Posts

Showing posts from August 6, 2016

Stay on Over Billing Electricity , Lesco ke khalaf bijli ki over billing ka case

Image
Lesco (Wapda) ke Khalaf bijli ka bill ziada Bhaijne ke khalaf dawa dair karna Q . Lesco ke Khalaf dawa kon dair kar sakta hai ans. Plaintiff  jis ke nam per meter hota hai agar us ki majoodigi na hu tu dosre matasra afrad plaintiff ban sakte hain Dawa dair karne ke liye kin documents ki zaroorat hoti hai copy id card Bill Bijli ( jo Ziada aya hoa ho or reading ke mutabaq na ho ) baz dafa bill reading ke mutabaq hota hiamagar lesco wale Bill kuch mah meter check nahi karte or kuch mah guzar jane ke baad jab unit jama ho jate hain tu akhtah bill sarf ko bhaij dete hain . iss sorat main bhi app court main dawa dair kar sakte hain  Procedure tamam documents le kar through counsil (wakil) court main dawa dair karte hain Stay order Pehli or dosri date per behas main apna muda bian kia jata hai or judge sb ko bill per moojod sabqa record dikhaya jata hai or agar bill waqi hi ziada aaya ho  tu court bill ko kam kar deti hai issqadar jiss qadar ziada aya hu .or plaintiff ko

Taqsim e Jaidad ka Dawa (Partition ) Punjab Partition of Immovable Property Act 2012

Image
Partition of property  video daikhain iss qanoon k bare main or humare channel ko subscribe karain  Ans .qanooni warson main se koi aik wars or kuch wursa or tamam wursa akthe bhi dair kar sakte hain                                  Q Taqsim  konse qanoon or act ke tehat hoti hai Ans. punjab partition of immovable property act 2012 neeche poora act dia gia hai app logon ki rahnamai k liye  Preamble  . batata hai k iss qanoon ko banane ka maqsad yeh tha k logon tez tareen insaf mile or un ki properties ki taqseem main pchile qanoon ko reform kia gia hai . 2 section 2 iss qanoon ka batata hai k yeh qanoon agriculture land ke kisi bhi qanoon ko mutasir nahi kare ga 4 section 4 iss act ka batata hai k koi bhi malik property ka ye dawa kr sakta hai wo attatch kare ga related documents or property ki tafseel or dosre hisa daaron ko defendant bana ka dawa file kare ga 5.     Appearance of defendants and consequence of non-appearance section 5 jo iss act ka hai wo batata hai