Ijrah ya Ajra execution ya tameel e decree kia hai
Civil court main jab koi case decre hu jata hai tu us ke baad ju decree hoa hota hai us ki takmeel ki bari aati hai .court ke pass chand tareeke hain jiss ke through court decree ki tameel ya Ijrah karwati hai
Decree ki Iqsam
kuch decree hoti hain jin ki takmeel bhi mukhtalif tareeke se karwai jati hai
Saman Jahez ki Decree
Saman jahez ki decree ju ke family court pass karti hai us ki takmeel ke liye baliff ko decree holder ke sath husband ke ghar bhaij dia jata hai jahan per bailiff court ke namindgi karte hoe list ke mutabiq saman jahez le kar deti hai or bailiff apni report bana kr court main jama karwa dete hai.
Money decree
Peso ki decree main court agar decree holder koi farad talika jama karwata hai ke falan property sale kar ke ju madun e decree ke nam hai mujhe recovery karwa ke di jai tu court mutalqa property sale kar ke decree ki tameel karwa sakti hai
Specific performance dawa ki decree
kuch cases aise bhi hote hain ke jin main court revenue department ko ya registrar ko order karti hai jiss ke related hu property ko transfer karne ke liye in documents
Possession of property
kuch decrees main decree holder ko qabza darkar hota hai ju ke kisi dosri party ke pass hota hai iss decree ki tameel ke liye court through bailiff or police property ka qabza le kar deti hai
Nadra ke khalf decree
\
agar aap nadra ke khalf decree le lete hain age kam ya ziada karne ke ya koi or amendments ki tu court nadra ko takmeel ka order karti hai or phir decree ki takmeel karwai jati hai
Union council ke khalaf decree
some time hum birthcertificate banwane ke liye ya death certificate banwane ke liye ya koi amendment karwane ke liye union council ke khalf decree lete hain tu iss main union council decree ki tameel ijrah main karwati hai.
kisi taleemi idare ke khalaf decree\
some time decree kisi board ya school universtiy ke khalaf hoti hai phit mutalqa board se us ki takmeel karwai ja sakti hai
Decree transfer one place to othe city or province
some time aisa hota hai ke jiss ke khalaf decree hoi hoti hai wo mutalqa ilaqa main ju ke court ki hadood main hain waha nahi rehta ya waha se bahag kar kisi or city main chala jata hai tu court decree ki tameel ke liye case ko mutalqa ilalqa main bhj deti hai jaha pr madun e decree rehta hai.
Warrant or griftari
some time aisa hota hai ke madun e decree apni sari property chupa leta hai. ya us ke nam per koi property nahi hoti or court agar madun e decree ke nam per koi property na hu tu us ke warrant jari ker deti hai or us ko griftar kar ke decree ki tameel karwai jati hai ya aik saal ke liye jail bhj dia jata hai.
Comments
Post a Comment