Registery inteqal in urdu Difference between Registery and Intiqal, | Registery or intiqal main kia faraq hota hai.
Agar kisi ne apni zameen ka intiqal apni Zindagi main challenge na kia hu tu wafat ke baad us ki olad challenge nahi kar sakti hai.(PLJ 2016 Lahore 124) Differences between registry and Intiqal Registery aik document hai jiss main tamam sharait Stamp per likhi jatien hain or kal ko koi party apni marzi se inkari nahi hu sakti jabke intiqal aik indraj hai jiss main koi sharait wa zawabat nahi likhe jate. Registration ko Registery bhi kehte hain or kisi bhi documents ko register karwaia ja sakta hai. Jese biana ka stamp or hiba nama , iqrar nama waghaira waghira.same issi tareeka se inn sab documents ka intiqal jab karwain ge tu wo intiqal hiba ya intiqal Registery kahlaye ga Registery sub registrar ke samne parties pesh hu kar karwatien hain jabke intiqal ke liye patway , tahseeldar ke pass jana parta hai. Registery ko cancel karwane ke liye civil court main cancellation ka dawa karna parta hai. Jabke intiqal ko ko patwari or tehsildar ya revenue department bhi tabddeel ...