Guardianship case laws. Custody of daughter, child custody schedule by age Bachi Farher ki Bajai ( Grand mother) nani ke hawale. Children's custody rights child custody lawyer child custody near me



Guardianship refers to the legal relationship where an individual (the guardian) is given the responsibility to make decisions and act on behalf of another person, typically a minor or someone who is incapable of managing their own affairs due to age or incapacity. The person for whom the guardian is responsible is known as the ward. The guardian is expected to ensure the well-being and best interests of the ward, making decisions related to their healthcare, education, and overall welfare. The specifics of guardianship laws can vary by jurisdiction.

Guardianship meaning in Urdu 

guardian سرپرستی سے مراد وہ قانونی رشتہ ہے جہاں ایک فرد (سرپرست) کو کسی دوسرے شخص کی طرف سے فیصلے کرنے اور عمل کرنے کی ذمہ داری دی جاتی ہے، عام طور پر نابالغ یا کوئی ایسا شخص جو عمر یا نااہلی کی وجہ سے اپنے معاملات خود سنبھالنے سے قاصر ہو۔ وہ شخص جس کے لیے  guardian سرپرست ذمہ دار ہے اسے وارڈ کے نام سے جانا جاتا ہے۔ سرپرست سے توقع کی جاتی ہے کہ وہ وارڈ کی فلاح و بہبود اور بہترین مفادات کو یقینی بنائے، ان کی صحت کی دیکھ بھال، تعلیم، اور مجموعی بہبود سے متعلق فیصلے کرے۔ سرپرستی کے قوانین کی تفصیلات دائرہ اختیار کے لحاظ سے مختلف ہو سکتی ہیں۔

Case laws about guardian and guardianship.

Agar koi Nabaligh ka guardian banne ke liye tayar na hu tu Court khud nabaligh ka guardian maqarar kare gi
2008-SCMR-1339



Guardianship ki application mother ko dene ja faisla. Application dissmiss. Because maa bache ko chor kar beron mulak chali gai thi 4 mah ki age main.
2021-MLD-817-ISB



Minor ki welfare ke liye bache ki custody baap ki bajai nani ko di gai kionke baap ke ghar main koi orat nahi thi. 2009-CLc-1787



Dadi bhi apne poote ya pooti ki khazanat ya mulaqat ke liye court se rajoo kar sakti hai. 2021-YLR-1989



Maa foat shuda hu tu bachu ki custody ka haq nani ki bajai baap ka hai. 2018-SCMR-590



Maa ke agar maali halat theek na hun tu iss banyad per maa ko bache ki hawalgi se mahroom nahi kia ja sakta.
2020- clc-1340




Soteli walda ki nisbat dadi khazanat ki ziada haqdar hoti hai. 2000-clc-1264




Bap ko apni olaad se mulaqat ke liye kam waqat dena insaf ke khalaf hai.
2018-MLD-574



Maa chahy dosri shadi hi kio na kar le iss ko Nabaligh bache ki khazanat se mahroom nahi kia ja sakta. 2018-MLD-862



Baap ko bache ki khazanat ka ziada Haq hai. 2018- SCMR -590
2018-YLR-649




Guardian application pending honey ke bawajood bhi High court main under section 491 crpc kisi haqdar ko bache ki custody di ja sakti hai.
2018-SCMR-427



Agar Nabaligh ki custody ka case chal raha hu tu court Nabaligh ka name ECL main daal sakti hai.
PLD-2018-Baluchistan-30



Maa ne dosri shadi kar li beti Baap ke hawale. 2018-CLC-767



Nabaligh se mulaqat ka Haq Dada Dadi ke Ilawa nana nani bhi rakhte hain kionke wo guardian qanoon ke tehat waldain ki definition main aate hain. 2021-YLR-1989




Family court main guardian ki application ki karwai under section 491 CRPC ki karwai ko matasar nahi kare gi 1998-SCMR-289




Maa Nabaligh beti ki khazanat ki haqdar nahi hai. Father ju Sahab e hasiat hai Nabaligh beti ki khazanat ka haqdar hai. Mother mulaqat ka Haq rakhti hai. 2020-YLR-401-Lahore




Second marriage of mother has no ground to disentitle mother from custody of minors. PLD-2015-LAH-253
(2015-YLR-917)



Mother apni olaad ke sath aik jurisdiction se dosri jurisdiction main ja sakti hai apni safety, Job , dekh bhal ke zimadaria nibha sake.
2019-CLC-1213



Court ke orders ke bawajood father ne bache pesh na kiye tu bap ko toohin e adalat ki saza hoi. 2010-MLD-410





Agar walid joint family main rehta hu or Dada Dadi bhi zinda hun tu bache ki custody mother ki bajai baap ko di jai gi kionke dada or Dadi hamesha Bache ki ziada dekh bhal karte hain.
2018-CLC-382




Under section 491 crpc ke tehat high Court ke samne sirf uss sorat main pesh kar sakte hain jab Bache buhat kam umar hun or bachu ko qanooni tehweel se cheen lia gia hu. Or bachu ki jaan ko khatra hu. Aisi sorat haal main aarazi custody High court de sakti hai baqi permanent custody phir bhi guardian court hi de gi.
 2018- MLD-368




Agar father bachu ke mufaad ke liye dosri shadi na kare tu khazanat ka haqdar father hu ga. 2004- SCMR-1735









  • Nani ne Custody ke liye Case file kia .
  • Jabke  real Mother ne custody claim na ki.
  • Bachi ki age 8 saal ke lagbhag thi.
  • Bap ne case fight kia or guardian Court ne Custody ka case nani ke against Bap ke haq main decree kar dia.
  • Nani ne district court ma Appeal file ki Guardian court ma ju ke bap ke haq main or nani (Grand mother) ke khalaf dubara  hoi or Trial court ka faisla barqarar rakha gia
  • Grandma ne High Court ma dono courts ke faisle ke khalaf Writ File ki
  • Ju ke Grandma (nani) ke haq main hu gai or dono Courts ka faisla ke bachi 15 din main bap ke hawale karu. khatam hu gia. 
  • Wajah kia bani Bap ko bachi na dene ki .  .  Wajuhat daraj zail hain.
  • Yeh ke bachi se  bap ko pehchanne ka swal hoa court main tu wo bap ko kabhi mili na thi iss liye na pehchan saki .
  • Bachi ko bhai ke bare swal kia gia us ko bhi wo na pehchan saki.
  • Bachi paidaish ke din se grandma or or grandfather ke sath reh rahi thi.
  • Yeh ke Bap ( father) ne kabhi custody claim na ki thi. Na hi kabhi kharcha pay kia tha magar dosre bete(sons) ki custody father ke pass thi . Jinn ko wo paal raha tha
  • Jabke beti bap bhaio ko pehchanti nahi thi
  • Yeh bache ki welfare custody dene ke liye awalien trjeeh thi .
  • Grand Parents or un ke beto ki apni Land thi or wo ache se paal sakte the.
  • High Court ne dono courts ka faisla khatam karte hoe Custody Grandmother ke hawale kar di.
  • Balke Bap (father) ko kharcha dene ka hukam bhi sadar kar dia or order kia ke bachi ki shadi ka kgarcha bhi bap de.




High Court Judgment




















For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.






























 

























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation