Mera Shohar bachu ka kharcha aada nahi kar raha

Family court 

Dear Reader
                    AAj hum baat karain ge .kuch oortain bachuo ke kharche ka case court main file karti hain.magar kuch arsa case larne ke baad choor jati hain or kharcha le nahi ppati hai tu us ke liye kia procedure apnana hu ga. kharche ke case main pehli date per jab khawand court main pesh hota hai tu court bache ka aabori kharcha laga deti hai .kharche ka procedure ju ke baz oqat khawand pay nahi karta ya kisi dosre mulak main hone ki wajh se bv le nahi paati tu khuch arsa ke baad wo mayos hu kar ghar baith jati hai ke shaid abh main kharcha nahi le sakti
bache ka kharcha jiss din case court main file hu jata hai us din se account hona shroo hu jata hai. bv sabqa kharcha ka claim bhi kar sakti hai .so agar aap ka case decree hu jata hai or kharcha  kisi wajah se aap ko aada nhi ho raha hai tu bhi ghbrane ki koi zaroorat nahi hai. yeh case jan nahi chorne wala . bas karna yeh hai ke aap ne case ka ijrah under 2 years court main file karna hai. agar aap ne ijrah time per file na kia tu aap ka ijrah time bard hu jai ga
Husband agar kisi or city main rehta hai tu
                                                                       baaz oqat hota yeh hai ke khawand kisi dosre shehr main rehta hota hai tu app ko ijrah file karne ke baad us case ko mutalqa shaher jahn khawand rehish pazeer hota hai wahan per bhejana hota hai . taake us ke warrant jari hu sakain. or kharcha recover kia ja sake .
Recovery ke dosre procedure

  1.                                                 Agar khawand out of country hai tu aap ko aise sources dhondne chahiyen jahan per khawand ke nam per koi moveable or immoveable property hu. jiss ko sale kar ke aap ko recovery di ja sake . jese koi fasal , zameen. bank account.koi or source jahan se recovery mumkan hu sake.
  2. sarkari mulazam ki tankhaw rakwa kar bhi aap ko kharcha mil sakta hai. 


 For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.

Read more

                                      



























 






















                                         

Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation