Illegal Custody Ghair qanooni harasat
Illegal Custody Ghair qanooni harasat
Dear ReadersDosto Pakistan main Police aksar logon ko ghair qanooni toor pr pakar kr thane maindall deti hai or un ko rishwat le kar chor deti hai .or gharib logon ko yeh bhi pata nahi hota ke un ka kasoor kia hai .
Dosto police kisi fard ko us waqat tak girftar nahin kr sakti jab tak ke us ke khalaf FiR daraj na kare .likin yahan pr tu sirf application pr he wo rishwat lene ke liye kisi bi begunah ko hawalat main dall daite hain .Qanooni toor par har mulzam ko 24 ghenty ke undar adalat main pesh karn hota hai . lakin aksar iss qanoon ki violation ki jati hai
or humare logon main un ka itna dar hota hai ke log foran bande ko churane ke liye bhari rishwat ki offer karte hain .almost 50 percent ya above cases thane main hi khatam ho jate hain .qanoon ki baladasti ke liye
har kisi ko us ka haq milna chahiye or gunahgar ko saza milna chaheye
App Ghair qanooni harasat ke khalaf kia chara joi kar sakte hain
- Iss Ghair qanooni or Ghair Ikhlaqi amal ko app rok sakte hain . agar app un ko rishwat dene ki bajye app Lawyer se rabta kartey hain . or jiss main app qanooni tareeke se balif dalwa kar thane main app Ghair qanooni harasat se najat hasil kar sakte hain .Humari yeh koshish hai ke har Pakistani ko apne haq ka or qanoon ka ilam hona chaheye . taa ke wo sir utha kar mashre main zindgi basar kar sake .
- App ghair qanooni harasat ke khalaf kia kar sakte hain after release from Police station
- app CCPO ko application de sakte hain ya
- kisi bhi Ala officer ko Application de sakte hain .SP ,DSP .IG etc
- or iss ke ilawa app Anti corruption main darkhwast bhi de sakte hain jiss ka faida yeh ho ga keh agar anti corruption karwai nahi karta tu app 22A 22B ki writ Session Court main dair kr sakte hain parche ke liye mutalqa police officer ke khalaf .
- App Istaghasa dair kar sakte hain before magistrate .
Comments
Post a Comment