Police station main pakre jane ki soorat main . how to avoid from arrest

Police station main pakre jane ki soorat main

                                                        

 

dosto in Pakistan and india main rishwat ka bazar garam hai . or mere andaze ke mutabaq more then 80 percent police officers rishwat lete hain or un ka main maqsad hota hai ke har police station main  ane wale bande se chahe wo kasoor war hu ya na hu , us ko dra dhamka kar dehari laga li jaye  . humare log iss qadar ghabra jate hain ke wo jald hi un ki batoon main aa kar un ko rishwat dene ke liye tyarr ho jate hain . or agar tiar na hun tu police wale un ko mar kar ya kisi or hathkande se un se raqam niklwa lete hain .Ajj hum iss masle per baat karain ge  .
hum apni pori koshish iss post main karain gai ke logon ko iss bare main guide kar sakain take wo iss tarh ki soorat hall se nabard azma hu sakain
dosto sub se pehle app ko maloom hona chahie ke bande ko kis juram main girftar kia hai . or yeh baat app ko police station se maloom ho jai gi
app ne police station se jo batain  maloom karni hain sub se pehle
  1. kia jis bande ko jis ko arrest kia gia hai us ke khalaf koi application di gai hai
  2. kia us ke khalaf  koi FIR daraj ho chuki hai
  3. kia us ko bghair kisi wajah ke arrest kia gia hai 
  4. kia  us ko kisi case main tateema bian (supplementary statement ) ki wajah se arrest kia gia hai
  5. sirf yehi mandarja bala reasons ki binah per hi polic kisi bande ko girftar karti hai
sub se pehle tu main app ko mashwara don ga ke app maloomat hasil karne ke baad ya pehle app apne kisi janenain  wale wakil sab se rabta karain or us se mashwara lain . app ki adhi pereshani sahi mashwara milne par hi khatam ho jai gi . agar app   ka koi janenen wale wakil sab na hun tu app hum ko call kar ke bhi mufat mashwara le sakte hain hum apne bhaion ki chahe wo Pakistan ke kisi bhi shehar main hun best guide karne ki pori koshish karin ge
Phir bhi hum app ko batate hain ke agar koi bhi help karne wala na hu tu app kis tareeke se jaan chura sakte hain . sub se pehle app masle ko samjhain or bilawajah khofzada na hun . or agar app ka aziz ke khilaf sirf application di gai hai or koi bara juram nahi hai . yani larai jhagra ya koi or application  tu app ko yeh baat ko zahan main jaga na dain ke agar police ko raqam na di tu FIR ya parcha hu jai ga . kionke aksar log iss dar se raqam inh kameenon ko de dete hain ke wo drate hain ke agar raqam na di tu ham parcha de dain ge or phir saza hu jai gi waghira waghira .
sub se pehli baat tu yeh hoti hai ke  yeh log choti tu kia bare juram ki soorat main bhi jaldi parcha nahi dete or un se parcha karwane ke liye logon ko court main jana parta hai or court order per bhi yeh haram khor parcha nahi dete tu kia yeh choti si application per parcha de dain ge . app ka jawab ho ga nahin . tu phir pereshani wali koi baat nahi or application ki soorat main dono parties ko bulaia jaata hai or un ki baat suni jaati hai or akhar main  sulah karwa di jati hai or rozana police station main aane wali  90 percent applications ke sath yehi salook kia jata hai balke jab tak koi apni application ke peche chakar na lagai ya ooper se kisi se phone na karwaie tu inn ke ooper joon bhi nahi reengati or  app ki application mahinoo bad bhi aise hi pari ho gi jese ke app ne un ko di hi nahi . so agar app ke khalaf ya app ke kisi aziz ke khalaf  application di gai hai ya kisi or wajah se us ko girftar kia gia hai tu app ko koshish karni chahye ke mukhalif party se sulah kar ke baat khatam kar lain . ya dosri soorat main agar mukhalif party ziadti kar rahi hai or ghalti dosri party ki hai ya dono pary ki hai tu app ko bhi foran aik application mukhalif party ke khalaf de deni chahiye .app ko kisi juram ki soorat main rishwat dene ki zaroorat nahi balke agar police wale rishwat mangte hain tu koshish karo ke un ki recording video or audio kar lo .yad rakho ke wo chote juram par parcha nahi dain ge agar chote juram par wo parcha de bhi dete hain tu app ki court se baasani agle din zamanat hu jai gi .
yad rakho ke court ka kharcha un ki rishwat se buhat kam hota hai or hum rishwat na de kar na sirf apna pesa bachain ge balke mulak or quam per bhi ihsan karain ge . kionke agar log rishwat dena chor dain tu police ko sudharne main kafi madad mil sakti hai .
agar app ka ya kisi aziz ka kisi FIR main nam aa jaye ya  kisi case main koi mulzam us ke khalaf  bian main app ka nam likhwa de tu app arrest se pehle apni interim karwa lain .
or agar faraz kia ke app pakre jate hain or app begunah hain tu bhi ghabrane ki  zaroorat nahi hai app ka remand ho ga do char dino ka or jab app se koi cheez bramad na ho gi  or saboot na milan ge tu agli peshi per app ke khilaf remand nahi mile ga
or doran girftari police walon ko raqam ki offer nahi karni chahye or na hi bar bar un ki minat samajat karni chaie kionke buhat se cases main dekha gia hai ke wo mulzam ko marte hain or ghar wale us ko na marne ke pese dete hain . koshish karain ke doran tafteesh mulzam ko na milain taake police walon ko pata hu ke iss ke tu peche koi nahi aata tu iss ko marne se kia mile ga . kionk wo marte iss liye hain ke mulzam ghabra kar  ghar walon ke age roye or hum ko bhari rishwat mile or agar kisi mulzam ke peche koi na aata hu tu wo  aisa nahi karain ge . or sahi tafteesh karain ge .
yeh wo batain thi    jo hum ne apne tajarbe ki banyad par app ko batai . kionk agar kisi bande ko police station main kabhi jana par jata hai tu wo buhat ziada raqam ganwa bethta hai . agar app ka aziz ghair qanooni harasat main hai tu app bghair time zaia kiye balif dalwa sakte hain  . yad rakhiye ke court main raqam kharch kam hogi .rishwat haram hai magar lawyer ki fee haram nahi hai . agar app sahi tareeke se kam karain ge tu Allah talah bhi razi hoga or mulak main rishwat ki laanat se bhi jaan choot jai gi
Mazeed Mufat maloomat ke liye hum ko call karain
03244010279
 03454375944

 ya neche comments main apna case mashwara kar sakte hain .
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopration , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks













































 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation