Stamp Paper Rules in Pakistan | Value of Stamp Paper, astamp paper kia hai ? Stamp paper kitne ka lagana hai. Stamp paper per likhna kio zaroori hai




Meaning of Stamp Paper,


Stamp paper is a special type of paper often used in legal and financial transactions. It typically bears a pre-printed revenue stamp, indicating that a specific amount of tax or fee has been paid. This type of paper is commonly used for agreements, contracts, deeds, and other legal documents to give them legal validity.

In many jurisdictions, the use of stamp paper is regulated by government authorities, and different denominations of stamp paper are available to accommodate transactions of various values. It's important to adhere to the stamp paper rules and regulations in your specific jurisdiction to ensure the legality and enforceability of the documents. If you have more specific questions, feel free to ask.


سٹیمپ پیپر ایک خاص قسم کا کاغذ ہے جو اکثر قانونی اور مالیاتی لین دین میں استعمال ہوتا ہے۔ اس پر عام طور پر پہلے سے پرنٹ شدہ ریونیو اسٹیمپ ہوتا ہے، جس سے ظاہر ہوتا ہے کہ ٹیکس یا فیس کی ایک مخصوص رقم ادا کی گئی ہے۔ اس قسم کا کاغذ عام طور پر معاہدوں، معاہدوں، اعمال اور دیگر قانونی دستاویزات کے لیے استعمال کیا جاتا ہے تاکہ انہیں قانونی جواز مل سکے۔ بہت سے دائرہ اختیار میں، اسٹامپ پیپر کے استعمال کو سرکاری حکام کے ذریعے منظم کیا جاتا ہے، اور مختلف اقدار کے لین دین کو ایڈجسٹ کرنے کے لیے اسٹامپ پیپر کے مختلف فرق دستیاب ہیں۔ دستاویزات کی قانونی حیثیت اور نفاذ کو یقینی بنانے کے لیے اپنے مخصوص دائرہ اختیار میں اسٹامپ پیپر کے قواعد و ضوابط کی پابندی کرنا ضروری ہے۔ اگر آپ کے مزید مخصوص سوالات ہیں تو بلا جھجھک پوچھیں۔


Process of stamp paper


Stamp Paper kia hai.

Stamp Paper aik paper hai jiss ko government jari karti hai ju ke printed paper hota tha magar aaj kal online istamp farosh print computer se nikalte hain
 ya bank se printed bhi mil jata hai.magar bank main ju istamp paper milta hai jiss ki kam az kam value 500 rupees hoti hai ya iss se ooper hoti hai.chote stamp ju pehle 100 ya 200 ka bhi mojod tha ab government ne duty barha kar sab se chota stamp paper 300 ka kar dia hai jiss ko aap kisi register stamp farosh se khareed sakte hain.


Law (Qanoon) ju Stamp Paper ko deal karta hai. 

Stamp act 1899 

The "Stamp Act 1899 " qanoon banaya tha  or enacted by British Indian government for charging of stamp duty on instruments for recording of transaction . Revenue generate karne ke liye banaya gia tha jiss main partition ke baad amendments bhi hoti rahien hain or aaj kal Pakistan main yehi qanoon lago hai. Stamp act 1899 ko parhne ke liye article ke end per daikhain.The law consolidate and amend the laws relating to stamps. After independence the act was applicable in Pakistan for the purposes of defining and regulating the instruments which are chargeable with duty.

Stamp Paper ko hasil karne ka Tareeka

  • Stamp Paper ko hasil karne ke liye sab se pehle list main dekhna hai ke aap ke agreement per kitne ka stamp lagta hai.
List of stamp duty on documents 



List of stamp duty on documents 


  • Istamp paper ya stamp paper ko hasil karne ke liye 
Bank se Stamp khareedne ka tareeka 

Agar aap ne kam az kam 500 ya 1000 wala stamp khareena hai aap google per search karin ge e-stamp or online chalan fill karain us main detail fill karni hoti hai parties names and purpose of stamp ya kis document ke liye jari karwaia ja raha hai. Chalan ko le ja kar Punjab bank main dain or waha se stamp jari hu jai Punjab main yeh stamp paper Bank of Punjab issue karta hai.

