main apne shohar se recovery kese karwa sakti hu . Ajrah (execution of decree)
Recovery in family suit |
Execution of Family court decree
Ajj hum baat karain ge ke aap ka case decree hu jata hai family court se or abb app ne us decree ki tameel karwani hai or us main aap ne recovery karwani hai tu us per konsa tareeka kar lago hu ga or wo konse tareeke se tameel hu gi, Sub se pehle dekh lete hain ke family court main konsi decrees hoti hain .
- Khulla ka dawa ju ke decree hone ke baad union council main jata hai .
- saman jahez ka dawa . iss ka Ajrah same court main lagwaia jata hai.
- haq mahar ka dawa. same court main execution lage gi
- Bv bachon ke kharche ka dawa. iss ki bhi execution same court main lagti hai
- Bazo dawa. (rothi hoi bv ko wapis lane ka dawa) iss main app ko haq mahar maaf hu jata hai or aage shadi kar sakte hain.
- jactitation of marriage.
- sab se pehle decree hu jane ke baad aap ko apne case ke execution lagwani hoti hai.execution ya ajrah ke lagwane ki mudat 2 saal hai agar aap iss doran main execution file nahi karain ge tu aap ka ajrah ya execution time bard samjha jai ga .or aap ki decree zaia hu jai gi .
- Recovery ka procedure through attatchment of property.Agar decree ki tameel ke liye aap madyon decree(husband) ki kisi aisi jaidad ko jante hain jiss ko sale kar ke aap ki recovery karwai ja sakti hai tu aap ko iss jaidad ke bare main fard e talika ka form fill kar ke court main jama karwana hu ga . or iss jaidad ki malkiat ka saboot bhi dena hu ga.
- Recovery bazreea girftari. yeh procedure agar aap ke pass koi dosra tareeka nahi hai yani agar madyon e decree ki koi jaidad waghira na hu tu aap us ko girftar karwa kar bhi recovery karwa sakte hain . iss procedure ke tehat aik saal ke liye jail bhaij dia jata hai madyon e decree ko . or agar madyon e decree kuch hisa decree ka aada kar de or baqi raqam ke liye guaranter de de tu us ko raha kar dia jata hai.
- Recovery bazreea tankawa band kiye jane. iss zareea se un mulazmeen se recovery karai jati hai ju ke sarkari mulazim hote hain . agar aap un ki detail court main dete hain application ke sath tu court un ki tankhwa rok kar aap ka kharcha dalwa sakti hai . iss tareeke se aksar bv bachon ka kharcah recover karwaia jata hai.
- Husband se ju ke asal main madyon e decree hota hai.
- us person se ju madyon e decree (husband) ki jaga par zamanati banta hai.
- kuch cases main dada ya susar ko bhi court recovery ke liye bula leti hai .
For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of
this post.
Comments
Post a Comment