Spurd dari (Vehicles) judgements and case laws Bike , Car , Truck etc police station se through court wapis lena

                  

Spurddari of vehicles 


Process of spurad dari

               



Sab se pehle vehicle jiss FIR main band hai wo FIR ya police report ki copy hasil karain.


Jiss ke baad file banain with all related documents and apply to Court.


 Jiss ke baad court se approval le kar SHO  report karwate hain . Court unhi documents ke peche sign or court ki stump lga dete hain .


us ke Bad app ko Police Station jana hota hai. Mudai ko, police report ke liye .


 app wahan se likhwa kr le aate hain ke gari un ke pass mojod hai  .ya jo bhi kuch police report karti hai

 or us ke baad judge sab  police report dekh kar . agar un ko koi itraz na ho or app asal malik ho gari ke or  app asal documents pesh karte ho with ID card ke tu app ko spurd Dari karwane ke Ijazat mil jati hai or judge sab app ko bata dete hain ke app ko kitna surity bond dena hai


Us ke Baad app apne Zamanti ko property ya bike ke asal documents ke sath bula kar documents tyar karwa kr  Spurdari karwa lete hain
Court ki karwai hone ke Baad app ko Robkar bunwa kar de di jati hai jiss se app Police Station se apni gari ya saman le sakte hain

Mazeed maloomat ke liye call karain whatsapp

0324-4010279 

Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks


High court  and Supreme Court decisions | Case Laws on Spurdari


Spurdari means The interim custody of seized property to a person entitled to its possession or whome it was recovered,In lieu of Surety bond by court Its production whenever necessary. PLD 2022 LHR 271


yeh ke Saail ne tamam instalments jama karwa kar khareeda jiss ke raseedat bhi hasil kien. 2012 YLR 2718

yeh ke Moter cycle Saail ke nam daraj shuda hai. 2012 YLR 2718


yeh ke parties ke darmyan mamla dewani nooeat ka ha 2012 YLR 2718


yeh ke swari ko driver  ke hawale kia gia tha take wo iss ko texi ke toor per chali jabke vihicle ke ghalat istamal ka saiial zimadar nahi 2012 MLD 1543


yeh ke swari saail ki kafalat ka wahad zareea hai or swari police station main khuli jaga khari hai or iss ke kuch purza jaat ko police ne nikal lia hai..
yeh ke saail police ke sath tawaan nahi kar raha or drivers ke nam or addresses batane se qasir hai.
2008 MLD 1491


Yeh ke vehicle case property hai.2008 MLD 1491


yeh ke vehicle  imported evidence hai yeh ke mulzman mafroor hain yeh ke vehicle ko release kar dia gia tu istaghasa ke maqadma ko naqsaan puhnchne ka khatra hai. 
2008 MLD 1491


Agar vehicle per chori hone ka ilzam nahi hai tu Just chesises Number temper karne ka ilzam hai tu vehicle Spurdari per Malik ko di ja sakti hai.
2013 CRLJ 278


Majistrate  ne sprudari ki application manzoor karte hoe SHO ko vehicle release karne ka hukam dia magar SHO ne vehicle release na ki Petitioner ne High Court se rajoo kia tu High court ne Police officer ko 2 lakh rupees Fine kia or CCPO ko hukam dia ke iss police oficer ko kisi aisi jaga tainat kia jai jaha public ko  mushkalat na hun
 2020 PCRLJ 1144


Munshiat case main vehicle trial court ne malak ko dene se inkar kia or application dissmiss kar di faisla challange kar dia jabke iss act ke 2 sections 32 and 74  juram main use hone wali  vehicles ke use ke bare main hain.High Court ne haalat or waqiat ko mad e nazar rakhte hoe trial court ka faisla mansookh kar dia or section 74 ke tahat Gari ki spurdari temporaty toor per Gari ke Malik ko dene ka faisla kia. 2020 PCRLJ 284

For more information Call or Whatsapp 03244010279


























 






















Comments

  1. sir ager gari naam pe na ho id ki copy ho or asal documents hom to supardari ho jay g?

    ReplyDelete
  2. G bhai do admi gari ki spurdari karwa sakte hain aik woo jis se gari pakri gai hai , or dosra jo gari ka asl malik hai .
    agar gari app se pakri gai hai or asal kagaz mojod hain tu app bhi apply kar sakte hain

    ReplyDelete
  3. spurdari wali gari ghar k istemal k liya khareed sakta hain family ka sath jata hua aksar police wala tang karta hain,kiya documents pa spurdari ki koi stamp hoti ha

    ReplyDelete
  4. bhai spurdari app ne kese karwai. kionke spurdari milti hi malik ko hai ya us person ko milti hai jiss ke qabze se gari pakri gai hai .or agar app ne kisi se gari kharid li hai.spurddari ki gari per casses hu sakte hain. so it is not suitable for private persons . it is only suitable for police man lawyers or army . kionke in ko koi tang nahi karta . agar app ghar ke istamal ke liye kharedte hain or police wale tang karte hain . tu yeh achi baat nahi.

    ReplyDelete
  5. Sir, supurdari wali gari kisi se khareedny k liye konsi cheezon ka khyal krna chahye. Agr supurdari wali gari khareed li jy tu Kya some nam pe krwa sakte hn? Aur supurdari wali gari ka record online qn ni ata excise ki website pe? Shukriya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa G spurdari wali gari aap ko nahi kharidni chahye agar gari ka malak khud na bech raha hu. matlab agar gari kisi or ne spurdari karwai hai or wo gari ka last possesser tha tu gari wo spurdari karwa sakta tha magar wo malak nahi hai. so agar aap kisi aise bande se gari khareed lete hain ju malak nahi tu kal ko asal malak aap se gari wapis le sakta hai. dosri baat aap ko pata hona chahye ke gari kis juram main istmal hoi hai. kahin gari chori ki tu nahi. or yeh bhi pata hona chahye ke gari ke or dawe dar tu nahi hain.

      Delete
  6. Sir Mera aik mobile h police station mein Kya us ki b spurdari karwani pare gi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar police wale kehte hain ke Spurdari karwao tu karwa lo agar wo bghair Spurdari ke dete hain tu le lo. Kionke aap ko case ka nahi pata

      Delete
  7. Jab main arrest huwa to us time only aik mobile tha mere pas Jo police walon ne rakha or likh Liya mobile ka model wagiara Kya us ki b spurdari karwani ho gi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar aap ke ooper parcha tha or mobile bhi kisi case main malwas hai. Tu spurdari lazmi hai. Agar case nahi hai koi tu phir nahi.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation