Posts

Showing posts from October 21, 2022

Registery karwane ka tareeka zameen ya Makan ki

Image
How to register sale deed Zameen ya makan ki registery kese karwai jati hai or yeh kin marahal se guzar Kar Hoti ha  Farad bai  Sab se pehle jiss shakas se aap ne makan ya Zameen kharidna ha wo farad e bai nikalwai ga iss zameen ki. Farad bai ke baghair Zameen ki registery nahi hu sakti yeh lazmi ha.  Farad e bai se zameen ki malkiat maloom Hoti ha Or farad e bai se pata chalta hai ke Zameen par Kisi qisim ka stay ya maqdma na hey. Aik waqat ma aik hi farad e bai nikal sakti ha Farad e bai nikalwane ke baad agar registery na karwai jai tu farad e bai 14 din ke baad mansookh hu jati ha. Iss ke baad agala marhla Zameen ki maleet ke hisaab se Online chalan fill karne ke baad E-stamp bank se nikalwain.  Filer ke liye 5 percent tax Zameen ki maleet ke hisaab se Ada karna hu ga jab ke none filer 6 percent ke hisaab se Ada kare ga or agriculture Zameen par 4 percent ke hisaab se tax Ada Kia jai ga   E-stamp paper per buyer or seller ka name daraj hu ga Or stamp paper per Zameen ka DC rate lik