Mere Ghar walon ne meri shadi meri marzi ke khalaf kar di hai.

Marzi ke  khalaf shadi




                       humare haan aaj bhi buhat se pasmanda ilaqe hain jahan per betion ki shadi karte waqat man baap un se un ki rai lena zaroori nahi samjhte or un ki shadi apni marzi se kisi or rishta lene ki iwaz ya zameen ke rupee ke iwaz ya baz oqat kisi borhe se raqam le kar kar di jati hai, even sindh main suna hai ke property bachane ke liye nauzbillah Quran pak se shadi ke waqia bhi hoe hain, wahan per baz oqat jirga bhi faisla de deta hai ke flan ki shadi ya rishta kisi jhagre ko hal krane ke liye kisi dosre na munasib insan ke sath kar dia jata hai.aise waqiat ka jab result nikalta hai or baat media pe aati hai tu poori dunia main jag hasai hoti hai .humare muashre main qanoon ke tehat na sirf balke islam ke tehat larki ki marzi janai or us ki shadi us ki marzi ke mutabiq us ki shadi karna lazmi hai.kionke iss main baz dafa larki kisi or ko pasand karti hai jab us ki shadi bghir marzi ke kisi us shakhas ke sath kar di jati hai jiss ke sath wo nahi karna chahti tu na sirf  us ki zindgi ajeeran ban jati hai balke us ke shohar ki bhi or teesra fard wo iss aag main jalta hai jiss se wo shadi karna chahti thi. aain hum dekhte hain ke agar kisi ke shadi us ki marzi ke khalf kar di jati hai tu us ke pass kia remedy mojod hoti hai .
Hum ne aise buhat se case handle kiye hain .or napasand shadi se jaan churwana aasan hai koi ziada mushkal kam nahi hai . so aap ko iss ke liye koi qatal o gharat ki zaroorat nahi hai. jesa ke baz ooqat shohar ko raste se hitane ke liye buhat se qatal ke waqiat mazi main hoe hain.


Procedure


                 App ko court main khulla file karni pare gi court main. jiss main hargiz aap ko court main puhnchna zaroori na hai. khulla proceure
khulla ke doran aap yeh baat khufia bhi rakh sakti hain.or jab final aap ko mil jaye aap us waqat bata sakti hain agar aap kisi qaid main hain. or aap ke apne ghar wale aap ko support nahi kar rahe.
Rehne ke liye agar aap ke pass koi jaga avail nahi hai tu aap darulaman main bhi panah le sakti hain .
or jab aap ka talaq ka procedure complete hu jai tu aap us ke baad apni shadi apni marzi se kar sakti hain.court marriage ka procedure


For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.
                                          

























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation