Dowery articles | What is the recovery of dowry articles | case laws on dowry articles | saman Jahez Ka Dawa. Case process of dowry articles.
What is the dowry articles
A dowry typically consists of gifts, house hold items like furniture, electronics, deep freezer etc that a bride's family gives to the bride and groom or his family upon marriage. The specific articles can vary across cultures and regions, but they often include items like jewelry, household goods, so if in future any dispute arise between husband and wife, the wife can file case " recovery of dowry articles" called in Urdu " saman Jahez ka dawa .
فیملی کورٹ میں مدعیہ کا پیش ھونا ضروری نہ ھےمدعیہ بزریعہ ایجنٹ یا اٹارنی بھی پیش ھو سکتی ھے۔
2011-ylr-3034
Dowry Articles how to recover |
Q: What are the legal rights of women after divorce or before divorce she can get through.
- Women and their legal rights
- Transfer of cases in her city
- Kharche ka case
- saman jahez ka case
- Custody of kids
- mere khawand ne bache cheen liye hain un ko wapis kese le sakti hun
- mere gear walo ne meri shadi meri marzi k half kar di hai
- mera shohar bachu ka kharcha ada nahi kar raha
- main apne shohar se recovery kese karwa sakti hu
- gumshuda nikah nama dubara banwana
Saman Jahez ka Dawa bachon ke kharche ke dawa ya kisi or dawa haqmaher ya divorce waghira ke sath aktha bhi kia ja sakta hai.
Saman jahez ka dawa dair karne ke liye kin documents ki zaroorat hoti hai
- larki {petitioner } ka id card . Agar ID card na ho tu pic se bhi kam chalia ja sakta hai .
- copy Nika nama ki Optional
- copy Talak ka certificate jo union counsil jari karti hai .
- or us ke Ilawa jo documents app ke Pass mojod hon
- Saman jahez ki list with prices or total amount jo banti hai
- raseedain saman ki jiss kadar available hon
Tamam documents le kar app lawyer ke through family court main dawa dair karain .
Mazeed mufat qanooni mashwar jaat ke liye call karain
0324-4010279
0345-4378944
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks
Q: Which are the legal rights of women after divorce or before divorce she can get through
- Women and their legal rights
- Transfer of cases in her city
- Kharche ka case
- saman jahez ka case
- Custody of kids
- mere khawand ne bache cheen liye hain un ko wapis kese le sakti hun
- mere gear walo ne meri shadi meri marzi k half kar di hai
- mera shohar bachu ka kharcha ada nahi kar raha
- main apne shohar se recovery kese karwa sakti hu
- gumshuda nikah nama dubara banwana
aoa. sir mera jahaiz jo mana gya tha court se decree hua lekin ex husband ne faisly per stay le lia session court mai or apeal manzoor krwa li. hum mamla highcourt mai le gy hn.ab wo munkir hai saman se. sir ab wakeel bolta k saman toota hua milta hai. agar esa hua to aagy kya krna ho ga? mera sb saman new tha. shadi 8 maah chali bus
ReplyDeleteI m not lawyer. But Mera bhi Saman Ka ha,Ammi ne meri shadi se 9 saal pehlay jora tha,mjhe bht Aziz ha
DeleteG saman jahez per time lagta hai dono parties ke pass apeal ka right hai or apeal ke baad hi decree final hoti hai. koi jan boojh kar tu nahi torta agar tota hoa tu aap court main application de dena.
ReplyDeleteMazrat. Lekin onho ne khud nhi buy kea hota is lea qadar nhi hoti. Ma rokhsat ho k aai Tu meri cupboard, dressing,tables, mirror totay hoe thy
Deletesir mera samaan use ni hua tha. mery ex ne bola tha k tor k dy ga. mera samaan mai kai chezain pack thn
ReplyDeleteCall me or whatsapp 03244010279
DeleteSir meri shadi just 2 mah rhi mera saman bilkul new hai mujhy talaaq ka 1 notus mila hai abhi 1 notus k bad hum log samaan ka dawa ker skty hn ya nh
ReplyDeleteG kar sakte hain
DeleteAssalam o aliakum sir.meri aur wife ki understanding ni hoi. Wife ki family chahti thee k me divorce de do aur unho ne wife ko ghr bithaa lia apne 2 saal se. Me ne divorce ni di me basanaa chahta tha.ab wife k bhai ne khulla ki application di aur degree krwa k khulaa ly li.
ReplyDeleteAb court ki tarf se letter aya jis me jaheez ki demand ha. Me jehaz deny k liye agree same usi condition me ha jaheez. But shadi k waqt unho ne gold be daala tha 1 Tolaa.jo k me ne wife ki marzi se sale kia tha shadi attend krny k liye. Lekin gold nikkah namy me ni likha. Kia ab mjhe gokf b dena ho ga.ya sirf jahez.
ReplyDeleteGold kisi taraf se bhi dala hu lari ki malkiat hota hai . high court ke faisle mojod hain iss bare main.baith kar un se baat karo or ju gold baich hai us ke badle gold ya raqam de do or saman jahez ju para hai wohi wapis kar du.
DeleteGold BHI or jahez bhi kionke ap ne wo cheez sale ki ju k bv ki malkiat thi gold dalne k baad bv ki malkiat hota
DeleteMai abhi 7 month pregnant hoon.mairay husband nay mjhy 3 month Pehlay aik choti si larai ki waja say mairay maa baap kay ghar chor diya hai na kharcha day rahain hain na lay kr ja rahain hain.mainay bachay aur apni dono ki Maintenance ka case ker diya hai.mjhy yeh pochna hai kay Maintenance kay case kay baad mai saman uthnay ka case ker skti hoon?
ReplyDeleteG kar sakti hain aap dawa
DeleteMairay husband nay jawab nama jama krwaya hai kay mai apni marzi say apni maa kay ghar gai hoon lihaza mairay honay walay bachay ko to kharcha milay ga magar bv yani mjhy woh kharcha nhi day ga jub kay mai basna chahti hoon mager agar woh na basaye to next mai kya krun?
DeleteMairay husband islamabad mai job krty hain aur woh mjhy islamabad say lahore chor kr gaye jub kay maira susral Lahore mai hai aur maira jahaiz aur zewar sub Lahore mai hai jisay mainay hath tak nhi lgaya ub mai woh saman aur zewar kaisay wapis lay skti hoon
DeleteAgar maira miyan mjhy maintenance na dainay ki waja say talaq day daita hai to kya mai apna gold jahaiz aur susral ki tarf say milnay wala gift mai gold ka dawa kr skti hoon?aur agar khulla loon to kya yeh sub cheezain tub bhi mai claim kr skti hoon?
DeleteSaman jahez gold or bachu ka kharcha AAP claim kr sakti Hain chahe khulla hu ya wo divorce Kate. Magar aap ka kharcha nhi mile ga or khulla ki soorat main haqmahar bhi chorna par sakta
DeleteAgar mai saman laina chahun to uska legal procedure kya ho ga?aur kya sirf apna gold he claim krna paray ga ya jo miyan aur susral walon nay diya tha woh bhi claim krna paray ga?
ReplyDeleteGold tu dono aap ke hain jab unho ne dal dia gold tu phir aap ka hu gia magar yeh saabat karna thora mushkal hota hai jab aap khud udharchor kar aa gain. kionke court main wo kahain ge ke aap sath le gai hu or aap kahu gi ke un ke pass hai. court kehti hai ke zewar larki k pass hota.
DeletePhr zewar ka claim kaisay ker skty hain?
DeleteJese aik aam claim karte Hain with all proves and evidence
DeleteSir Mein Apni Bv Se Behad Pyar Krta Hun Lekin Pichly Kuch Mah Halat Tang Hony Ki Waja Se Wo Mujhe Chor Kr Chali Gai. Or Mujhe Adalti Saman Mosol Hui Hai. Larki Ne Apna Saman Bhi Rakha Hua Hai Lekin Phir Bhi Dawa Kr Dia Hai AbMein Kia Krun. Wo Khula Lena Chahti Hai.
ReplyDeleteKhulla ka agar dawa kia hai or Sath saman jahez ka tu aap ko case ka jawab Dena hu ga. Or Sath main Koshish Karni hu gi sulah k Liye through family agar ap supah chahte Hain tu. Or conjugal rights ka dawa BH I kar sakte hain ghar basane k liye
DeleteKhula jb Leni ho Tu court k feslay se pehlay oarat apna Saman le ja skti ha?
ReplyDeleteG Le sakti bahmi razamandi see bian e halfi ka istam Le lain .
DeleteSir mere bhai ki shadi ko 8 mah huwe hain or wo apni wife ko divorce dena chahta hy q k larki khud nh rehna chahti lekin wo talaq apne husband k mun se kehlwana chahti hy or larki walon ka dawa ye hy k divorce k bd 5 lacs jurmana or 5 lacs saman ka maang rahe hain total 10 lacs to mein ap se ye janna chahta hun k divorce dene pe koi jurmana dena parta hy ya srf saman wapis karna parta hy .
ReplyDeletedivorce per jurmana nahi hai agar haqmahar likha hoa hai tu wo aap ko pay karna pare ga. or saman jahez ke dawa main wo case kar sakte hain ju ke evidence se faisla hota he, wese tu har koi saman ziada mangta hai magar aksar wohi milta hai after evidence ju aap ne dia hota.baqi aap saman dete waqat wife se istam likhwa lain ke lain dain clear hu gia or koi saman abb baqi nahi raha.
DeleteSir agar smaan pora karny k bad larki waly stam dyny sy mukar jaye or mazeed idhar udhar k bahany bna kr or paiso ka mutalba karyn to larky walo ko kya karna chahie.... Or agar larka talaak dy to jo shaadi ma larki waalo ki taraf sy salaamia or larky ko or us ghr walo ko kaprry diye jaty hyn wo larki walo ko wapis karny party hyn ya ni????
DeleteGigt wapis nahi hote. Sirf saman jahez or zewar larki ka wapis hota.
DeleteSir agar larki k gold ma sy koi cheez susral ma chori ho jaye or larka larki to talaak dydy to larky ko wo gold bhi larki to dyna parta hy????
ReplyDeletenahi dena parta. Gift wapis nahi hota or dosri baat zewar ko prove karna mushkal hota
DeletePlease reply fast
ReplyDeletemaine apne shohar se khula li hai tou, ab mai jaheiz k saman ka dawa kr rhi hun tou kya mjhe wo saman bhi dawa kr k le skti hun jo maine aur mere shohar ne shadi k bd mere paiso se saman liya ya sirf jahaiz k saman ka he dawa kr skti?
ReplyDelete