bht zaroori hai
DeleteAOA..
ReplyDeleteIts a great plateform of awareness.you are doing great job Sir. May Allah give you long life.Sir mei ny zameen baichi thi.Byana mil gaya tha r baqaya raqm 22 lacs 3 months mei dhainy thy..Stamp papr ky mutabiq last dat tak paisy na dainy par agreemnt cancel r bayana sokht hona tha..intekal mery pas hai.8 months k baad os bandy ny check dai..mei ilm na hony par wo bounce na krska..pir kuch arsy baad os ny badly mei aik aor plot dainy ka jhansa dya..moamla nimtany k lai mei razi ho gya..aik aor bandy ky through wo mujh sy 4 lacs mazeed dhoky sy lygya..kuch arsy baad sari raqm ky os ny cheque dai...jo k mei bounce krchuka hon..ab legal notic kr chuka hon os ko...my question is mei kisi os ko apny 2 yrs aziat ka badla ly skta hon..nd kis tarah mei apni raqam tawan sameet recover krskta hon...
L b grateful 4 ur honest advice...
W salam . shukria ke aap ne kaam ki tareef ki . hum koshish karte hain ke logo ke kam aa sakain.kuch cheezain aap ne clear nahi kien ke qabza kis ke pass hai or agar un ke pass hai or intqal aap ke pass hai tu kia un ke pass reciving di hai aap ne tamam peso ki
Deleteaap ke pass do remedies mojod hain aap civil dawa kar sakte hain or 489f ka parcha bhi karwa sakte hain chechk ka.
Masha sha Allah both hi achi website he ap logo ki bhali ke liye kaam kar rahe hen Allah tala ap ko is agar zaror de ga main ne bohat si website search ki mujy proper jawab nhi mil likin is website ne to kamal kar dia
ReplyDeleteAsalam o aliqum sir mere bhi me court me civil suit file keya tha mere kilaf q k kuch logon wok galat guide krne ki waja se wirasat me se zeyada hissa chahta tha ub JB us ki sheari mamla samjh me Aya to wo case wapis Lena chahta ha magr us ka wakeel ne us se case file k name se 300000 ka chaq liya tha ub ager bhi case wapis Le Raha ha to wo us ko dhamki de Raha h k chaq bounce krwa k apko lockup krwa dunga plz is ka koi Hal batain
ReplyDeleteSir asslam o alikum.subah bakhair .sir Mera nam shamsuddin soomro hae.pochna chahta hoon.ek Banda aj thhane me girftar hotta hae .FIR katte he .cheque dishouner par.me dosra Banda Hoon .to mujhe bhe cheque dishouner mile to me apni FIR kese darg karasakta Hoon .any idea.
ReplyDeletehttps://legalhelp1.blogspot.com/2016/08/check-dishonored-hone-ki-soorat-main.html?showComment=1588634676654
Delete489F per aik post likhi hoi hai iss per click kr ke dekhain
Assalamualaikum respected sir kasy hain app???
ReplyDeleteW salam g shukar hai Allah ka
DeleteSir ye baten k call py gali dena or dhmki lgany py konsi dafa lgti hai or iska kia tarqakar hai or Jo bnada hai wo government mulazim hai
ReplyDeleteAgar aap ko phone pr gali deta hai tu us pe 25 D telegraph act lagta hai or dhankion pr 506 PPC mutaqa thane main application dain
DeleteSir mairi cheque book doran e safar kahi gir gai hai, is ka kia tareeqa kar ho ga
ReplyDeleteCheque book ya koi bhi dastavezat kahain gum hu jain ID card passport waghira tu foran thane main rapat darj karwate hain or us ko sanbhal kar rakhte hain taake agar us koi misuse kare tu aap ke pass raat mojod hu
DeleteDear Sir,
ReplyDelete1 Dishonored check ki FIR kitni mudat tak daraj ho sakti ha
faraz karen check k opar date 01-01-2019 thi wo dishonour 01-06-2019 ko hua to ham kitnay arsay k andar andar us ki FIR daraj krain ta k ghalt check dainay waly k khilaf Qanooni karwai ho saky??
bhai yeh foran hi dena hoti hai ju date aap bata rahe hain wo derh saal pehle ki hai. fojdari cases main jitni jaldi hu sake application dete hain
DeleteAssalam alaikum sir agar koi insan jis talak zabardasti krwaye jayen us k bad b wo larka larki phir se ak dosra k sath bag jayen aur larki k ghr wala larka k ghr walo ko damka zabardasti gawaye dalwa sakta ha ye nai plz is bars me kuch maswra de hum bohat pershan ha
Deletesir meray sath online fraud howa hai 18/21/2020 ko howa kia ab fir daraj ho sakti hai ?
ReplyDeleteOnline fraud ki application dain FIA ke cyber crime department waha per iss ki FIR darj hu gi
Deleteaik bande ne mujh se laptop manga 2 din kaliy ab wapis nai de rha. qanooni hasiyat se kaise lia jae
ReplyDeleteThane main application dain ke iss ne chori kar lia hai main ne nahi dia tha.
