Courts ke Mulazm (Employees of court)
Court k Mulazmeen Dosto jab hum app ko courts ke bare main agahi asan urdu de rahe hain tu hum chahte hain ke hum app ko court ke bare main iss qadar maloomat de dain ke agar app ko kisi case ke silsale main court main jana pare tu kam se kam app ko pereshani aye or app khaw makhwa ke rishwat dene se bhi mahfooz rahin kaha jata hai ke courts main buhat ziada rishwat mulazmeen lete hain . jo ke humare logon ki nasmjhi ki waja se hai . kionke log pori tarah courts mulazmeen or un ke uhdoon ko nahi jante or un se maroob hu kar pereshani ka shikar hu jate hain. Courts k Mulazmeen Honourable Judge sab Court Reader Court Steno Court Ahalmad Court Naib qasad Court A D PP ( sarkari wakil ) Naib court dosto jab hum court mulazmeen ki baat kar rahe tu hum ko courts ki type ki bhi post bunani chiye ke Courrs ki kitni kismain hain inshallah next post main hum courts ki kismon per bhi baat karain gai sub se pehle hum Baat karin ge court ke reader ki yeh her court main h...