Taqsim e Jaidad ka Dawa (Partition ) Punjab Partition of Immovable Property Act 2012
Partition of property
video daikhain iss qanoon k bare main or humare channel ko subscribe karain
Ans .qanooni warson main se koi aik wars or kuch wursa or tamam wursa akthe bhi dair kar sakte hain
Q Taqsim konse qanoon or act ke tehat hoti hai
Ans.punjab partition of immovable property act 2012 neeche poora act dia gia hai app logon ki rahnamai k liye
Preamble . batata hai k iss qanoon ko banane ka maqsad yeh tha k logon tez tareen insaf mile or un ki properties ki taqseem main pchile qanoon ko reform kia gia hai .
2 section 2 iss qanoon ka batata hai k yeh qanoon agriculture land ke kisi bhi qanoon ko mutasir nahi kare ga
4 section 4 iss act ka batata hai k koi bhi malik property ka ye dawa kr sakta hai wo attatch kare ga related documents or property ki tafseel or dosre hisa daaron ko defendant bana ka dawa file kare ga
5. Appearance of defendants and consequence of non-appearance section 5 jo iss act ka hai wo batata hai k mukalif parties ko bulane k liye court notice kare ge through courier service ,dak , or process service k through or dawe ki copy sath attatch ki jai gi
issi section main ikhbar ishtaha or chispandgi ka tareeqa bhi bata raha hai . or agar muqarar date per defendant pesh nahi hota or court mutmain hoti hai k defendant jan boojh kr nahi aa raha tu court us k khalaf yak tarfa karwai amal main laa sakti hai
agar defendat court main pesh hote hain or maqool waja batate hain pesh na hone ki court agar mutmain hoti hai tu court yaktarfa karwai ko mansokh kar sakti hai
6 section 6 batata hai k defendant ko court main apear hone k baad 30 din k andar andar jawab dawa court main dakhal karna hota hai or us ko jawab dawa k sath tamam documents lagana hun ge ju relevent hain or us k qabza main hain or muqara mudat k undar wo jawab dawa dair nahi karta tu court us ka jawb dene ka right close kar de gi
7. Mesne profits pending adjudication.section7 main bataya gia hai pehli date per ya foran us k baad court un hisadaron ko jin k qabza main property ka qabza hai k property ka karya ya profit monthly ya weekly court main jma karwain taake dosre hisadaro ko hisa dia ja sake , yeh interim mesne profit hu ga jo court un hisa daron k liye taeen kare gi jin k pass property ka qabza nahi hai
or agar wo hisadar jin k pass qabza hai wo fail hu jate hain hisa court main jma karwane main tu
court case kharij kar de gi agar kharcha jma na karwane wala mudai hoa tu
or agar defendant hoa tu us ko right struck off kar dia jai ga
8. Question of title or share
agar roola hoa malkiat ka ya share ka tu section 8 batata hai k dosri proceeding se pehle court yeh mamla nibtai gi or yeh mamla civil procedure code k tehat hal kia jai ga
9. Appointment of referee for partition
agar tamam hisadar iss baat pr mutmain hu jain ke wo referee k through taqseem karwana chahte hain tu court referee ka taeen kare gi aik maqool time k andar
jiss k baad referee court main report pesh kare ga k kia yeh property partible hai k nahhi
10. Internal auction.
agar muqarara date pr tamam hisadar written agreement court referee k bare main jama karwane main fail hu jate hain ya referee report deta hai k property partition k qabil nahi hai tu court order kare gi internal auction ka
14. Time limit for disposal of the suit.
section 14 main bian kia gia hai k yeh case court 6 mah k andar compelet kare gi
Preamble . batata hai k iss qanoon ko banane ka maqsad yeh tha k logon tez tareen insaf mile or un ki properties ki taqseem main pchile qanoon ko reform kia gia hai .
2 section 2 iss qanoon ka batata hai k yeh qanoon agriculture land ke kisi bhi qanoon ko mutasir nahi kare ga
4 section 4 iss act ka batata hai k koi bhi malik property ka ye dawa kr sakta hai wo attatch kare ga related documents or property ki tafseel or dosre hisa daaron ko defendant bana ka dawa file kare ga
5. Appearance of defendants and consequence of non-appearance section 5 jo iss act ka hai wo batata hai k mukalif parties ko bulane k liye court notice kare ge through courier service ,dak , or process service k through or dawe ki copy sath attatch ki jai gi
issi section main ikhbar ishtaha or chispandgi ka tareeqa bhi bata raha hai . or agar muqarar date per defendant pesh nahi hota or court mutmain hoti hai k defendant jan boojh kr nahi aa raha tu court us k khalaf yak tarfa karwai amal main laa sakti hai
agar defendat court main pesh hote hain or maqool waja batate hain pesh na hone ki court agar mutmain hoti hai tu court yaktarfa karwai ko mansokh kar sakti hai
6 section 6 batata hai k defendant ko court main apear hone k baad 30 din k andar andar jawab dawa court main dakhal karna hota hai or us ko jawab dawa k sath tamam documents lagana hun ge ju relevent hain or us k qabza main hain or muqara mudat k undar wo jawab dawa dair nahi karta tu court us ka jawb dene ka right close kar de gi
7. Mesne profits pending adjudication.section7 main bataya gia hai pehli date per ya foran us k baad court un hisadaron ko jin k qabza main property ka qabza hai k property ka karya ya profit monthly ya weekly court main jma karwain taake dosre hisadaro ko hisa dia ja sake , yeh interim mesne profit hu ga jo court un hisa daron k liye taeen kare gi jin k pass property ka qabza nahi hai
or agar wo hisadar jin k pass qabza hai wo fail hu jate hain hisa court main jma karwane main tu
court case kharij kar de gi agar kharcha jma na karwane wala mudai hoa tu
or agar defendant hoa tu us ko right struck off kar dia jai ga
8. Question of title or share
agar roola hoa malkiat ka ya share ka tu section 8 batata hai k dosri proceeding se pehle court yeh mamla nibtai gi or yeh mamla civil procedure code k tehat hal kia jai ga
9. Appointment of referee for partition
agar tamam hisadar iss baat pr mutmain hu jain ke wo referee k through taqseem karwana chahte hain tu court referee ka taeen kare gi aik maqool time k andar
jiss k baad referee court main report pesh kare ga k kia yeh property partible hai k nahhi
10. Internal auction.
agar muqarara date pr tamam hisadar written agreement court referee k bare main jama karwane main fail hu jate hain ya referee report deta hai k property partition k qabil nahi hai tu court order kare gi internal auction ka
(2) The Court shall require the co-owners to be present in person or through their authorized agents on the date of internal auction.
(3) The internal auction shall be conducted in the Court and the Court shall maintain record of internal auction which shall form part of the suit.
(4) Any two or more co-owners of the immovable property may submit their written offers or counter written offers until one of them makes the highest written offer.
(5) The Court shall declare the highest bidder as auction purchaser in internal auction and direct the auction purchaser to deposit the auction price within fifteen days of the auction but the auction purchaser may deduct from the auction price to be deposited such amount as equals his share in the immovable property.
(6) If the auction purchaser deposits the auction price under subsection (5) within the prescribed time, the Court shall confirm the sale, put the auction purchaser in possession of the property and distribute the auction price amongst the other co-owners according to their respective shares.
(7) If the auction purchaser fails to deposit the auction price under subsection (5) within the prescribed time, the Court shall fix another date for internal auction but such auction purchaser shall not participate in the subsequent internal auctions.
(8) The second or subsequent internal auction shall be held, as far as possible, in accordance with the procedure contained in this section for the first internal auction.
11. Open auction
agar tamam hisadar internal auction main hisa lene per razi nahi hote ya siraf aik hisdar razi hota hai tu ya internal auction fail hu jati hai tu court property ke reserve price teh kare gi or open auction ka order de di gi
12. Mesne profits.–final settlement k waqat court un hisadaron ko mesne profit award kare gi jo k property per qabiz nahi the or yeh hisa un hisadaro ki property main se kata jai ga ju property pr qabiz the or yeh mesne profit dete waqat interim mesne profit ko nazar main rakhe gi
13. Private settlement
case ki kisi bhi stage per open auction se pehle tamam hisdar private settlement court main jma karwa sakte hain or property ko taqseem kar sakte hain
14. Time limit for disposal of the suit.
section 14 main bian kia gia hai k yeh case court 6 mah k andar compelet kare gi
Dawa dair karne ke liye kin documents ki zaroorat hoti hai
- copy id cards plaintifs
- Malkiat ka saboot (fard) ya registery waghara mushtarqa khate ke
- bill bijli
- bill pani
- death certificate marne wale ka jiss ki jaidad taqeem honi hai
- other documents available
Procedure
- Tamam documents le kar civil court main dawa dair karte hain
- Jo wursa qabiz hote hain aksar wo dawa dair nahi karte or jo wursa ki haq talfi hoti hai wo hi court main jate hain
- jo dawa dair karte hain wo plaintifs hote hain or jin ke khalaf dawa dair kia jata hai wo defendants hote hain
- dairi ke baad shroo ki dates main stay order ki application per behas ke baad property per stay order laga dia jata hai
- iss ke baad tamam defendants ko notice jari kar diye jate hain or maqrara date ko court main pesh hote hain or case ki karwai shroo ho jati hai .
- Us ke baad jaidad ki taqseem ka mamla shroo hota hai . or agar wursa main se koi khareedna chahe tu wo baqi wursa ko hisa de kar court ki permission se jaidad apne nam karwa sakta hai
- agar koi waris jaidad khareedne ki istataat na rakhta hu tu jaidad neelam kar di jati hai or us se hasil hone wali raqam tamam wursa main taqsim un ke hisa ke hisab se taqsim kar di jati hai
Mazeed maloomat ke liye neeche comments main apna case likhain hum inshallah iss ka reply karain gai ya humare numbers per call karain +923244010279 whats app available+03454375944
High court and supreme decisions on Taqseem of property
Private complaint under illegal dispossession act 2005 not maintainable against co sharer . PLD 2010 SC 661
2011 YLR 296 -----PLD 2016-SC 769 2012 SCMR 1553
Ghair taqseem shuda jaidad main cosharer barabar ke shareek hain 2020 SCMR 352
Accused cannot be convicted for occupation of Joint Unpartitioned property 2021 YLR NOTE 125
Khata shareek Taqseem ka dawa kare na ke Makhsoos jaga ke qabze ka ya dakhalyabi ka. 2019 SCMR 84
Shehri taqseem ke dawa main revenue court ko ikhtiyar nahi hai. 2011 YLR 1724
Civil court ko agriculture land ki taqseem ka ikhtiayar na hai. PLD 2016 Pesh 8
diwani court istahqaq ka faisla kare gi jabke revenue court taqseem kare ga.2009 MLD Lahore 930
Mehaz qabza ki banyad per aik mushtarka hissa dar dosre hissa dar per foqeet na rakhe ga.2018 CLC 608
Koi bhi mushtarka khata dar apna hissa elehda karwane ke liye land revenue act ke section 135 tehat
application de sakta hai . 2015 CLC 546
Agar koi amarat tameer kare ga tu dosra khata shareek tameerat per stay lagwa kar kam rakwa sakta hai. 1989 SCMR 130
Mushtarka khatadar yeh sabat kar de ke wo Makhsos Hissa ka Malak wa qabaz hai.tu wo taqseem ke bghair apni Jaidad farookhat kar sakta hai.1998 SCMR 1201
For more information Call or Whatsapp 03244010279
Our popular posts
Court Marriage ka procedure in Pakistan
[1]THE PUNJAB PARTITION OF IMMOVABLE PROPERTY ACT 2012
(Act IV of 2013)
[5 January 2013]
An Act to amend and reform the law relating to
partition of immovable property.
Preamble.– Whereas it is expedient to amend and reform the law relating to expeditious partition of immovable property and to provide for ancillary matters;
It is enacted as follows:-
1. Short title, extent and commencement.– (1) This Act may be cited as the Punjab Partition of Immovable Property Act 2012.
(2) It shall extend to whole of the Punjab .
(3) It shall come into force at once.
2. Limitation on scope.– Nothing contained in this Act shall be deemed to affect any law providing for the partition of agricultural land or land subservient to agriculture.
3. Definitions.– (1) In this Act–
(a) “Code” means the Code of Civil Procedure, 1908 (V of 1908);
(b) “Court” means the Court of original civil jurisdiction competent to entertain and decide suits for partition of immovable property;
(c) “immovable property” means an immovable property, other than agricultural land or land subservient to agriculture, jointly owned by two or more persons;
(d) “internal auction” means the auction of the immovable property amongst the co-owners of the property in which at least two co-owners are eligible to participate; and
(e) “mesne profits” means the approximate rental benefit which the co-owner in possession of the immovable property gains to the exclusion of any other co-owner during the pendency of the suit under the Act.
(2) An expression used in the Act but not defined shall mean the same as in the Code.
4. Suit for partition of immovable property.– An owner of immovable property may file a suit for partition of the property, giving details of the property, citing all other co-owners as defendants and attaching all the relevant documents in his reach or possession.
5. Appearance of defendants and consequence of non-appearance.– (1) The Court shall issue notice to the defendants for appearance on a date, not later than ten days, through the process serving agency and registered post or courier service and, where possible, also through electronic and telecommunication means.
(2) Copies of the plaint and the documents annexed with the plaint shall be attached with the notice under subsection (1) served through the process serving agency and sent by registered post or courier.
(3) If a defendant fails to appear and the Court is satisfied that the notice has not been served on the defendant or the defendant is willfully avoiding the service of the notice, the Court may direct service of the notice by–
(i) affixing a copy of the notice at some conspicuous part of the residence of the defendant; or
(ii) publication in the press, electronic media or any other mode.
(4) If the defendant fails to appear on the date fixed and the Court is satisfied that the notice had been duly served, it may proceed ex-parte against such defendant.
(5) If an ex-parte order is passed against a defendant, he may, within fifteen days from the date of knowledge, apply to the Court for setting aside the ex-parte order and shall submit along with the application the written statement and attach with such written statement copies of all the relevant documents in his reach or possession.
(6) If the defendant submits the written statement and shows sufficient cause for his non appearance, the Court may set aside the ex-parte order on such terms as it may deem fit.
6. Written statement.– (1) Subject to section 5, a defendant in a suit for partition of immovable property shall file the written statement within thirty days of his first appearance in the Court and shall attach with the written statement copies of all the relevant documents in his reach or possession.
(2) If a defendant fails to file the written statement within the period mentioned in subsection (1), the Court shall strike off his defence and in that event he shall not be entitled to lead any evidence.
7. Mesne profits pending adjudication.– (1) On the first date of hearing or as soon as thereafter, the Court may, pending adjudication of the suit, direct the co-owner, in possession of the immovable property, to deposit, either on monthly or quarterly basis, such interim mesne profits in the Court as it may determine on account of share of a co-owner not in possession of the property.
(2) If an order under subsection (1) is passed, the co-owner in possession of the property shall deposit the amount on or before the date fixed by the Court and, in the absence of any such order, on or before 15th of the month or the first month of the quarter for which the amount is due.
(3) If the co-owner fails to deposit the amount under this section within the time specified under subsection (2), the Court shall–
(a) in case he is plaintiff, dismiss his suit; and
(b) in case he is defendant, strike off his defence and in that event, he shall not be entitled to lead any evidence.
8. Question of title or share.– (1) When there is a dispute as to the title or share in the immovable property, the Court shall decide such question before proceeding further in the suit under this Act.
(2) The determination of a question of title or share of the immovable property by the Court under subsection (1) shall be deemed to be a decree in terms of the Code.
9. Appointment of referee for partition.– (1) If all the co-owners agree in writing on partition of the immovable property through appointment of a referee, the Court shall appoint a referee for partition of the property within such specified or extended time as the Court deems appropriate.
(2) Subject to the restrictions imposed under any law governing town planning, the referee shall decide whether the immovable property is partible and if so, the referee shall propose partition of the immovable property.
(3) [2][* * * * * * *]
(4) The referee may, with the written consent of two or more co-owners of the immovable property, combine the shares of such co-owners in the proposal of partition.
(5) The Court shall affirm the proposal of the referee for partition of the immovable property through decree unless the Court is satisfied that the proposal is in contravention of any law.
(6) The Court may fix the fee of the referee to be paid by the co-owners according to their respective shares in the immovable property.
10. Internal auction.– (1) If on the date fixed by the Court for the purpose, the co-owners fail to submit written agreement about the partition of the immovable property through appointment of a referee or the referee is of opinion that the property is not partible or the Court finds that the proposal of the referee is in contravention of any law, the Court shall determine the reserve price of the immovable property and direct sale of the property through internal auction on the next date of hearing.
(2) The Court shall require the co-owners to be present in person or through their authorized agents on the date of internal auction.
(3) The internal auction shall be conducted in the Court and the Court shall maintain record of internal auction which shall form part of the suit.
(4) Any two or more co-owners of the immovable property may submit their written offers or counter written offers until one of them makes the highest written offer.
(5) The Court shall declare the highest bidder as auction purchaser in internal auction and direct the auction purchaser to deposit the auction price within fifteen days of the auction but the auction purchaser may deduct from the auction price to be deposited such amount as equals his share in the immovable property.
(6) If the auction purchaser deposits the auction price under subsection (5) within the prescribed time, the Court shall confirm the sale, put the auction purchaser in possession of the property and distribute the auction price amongst the other co-owners according to their respective shares.
(7) If the auction purchaser fails to deposit the auction price under subsection (5) within the prescribed time, the Court shall fix another date for internal auction but such auction purchaser shall not participate in the subsequent internal auctions.
(8) The second or subsequent internal auction shall be held, as far as possible, in accordance with the procedure contained in this section for the first internal auction.
11. Open auction.– (1) If the co-owners refuse to participate in the internal auction or only one co-owner shows his willingness to participate in such auction or the internal auction under section 10 has failed, the Court shall fix the reserve price of the immovable property and direct open auction of the property.
(2) A co-owner of the immovable property may participate in the open auction of the property.
(3) The Court shall appoint a court auctioneer for conducting the open auction and fix fee of the court auctioneer to be paid by the co-owners in proportion to their respective shares in the immovable property.
(4) The court auctioneer shall submit in the Court an auction plan in the form of a public notice which shall include detailed specifications of the immovable property, the time, date and place of open auction, and the amount of bid security for participating in the open auction, and the Court may approve the auction plan with or without modification and direct its publication in such manner as it deems appropriate.
(5) The court auctioneer shall conduct open auction under the auction plan approved and published by the Court and direct the highest bidder to deposit–
(a) earnest money equal to twenty per cent of the bid price immediately on the close of bidding; and
(b) the remaining amount of the bid price in the court within seven days.
(6) The court auctioneer shall maintain the record of the auction proceedings and return the bid security to unsuccessful bidders but shall adjust the bid security of the highest bidder in the bid price.
(7) The court auctioneer may, in an appropriate case, accept deposit under clause (a) of subsection (5) in the form of cash, crossed cheque, demand draft or banker’s cheque against a receipt.
(8) The court auctioneer shall, immediately after conclusion the auction, deposit in the Court the auction price collected by him along with the auction report.
(9) If the highest bidder deposits the auction price under subsection (5), the Court shall confirm the sale, put the highest bidder in possession of the property and distribute the auction price amongst the co-owners according to their respective shares.
(10) If the highest bidder fails to deposit the auction price under subsection (5), the amount deposited by him shall stand forfeited and the immovable property shall be put to open auction again, as far as possible, in accordance with the procedure contained in this section.
12. Mesne profits.– (1) Subject to sections 10 and 13, the Court may, at the time of final settlement, award mesne profits to a co-owner not in possession of the joint immovable property by deducting the same from the share of the co-owner in possession of the property or by directing the co-owner in possession of the property to pay the same to the co-owner not in possession of the property.
(2) The Court shall, while awarding mesne profits under subsection (1), take into account the interim mesne profits deposited under section 7.
13. Private settlement.–(1) All the co-owners of the immovable property may, at any stage of the proceedings before the date of open auction of the property, submit a private settlement in the Court.
(2) If the co-owners submit the private settlement under subsection (1), the Court shall pronounce judgment and decree in terms of the private settlement and cancel the order of open auction if already passed.
14. Time limit for disposal of the suit.– (1) The Court shall finally dispose of the suit under this Act within six months from the date of the institution of the suit, failing which, the Court shall submit the case to the District Judge, with cogent reasons, seeking extension of time for disposal of the suit.
(2) The District Judge may, subject to such conditions as he deems appropriate to impose, grant extension in time to dispose of the suit taking into consideration the facts and circumstances of the case.
15. Application of Act V of 1908.– Subject to this Act, the provisions of the Code shall apply to any proceedings under this Act.
16. Instructions of High Court.– The Lahore High Court may issue instructions necessary for purposes of the Act.
17. Repeal.– (1) The Partition Act, 1893 (IV of 1893) is hereby repealed.
(2) Notwithstanding the repeal of the Partition Act, 1893 (IV of 1893) and without prejudice to any previous proceedings in a suit, the suit for partition of immovable property pending in any court under the repealed Act shall be proceeded with and decided by the Court in accordance with the provisions of this Act.
Sir salam.5 years phely hum na jaga purchase ki the by stump paper village mai 15 lack ki 10 marla jaga hai.ub masla ye ho gaya hai jis na sale ki the us ki bhatji na Taqseem ka case kr diya hum py jab ka wo jaga us ka dada ka naam the aur us larki ka father foat ho gya us ka grandfather ki majodgi main.ub us larki na hum py case kiya hai jaga ki taqseem ka jab ka humara wo ghar hai us ki walida ko bi talaaq ho gayi the.pls ans kry as bary mai hum kaise save kr sakty hai apna ghar
ReplyDeleteW salam bhai main ne aap ka jawab call pe bi de dia tha or yahi bata deta hu. agar aap ne jga purchase ki hai wo bhi 5 sall pehle or lazmi baat hai k qabza bhi aap ke pass hu ga or aap ne tamam formalties bhi pori ki hon gi.
Delete3/4 malik wo banda hota hai jiss ke pass qabza hota hai. or qabza or documents aap ke pass hain or gwahan bhi hun ge so aap ko pereshan hone ki zaroorat nhi case aap ki favour main hu jai ga.
hello
Deletehi
DeleteAslam O Alikum Sir Lya hall he ap tk hn. Sir Hmari zaree zameen he us ki taqseem hoi Zameen Dada or un ke sare bhaion ke Name pe he Dada samyet sare bhi wafaat pa gy hn ab jo taqseem he wo kafi saal pehle hoi thi ik dada ke bhi ko Road ke Sath zameen mili thi or baqi ko us se agy us ko koi rasta nhi lagta ab hum bhi road ki tarf taseem karna chte hn us ka kya tareeqa kar hoga
DeleteAslam o alaikum janab mere taya g wafat pa gae han mere walid sahib un k chacha zad bhai han taya g ki ek bivi ha jis men se aulad ni ha so btaya jae k bivi ka kitna hissa ha pakistan law k mutabiq
ReplyDeletePatwari saheb bivi ko 1/2 hissa dilwana chahte han kia ye thek ha
W salam main ne aap ka question abhi dekha . sorry for late reply . bv ka hissa 1/8 hota hai agar olad hu tu or agar olad na hu tu us ka hisa 1/4 hota hai.
DeleteAoa, sir hum 3 Bhai hain . walid Sb ne humare baree Bhai KO 10 saal pehly ghar sy nikal deya tha. Baad me 10 marly LA makaan me we 5 mujay aur 5 dosaree ky naam sale Kar deya. Ab walid Sb KO falag hu gaya hai. Bool bi nahi salty. Jis Bhai KO Nikala tha Ab wo kehta jai mera hisa banta hai. Jab registry KO Jo hamaree naam hai 10saal hu Gaye ha in.KIA walid hum sy jaga wapis le sakta hai. Please help me to solve this issue
DeleteAssalam-o-alaikum
DeleteSir aaaq nama or akhbar py chapwaya tha toh duniya ka any Qanoon nhi dy ga
ASSLAM-O- ALAIKUM SIR,
ReplyDeleteSIR MARAY FATHER NAY DOSRI SHADI KI HOI HAI OR MARAY FATHER K PAS 2HOUSE HAIN JIS MAY SAY MAI OR MARI FAMILY AIK HOUSE MAY RAHTAY HAI OR MRI STEP MOTHER AIK HOUSE MAY. MARAY FATHER K SATH MARI STEP MOTHER RAHTI HAI.SIR JIS HOUSE MAY HUM RAHTAY HAIN WOH HOUSE 4.25MARLA KA DOUBLE PORTION BNA HOWA HAI OR MARAY FATHER HOUSE SALE KRNA CHAHTAY HAIN MARI DOUSRI MOTHER K KEHNAY PER.SIR MAI AIK JOB PERSON OR SHADI SHUDA HN.OR MARAY SATH MARA YOUNGER BROTHER REHTA HAI JAB K MARAY FATHER K SATH MARA AIK OR YOUNGER BROTHER OR MARAI STEP MOTHER MILI HOI HAI JO K YEH SARA KAM KRWA RAHI HAIN.SIR MARI APNI MOTHER KI DEATH HOGAI THI IN 2009.OR MARAY FATHER NAY MARAY TMAM BAHAN BHAIYON K MOTHER K NAM PER MARI STEP MOTHER KA NAME LIKH WA DIYA THA IN NADRA RECORD MAY.SIR PLEASE ADVICE ME.
SIR MY CELL NO. IS 0321-7212275
w salam bhai aap ke walid sab ke nam per makan hai tu wo sale kar sakta hai . agar aap us ko rokna chahte hain tu us ke izzat karain. agar kisi tarah baat nahi banti tu stay lay lain .
DeleteAoa sir. Mary walid sb ny 54 sal pehlay zameen kharida ha. Ab 54 sal bad chaha ny court ma case kiya ha. orr keh rha ha mara bi haq ha. Jab ki zameen 54 salon se walod ky nam pa ha. Case ki kya noyat hogi. Ham k
Deletejo property 54 saal se aap k walid sab k nam per hai. wo yaqeenan aap k walid sab court main strong hun ge . magar main ne buhat se cases dekhe hain k aik bhai bahar jata hai ya pese kamata hai or property kisi bhai ya walid ke nam per kharid leta hai or baad main wohi us ke sath fraud karte hain . tu yeh saari cheezain bhi hain . benami dawe main court dekhti hai or iss ke ilawa ooper bhi aik court hai. agar kisi ka hissa banta hai or iss k nam nahi hai tu hm ko yah nahi dekhna chahye k yeh court k through nahi le sakta tu hm us ka haq kha jain
DeleteA.o.A sir hmry dada abo ny 1.5acer ka tabadla kia tha kisi k sath or sath main hmry rishty dar ny b 2.5acer k tabdla kia tha usi bandy k sath mean 4acer k tabdla howa hai or hmry dada abo ny 20 sal pehly 1.5acer apny hisay ki li or rishty dar ny 2.5acer ly liye lakin tabdla mushtarka howa tha 20 sal pehly lakin ab woi rishty dar keh rhy k humy ab hisa front sy do hum back sy ni rahkty..20sal sy mery dada abo k name sy front kasht ho rahi hai or back side sy rishty dar kasht kr rha..mujy ab btaye k kia ab wo dawa taqseem kr sakty hain???
ReplyDeleteOr kia hal ho sakta hai iska kindly reply me as soon as possible??thanku
aap ka swal samjh nahi aa raha .kia 20 saal se mushtarka khata chala aa raha hai?
DeleteAsslam o alikum sir.....
ReplyDeleteHam 3 bhai ha Jaga b hamarye Nam ha.... Sawa do marlye Jaga ha......... Bara bhai shadi shuda ha..... 2nd floor par rehta ha or first floor mian Ham or ghar k baki afard. Or ground floor main kar khana ha barye bhai ka or ground floor b us k istmal main ha..... Masla ye ha k ab dusrye bhai ki shadi karni ha or 2nd floor main room tiyar kar rahye the.... Abi room ki shat ni pari to bhai ne kaha k shat ni parnye deni main ne.. Muj ko tangiii ha.... Ya makan ka hissa le lo ya makan ka Mera de do.... Ham abi na to hissa dye saktye ha or le b ni saktye q k abi 2 sisters ki shadi karni ha.. Barye bhai ko kaha ha k tum ko masla ha to apnye hisye ki diwar tamer jar k alag ho jao ya phr jiss ko merzi bech do.... To wo kehta ha k thik ha Main drmiyan se Jaga leni ha........ Hala k wo sab se Bara ha.... Or ham 2 us se chotye...... Ab ap se request ha k muj ko guide karye k..... Kya Cort barye bhai ko drmiyan se Jaga de sakti ha ya ni.... Or.. Wo kehta ha k Main gar ko seel karwa du GA kya ye Pakistan k qanoon k mutabik ho sakta ha... Plz reply kijiye GA.. .. Or ha sir ye stay order ka kya msla hota ha. Stay lena kya ha is se kya hota ha...... Plz I am w8ing
W salam . bhai ghar par aap sab ka haq hai . or qabza bhi sab ka hai . so iss ka sahi tareeka yeh hai ke bhai se kaho ke agar wo tang hai tu bahr le le or bhaion se hissa le le . agar bhai abhi nahi bhi pay kar sakte tu wait kar le. or agar wo iss qabil nahi ke bahar le sake tu us ko mil jul kar guzara karna chahiye. court main case main bhi lamba case chale ga or koi party apni yeh nahi keh sakti ke darmian se hissa lena hai . sab ko barabar mile ga or agar partition ke qabil nahi hai property tu court sale kar ke hisa de de gi .
DeleteBundles of thanks sir.. Bundles of. Thanks..... 1 or bat sir kya wo adalat k through ghar seel karwa sakta ha...
Deletenahi ghar seal nahi hu sakta.bhai ghar per sirf stay lagta hai . jab ke agar sab log akthe reh rahe hain tu stay ka bhi koi faida nahi kisi ko .or aaj tak kabhi ghar seal nahi hoa.
DeleteThanks sir.... May Allah bless you with His blessing
ReplyDeleteWho is refeere?
ReplyDeleteIs he revenue officer,patwari or tehsildar?
How can we appoint him?
appoint of referee
ReplyDelete9. Appointment of referee for partition.– (1) If all the co-owners agree in writing on partition of the immovable property through appointment of a referee, the Court shall appoint a referee for partition of the property within such specified or extended time as the Court deems appropriate.
(2) Subject to the restrictions imposed under any law governing town planning, the referee shall decide whether the immovable property is partible and if so, the referee shall propose partition of the immovable property.
(3) [2][* * * * * * *]
(4) The referee may, with the written consent of two or more co-owners of the immovable property, combine the shares of such co-owners in the proposal of partition.
(5) The Court shall affirm the proposal of the referee for partition of the immovable property through decree unless the Court is satisfied that the proposal is in contravention of any law.THE PUNJAB PARTITION OF IMMOVABLE PROPERTY ACT 2012
(6) The Court may fix the fee of the referee to be paid by the co-owners according to their respective shares in the immovable property.
Assalam o alikum?
ReplyDeleteDear Sir,
There are two 5 marla plots.
Two real brother buy these plots.what conditions make them co owners and what condition make the seperate owners.
W salam.there is procedure of title deeds.which show the ownership prove. every thing written on the documents and register.
DeleteIf title deeds are different for example 1222
Deleteand 1223.
Is this two are co owner?
agar bhai dono documents same property ke bare main hain hain tu wo co owner nahi hain un main se aik asal hai aik naqal. aap apna case call kar ke mashwara karain. 0092-324-4010279
DeleteK
ReplyDeleteAssalm aliku sir abhi hm jis ghr main reh rahe hain ye mere dada ka hai unka inteqal ho chuka hai or main dada ka sb ksy bare bete ka ka beta hu meri 4 phpopo hain ab sb ye ghr sale krne ka bol rahe hain kia es main mere hissa ho ga or agr ho ga to kitna
ReplyDeleteW salam bhai aap ka direct hissa nahi hai aap ne apne walid sab k hisa main se hisa wasool karna hai.baqaya aap ka kia hisa bane ga yeh us waqat decide hu ga jab sare legal warson ka pata hu .
DeleteAssalam-o-alaikum
DeleteRespected Sir
Mjhy mere is case ka mashwara chahiye
Mai ny private waqeel sy bt ki hai lakin wo mashwara b paisy k bgair nhi dy rhy mai gareeb hn unki fees offordable nhi meri zaat or mere walid sahib meri behny
Or is state notice ki karwai mere sb sy bary mamo Muhammad Rafiq ki traf sy hoi hai
Asalam o alaikum. sir..Hum 2 Bhai or ek behan hain or hamari mother ki death hogai hai..father ny dosri shadi ker li hai or father apni 2nd wife k kehny per propery sale ker k sirf ek bhai ko hiss dey rah hain..propery abih tak father k naam hai..
ReplyDeletehamari rehnamai krain k hum apny hak k mutabik kesy hissa ly sakty hain..
bhai masla yeh hai k abhi aap ka haq banta nahi hai . jab tak walid sb zinda hain chahe wo us ko bach kar zaia kar dain ya kisi ko de dain .apne walid sb se baat karain or un ki khidmat karain . bas yehi hal hai.
DeleteA.o.A,sir main nay ye pochna hai k agar ak shaksh apni property sale krna chahta hai us nay apni biwi ki divorce day di hai uskiak naa balig buchi hai.or wo us par dawa kar daiti hai buchi ki taraf say.to wo khud ko kaisy defend kray qanoon main iska kia rasta ha???
ReplyDeletebhai aap ne nahi nahi bataya k dawa kis cheez ka bachi baap ki zindgi main property nhi mang sakti . wo kharcha le gi shadi tak aap se . aap ne kia defend karna hai?
DeleteSir dawa ye kia hai k mera baap is property ko kisi ko sale ya kisi ko day nahi skta.main iski hissa daar hn
DeleteBapp ki zindagi main wo property sale kar sakta hai or de bhi sakta hai unless ke us ne propert ke ewaaz koi mahda na kia hu ya aap ne property main se apna kharcha lena hu
DeleteOr stay b lay liya hai.
ReplyDeletecall me for more detail 0092-324-4010279 whatsapp available
DeleteSalam,
DeleteJanab,hamari ek dukan ha, jis par mera bara bhai qabza kar k betha hua ha walad ki wafat k baad, hum 3 bhai aur 1 behan aur walida ha, dukan 135 foot ki ha aur qabaz bhai ne taqseem dawa dair kiya aur kaha k wo 20 saal se qabaz ha aur tax b pay karta raha, lekin ussy taaeeban 7 saal hoy ha qabza kiye hoy. wo ab pesh nai ho raha kisi b date par, meri walida aur baqi behan bhaion ne ek aur taqseem dawa kar diya ha aur afalat se insaf k mutabiq taqseem ki request ki ha, lekin qabaz bhai us me b pesh nai ho raha, abhi 7 months ho chuke ha dawa ko, qabaz bhai dhamki deta ha k wo qabza nai chore ga aur stay order le ga kisi b court action par, hum kis tarah jald is se qabza le sakte agar court hamare haq me faisla de
Bhai iss main aap application dain. ju dukan ki profit hai us ke liye court aik reciver makarar kare gi or profit aap sab legal heirs main taqseem hu ga. or jaldi case nibtane k liye high court jana pare ga. aap kahan se hain high court ka kam hum karwa dain ge
DeleteSalam. Sir ye maloom krna ho k kisi ny hamary khilaf partition k case dair kia ho to kahan sy pta chaly ga.
ReplyDeleteW salam g aap ko notice aaie ga or dosra tareeka yeh hai k aap kisi wakil sb se rabta karain wo aap ko dhond kr bata dain ge
DeleteMere mamo mera maa ka hessa nahe dy rehe
ReplyDeleteIsse selesele mai humy kia karna chie adalt see rojo keeni chaie
G bilkul court jana pare ga for more information 03244010279 whatsapp
DeleteAssalam o alaikum sir,Meray dada nay yani k meray ammi k abbo nay mery ammi ko apnay jaidad main say 2 kanal kee zaman dy dee jiss may hum nay dada G k marnay say pehlay ghar banaya.aur ubb mera dada G wafat hogia hai thu uskay baitay yani mery mamo keh rahay hai k aap iss jaga say apnay ghar ko hatawo aur hummay baar baar thung kartay hai.Thu ubb hum kia kar lain sir please info.....
ReplyDeleteAoa sir... Mari ami ki death ho gai hai aur mari ami ne mare mamo Se zubani kaha Tha k Mujhe hissa nahi chaiye... Liken main apne mamo Se hissa Lena chahta hun apni ami ka aur jo rent mare mamo lety rahy hain building ka us rent ka b hissa Lena chahta hun mamo Se. 5 saal Se rent lety rahy mamo.. Aur mari baqi ki 2 khala mamo k sath hi rheti hain wo ghawai deti hain k mari ami ne kaha Tha k Mujhe apne bhai Se hissa nahi Lena... Bus zubani yea baat hui thi koi wretn nahi Hoi.. Kia hum mamo pe case kar skty hain
ReplyDeletew salam jee bhai zubani kehne se hissa khatam nhi hu jata app ko civil court main diclaration or partation ka case karna hu ga or apne nam per warasat karwana hu gi .
DeleteA.O.A
DeleteSir ager jointed property ho us ke partition kasa ho ge jo tarika taqseem kanogo ko tehsildar order krta ha wo kasa write krna ha kindly wo to baty urdu ma kasa write kara gay
thanks
your question is not able to understand plz call or whatsapp 03244010279
Deleteسر میرے نانا ابو 19فروری1947 کو فوت ھوے، ان کی اولاد میں ایک بیٹا اور ایک بیٹی تھیں، انتقال وراثت جون1948 میں بنی میرے ماموں صاحب نے اس وقت اپنے آپ کو واحد وارث لکھوا کر ساری جائداد اپنے نام کروا لی، اب میری والدہ بھی فوت ہو چکی ہیں، کیا اب انتقال ٹوٹ سکتا ھے، مہربانی فرما کر اپنی قیمتی قانونی راے دیں، مہربانی
DeleteG intaqal toot sakta hai kionke unhon ne intqal ghalat biani kar ke or aap ki walida ko exclude kar ke karwaya hai. warasat main time limit nahi hai or aap apna haq le sakte hain .
DeleteVery good info
ReplyDeleteSalam Sir. hum ne apne chachazad ky saat taqseem ka case kia tha..bad me humne personal reasons par wapas lia. kia doobara open karsakte hain. Neez case me position kharab to nahi hogi?
ReplyDeleteW salam . g case jab wapis lena hu tu jiss wajah se lena hai, agar sulah hu gai hai tu chachzad ka bian karwa dete hain court main.ya wajah bata kar wapis lete hain mujhe nahi pata k aap ne kio wapis lia case. per aab agar aap dubara karna chahte hain tu naia case karna pare ga or iss main pehle case ko chupana nahi magar us main reason batana hu gi k pehle kis wajah se wapis lia
DeleteSir apna no send karna plz
Delete03244010279 whatsapp
DeleteSalam Sir ek 60yrs purana zameen ka tabadala hy.written proof nhe hy.ab ek fareeq apni zameen jo K un K walid ny tabadly mn d thi q k wirasat mn chal rahe hy tu bechna chah rahy hn jb K dosra fareeq zabani tabadala aur qabza p qaim hy ab koi settlment bhi nhe horahi tu kia unko bechny se roka ja sakta hyTabadla krny Waly bandy wafat pa chuky hn aur dono apni zindagi MN apni Zamen tabadly K baad wali divide kr gye thy laiken q K document mn wo maalik hn tu jo tabadaly ki mehngi wali zameen ha wo bechna chah rahn hn koi legal guidness dy Dein.
ReplyDeleteW salam dukh hota hai k hum logo ko kia hu gia hai hum pese ki khatar apna eman bech dete hain. app ke case main agar aap k pass itna purana qabza mojod hai tu gudawri waqhira aap k nam pr hu gi or aap ki ju zamin wo kashat kar rahe hain us ke documents bhi hun ge wo sare sath laga kar zameen pr stay lagwa dain or apna case larain. aap ka case inshallah zubani shahdto se prove hu jai ga
DeleteAger un k 4 bhaio mn ek bech deta hy Apna hissa.tu khardiny wala taqsim K baad qaabza Lena chahy GA tu tabdly waly qabza wapis kaisy mantain rakh sakty hn
ReplyDeleteMe 3 Bai ki ikloti behn Hun bare Bai ne mere hisy ki zameen farokht ki or intiqaal per me ne Sign bi Kia or tabadla me dosri jaga zubani gawahon or sub k samny accept bi kia, Baad me who hissa chup k bechne ki koshish ki magar kamyaab na ho saka, ab humy Kia krna chahea koi qanoni mushwara dein.
ReplyDeleteG khwateen se guzarish hai k wo khud apne hath kat kar na dain. abhi bhi kuch nahi hoa aap ko hisa nahi mila tu mile ga . aap ko civil court main dawa karna ho ga k mujh se bhaio ne dhoka dahi se likhwa li property k aap ko hisa dain ge magar nahi dia aap ko mile ga hisa. bas dat kar lena pare ga.
DeleteAOA
ReplyDeleteSir hum 4 Bhai r Eik sister hain Eik Bhai ki death ho gi hai us ki apni personal property thi us ki Shaadi ni hui thi Ami Abu hayat hain
Us ki property k share kaisy banay k
walid walida ko or bhaio ko mile ga un k share k hisab se
DeleteMere nani ki zameen hy wo foot ho chuki sab bhan bhai ak bhai ko daina cahty hain aesy my koe ak bhan ya bhai apna hissa laina cahy to kya mily ga hissa ?
ReplyDeleteG agar sab waris apna hisa kisi ko dena chahte hain tu de sakte hain. Magar aik waris hisa lena chahta hai tu wo le sakta hai. cases wohi declaration or partation .
DeleteAssalamualaikum.
