Warasat case laws ,Warasat meaning in English warasat meaning in urdu , Warasat case law in Pakistan,Warasat ka qanoon


Warasat meaning in English

"Warasat" is an Arabic term that translates to "inheritance" in English. It refers to the property or assets that are passed down to heirs after someone passes away. If you have specific questions about inheritance or related topics, feel free to ask!


"واراثت" ایک عربی اصطلاح ہے ۔ اس سے مراد وہ جائیداد یا اثاثے ہیں جو کسی کے انتقال کے بعد ورثاء کے حوالے کر دیے جاتے ہیں۔ اگر آپ کے پاس وراثت یا متعلقہ موضوعات کے بارے میں مخصوص سوالات ہیں، تو بلا جھجھک پوچھیں!



Inheritance  case laws






Warasat law in Pakistan, warasat ka qanoon 



Warasat meaning in English

Warasat meaning inheritance, heirship etc
Warasat meaning in Urdu.
 Warasat meaning in urdu miras ya us property ko kaha jata hai ju abao ijdad ya man bap apni olad ke liye chorte hain.

Case laws about warasat

Superior Court decisions about warasat 

Supreme Court ne qarar dia,Zari irazi main bhaino ka bhaio ke haq main dastbardar hona na sirf islam ke khalaf hai balke aain or qanoon ke bhi khalaf hai.(2016-SCMR-763)



موت کسی کا وراثتی حق ختم نہیں کرتی بلکہ یہ اس کے وارثان کو منتقل ہو جاتا ہے،یعنی اگر کوئی اپنی زندگی میں اپنا حصہ/حق وصول نہیں کرتا تو یہ اسکے اگلے قانونی وارثان کو منتقل ہو جاتا ہے۔
2020 SCMR 346


Supreme Court ne qarar dia.Le palak bache jin jo walad apna nam de jata hai un ko Walid ki wafat ke baad na hi bhain Bhai challenge kar sakain ge or na hi DNA hu ga. Sirf name dene Wala apni zindagi main challenge kar sakta hai. (PLD-2019-S-C-449)

Supreme Court ne qarar dia Bewa ki  janab se husband ki wafat ke baad haq mahar nama babat jaidad matwafi pesh kia gia. Jiss ke du gwah nabaligh the. Shahdat main pesh kia. Aisi mashkook dastawaz ki bina per warsaan ko warasat ke Haq se mahroom nahi kia ja sakta.(2022-SCMR-13)

Supreme court ne qarar dia, jab tak bv zinda hai us ki jaidad per husband ka koi haq nahi.(2020-PLD-SC-269)

Supreme Court ne qarar dia Agar kisi Muslim shakhas ko us ki zindagi main warasat ka haq nahi mila tu iss ke foat hu Jane ke baad iss ka ye haq e warasat khatam nahi hota , balke warsaan ko muntqil hu jata hai .(2020-SCMR-346)


 Supreme Court ne qarar dia.Bhai ne bhain ki Shari haq se mahroom kar dia. Bhain intiqal ko 50 years baad through dawa challenge kar dia, Court ne orat ko iss ka Shari haq dalwaia (2014-SCMR-801)

Jiss bete (larka) ne apne bap ko qatal kar dia hu wo bap ki warasat se hissa nahi le sakta.(2002-MLD-879)

Supreme court ne qarar dia Muslim family ordinance 1961 ke section 4 ke mutababq pehle se foat shuda beti ya beta dada ki jaidad se apne walad ka hissa le sakte hain.  Or Supreme Court ne qarar dia ke pehle se foat shuda bhai ki olad Muslim family ordinance ke section 4 main faal nshi karte hain or wo wo apne chacha ki jaidad main isske pote ya nawase ke hote hoe warasat ke haqdaar na hun ge.(1992-SCMR-82)

Islam main adoption (goad lena)ka koi taswar na hey. Lepalak olad Warasat main haqdaar na hey.( 2020-YLR-2317)


Supreme Court ne qarar dia,Koi bhi mahda ju khawateen ko inn ke qanooni haqooq se mahroom karta ha iss ki koi qanooni hasiat na hey. Kaladam taswar hu ga. (2020-SC-Civil-505)

Supreme Court ne qarar dia Agar kisi shakhas ka 7 years tak suragh na mil sake tu iss ko Murda taswar Kia jai ga (2001-SCMR-36)


Agar koi shakhas kisi dosre shakhas ke Haq main apne haq sedastbardar hota hey ya us ko apne jumla haqooq deta hai tu haqooq hasil karne wale shakhas ko tamam haqooq wa maraat muntqil taswar hun ge ju haqooq dene wale shakhas ko hasil the.(PLD-434-2021)

Lahore high court ne qarar dia villages main aksar unparh ortoon documents per angothe lagwa kar zamin ya dosri jaidad muntqil karwa li jati ha lahaza aisi khawateen kabhi bhi court se through dawa istaqr e haq apni jaidad wapis le sakti hai.( PLJ-2015-LHR-122)


Le palak bache ka Warasat main Koi Hissa nahi hota or na hi wo warasat ke Zaria se hissa claim kar sakta hai.(2010-YLR-1327)

Warasti intiqal agar malak e Jaidad apni zindagi main challenge nahi karta tu iss ki wafat ke baad isske warsaan bhi intqal ko challenge nahi kar sakte.(2013-SCMR-299)

Agar bv ne husband ko qatal kia hu or Baad main mudian se sulah hu jai tu bv maqtool husband ki jaidad se hissa Lene ki haqdaar hai.(PLD-2008- Peshawar -129)

Punjab mai khawateen ke haqooq ke tahfaz ke Liye Punjab inforcement of women of property Rights ordinance 2021 ke tehat warasat main hissa na milne per khatoon muhtasib ke office rajoo kare gi or muhtasib application masool hone per 60 dino ke andar faisla sunai ga. Or police or dipti commissioner ke through qabza dalwaia Jai Jai ga. Agar koi muhtasib ke faisla ki hukam adooli kare ga tu high court ki Tarah tohin e adalat ki karwai hu gi






Inheritance daughters can not be deprived .
2021 SCMR 179 SUPREME COURT



For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.


















































































 






















Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation