Process of medico legal report |
Matasara afrad ka Medical karwana (Medico Legal report) MLC
Dosto Jab hum koi darkhwast ya application thane main dete hain or wo kisi larai jhagre ke bare main hoti hai ya wo rape ke bare main hoti hai tu hum ko us darkhwast ke uppper fir darj karwane ke lye medical karwane ki zaroorat hoti hai . kionke bghair medical app ka moaqaf Sabat nahi hu sakta or Parcha(FIR) darj nahi hu saktaMedical karwana kion zarori hai
- kion ke jo zakham laga hai wo paper pr aa sake or mulzam ke khalaf karwai ho sake
- Parcha us wakat tak nahin ho ga jab tak us medical ki report thane main jama nahin karwai jaati
- yeh paper case ke sath adalat main jaye ga or aik saboot ho ga
- mulzam ko saza dalwane ka wahid tareeka
Medical kese karwaya jata hai
- zakhmi ko le kar thane jate hain or wahan se duct jo ke aik paper pr bana ke dia jata hai or aik police ka mulazim sath bheja jata hai jo ke app ke sath sarkari hospital main jayega or wahan pr se zakhmi ka medical banwaya jye ga
- Agar police wale jesa ke aksar hota hai app ka medical nahin karwate tu app apni application for medical matalka majistrate ko dain ge or wahan se approval ya ajazat le kar sarkari hospital se karwain ge .
- medical jitni jaldi ho sake karwa lena chahye . kion ke ye jitna late hota jaye ga iss ke value utni hi kam hoti jaye gi.
- Yeh tamam batain Qatal ki soorat main bhi apply hun gi kisi post martem ke hawale se.
Case Laws on MLC ( Medical)
- ایس ایچ او کے ساتھ ساز باز ہو کر ایک جھوٹا میڈیکل بنوایا گیا۔ میڈیکل کو علاقہ مجسٹریٹ کے روبرو چیلنج کر دیا گیا ۔ مضروب نہ تو علاقہ مجسٹریٹ کے روبرو تعمیلی نوٹس پر پیش ہوا اور نہ ہی میڈکل بورڈ کے سامنے پیش ہوا۔ جھوٹے میڈیکل کی بابت عدالت نے ضمانت منظور کر لی ضمانت منظور شد ٹ PLJ 2020 law Note CRofficer
- Agar koi medical officer jaan boojh kar ghalat report prepare karta hai tu us per section 167 or 218 PPC lage gi.
- Agar koi Judicial Magistrate ke pass koi application (medical challenge) or re examination ki aati hai or magistrate iss ko allowed or dissmiss karta hai tu yeh order executive order hai. Jiss ke khalaf revision File nahi ki jaa sakti. Balke iss ke khalaf writ hu gi in High Court. (PLD-2020-Lahore-77)(2010-PCRLJ-1799-Lahore)
- Medical Sirf yeh bata sakta hai ke marne wale ne zindgi ganwai inn injuries ki wajah se, magar yeh medical , Mujram ka pata nahi batata.(2018-MLD-226-Lahore)
- Medical Board ki tashkil or board ki zakham ke baare opinion ke " possibility of fabrication can't be ruled out" ke bare main Supreme Court ka aham faisla (2021-SCMR-387)
- Medical report kisi mulzam ko waqooa se nahi jorti balke iss se injury ki nooiet or istamal kiye gai weapons ke baare main pata chalta hai.(2018-PCRLJ-147-Note-120)
- Mazroob medical board ke samne pesh na hoa. 337A3.....mudai bhi board ke samne pesh na hoa, Case fall in further inquiry, Bail allowed.(2001-PCRLJ-439)
- Lahore High Court ne qarar dia ke post martem late karne ka matlab sirf waqooa ke liye jhoote gwah tayyar karna or begunah logo ko FIR main malawas karna hai.(2020-YLR-1620)
- Investigation officer can't decide anything related medical)(MLC)(2011 SCMR 1354 b Sec 169, 170, 173.)
- مجسٹریٹ اگر مضروب کے دوبارہ طبی ملاحظہ کیلیے ڈسٹرکٹ سٹینڈ نگ میڈیکل بورڈ یا پراونشل سٹینڈ نگ میڈیکل بورڈ تشکیل دینے کی درخواست منظور کرے یا خارج کرے تو ایسا حکم انتظامی حکم (executive order) ھے اور اس حکم کے خلاف نگرانی دائر نہ کی جا سکتی ھے بلکہ ہایئکورٹ میں رٹ دائر ھو گی PLD 2020 Lahore 77
qanooni mashwara jaat ke liye call karain 0324-4010279 Whatsapp available
Dear readers if u like this post plz comments and follow us .we will reply your every question , you can write your matter in comments or call or whats app. Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks
Popular Articles
No comments:
Post a Comment