406 ki FIR Raqam ka lain dain | Process of Breach of trust in urdu.
406 sec ppc breach of trust |
Breach Of Trust (Amanat main Khianat ) 406 Raqam ka lain dain
2024 MLD 1484
2024 MLD 1484
خیانت مجرمانہ (Section 406 PPC) کی تعریف اور اطلاق میں کچھ بنیادی عناصر شامل ہیں جو کسی شخص کی طرف سے دوسرے شخص کو املاک کی ذمہ داری دینے کے عمل سے متعلق ہیں۔ اس کی تفصیل درج ذیل ہے:
1. اہمیت کا تصور: کسی شخص کی جانب سے دوسرے شخص کو یہ اعتماد دینا کہ وہ اس کی املاک کا خیال رکھے گا یا ان کی دیکھ بھال کرے گا۔
2. بے ایمانی: جس شخص کو اعتماد دیا گیا ہے، وہ امانت میں دی گئی املاک کو بے ایمانی سے اپنے فائدے کے لیے استعمال کرتا ہے یا اس کا غلط استعمال کرتا ہے۔
3. قانون کی خلاف ورزی: وہ شخص امانت میں دی گئی املاک کو کسی بھی قانونی ہدایت کے خلاف استعمال یا تقسیم کرتا ہے جو اس کے ذمہ داری کو ادا کرنے کے لیے مقرر کی گئی ہے۔
4. معاہدے کی خلاف ورزی: وہ شخص کسی بھی ایسے قانونی معاہدے کی خلاف ورزی کرتا ہے جو اس نے امانت کے حوالے سے کیا ہو۔
اگر مذکورہ بالا عناصر میں سے کوئی بھی پورا نہیں ہوتا، تو سیکشن 405 PPC کی شرائط پوری نہیں ہوتیں، اور پھر قبل از گرفتاری ضمانت دی جا سکتی ہے۔
یہ عناصر اس بات کو واضح کرتے ہیں کہ خیانت مجرمانہ کے جرم کے لیے خاص طور پر اعتماد، بے ایمانی، اور قانونی ہدایات کی خلاف ورزی کی ضرورت ہے۔
magar iss ko agar behtar bna dia jai tu sab se ziada niqsan us tabqe ka hu ga jo maldar hai ya wo daku qabu aa jain ge jo logon ke hathon se un ko sabaz bagh dikha kar raqam lete hain or un ke khilaf karwai nahi ki jaati .
Logon ko raqam se fraud se bachane ke liye hum ne socha hai ke un ko traind kia jai ke wo raqam ka lain dain karte waqat ahtiati tadabir istaamal karain .kionke agar app proper documents ke baghair agar app ne kisi ko raqam de di tu app ko lena buhat mushkal hu jai ga.
Kisi bande ko bari raqam dene se pehle app kia ahtiat bart sakte
- kisi bhi bande ko raqam dene se pehle us ki neiat ka andaza lagain ke wo kahin app ki raqam harap karne ke chakar main tu nahi hai . kia iss se pehle bhi wo logon ki raqam harp kar chuka hai ? agar 40 percent bhi us bande pe shak hai ke wo fraud kare ga tu us ko raqam na dain .
- agar app raqam dena chahte hain tu us se zamanat ke toor per check lain or un checks ka zikar ashtam main karain check numbers tahrir karain or un pr date dalian or tamam sharait ishtam per tahreer karain
- tamam raqam lene wale ke account main jma karwain or us ki raseedat sanbhal kar rakhain . raqam naqad ki soorat main hargiz na dain
- Or raqm ka ishtam karte hoe us ko amanat ke toor per likhwain ,or zamanat ke toor pr liye gai checks ke numbers zaroor darj karain . karobari lain dain ki raqam per app ka pracha nahi hu ga
- likhwane k liye kisi courts k pass bethe hoe Steno se likhwain .
Yad rakhain ke app ki Fir sirf usi soorat main hi app ko recovery dilwa paye gi agar app ka section 406 hai or sath main 489 F bhi lag jai tu agar parcha 420 ka hoa tu app ki raqam doob jai gi or app ke mulzam ki zamant kuch hi dino main hu jai gi
Raqam niklwana aik fun hai
raqam niklwane ke liye ziada kamyab tarkeeb yeh hoti hai ke mulzam ko khofzada kia jai us ko khofzada girftari ka khof dilwa kr kia jai . or agar app us ko girftar karwa dete hain aik lambe arse ke liye or settlement nahi hu pati . tu jail main jaa kar us ka khof khatam bhi hu sakta hai or buhat se mulzam tarjeeh dete hain ke bari raqam wapis karne ki bajai saza kaat li jai .
Case laws on 406 Supreme Court Authority
Rent A Car ke business ke liye gaari dene per 406 ka Itlaq na hu ga , Zamanat manzoor hoi.
2022-SCMR-1223
Mazeed maloomat ke liye humare wukla se mashwara karain ,
03244010279 Whats app avilable
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your cooperation , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks
406 ma 2017 ka bad kyh changes ahei hin plz ans me
ReplyDeleteSection 406 main koi change nahi aai. aap ko kis ne kaha
DeleteKiya saza hoti hai ziada sey ziada amanat mey khayanat krnya ki?
Deleteiss main bail nahi hoti agar 406 banti hu. or hum criminal ki hosla afzai nahi karte, iss ke sath civil ka case kia hu tu iss main saza or civil main recovery hu jati hai so behtr hal hai ke iss main raqam de kar jan churai jai
DeleteSir agr koi insan zbrdatii eik 20 saal ky lrkay sey 1200 wala storm usko dhmkiya dey krr bank khud sath jaa krr aur uss lrkay ky pss id card orignal naa ho aur woh dusra insan fir bhi id card ki copy sey bank mey uska storm niklwaye aur bdd mey usko pss beitha krr galat raqam likhwaye ky mai iss sey itnay paisey leynay aur uper storm ky uskay sign bhi krwaye toh kuch ho skta is ky liye?
DeleteAur uss lrkay ky naam koi property bhi naa ho toh kiya uss lrkay ky khilaf bhi case ho skta kyu ky woh toh fazool mey phnsa raaha naa bichara
DeleteAoa bhai koi 20 saal ka bacha chota nahi hota ju us se istam zabardasti likhwa le istam main gwah bhi hote hain or agar likhwa bhi lia tha tu baad main larke ne police ko inform kio na kia or agar aab FIR ya civil case dosri party karwati hai tu police investigation hi batye gi ke kon sacha or kon jhoota hai
DeleteSir bank transactions hoi ho or us ki raseed pr Fir ho sakti hy
ReplyDeleteAoa kia likh rahe hain aap kis cheez ki transaction. agar us se koi cheez sabat hoti hai or juram sabat hota hai tu hu sakti hai
ReplyDeleteAoA!sir agr gari rent pe le k paiso k aiwaz kisi dosry ko dy dy tu us pe section 406 ho skti h kia or agr hho tu uski saza kia hoti h
ReplyDelete406 hoti hai Amanat main khianat. ab wo gari aap se le kar gia hai agrrement ke through or fraud kia hai.406 nahi banti aap ne koi amanat tu nahi rakhwai. 420 banti hai ju ke bailable hai magar us ki saza 7 years hai
DeleteSir aik Banda maray se Mehran Car rent par lay kar gia aur agay dosray banday ko frokht kar di. Dosary banday nay cheque dia dishonor ho gia. FIR 489F ki kat Gai hay. Pehla Banda Bach gia. Kia FIR 489f ke Sath 406 aur 420 lag sakti hay ya nain ya dosrri FIR Karni parhY gi.agar dosrri FIR ke leay darkhwast don TU Kon se section shamal Marion. Sukria
DeleteSir mojhe agrement bnwana hai aik bande ko pese diye hai cash
ReplyDeleteSir mery cousin NY aik lakh Lia tha apni shadi py .Jo wapis nai ker reha kia fir ho ge us py.avidance hy mery pas sary.uski call recording aur transaction ki copy
ReplyDeletePolice station main application de dain or police ke aala hukam ko bhi de dain.inshallah hu jai gi recover. parcha zara mushkil se hota hai lakin banta hai parcha or agar parcha na hu tu civil suit kar sakte hain
DeleteSir aik adami NY aik green admin pr amant main khiyant ki drkhwast did hy thany main or us k pass koi saboot nhi hy us ghawah b ghawahi ni dety laikn police Mili hui hy or greeb ko dba rhi hy k 406 k taht jail jao gy or bail b nhi ho gi
ReplyDeleteagar police aap ko ghalat harasa kar rahi hai tu harrassment ki writ karain court main or agar parcha jhoota hu jai tu abori zamanat karwa lain.
Deletemazeed maloomat ke liye call 0324400279 whatsapp
DeleteSir jesa k ap ko pata ha k hmari socities men kametiyan dali jati han, agr koi bnda ksi ki kameti na de to amanat men khyanat bnti ha k nhi
ReplyDeleteG parcha hota hai
DeleteSir me aik company me kaam krti unon na ilzam lgia ap na corruption ki fake slips banai jo ka mera pass authority nhe the bills ki ab police bolati or parcha ka bolti or khti ha settlement kr la
ReplyDeleteKia kro solution
ReplyDeleteAoa Sir, Mera Question yeh hy k mene apnydoston k sath invest kiya tha online or unhon ne kaha tha k lossni hoga profit hoga or ab wo loss hogya hy to kia me apny doston pr case kr skta hun q k wo ab ni de rhy paise yeh bol kr k bhai hamara loss hua hy ?
ReplyDelete