ReplyDeleteMera aik kanooni pehlu ka masla hay usmein aap ki rehnumae ki zaroorat hay.
MERA Nana Nani ka inteqal pichlay saal he huwa hy. Jab k Meri walida ka intekal 16 sal phlay hogya tha. Walid ka bhi 14 sal phlay inteqal hogya tha. Mery Nana ki wirasat jaidAd men kya nwasay nawasyoin ka hissa mojood hy...!?
Rehnumae fermayay.
JAZAKALLAH.
ASSALAMUALAIKUM.
W salam . G aap ka hisa banta hai. aap ki walida ka hisa nikala jai ga or wo aap main taqseem hu ga
DeleteBuhat buhat shukrya aapka, JAZAKALLAH ap k reply k liyay...
Deletekya aap aik choti si favour ker saktay hein k yeh jo kanoon ka point hay ya jo bhi book of law mein yeh refference likha huwa hay ya kisi case ka refference ho jismein yeh faisla diya gya ho...uska screen shot ya details mil sakti hen. Apki buhat karam nawazi hogi.
Once again shukrya or JAZAKALLAH.
Muslim family laws Ordinance 1961
Delete4. Succession.– In the event of the death of any son or daughter of the propositus before the opening of succession, the children of such son or daughter, if any, living at the time the succession opens, shall per stirpes receive a share equivalent to the share which such son or daughter, as the case may be, would have received if alive.
JAZAKALLAH buhat buhat shukrya.
Deletesalam bhai mera question ya ha k main ny aik zameen 2014 main kharidi or uspa qaabiz ho gya, khasra gardawri k register main entry hui meri k main moqa pa mojood hon 2014-15 main. Ab 2020 main jab main wahan ghar banany laga tou muj pa aik banday ny dawa dair kr dia k ya meri zameen ha or mery qabzay main thi,ab stay ho chuka ha or mera tameer ka kam ruk gya ha, takreeban 5 lakh rupay kharcha mera ho chuka tha lekin chat nai pari thi, ham dono ka us khewat or khasra main same hisa 1, 1 kanal ha. us banday ka kehna ha k main ny ya zameen 2008 main kharidi or qaabiz tha is jaga pa. mazay ki bat ha usko bechanay wala b wakeel ha or wo banda jis ny mujpa case kia ha wo b wakeel ha. main ny abi tak tameel nai ki or na jawab dawa dair kia ha, hearing 15 din k bad ha. mujy batain k mujy kya karn chahya. wo banda jirga ki surat main aya tha or keh ra ha k jo kharcha apny kia ha wo main pay karta hon or nishandehi karwatay hain apki jahan jaga nikli ap wahan sy la lo main ya jaga nai choronga halla k main moqa pa hon or mera material mojod ha or qabza b bhara hua ha.
ReplyDeletew salam bhai agar aap k pass documents hain tu thik hai or aap ka kabza bhi hai. baith kar baat kar lain agar koi hal nikal aata hai tu behtar hai warna phir apna case larain Allah khair kare ga.
DeleteSir humara taqseem ka dawa chal reha tha thseeldar nay dosri party kay haq mein faisla diya hai
ReplyDeleteab is ki appeal kis kay pass ki jaye gi, AC kay pass ya DC revenue kay pass? please bata dain
Sir ja aslam Mary 2 saly ha ar 8 saliya ha or Bara bahi bahno ko hasa nahi Dana chata ha or 12 caly zamen ha in bahino ka katna hisa ha kya bahi asya Kar sakta ha
ReplyDeleteG bilkl hissa banta hai aap ki wife or us ki bhaino ka aap agar wo nahi deta tu civil court main case kar ke le sakte hain
DeleteAsalam o alykum, Meri sagi phopo ki death 2019 mai hoe hy jabkah mery abu ki death 2014 mai hoe hy, or phopo ki koe olad nae the unkay husband ki b death 2020 mai hoe hy, unkay b koe rishty dar nae hain mery phopo ki ak behan or 2 bhae abe zinda hain. Kia hamara warasat mai koe hissa banta hy??
ReplyDeleteA.O.A sir!
ReplyDeleteMere father ki death ho chuki hai or ghar unke name tha ab mother ke name huwa please ap bta dein ke humein humara hissa mile ga ya nhi? 2 sisters married hain or 1 bhai hai unmarried iske elawa b hum 2 sisters hain means total 4 sisters or 1 brother.Meri family hum 2 behno ke expenses b pure nhi kr rahi papa ki pension mein se b paise nhi de rahi or humein marte b hain ap please guide kr dein humein kia krna chahye abhi 4 din pehle humare sath domestic voilence huwa mere pax pictures hain wounds ki but bilkul b paise nhi koi case krne ke liye.. ap please guide kerein kia krna chahye jisse humein paise mil jaye means ager possible hai to pension se hi hissa mil sakta? Please reply me i'm worried bhooke rehna par raha job b nhi mil rahi
Sir hum per kisi ne sarkari taqseem ka dawa kiya ha lekin jis zameen per dawa kiya ha us per hamari abadi ha aur iss ke sath qabza aur intiqalat be mujood ha hamaray pas lekin mukhalif paisa boht laga raha ha tu sir hamari position mazboot ha ke nahi?.. thanks sir
ReplyDeleteaPP KA SWAL CLEAR nahi hai sarkari zameen hai tu wo goverment khali karwati hai.
Deletewalid zinda hen or ghar se nikalne ka thread dete hen jb k ghar ka kharach bhi me uthata hn , me jaydad se apna hissa lena chahta hn , kya walid k zinda hote hue ye possible ?
ReplyDeleteKisi bande ki zindgi main aap us ki marzi k bghair hisa nahi le sakte warasat milti hai after death.Maan bap se bartao ka sahi tareeka yeh hai ke wo ju bhi kahain chahe ghalat hu ya sahi hu aap ne kehna hai k theek hai din ko raat kahain raat kaho un ki izzat karain or daikhain phir bahar aati hai ya nahi . Ot waldain se lar kar or batmizi kar ke phir din ginte
Deletejain k kitni jaldi zawal aata hai
bs me chahta hn k wo mujhe ghar se nikalne ka tana nhi diya kren , qn k agar me ghar se gaya tu khud un k khane pina ka masla hoga or zahir si baat he me bhi alag ho k sahi nhi reh paon ga, me abhi single hn koi dhang ki rihaish bhi nhi mil rahi, ab me kya krn ?
DeleteASLAM O ALAIKUM SIR!
ReplyDeleteMA NE 10 SAAL PEHLE AIK ZAMEEN BAE KI JIS KI REGISTRI FAR WAGAIRA B MERE PAS HAI AUR AB 10/02/2020 KO TEHSILDAR KI TARAF SE MUJE NOTICE MILA HAI KEH AP 10-02-2020 KO APNA ADALAT ME JAWAB JAMA KRWAI WARNA AP KE KHILAF QANOONI KARWAI KI JAIGI JIS PR MA HAIRAN HOON KEH MERI AB WHAN REHAISH HAI AUR MERA QABZA B HAI AUR REGISTRI AUR FARD WAGAIRA B HAI LEKAN NOTICE ME LIKHA HAI KEH TAQSEEM ARAZI KA PROLEM HAI JO KEH KISI DUSRE KE NAAM PR HAI HALANKEH MERA AB WHAN GHAR HAI AUR MA NE WHO KHAREED KI HAI ES BARE ME MERI REHNMAI FARMA DEIN KEH KYA MUJE WAHAN ADALAT ME TEHSILDAR KE PAS JANA CHAHEYE YA NAHI AUR YEH KEYA MASLA HAI?
W salam .
DeleteG bhai aap jain or ja kar court se tamam copies of file ju ke case hoa hai tahseeldar k pass le kar aain phir pata chale ga k kis ne case kia hai aap k khalaf or us ka kese haq banta hai.blkl jane main kotahi na karna warna court us ke haq main faisla kar de gi
Aslamualikum sir hamari zameen ka b masla bana hoya ha sir hamaray grand father nay tbadla kiya zameen kay badlay zameen di thi lekin sir wo tbadla zabani tha koi written main nahi tha aur ye bat sir 60, 70 years old ha aur tbadla karnay walay danoo fareek foot ho chukay hain to sir us zameen par 40 saal purana kacha mukan bana hoya tha sir moon soon ki barishoon say wo bht boseeda ho giya tha to sir hum nay us ko gira kay dobara tameer shoroon ki to sir mukhalfeen nay hum par bay dakhli ka case kar diya sir ab humain kiya karna chaye koi ranmai karin.
ReplyDeleteW salam bhai aap aisa karain k un ke sath baith kar baat karain or agar wo nahi mante tu ju jaga ka tabadala hoa tha aap us ki bedakhli lagwa sakte hain. ya aap ko yeh dwaa ju aap ke ooper hoa hai iss ko sabat karna pare ga ke jhoot hai through gwaho ke. purane door ke log the wo kache kam karte rahe yehi wajah hai aaj kal courts main cases ki baharmar hai.
ReplyDeleteSir aj sy 20 sal phyly bap ny byto ky nam zameen ki registry krwa de the or ab byti hissa lyna chay court sy to usay mil skta kia?
ReplyDeletebht bht mushkal hai. jab bap ne apni zindgi main beto ke nam pr registery karwa di tu wo karwa sakta tha.abb agar bap ke nam pr kuch nahi or ju zamen beto ke nam pr registery hoi hai wo bap khud karwa kar gia tha tu ab aap ko kuch nahi mil sakta. wese supreme court ki aik authority suni hai jiss main supreme court ne betion ko hisa dalwaia tha.searh karna pare ga agar koi aisa case law mil jaye tu shaid aap ka kam ban jaye.
