Posts

Showing posts from August 23, 2019

Mere Ghar walon ne meri shadi meri marzi ke khalaf kar di hai.

Image
Marzi ke  khalaf shadi                        humare haan aaj bhi buhat se pasmanda ilaqe hain jahan per betion ki shadi karte waqat man baap un se un ki rai lena zaroori nahi samjhte or un ki shadi apni marzi se kisi or rishta lene ki iwaz ya zameen ke rupee ke iwaz ya baz oqat kisi borhe se raqam le kar kar di jati hai, even sindh main suna hai ke property bachane ke liye nauzbillah Quran pak se shadi ke waqia bhi hoe hain, wahan per baz oqat jirga bhi faisla de deta hai ke flan ki shadi ya rishta kisi jhagre ko hal krane ke liye kisi dosre na munasib insan ke sath kar dia jata hai.aise waqiat ka jab result nikalta hai or baat media pe aati hai tu poori dunia main jag hasai hoti hai .humare muashre main qanoon ke tehat na sirf balke islam ke tehat larki ki marzi janai or us ki shadi us ki marzi ke mutabiq us ki shadi karna lazmi hai.kionke iss main baz dafa larki kisi or ko pasand karti hai jab us ki shadi bghir marzi ke kisi us shakhas ke sath kar di jati hai jiss ke sath wo nahi ka

main apne shohar se recovery kese karwa sakti hu . Ajrah (execution of decree)

Image
Recovery in family suit      Execution of  Family court decree                        Ajj hum baat karain ge ke aap ka case decree hu jata hai family court se or abb app ne us decree ki tameel karwani hai or us main aap ne recovery karwani hai tu us per konsa tareeka kar lago hu ga or wo konse tareeke se tameel hu gi, Sub se pehle dekh lete hain ke family court main konsi decrees hoti hain . Khulla ka dawa ju ke decree hone ke baad union council main jata hai . saman jahez ka dawa . iss ka Ajrah same court main lagwaia jata hai. haq mahar ka dawa. same court main execution lage gi Bv bachon ke kharche ka dawa . iss ki bhi execution same court main lagti hai Bazo dawa . (rothi hoi bv ko wapis lane ka dawa) iss main app ko haq mahar maaf hu jata hai or aage shadi kar sakte hain. jactitation of marriage. Abb hum dekh lete hain ke in dawa jaat ki tameel ke liye konse tareeka kar hain jiss tareeke se court aap ki recovery karwa sakti hai ya karwati hai s ab se pehle decree