Posts

Showing posts from January 7, 2022

Intra court Appeal file karne ka tareeka Before two or more judges of high court

Image
Intra court Appeal kisi high court ke single judge ke faisle k khalaf du ya du se ziada judgo ke samne hoti hai yeh appeal Intra Court Appeal (ICA) (The Law Reforms Ordinance, 1972) ke section 3 ke tehat file hoti hai yaha per hum iss waqat aain Pakistan ke section 199 ke tehat file hone wali appealo ke bare main baat kar rahe hain Intra court appeal file karne ke liye mandarja zail shariat pori karna lazmi hain zair appeal order high court ke single bench ka hu order ya decree high court ke original civil jurisdiction main pass hoi hu Jiss writ petition main order hoa hu or Aain pakistan ke section 199 ke tehat habeas corpus ki na hu jiss karwai ke khalaf writ petition dair hoi hu iss karwai main appeal nagrani ya review ki option mojod na hu jese 22A ke order ke khalf koi nagrani ya appeal nahi hu sakti iss ke khalf ICA hu gi magar rent ya family ke maqdmat main chonke appeal ka haq mojod hai . iss liye iss main ju writ petition file hu gi us ke khalaf ICA file nahi hu sakti Intra c