How to check Land records online Registery check, Mukhtarnama check and other documents check online online.
Check online property records |
Aaj hum Baat karain ge ke kese hum apni property ka record online check kar sakte hain.
Neeche diye gai link per click karain ge tu aap Punjab Land record Authority ki website per puhanch jain ge.
Iss ke ilawa aap google per "punjab land records authority" ko search kar ke bhi website per puhanch jain ge.
Website per jane ke baad aap ko ju page nazar aaye ga wo isstarah se hu ga
E -registration |
Ooper wale page ju hai iss ke through aap apne documents ko online kese register karwa sakte hain us ka process bata raha hai. Iss per click karain ge tu neeche wala page khul jai ga.
Iss ooper wale link per click ker ke aap online farad bhi hasil kar sakte hain. Online hi fee pay karni hoti hai link per click ker ke aap ko process bhi maloom hu jai ga
Jiss ke baad aap ko aik link Nazar aaye ga ju ke neeche nazar aa raha hai.
Jesa ke link ke ooper likha hoa hai ap iss per clicked karain ge tu neeche wala page khul jai ga.
Appointment book |
Ooper wali pics main aap kisi bhi record center main ju ke kisi bhi zila ka hu sakta hai. Ap apni appointment book karwa sakte hain.or appointment ka maqsaad intiqal ke liye aap appointment lena chahte hain ya farad ke liye wo bhi aap iss ooper wale form main mention karain ge.apna zila or mutalqa tehsil zaroor mention karain.
Jiss ke baad iss website se aap aik app download kar sakte hain gardawari ka jiss se aap kisi bhi zameen ka Punjab main kashtkar ka maloom kar sakte hain or qabza maloom kar sakte hain ke kis ke pass hai .
Comments
Post a Comment