Deletemai ne apnay dost ko 5 years pehlay aik haftay k waday per paisay dia lekin ta hal wo paisay wapis nahi milay
ReplyDeletebahut israr per usnay apnay account ka cheque de dia lekin wo bhi clear nahi hua.
mai FIR k lia gia tha lekin nakam raha
aap se ghuzarish hai k aap meri madad karen ajkal berozgar bhi hun jub bhi ab to wo shaksh phone bhi nahi utha ta hai
Pese recover karwana sab se mushkal kam hai. aap ne 5 years pehle diye the tu pehle kio nahi liye aab aap ka parcha bhi nahi hona. or agar aap ki raqam aik bari raqam hai tu civll case karain. wo bhi shaid aab panch saal baad na hu.
DeleteBRAY MEHERBANI JAWAB IS E MAIL PER DEN faizalamsiddiqui00@gmail.com
ReplyDeleteShukria
+1 414-600-4147is number ny hm logon ko boht tang kea howa ha meray family members ke pics is k pass hain or ye din rat ham logon ko calls sms karta ha or galat galat batain bolta ha hamaray baray main plz is kay khilaf karwae zaroor karain Thank u������
ReplyDeleteAoa, bhai ma shopkeeper hun mery pass 4 saal sa ik mulazim tha us ki galt harkat ki waja sa us ko nikal dya.. Likn saal 2 ho gay han us na muj sa cash li jo abhi wo wapis nahi kr rha ha takreban 35000 amount ha.. Dosra banda crimnal mind ka ha us na plaza k malik ko 7 milya hua ha aj jub b pisey mangta hun wo plza ka malik b bech ma ajta ha kahir ha kuch nahi hota dy d ga saal pora nikal dya ha us na ab ma kisey is k khilaf fir karwaon kon c aise dafat lagaon k mera case mazboot ho q k police kitna cases ma dekha ha tarkhati ha bus kerti kuch nahi..appliction deny ka bad aisa na ho k ma pison sa b jaon or jaan sa b jao. Is ka kia solution ha.. Koi guide line fir wgra kise ho k mjy mery pisy b mil jain dosra is pig ki badmshi b khtam ho coz banda jo reech sa lar sakta ha phlwan type hi us sa kia banda larey ap mjy is pir mail kar daien. Mindxp88@hotmail.com... Or pls koi solution daien mjy zahne izayat sa jaan chura daien ab
ReplyDeleteWa salam bhai aap ki raqam kam hai or aap agar police ya kechhri ke chakar main parain ge tu itne se ziada ooper lag jain ge pyyar se le lo thore thore kar ke aap ko us ko nokri se jawab nahi dena chahye tha jab tak pese pore nahi hu jate.
DeleteMery abu k bary bhi han wo her waqt hmy najaiz tang krty rety han hmari zameen per a ker bar bar qabza kerty han jhoty perchy her waqt krwaty han police b in k sath mily howy han wo pesy day ker percha ktwata ha police walo ko pta b ha k ye galt ha phir b us k sath mily howy han plz renmaie kry k is k khalif kis tara karwie ke jay qanone tareeky se plz answer de day
ReplyDeleteagar aap ko police ya koi private banda najaiz tang kar raha hai ya jhoote parche hu rahe hain tu aap ke pass remedy hai citizen portal, 8787 per complain DPO ke pass application. waghira waghira
DeleteAOA... Sir meri family k sath 21000/= ka easy paisa mobial account ka fraud huwa hai ajj subah 9:25 py message aya k ap k mobial account mien 9500 deposit ho gy hai number yeh hai 03404210180 phir 10:50 mint pr call I k ap mobile account mien ghalti sy 9500 jma ho gy hain ap hame wo wapis kr dy madam ap ki mehrbani ho (madam is my wife) Meri wife ny kha k mery account mien ap k koi b praise ni aye 03404210180 number wala ni madam yeh ghreeb admi hai iss k bachy ro re hain ap hame wapis kr dy apny account sy etc. Or kha k mien ap ko telenor walo sy cal b krwa deta hun phir apko yaqeen ho jyega phir us ny 0345 11113737 wale number sy call krai bat huwi wo iss ny b ki fone band or dubara 03404210180 sy cal I 10:53 mint py madam plz ap apny mobile account mien ja k 0 LG kr chk kr number like yeh kre wo kre ap 3737 sy message aya hai isi chkr mien us ny 21000/=Jo account mien thy wo fruad bazi mien apny account mien kra lye hain ab yeh number wala call attand ni kr ra 03404210180 yeh number hai or Jo dusra number hai 0345 11113737 iss number py call jati E ni.... Mushwara dy sir mie. Kia kru.....
ReplyDeleteFIa ka department hai cyber crime us main tamam saboot or affidavit laga kar application dain. yehi hal hai iss ka
DeleteMjy aik admi nay qatal ki dhamki di h is k khilaf m kider report karo plz guide me
ReplyDeleteAAp Citizen portal per application de sakte hain. us ke ilawa aap mutalqa thane main application dain or agar aap punjab ke kisi zila se hain tu 1787 per bhi call or online websit per complin kar sakte hain
Delete