(Get Information about cases )Court se kisi case ke bare main information hasil karna .how to we can get information about any case

Court main se kisi case ke bare main information hasil karna 

kisi bhi case ke bare main court se information hasil karne ke liye hum ko do chizoon ka pata hona chahie

  • Case Title
  • name of Judge 
  • Date of Hearing

chote shehron main court aik hi jaga per hotey hain wahan per court dhondna ziada assan hai banisbat Lahore or Karachi ke
App ko maloom hona chaie ke ye civil court hai ya session ya majistrate ya family  court app judge ke naam pooch kar court dhoond sakte hain .
court ka naam or judge or date of hearing notice ya summon per likhi hoti hai .
agar app same date per wahan per jate hain jo date hearing date hai tu app ko wo list dekhna ho gi  jo ke court ke bahar lagi hoti hai
har court ke bahar aik list lagi hoti hai jiss ko hearing list kehte hain jis main wo cases darj hote hain jin ki us din peshi hoti hai or us main se app apna mutalqa case dhoond sakte hain . or wahan se app case ka number daikhain ge ke konse number per laga hoa hai or app wo number andar court main ja kar reader sb ko bata kar apni hazri lagwa sakte hain .
agar app ne case ki maloomat us din leni hai jab ke wo date app ki hearing date nahi hai to us ke liye app ko dosra tareeka apnana ho ga app ko court main se wo lists ki book mil jaye gi jis ko peshi list kehte hai or us main se app pichley tamam cases ki maloomat hasil kar sakain gai
agar app august ki peshi list dekhain ge tu us se app ko maloom ho jai ga ke august ke har roz kon kon se cases ki hearing hoti rahi hai jiss main se app apna case dhoond sakte hain
peshi list main se app ko pichli date ka bi maloom ho jai ga or agli date bhi maloom ho jye gi or us ke agge yeh bhi lika hota ke konsi karwai iss main chal rahi hai
iss ke baad  jab app ko case ki date maloom ho jaye tu app mazeed maloomat ke liye court ke ahalmand se rabta kar sakte hain
Ahalmand court ka aik mulazam hota hai jis ka room court ke near hota hai . agar app ko dhondne main mushkal pesh aye tu app mutalqa court ke reader ya kisi mulazam se pooch sakte hain
Ahalmand ke room main puhanch jane ke baad app ko sab se pehle us ko apne case ka title or us ki last hearin or next hearin ka batain ge  or  us ke baad wo app ko mutalqa case ki file dhoond kar de sakta hai
us file se app case ki tumam maloomat hasil kr sakte hain .
jis se app ko yeh bhi maloom par sakta hai ke case main har date par konse orders likhe ja rahe hain
iss maloomat ko hasil karne ke liye app lawyer ki khidmat bhi hasil kar sakte hain .
 Mazeed Mufat Mashwara karne ke liye call karain
0324-4010279
0345-4375944
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks













































 






















Comments

  1. Agr ma na ho or bap zalim ho to hum nikah kasa kara

    ReplyDelete
    Replies
    1. aoa bhai court marriage ke liye man bap ki raaza manidi zarrori nahi hoti kionke larki khud mukhtar hai wo apni marzi se shadi kar sakti hai for more information call or whatsapp 03244010279

      Delete
  2. Sar merry wife ni kis kiya howa hi liken mere pass koi notice ni a raha 4bar us k gher manane k liye giya hon mujhe ap bata sakte ho please

    ReplyDelete
    Replies
    1. Case ki information court se mil jati . Lawyer ke through apna case fight karu

      Delete
  3. Ye sar mera number hi 03010010730as pe rabta karna please help me sar

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation