FIR Through Session Court under section 22A 22B

 FIR through session court under section 22A 22B Police complaint through court

                                                                         
agar police station main app ne application di hai or police ne us per koi twajh na di hai or koi parcha na dia hai  tu app under section 22a 22b session court main writ dair kr sakte hain .magar session court jane se pehle yeh baat zehan main rakh lain k app ne application sahi tareeke se likhi hu or submin karwai hu Police station main application dena

Documents jin ki zaroorat hoti hai writ dair karne k liye 


  1. Copy  of  Application
  2. Copy of  dairy slip
  3. Copy of  ID card 
  4. Supporting documents (agar available hain)

 Agarr  App ki  thane yo police station main Bat na suni Jaye tu us soorat main app kia kr saktey hain

                                           
copy of applicatiion
copy of slip of dairy number  

  1. Thane main hamesha Writen Application dete hain or us ki aik copy apne pass rakhtey hain jab police app ki application pr karwai nahin karti tu app ko haq hasil hota hai  ke app us ke khalaf  session court main writ petition 22A 22B dair kartey hain  For direction of Fir
  1.  Writ petition aik Lawyer ke through   dair ki ja sakti hai
  1. Jiss  main app same application session judge ke samne rakhtey hain or us per behas hoti hai or agar app haq pr hain tu  fir ka order court ki tarf se jari ho jata hai
  1. yeh police station ke khalaf hoti  hai
  1. Aggar  order pass hone ke baad bhi parcha na ho tu  phir toheen Adalat ki dubara pettion dair kartey hain 
  1. Agar Fir phir bhi darj na ho tu app High court se rajoo karte hain
Superior Court decisions 

SHO ki zimadari hai ke wo under section 154 crpc ke tehat bian record kare. Agar wo qabal e dasat indazi juram banta ha tu police ko ikhtayar nahi hai ke wo petition ke duran muqadma ki tahqeeq kare ke muqadma haqeeqat per manbi hai ya nahi. (2011-YLR-1549)

Justice of peace under section 22A main Dewani nature muqadma main FIR ke order nahi jari kar sakta hai (2011-Pcrlj-913)

Justice of peace ki zimadari ha ke wo dekhe ke qabal e dasat indazi juram banta ha ke nahi.(2012-MLD-1150)
(2008-YLR-2301)(2012-MLD-1150)(2007-YLR-2406)

Justice of peace ko 22A 22B Crpc main police report ki zaroorat nhi hai 
(2014-Pcrlj-406)

Justice of peace mandarja zail cases main under section 22A 22B crpc  ke tehat order de sakti hai.
  1.  Criminal case main parcha daraj na karna.
  2. Muqadma ki tafteesh tabdeel karna 
  3. Police authority ki janib se zimadari Ada na karna.(NLR-2004-CRI- Lahore 351)
Session judge Justice of peace ki powers ke tehat police ko FIR ke order de sakta hai. (PLD-2002- Karachi -328)

Court prima Facie case ki soorat main muqadma ka process shroo kar de gi.(1998-SCMR-922)

Session judge under section 22A 22 B FIR daraj karne ka hukam de sakta hai. Mutalqa SHO ko inquiry ka hukam nahi de sakta.(PLD-2011- Quetta 32)

Justice of peace (session judge) ne SHO ko FIR daraj karne ka hukam dia. SHO ne muqadma register na kia, SHO ki hukam adooli per High court ne DPO or SHO ke khalaf karwai ka hukam dia (2014-Pcrlj-1318)

Powers of justice of peace 

  • Fir ke indraj ka hukam
  • Article 18(6) police order 2002 ke tehat tafteesh ki tabdili
  • Police hukam ki taraf se kisi ziadti, nazar indaz karna nakami ki soorat main justice of peace ke ikhtayarat
  1. Tafteesh ke mamlat main madakhlat na karna
  2. Tafteesh ki karwai court per asarindaz na hoti hai (2011-YLR-2141)
  3. Justice of peace ki 22A ki karwai summery noiet ki hai.(2011-Pcrlj-913)
  4. Justice of peace logo ke haqooq ka taeen na kar sakta hai (2011-pcrlj-913)
  5. Justice of peace ka 22A ke tehat power intazami hai(2011-Pcrlj-913)
  6. Justice of peace judicial judgement pass na kar sakta hai.(2011-Pcrlj-913)
  7. Justice of peace ko blindly jhooti FIR per muqadma daraj karne ka hukam nahi dena chahye balke bareeki se dekhna chahye (2014- MLD -1694- Lahore)
  8. Justice of peace ki zimadari ha ke dushmani/ court ki banyad per muqadma ki hosla shikni kare(2014- MLD -1694-Lahore)
Jab mudai ko SHO na sune ya iska bian qalamband na kare ya FIR daraj na kare tu iss halat main under section 22A ke tehat justice of peace ke pass se rajoo kar sakta hai (2013-pcrlh-100)



Jab mudai muqadma daraj karne ke liye under section 22A 22B application de 

mazeed maloomat k liye call karain 092-324-4010279 whatsapp available



Popular Posts


Thanks for reading plz follow us or jesa k hum chahte hain k logon ko shaoor dia jai or qanoon  k bare main agahi di jai tu jo k app k tawan ke bagair mumkin nahi  so humari post ko share karain social media per thanks for reading
                                                                           

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon ki custody of minors after divorce or separation

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.