Stamp farosh se stamp kharidne ka tareeka.

Stamp farosh se stamp paper khareedne ke liye jiss person ne stamp dena hai wo khud jai ga. Or stamp farosh ke register per signature kare ga or stamp farosh stamp ke peeche endorse kare ga" khud" or agar ap khud na jain ge or kisi ke through stamp paper mangwain ge tu stamp paper ke peeche " bazreea " ke aage us person ka name likha jai ga ju stamp paper jari karwai ga.

  Lahaza Stamp paper usi se jari karwana chahye jiss ne sale karna hu taake kal ko wo mukar na sake.

Har stamp farosh ke pass license hota hai. Jiss ko government jari karti hai. Or ju bhi stamp wo sale karta hai us ka record us ke pass hota hai. Or agar kal ko koi party mukarti hai agreement se tu stamp farosh ka record (register) dastawaizi proof hota hai. Or stamp farosh ki gawahi bhi court main karwana zaroori hoti hai . 

Stamp ke multiple purposes hain.
  1. Revenue generate karna for govt
  2. Kisi bhi contract ko qanooni shakal dene ke liye buhat zaroori hai. Kionke agar aap mahda ko kisi Stamp Paper per nahi likhain ge tu us ki wuqat qanoon ki nazar main buhat kam hu gi . Or kai mamlaat main tu bilkul bhi nahi hu gi.


Naqsaanat stamp per contract na likne ke

  • Agar aap stamp per mahda tehreer na karain ge ya value ju government ne maqarar ki hai.(us se kam value ka stamp paper lagain ge tu kal ko aap ko stay lene main mushkalat pesh aain gi court stay nahi de gi.
  • Case karain ge tu court aap ka case kharaj kar de gi.
  • Agar proper stamp na laga hu ga aap ko or bhi masail pesh aa sakte hain
Stamp likhne ka Tareeka



  1. Kisi bhi stamp farosh jiss ke pass stamp bechne ka license hai. Magar stamp likne ka licence nahi hai.Wo kisi bhi qisam ka istamp likhne ka majaz nahi hai.2014 clc-1374
  2. Stamp per tamam terms and conditions tehreer karni hain or jiss qadar details likhain ke kal ko koi abhaam na rahe 
  3. Koi bhi ghair qanooni terms and conditions stamp per na likhwain kionke ghair qanooni terms and conditions ki ju ke qanoon ke khalaf hun gi qanoon ki Nazar main iss stamp ki koi value nahi hu gi or aap court main un terms and conditions per case nahi laar sakain ge 
  4. Jiss party ne raqam pay karni hai us ko chahye ke kam az kam du gwah apne zaroor shamil kare taake kal ko apne gwah hun ge tu court main prove karna aasan hu jai ga. agar raqam lene wala bhi apne gwah shamil karna chahta hai tu wo inn gwahhan ke ilawa shamil karain.
  5. Raqam through bank account dain ya through cheque ke through pay karain or check numbers ya transaction number zaroor dates aap ke stamp Paper ko mazboot bana dain ge.


Har agreement ko ya ju agreement immovable property (property makan zameen dukan )ke bare main hun un ki registration  karwana buhat zaroori hai. Qanoon "transfer Of property act iss ko lazmi qarar deta hai. Kionke aksar aik party mukar jati hai apne muahada se tu register documents ko prove karna aasan hota hai or unregistered documents ko prove karna buhat mushkil hota hai. Or jin documents ki registration " Transfer of property act " ne compulsory qarar di hai agar un ko register nahi karwate tu aap kal ko case nahi kar sakain ge, ya aap ka case buhat kamzor hu ga.

 Case laws on stamp paper 

Koi bhi stamp frosh jiss ke pass stamp sale karne ka license hai or istamp ko likhne ka license nahi hai wo koi bhi tehreer registery iqrar nama ya koi bhi mahada ya tehreer likne ka majaz nahi hai. 2014-CLC-1374

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.



























 
























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon ki custody of minors after divorce or separation

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.