Deleteaoa sir,mary walid sb mari dadi sy 3 month pahly fot hoy thy.mary 2 chacho mari dadi sy 11 sal pahly fot hoy thay,mary chacho k bachon ny 11 sal pahly hi dadi ka 6th hisa jaidad sy nikaly bagair apny walid ki jaidad apny name dadi ko 11 sal pahly hi fot show krva kr intiqal krva lia tha,ab unki larai hamari phopho sath ho gai,to phopho ny un pr apni walida mtlb dadi ka 6th hisa lany k liay dava kr dia.main chota tha bt jb ab intiqal karvany gia,to patvari ny mary walid ki jaidad sy dadi ka 6th hisa nikal kr.mojy fard bna kr di,mara house 2.50 marla ha,mary 4 uncle and 6 phopo hain,bt 6th hisa sirf aik phopho zid sy sirf tang krny k liay mang rahi ha,bcz dadi ka 1/6 hisa ka agy 10 hisy banty hain,aur live chacho one aur live phopo 4 hain,sirf aik phopo jo tang krhi ha,vo kahti ha main ny hisa sale krna ha,na dana ha,sari umr tom logon ki jaidad main apna name ka hisa rakha kah zalil krna ha,plz koi qanoni rasta btain,kah mari unsy jan chot jy ,main zalil na hon,mary walid b wakeel thy,bt wo boht sharif thy,main aik bahi aur 2 bahn hain,wo dono bahny b mary sath hain,plz koi proper rasta btain,main phopo ka nechy ni lgna chata.plz reply
Deleteaoa sir,mary walid sb mari dadi sy 3 month pahly fot hoy thy.mary 2 chacho mari dadi sy 11 sal pahly fot hoy thay,mary chacho k bachon ny 11 sal pahly hi dadi ka 6th hisa jaidad sy nikaly bagair apny walid ki jaidad apny name dadi ko 11 sal pahly hi fot show krva kr intiqal krva lia tha,ab unki larai hamari phopho sath ho gai,to phopho ny un pr apni walida mtlb dadi ka 6th hisa lany k liay dava kr dia.main chota tha bt jb ab intiqal karvany gia,to patvari ny mary walid ki jaidad sy dadi ka 6th hisa nikal kr.mojy fard bna kr di,mara house 2.50 marla ha,mary 4 uncle and 6 phopo hain,bt 6th hisa sirf aik phopho zid sy sirf tang krny k liay mang rahi ha,bcz dadi ka 1/6 hisa ka agy 10 hisy banty hain,aur live chacho one aur live phopo 4 hain,sirf aik phopo jo tang krhi ha,vo kahti ha main ny hisa sale krna ha,na dana ha,sari umr tom logon ki jaidad main apna name ka hisa rakha kah zalil krna ha,plz koi qanoni rasta btain,kah mari unsy jan chot jy ,main zalil na hon,mary walid b wakeel thy,bt wo boht sharif thy,main aik bahi aur 2 bahn hain,wo dono bahny b mary sath hain,plz koi proper rasta btain,main phopo ka nechy ni lgna chata.plz reply
ReplyDeleteAoA,
ReplyDeleteSir hum 5 bhai or 2 behny he walda foth ho chuki ha waled ne dosri shadi ki howi ha,hamara 5 marly ka gar ha bahen bhaio ki shadi ho chuki ha pr waled ne kesi ko b jaedad me hesa nhe diya ha ab waled sahab gar bechna chahta ha halanky hum sub osi gar me rehty hen to kis tarha hum gar ko sell krny se bacha sakthy hen any advice please,I'm waiting for reply
Assalam o Alaikum! Sir hamry ghar PR qabza kya hoa ha meri mami NY kerwaya ha to 4 saal sy wo un sy rent leti ha hmy qanuni tor PR mil gaya ha lakin hum qabza Lena chahty ha kesy ly un rent walo sy koi iqrar nama nahi likhawya mami NY or rent khati ha or property hmri ha or qbza us NY krwa k rent leti ha hum kesy qabza le plz tell me
ReplyDeletewa salam Ghar per qabza kio kia or aap khamosh kio hain jiss ke nam per malkiati documents hain wo inn ke khalaf bedakhli lagwai or inn ko bedakhal kar ke qabza le lain.
DeleteSir mery Abu 1997 mai fout howay thy or Mera dada 2008 Mai to Kiya hum bhi dawa kar skty hai Kay nahi.humary case ko 1 year say oper ho gya hai lakin abhi tak koi mukhalaf party nay application nahi jama karwai or Judge nay bhi koi action nahi liya
ReplyDeleteالسلام علیکم علیکم میں آپ سے اس معاملے پر بات کرنا چاہتا ہوں. میرے دادا دو بھائی اور ان کے چار چار بیٹےتھے ان سب نے بیٹھ کر زمین کا فیصلہ کیا اور سب نے منظور کرلیا کچھ نے گھر بنا لیے اور کچھ زمین ایسے ہی چھوڑ دیں
ReplyDeleteمیرے مگر میرے تین چچاؤں کی وفات کے بعد ان کے بچے ان اور جو حصہ اس فیصلے میں میرے پاس آیا تھا اس پر زبردستی قبضہ کر رہے ہیں مجھے کیا کرنا چاہیےزمین پر
App ko stay lena pare ga fori or taqseem ka dawa karna hu ga.Jaha per log bghair taqseem kiye hoe jaga per raqam kharcha krte rehte hain un ko baad main mushkalat ka samna karna parta hai
DeleteIs ka ans chahiye
ReplyDeleteSir mera masla hai humri property hai us py humry 2 uncles ny apny gar banye hoay hain,taqreban 2 kanal py abh mje btyn k is jagha ki taqseem ka behtreen solution kya haii kyu k mai court k mamlat sy bilkul nawaqif hon r IN SHA Allah agr mera masla apki rahy sy hal hojata haii..toh maii apko shukrany k tor py fee b doun ga..
ReplyDeleteAoa G bhai aap ka khata mushtarka hai or aap taqseem chahte hain ju aap case hai agar wo pehle taqseem nahi hoi tu aap dawa dair karain ge taqseem e jaidad ka or court taqseem kar de gi apne tareeke se jiss main sab ko equal rakh kar taqseem kia jai ga. agar unho ne ghar banai hoe hain tu aap sab hisa dar khud hi baith kar khangi taqseem kar lain or us ka ishtam bhi banwa lain or phir us ko register karwa dain. or agar hisa daran nahi mante ya baith kar taqseem nahi hu sakti tu phir court kar ke de gi. yehi iss ka hal hai zarai zameen ko mehkma mall taqseem karta hai or urban areas ya shehri abadi ko civil court . aap mazeed malomat ke liye call kar sakte hain
DeleteBhia humare zameen ke taqseem ho rhi hia hum rokna chty hia
ReplyDeleteSir humare zameen 1200 krnal py mustmall hia jis mia hous aur qabristan hia hum nih chety k taqseem ho koi acha mashwara pleaz dean
ReplyDeleteTaqnseem karwana sab parties ka haq hai agar zameen zaree ho tu revenue department ke through hu gi or agar rahaishi property hai tu wo through civil court ke through hu gi iss ke ilawa agar tamam parties aapis main mil baith kar khangi taqseem bhi kar sakti hain.
DeleteSir aoa hamrey Barry behnoy ney Meri walida sey hamara makan pahley apney dost key naam lagwayia phr makan ko sale karwa dia ham 3 behano ko hisa nahi mila mery walida esi gam k sath dunyia sey chali gaein walid sahib pehley es duniya sey chaley gey thay hamari qanooni rehnamay Kijiye 03129667273 faisalabad
ReplyDeleteWa salam aap ka swal samjhne ke qabil nahi hai agar kisi ne makana dhokey se nam laqwa bhi lia tha tu un ko qabza nahi dena chahye tha or case kar intaqal ko thk karwate or police main bhi parcha hu sakta tha walida ko pata nahi tha tu aap sath mil kar kar lete . magar jab walida intqal kar gain or unho ne apni zindagi main challange nahi kia tu aap ke liye ab bari mushkal hu ga. phir bhi aap try kar lain Allah khair kare ga
DeleteSir meray abu ki phuphi ka beta nikal aya hy hisa mang raha hy court mein case hy jb jaidad tqseem hoi to pora qanoni taqazay poray kiyay uski biwi bhi hisa daar hy ab us ny case kia hoa hy us ka kia krna chahye jb uski biwi ko hisa dia ja raha tha to usko sub maloom tha
ReplyDeleteAgar wo jaidad ke warsan main tha tu us ko hissa milna chahye tha na ke us ki bv ko or kisi bhi waris ko property main exclude karain ge tu yehi hall hu ga
Deletesalam sir main ne ye maloom krna tha kia karobar per stay lia ja sktaa h karobar walid k name per ho walid ka intiqal ho jaye stay leny sy karobar seal ho jye ga?
ReplyDeletenahi karobar seal nahi hota. status co hota hai je ju ka toon rakha jai.
Deleteor ham 3 bhai hain main married hon or aik bra bhai married h main bhio main chota hn mushtarka systm chal rha hy jb k mjhe mushtarka systm sy koi khrcha ni dety bhai karobar walid k name hy iska kia treeka ho ga kesy apny hisy ka khrcha ly skta hn
ReplyDeletetaqseem ka dawa hu ga civil court main us main tamam property include business ki taqseem hu gi
Deleteaik bhai khta h karobar mera h jb k karobar walid k name ragister hy is per bhe stay ho skta h?
ReplyDeleteAgr kisi k pass walid ki zamen py ziada qabza ho or dosry bhi k pass km zameen ho ziada zameen wala taqseem ka dawa kr skta kya
ReplyDeleteBhai aap ka mamla civil court main chale ga ju property shahar main hai or business ki taqseem ka. business pr or property per stay laqwa dain or os ke baad court reciver maqarar kar de gi karaya or profit collect kar ke court main jama karwane ke liye or sab se pehle declaration ka dawa karian or waras declare karwa lain or us ke baad aap taqseem ka dawa kar dain.
DeleteAssalam-o-Alaikum sir
ReplyDeleteSir meri anti ka divorce ho gya hai or unka beta sath rehta un k...unka beta chahta hai k us k papa usko property mein hissa dein lekin wo nai dy rahy...kehty jesy ly sakty ho ly lo...to ap sy pochna tha k court k through lein to kesy lein..mtlb process bta dein..
Secondly agar itny paisy na hn lawyer wagera k lye to hum ny suna k direct d.c ko application dein to masla hal ho jayey ga...court mein paisy b nai lagein gy..plz ap btayein gy k kia solution hai is issue ka???
Wa salam bete ka koi hissa nahi banta jab tak bap zinda hai. property main hissa bap ki wafat ke baad milta hai jab tak wo zinda hai bete ka aik rupia nahi banta property main se. or agar beta aisi harktain kare ga tu bap bech kar ya wese hi kisi or ke nam transfer kar de tu bete ko wafat ke baad bhi kuch nahi mile ga so bete ko chahye ke hissa mangne ki bajay bap ki khidmat kare.
DeleteSir wo beta bechara 12 saal ka hai school ke fee k paisy b nai hoty un k pass...anti factory ja k kam krti hein..us 8 hazar sy sirf roti or factory jany ka karaya pora hota..baap ny dosri shadi ke hue wo usko ghar nai rakhta to khidmat kesy kry wo??
DeleteWo chahta hai k agar property ka hissa mil jayey to wo parh e ly kuch
court main kharcha ka dwaa karain.
DeleteAOA Sir, We have a shop. We have a suit for partition in court g. Warasat nama is also with us and registry is with father name who died in 2008. One of our brother has possession of this shop and replied in the court that He had given money to our father to purchase this shop as Benami in 1996.
ReplyDeleteBut the warasat nama is also made by him in 2011 as plaintif,
Can you pl guide us how to tackle his claim Benami?
In warast nama our every one name are written and order is also passed by the court in 2011.
M. Muneer
Yeh koi ziada mushkal nahi hona chahiye us ka source of income kia tha us waqat or us ne kaha se pese liye the bank se nikalway the tu remittance certificate from concern bank or us ke sath zubani shahdat bhi or yeh bhi us ko kia zaroorat thi. dono tarf se shahdtain hun gien tu sari baat khul kar samne aa jai gi
DeleteActually he claiming false as this shop purchased by our father.
ReplyDeleteM. Muneer
Aoa
ReplyDeleteKya mushtarqa zameen ki taqseem hony se pehly kasht change ho skti hai
Aur agr kasht change ki gai ho to us ko kaisy cancel krengy?
Hamari zameen hai mushtarqa Jis me Meri kasht 55 saal se chali aa rhi hai us me Aik fareeq ne Jo k land mafia hai meri zameen pe tractor chala k assistant commissioner ko paisy de k kasht apny name krwa li is k baary me law Kya kehta hai?
ReplyDeletepolice station main application dain or agar police bat nahi sunti tu dpo ko application dain
Deleteor agar ac malwas hai tu us ke khalaf DC ko appliction dain
agar appliction per karwai nahi hu tu hum ko batiye ga hum high court main writ kar ke karwai karwa dain ge
police station main application dain or agar police bat nahi sunti tu dpo ko application dain
ReplyDeleteor agar ac malwas hai tu us ke khalaf DC ko appliction dain
agar appliction per karwai nahi hu tu hum ko batiye ga hum high court main writ kar ke karwai karwa dain ge.
Asslam o alikum sir
ReplyDelete27 saal pehly merry walid sahib merry grandfather ki property chor kr rent pr agy thy 3 sal bd apni property m shift hogy aur us doran kisi na property ki keys LA li Ku k grandfather k ghr m aik room tha jidr hm rhty thy uska aik sal bd merry papa foat hogy unky 6 months bd grandfather bi foat ho gy ab Jo hmra room h wo bi chacho logo na tor dya hua h aur drmyan m dewaar kr di Hui h aur rah rhy h hm jb bi jaty h hisa leny khty h DA gy jb hoga ab hm knsa case kry gy to hisa mily ga
Wa salam aap ko sab se pehle banwana hai death certificate dada ka or walid ka us ke baad declaration lena hai or warsan declare karwane hain us ke baad ap property ki taqseem ka dawa kar ke apna hisa le sakte hain. agar taqseem hu sakti hoi tu court kr de gi agar na hu sakti hoi tu sale kar ke shares taqseem hu jain ge warsan main
DeleteSir aoa.Sir ye pouchna ta ke pt1 property sale karne ka kiya tarika hai.
ReplyDeletePt1 documents tax ke hain na ke wo malkiat ka saboot. Agar property Ishtam wali hai tu ishtam pr farookhat hoti hai or agar registery wali hu tu registery pr
DeleteAslam o alakum sir. Mery walid sab k nam py 6 marla zameen ha jo k warasti zameen ha. Mery taya ne apna hisa sale kr dia ha. Or mery dada ka chacha zad bahi ha us ne wahn sy apni zameen sale ki sari or jis py sale ki usy hmari 10 marly ka qabza b dy dia. Yeni usy zameen ka number hmary gharo wali jga sy dia or qabza hmari dusri jga sy. Wo kehta ap k ne kahi or sy khana kasht zameen bechi ha us ma uska hisa sirf 2.5 marly ha or ab usk bachy 5 marly k badly 10 marly harap krna chah rhy ha or abi jis k pass hmari zameen qabzy ma ha 10 marly agr hm us sy leny jaty ha to wo kehta ha apk dada k chacha zad bahi ne mjy apki zameen sy number dal k dia ha jo k apk ghr k nechy sy b main ly skta hn. Please ap guide kary hamy ab kia krna chaye merbanii hogi sir ham chah rhy ha hmary dada ne khana kasht ma unki ziada zameen jo k tarebn 5 marly ati ha wo dyain or hmari 10 ma sy jo 5 rehti ha wo hamy mil jay
ReplyDeleteAslam o alakum sir. Mery walid sab k nam py 10 marla zameen ha jo k warasti zameen ha. Mery taya ne apna hisa sale kr dia ha. Or mery dada ka chacha zad bahi ha us ne wahn sy apni zameen sale ki sari or jis py sale ki usy hmari 10 marly ka qabza b dy dia. Yeni usy zameen ka number hmary gharo wali jga sy dia or qabza hmari dusri jga sy. Wo kehta ap k dada ne kahi or sy khana kasht zameen bechi ha us ma uska hisa sirf 5 marly ha or ab usk bachy 5 marly k badly 10 marly harap krna chah rhy ha or abi jis k pass hmari zameen qabzy ma ha 10 marly agr hm us sy leny jaty ha to wo kehta ha apk dada k chacha zad bahi ne mjy apki zameen sy number dal k dia ha jo k apk ghr k nechy sy b main ly skta hn. Please ap guide kary hamy ab kia krna chaye merbanii hogi sir ham chah rhy ha hmary dada ne khana kasht ma unki ziada zameen jo k tarebn 5 marly ati ha wo dyain or hmari 10 ma sy jo 5 rehti ha wo hamy mil jay
ReplyDeletebhai aap ka case taqseem e jaidad ka banta hai aap ko taqseem karwani chai thi bht phrlr. zameen zari hu tu revenue wale taqseem karte hain or agar residential jaga hu abadi main tu civil court taqseem karti hai aap ka khata sanjha raha hai aap abhi bhi us ki taqseem karwa lain or apni jaga elehda kar lain sab kuch thk hu jai ga
AssalaM-O-AlikuM mere Dada Abu ny wafat sy phly apny 3 beto K naam zameen kr di or mere baba K nam NH ki... Ab usi zameen py jahan hmra ghr h hmri phopo NY dawa Kiya or zamween sb mein taqseem Ho gai... Yani phly jo 3 Chachu K name zameen thi Wo bh unki or hmry ghr ki zamewn sy bh unhy hissa mila brbar ka
ReplyDeleteMera sawal yh tha K kiya Hum un py wapis case kr K zameen ly skty hain ya koi esa tareeqa jis sy puri ki puri Dada Abu ki zameen jo Chachu log K name py bh h Wo brbar taqseem Ho jaye please guide kijiye ga
wa salam bhai ju zameen ya property apni zindgi main un ke nam intqal hu gai wo aap kese le sakte hain ju property un ke nam thi marte waqat wo taqseem huni thi bas
DeleteSir
ReplyDeleteMera sawal ye that k ek khewat men hamari mushtarika Zameen Hy 51 kanaal or is khewat men 7 khasry hen jab k hum us khewat men 10 kanaal k Malik hen Hamari Zameen mushtarika Hy or us men sy hamarey qabzy men b 10 kanaal he Hy Baki sab k pass apny apny hissy ke Zameen puri Hy Lekin co-sharers NY hamarey qabzy wali Zameen men say APNA hissa sle kar diya Hy or ab kharidar hum sy APNI khareedi hue Zameen ka kabza Lena chahty hen jab k hamarey pas utna he kabza Hy jitni k hum Malik hen to Kya wo zabardasti hum sy kabza ly salty hen?jab k seller k pas b qabza poora mojood Hy to wo apny qabzy sy jagha q nahen day rahy
bhai us per stay le lo fori or taqseem ka dawa kar du revenue department main. or jab taqseem hu jai gi jaga tu phir us ko hissa mil jaye ga ju kharidar hai
DeleteAssalam o Alaikum sir, agr kisi bandy k name ghalat darj ho land record k andar or us bandy ki death ho gaye ho to name kesy darust ho ga
ReplyDeleteUs k id card bhi ho or death certificate bhi.
civil court main dawa karna pare ga. land revenue ko party bana kar.call or whatsapp 03244010279
DeleteAslam o elakum sir Mary walad Sahab main 2 sal ka tha foat ho gay Hain UN key nam 100 kanal agricultural raqba Hy aur Dadi ka hissa 33 kanal b Hy yani kul133 kanal raqba Hy ab Mari umer 51 year Hy main APNA hissa bachna chahta Hoon but bahi kehty jaidad seperat Nahin hoi Tum APNA hissa alag ker ky sale ker sakty ho jaidad alag kerny ka Kiya treeqa ho ga Kiya documents lagain gi Kitna khercha ho ga Kitna waqat lagy ga jaiydad tehsil dunnya pur disstric lohdran Punjab Pakistan main Hy jab k hum Islamabad main rehty Hain raqba thaky per deya Howa hy
ReplyDeletehmara ek masla hy wo ye k abdul ghani k 3 bety thy abdul hameed abdul aziz or jamil ahmed . 1986 mai abdul hameed yani bety ki death ho gae phr us k baad 1989 mai abdul ghani yani baap ki bhi death ho gae . baqi abdul aziz or jamil ahmed ki biltarteeb 2018 mai hy yaky baad degry death ho gae . jb k abdul ghani ki widow ki death 2003 mai hui . ab abdul hameed k bechy dada ki wirasat mai se apna hissa mang rhy hain jb k wo daraul ifftah ka fatwa bhi manny se inkari hain k unka koi hissa nhi . ap se request hy k plzzz hmari rehnumai farmaien k pakistan ka aaien is bary mai kia khta hy k aaya abdul hameed k becho ka dada ki wirasat mai koi hissa hy ya nhi or agr hy to kitna hissa hy or kese taqseem hoga . abdul hameed k 7 bety or 3 betiyan , abdul aziz k 2 bety or 3 betiyan or jamil ahmed k 6 bety or 5 betiyan hain .
ReplyDeleteplzzz reply me or kia hm ap se whatsapp k num pr rabta kr saktu hain .
ReplyDeleteAssalamualaikum Sir g kiya government k ishtam paper kisi b qism k iqrar namy pr police fir kr sakti hy ya nahi
ReplyDeleteAssaslam o Alaikum sir
ReplyDeleteHum log 4 behnin aur 3 bhai hn
Hmary walid sahb ki 2017 mn death hogyi thee,mery 2 bhaiyon ne hmary ghr p qabza kr lia hy,mujhy talaq hogti thee tu mn apny walid sahb aur walida k sath hi rehti thee
,Mn ne apny haq mehr ki raqam se apny in dono bhaiyon ki Shaadi kr wai, mery bhai ne mera zewar chori kr lia mera mobile chori kr lia,jb mn ne sikayat ki tb se wo log mery dushmn bn gye hn,mujhy mara pita, phir mn apni sister k ghr chli gyi 2 months k bad meri walida mujhy smjha bujha k wapis le ayin,kuch months k bad usi bhai ne pgir Mujhy mara pita aur qatal ki dhmkiyan din,mn baro mushkil se jaan bacha k bagi, meri walida bhi mery sath agyi hn,ab bhai mujhy preshan kr raha hy k us ne mery kipaf police mn fir katwa di hy mn agr ghr ayi tu mujhy jail mn band krwa dega,hum bht mushkil se 1 kamra rent p le reh rhi hn,koi meri madad k liye tayar nhi hy
App ko apne walid sab ke legal heir declare karwane hun ge or us ke baad taqseem ka dawa kar ke property ko taqseem karwana hu ga. or agar aap ke sath koi mar katai karta hai tu aap ko foran 15 pr call karna hu gi ya women safty app apne mobile main download kar ke rakhain or mushkal parne par foran call karain.aap ka basic case hai or aap ghabra rahi hain call me 03244010279 whatsapp
DeleteHelo sir me janna chahta hn ke mere abu ki death ho gi thi wo 3 bhai or 2 behen thi ek behen or ek bhai ji nere abu thy on ki death ho gi thi or ab ek bhai jo mere chachu hyn unki bi death ho gi hy ab unka waris koi nehi hy ab me ap se janna chahta hn ke ab un ki ji jaedad hy wo jo zinda hyn ek bhai or behen un ko sirf gae gi ya jin ki death hi gai hy unke bacho ko bi gae gi
ReplyDeleteaap ne nahi bataya ke jaidad kiss ke nam hai agar aap ke walid ki hai tu wo ulad main taqseem hu gi agar nareena olad hai tu. or agar nareena olad nahi hai tu phir bhai bhaino ko bhi mile ga hissa
DeletePehle aap declaration ka case or legal heir declare karwa lo us ke baad taqseem ka case kar ke apna share le lena.
ReplyDeleteMera sawal ye hai ghar meri nani k naam pe hai meri walida nay suit for partition & pernement injuction ka case daala hai hearing chal rahi hai mere mamo ye bol rahy hain judge ko hum road pe ajaege wagera wagera lakin hissa de degay to zara bataegay ab hearing pe kiya hoga ghar meri nani k naam pe hai nani nanu dono ki 5 saal phele death hogae hai acha 4 bhai or 2 bhen hain meri khaala bemaar rehti hain wo larti nh mamo say
ReplyDeletePrivate Settlemnt mere ammi jub tak nh karegi jub tak unko unka share nh mil jata bhot koshesh may hain wo log kisi tarha settlement aggrement pe thumb or signature kardein ammi
DeleteApp case win kar jain ge or aap ki nani ka hissa aap ki walida ko mil jai ga iss ke ilawa ap khatoo muhtasib main bhi application bhi de sakte hain. apne hissa ke liye
DeleteAoA sir hamara case Behn baiyon ke hessy ka chal raha hai pechley7 salo se jo ke ham jeet chukey hai behno ke taraf sey civil Court Mai ab taqreeban 1year ha gia hai tareekh Pe tareekh de rahey hai hum ney kaha bi hai ke koi aik banda nahi khareed sakta jaga neelami karey leken saal guzar gia sirf tareekh deya ja raha ab hum kia karey our sir ye bi bataye neelami Mai hame nuqsan hoga ke nahi
ReplyDeleteNaqsaan nhi hoota . Agar aap ka case nahi jaldi nahi chala rahi court tu us k khalaf high court jana pare ga. Hum karwa dain ge case call ya Whatsapp 03244010279
DeleteAOA Sir mery mamo ny mery nana Abu k Ghar sy Nikal diya ha our sari Zameen apny Naam Karwa lii ha ab nana Abu hamry Ghar rahta ha wo Zameen ab kassy Mily gii
ReplyDeleteWa salam Ab tu qanoon k mutabaq koi apne man bap ko ghar se nahi nikal sakta. Police main parcha karwain. 1787 pr call karain citizen portal pr application dain.
DeleteSalam...
ReplyDeleteMera le sawal h please reply Zaror dijyega...
Mere 4 mamo h or unki 2 bhene...
Nana ka 500 gaz ka makaan thA NANa k k Intaqal k baad mamo logon ne dono behno ko Zameen se koi hissa Nhi diya ka hi taqseen krte waqt pocha...
Na koi pese diye h...
Chaaro mamo ne aapas me pora Ghar bant Liya...
Me mamo logon pe case krna chahti hon...
Kiya me aesa kr sakti hon?
Please reply
G kar sakti hain. per pehle documents dhoond lain. pitwari ko kharcha wagira de kar. subregistrar ke pass se bhi mil sakte hain. magar dhone parain ge. us se pehle aap declaration le lain. aap ki ami or khala zina hain ?
DeleteMere pass nana k Ghar k koi paper Nhi h....
ReplyDeleteSir Zaree Zameen ki Taqseem ko Chute rukh se lambe rukh Road ki taraf karna he wo kese ho skti he. Khata mushtarka he Zameen Dada g or un ke bhion ke name pe he jo sare wafaat pe gy hn pleas kuch rehnmy kar den
ReplyDeleteAsalam o alaikum sir mujhe apse ye pochana hai k mere Abu k 3 Bhai Hain or 1 bary Bhai ko meei Dadi my hissa Dy k ght ay Nikal diya tha ab ye is ghr mai 3 Bhai Reh gaye hai to 3 mai Sy mery Abu or 1 chahu agree hai ghr sale karny Mai or 1 Chachi bilkul agree NAHI hai ab AP plz batayen hum Kiya karain
ReplyDeleteTaqseem ka dawa hu. Ga civil court main agar apis main aap log. Taqseem nahi kar sakte.
DeleteSir mere father ki property mushtarka thi unka aik bhai na baqi khandan ka logoun ka sath mill ka qabza kr liya . iss wajha sa mere father na zameen taqseem krwai . taqseem ki doran woh logg court nhi aye lakin jab faisala aik tarfa mere father ka haq main ho gya tu unhun na taqseem ko challenge kr diya aur mere father ki zameen 6 acr thi pr unko qabza sir 4 acr ka diya hai baqi 2 acr pr un ka bhai na qabza kya hua hai. iss waqat hmra case member board of revenue ka pass chal rha hai aur hum case jette aa rhe hain pr zameen poori nhi milti . kindly mujhye guide krain hum kya krain mere father ki age 70 years hai aur hum islamabad main rehte hain jab ka property hmri jhang city main hai.
ReplyDeleteAssalamualaikum sir
ReplyDeleteAgar baap k old house ko tor kr beta Naya ghr bna ly TU Ghar sell krny pr beti ko kia Sirf Zameen k peso k hisab Sy hissa mily ga ya ghr k hisab Sy hissa mily ga?
Ju us kharcha hoa ha wo raqam nikal le. Zameen ke hissab se nahi mile ga. Baqi agar jhagra hai tu court se faisla karwa lain
Deleteالسلام و علیکم محترم جناب وکیل صاحب۔
ReplyDeleteعرض ہے کہ ہمارا پانچ مرلے کا شہر کا مکان ہے جو کہ پردادا کی وراثت سے آ رہا ہے میرے پردادا کے تین بیٹے اور چار بیٹیاں تھیں دو بیٹییاں پردادا کی حیات میں وفات پا گیٰں تھیں جبکہ دو
پردادا کی وفات کے بعد اور میرے پردادا کے جو تین بیٹے تھے ان میں سے ایک میرے دادا ہیں اور ایک میرے نانا ہیں اور جو تیسرے بیٹے ہیں وہ میرے دادا کے اور میرے نانا کے بھای ہیں
جناب والا عرض ہے کہ دادا کے تیسرے بھا ی کے بیٹوں نے ہم پر تقسیم دعوی کا کیس کیا ہوا ہے کہ ہمیں اس مکان میں سے حصہ دیا جاوے مکان جو کہ پانچ مرلے کا ہے اور انہوں نے جبکہ تین مرلہ پر تقسیم کا دعوی کیا ہوا ہے اور کچھ وجوہات اور کچھ مجبوری کی وجہ سے ہم کیس کا دفاع نہیں کر سکے جس کی وجہ سے سول جج صاحب نے یکطرفہ فیصلہ دے کر کیس کا فیصلہ ان کے حق میں دے دیا اور اہل کمیشن مقرر کر کہ مکان کو جوکہ تین منزلہ عمارت پر محیط ہے نیلام کرنے کا حکم دیا ہے ہمیں آپکی رہنمای کی ضرورت ہے کہ اس کنڈیشن میں ہمیں کیا کرنا چاہیے ہم نے مدعی کے ساتھ ہمیشہ باہمی فیصلہ کو ترجیع دی ہے لیکن وہ نہیں مانتے وہ کہتے ہیں ہمیں پیسہ دو یا زمین کا حصہ دو ہم نے ان کو کہا ہے کہ ےکمشت ہم آپکو پیسہ نہیں دے سکتے ہمیں پانچ سالوں کی مہلت دیں آپکا جتنا پیسہ بنتا ہم دینے کو تیار ہیں لیکن وہ پھر بھی نہیں مان رہے اب ہمیں قانونی طریقے سے کس طرح نیلامی کو روکنا چاہیے مہربانی فرما کر رہنمای کی جاے شکریہ
Aoa bhai kisi ke marne ke baad property warsaan main taqseem hu jati. Or aap ne arsa daraz se ghair qanooni qabza kia hoa or abhi bhi dena nahi chahte. Kitni ghalat baat ha kisi ka haq khana.
DeleteFori us ka hissa us ko dain .
Aoa, Hamra 15 marly ka Ghar Hai or sirf 2 parties Hain. Hum log or dosri traf Bhai. Hum Ghar auction pe sale nai Karna chahtny per judge auction hi kar ri hai. Or Ghar qable taqseem Hai. Hum log half half pe agree Hain per Bhai sasty me Ghar Lena Chata hai DC rate pe or auction per or half pe nai maanta.Please guide.
ReplyDeleteSir ge dawa ktni time ma kar sakty ha . Or kitny time bad dawa nahi ho sakta .
ReplyDeleteTaqseem ka dawa ki time limit nahi hai. Sharat yeh hai ke joint property honi chahye or us main aap ka hissa hona chahye.
ReplyDeleteAgar judge partition nahi kar rahi jabke ghar ki partition mumkan hai or aap ko market value ke mutabaq raqam nahi mil rahi tu aap un judge sahba ke order ko challenge karo . Or un ke orders setaside karwa du.
ReplyDelete