Investigation meaning in Urdu Tafteesh ya investigation process in Pakistan





Investigation process




Investigation ya tafteesh 


Investigation refers to the process of systematically gathering, analyzing, and evaluating information to uncover facts and solve a problem or answer questions. It is often associated with inquiries conducted by individuals or organizations to discover the truth, solve a crime, or gain insights into a particular matter.


Investigation meaning in Urdu

 سے مراد حقائق سے پردہ اٹھانے اور کسی مسئلے کو حل کرنے یا
 سوالات کے جوابات دینے کے لیے معلومات کو منظم طریقے سے جمع کرنے، تجزیہ کرنے اور جانچنے کا عمل ہے۔ یہ اکثر افراد یا تنظیموں کی طرف سے سچائی کو دریافت کرنے، کسی جرم کو حل کرنے، یا کسی خاص معاملے میں بصیرت حاصل کرنے کے لیے کی جانے والی انکوائریوں سے منسلک ہوتا ہے۔







Tafteesh meaning in English

Tafteesh meaning in English is investigation.

Investigation meaning in Urdu is tafteesh.

Qanoon ke mutabaq tafteesh us inquiry ko kehte hain jiss ko police kisi mulzam per FIR hone ke baad karti ha.

Superior Courts decisions about investigation.

Naqas tafteesh ki saza: court ne naqas tafteesh karne per dehshat gardi act 1997 ke tehat 2 investigation officers ko 6 months qaid bamashkat or 50'000 jurmana ki saza suna di. (2021-pcrlj-285)

Tabdili tafteesh per lahore high court ja detail faisla jiss main iss topic pr mutalqa laws ke sath Supreme Court ke sath Sath deegar Courts ke tamam faisla jaat zair behas lai gai hain (2022-pcrlj-83)

Tafteeshi ka kaam sirf shahdat akthi karna  hai, mulzam ko gunah gaar ya begunah karna Court ka kam iss kam ka tafteeshi ikhtayar nahi rakhta. Court tafteesh se itfaq bhi kar sakti hai or disagree bhi Kar sakti hai.(2015-MLD-431). (2011-pld-SC-350)

Duran e trial session court ko yaqeen hu ke tafteeshi ne jai waqua ki detail ghalat bian ki hain tu trial court under section 539B Crpc iss jaga ka moina magistrate ko commission maqarar kar ke report le sakti hai (2016-SCMR-2084)

Tafteeshi officer ki kotahi se istaghasa ke muqadma per Koi faraq nahi parta hai(2001-SCMR-705)

Qanoon main aisi koi pabandi nahi ke jiss police officer ne muqadma daraj Kia hu wo iss muqadma ki tafteesh nahi kar sakta (2018-pcrlj-note-26----30)

Investigation by complainant while functioning as investigation officer is a biased (2021-pcrlj-1294)


Court Police ki investigation main mudakhlat nahi kar sakti.(2021-pcrlj-293)

High court ka police ki mulzam ki   tafteesh ke mutalaq begunah honey ki opinion per hukam dena qanoon ke nazar main ghair qanooni hai. Kionke police ka Kam tafteesh ke through shahdat akthi karna hai. Police Kisi mulzam ka kam kisi ko begunah karna ya begunah karna nahi hai.  Iss liye Supreme Court ne qarar dia ke High court ke aise hukam ki  qanoon ke nazar main koi ahmiat nahi. High court ke hukam ko kaladam qarar de dia.(Pld-2006-SC-316)



For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.


















































































 






















Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation