Posts

Showing posts from August 29, 2023

How can I become a lawyer in Pakistan? | how to become a lawyer step by step | Wakalat kia Hai, Wakil kese Bana ja Sakta hai, Wakil kitne pese Kamata hai, Wakalat karne main kitna kharcha aa sakta hai.

Image
Wakalat karne ka process Meaning of Lawyer. Lawyer ko Urdu main wakil. Alwakil  Allah pak ke 99 names ju hain un main se aik name hai. wakalat aik Muqadas, Muazaz or bawaqar pesha (profession )hai. Jiss main aap logo ki qanooni rahnamai karte hain. Wakalat Nama kia hota hai. Wakalat Nama aik document hai ju ke aap or ap ke wakil ke darmian aik agreement ki haseeat rakhta hai. Or us agreement ke dono fareeq paband hote hain. Wakalat karne ke liye aap ko konsi decree leni parti hai  Wakalat main dakhla lene ke liye aap ko sab se pehle aap ko FA pass ya FSC ya koi bhi iss ke masavi decree leni parti hai . Jiss ke baad aap ko law admission test pass karna hota hai. Ju ke regular 3 Mah ke baad lia ja raha hai.  Test pass karne ke baad aap kisi bhi Law college main dakhla le sakte hain. Kionke law ki books English main hain lihaza aap ki English achi honi zaroori hai. Law ki annual fees 2023 main 2 lakh se 3 lakh ke lag bhag hai.  Iss ke Ilawa papers or books or college aane jane ka kharcha