Cyber crime ke bare main high court or supreme court ke faisla jaat
Case Laws about Cyber Crime Cyber crime ke jurime in dino bht aam hain humare muashre main abhi tak log nahi jante ke wo kitna bara juram kar rahe hain. Zair nazar High court or supreme court ke faisla jaat se aap crimes ki sangini ka andaza laga sakte hain. Mulzam per mudaia ke nam per us ki marzi ke bghair Facebook account banane or us ki pics upload karne ka ilzam tha. IP address se Kisi bhi mulzam ko baasaani pakra ja sakta hai zamanat kharaj PLD 2017 Peshawar page 10 Yad rahe ke Kisi shakhas ki ijazat ke bghair iss ki tasweer ke sath iss ke profile banana Electronics transactions ke sections 36 or 37 ke tehat or new cyber crime act ke tehat naqabal zamanat juram hai Mudai ke name mulzam ne fake Facebook account banaya or phir us ko badnam karne ke liye fahash or ghaleez posts lagain High court ne mulzam ki zamanat kharaj karte hoe qarar dia "ke yeh aik sangeen juram hai mulzam zamanat ka haqdaar nahi 2018 YLR 329 Mulzam per woman ki nude pic Facebook per upload karne ka...