Intqal jaidad ka process.(case laws) Mutation in Register haqdaran





Mutation of properties 

Register haqdaran Zameen main intqal


intqal register haqdaran




Case Laws on intiqal ( mutation )



Section 42 Land revenue act 1967 ke tehat zameen ka intqal kia jata hai zail main high court or supereme court ke faisle mojod hain jiss se intqal ke bare main roshni dali jai gi

Intqal ko challange karne ke liye agar yeh mehkma maal ki mili bhagat se hoa tu yeh case civil court main hu ga or us main mehkma maal sobai government ke mulazmeen ko party banana zaroori hu ga
2020 SCMR 214

har nia intqal aik nai banai dawa paida karta hai trial court ne saail ke khalaf kia magar appalet court ne faisla badal dia jiss ko challange na kia gia abb wo final hu gia
2020 CLC 99 (Lah)


Sale ka Intqal


Intqal khud koi shahdat nahi itqal ko sabat karne ke liye qanoon e shahdat ke tehat mazboot shahdat ki zaroorat hoti hai
2019 SCMR567

Qanoon main dia gia tareeka nahi apnia gia sirf aik gwah pesh kia gia jiss ne miss pari ko shanakhat kia or hibba ke kiye jane ki tasdeeq ki magar qanoon ke tehat kam nahi kia gia ju umar raseeda or parda nasheen khatoon ke liye dia gia Hiba Mansokh 
PLJ 2019 SC 34

Civil court ki decree
 
Civil court se decree jari hoi jiss se intqal tasdeeq hoa or nazar saani kar ke mansokh kar dia mehkma mal ne decree jiss per intqal tasdeeq hoa badastoor majood hai. Revenue authorties civil court ki decree ke against nahi ja saktien. writ petition kharaj


zubani tabdla tha. qabza ka koi saboot na tha. intqal jalsa aam ya muqam aam per tasdeeq na kia gia tha mamla mudia ki azad marzi ke khalf tha or us ki shanakhat na ki gai thi or tabdla ka koi saboot na mila tha Court ne intqal mansookh kar dia
2016 ClC lah 302  PLC 1990 SC 1 PLD 2008 SC  140

darkhasat jiss ki banyad per lower court ne faisla sunaia qabal e itbar na thi lahaza lower courts ke orders mansookh kar diye gai
2015 YLRL lah 500

Muda eleh ka moqaf tha ke iss ne property mudai se khareedi hai magar sale deed register nahi ju koi haq paida na karta hai muda eleh apna case sabat na kar saka or case mudai ke haq main hoa
2015 CLC(BAl)385

mudai ka itraz tha ke raqba dene wale ke signature tahseeldar ne intqal pr nahi karwai land record manual main fareeqain ke signature zaroori nahi hain or jab intqal masal haqeet main darj hu jai tu sachai ka darja hasal kar leta hai .
2014 YLR Pesh 1712   2003 SC 235    1992 SCMR 1832 Rel
 
intqal ke khalaf dawa 42 saal baad kia gia Article qanoon e shahdat ke tehat intqal ko sadaqat hasal thi.
2012 MLD Pesh 1085 2004 CLC rel

jab koi qanooni waris apni wrasat se marhoom kar dia jai tu koi documents ya intqal rakawat nahi bane ga.2012 MLD pesh 1691   PLD 1990 SC 1 Rel

Sec 42 land revnue act 1967 sss ki koi qanooni haseeat na hai or na hi kisi ke haqooq paida karta hai or na hi koi haq paida karta hai magar revenue qanoon ke tehat iss ki tasdeeq barai mali maqasad ke liye ki jati hai.
2011 CLC Lhr 592 

Intqal mahaz aik waqia hai ju iss mamle ki shahdat deta hai ju karwai revenue officer ke samne ki gai
2011 YLR Lah 1377    PLD 1995 pesh 2001 SCMR 1591 Rel

Revenue authorties paband hain ke wo civil court ki decree ki tameel main Indraj darj karain.
 2011 YLR 1759 Lah   2008 SCMR 1021 Rel

Intqal maal main darj kia gia us din se moasar hu ga jiss din se iss ki tasdeeq ki gai.
2011 YLR Lahore 2232  2004 SCMR 813 Rel

Jahan Intqal sie gai tareeke ke mutabaq na kia gia wo qanooni or manasab na hu ga or us per tameer shuda tamam dhancha masmar hu ga.or aisa koi hukam ju yaktarfa karwai main kia gia ghair qanooni or batal hu ga
2007 CLC 1902

Jaidad ki price ki adaigi ya adaigi ka wada or possession ya qabza ki hawalgi jaidad ki sale ke zaroori anasar hain yeh anasar agar mahda sale se sabat hote hain tu wo jaiz mahda hu ga
2019 SCMR 524

Mushtarka malak apne hisa ki jaidad bech sakta hai yaha tak ke apna makan main hissa bhi bach sakta hai magar khareedar ko qabza  ghar taqseem ke baad mile ga.
2019 CLC 1739 Sindh

DAwa 33 saal baad dair kia gia. Baatal intqal ke khalaf dawa dair karne ki koi mayad na hai.
2000 YLR 621

Anparh khaton ne angotha laga lena maan bhi lia tu us se yeh nahi saabat hu jata ke us ne raqam wasool kar li mamle ko saabat karna mudai ka kam tha Revision kharaj lower courts ke faisle barqar
PLJ 2015 Lah  1221

Intqal khud koi isthqaq na hai na hi koi istahqaq ki dastawaiz hai laikin jab tak iss ki tardeed na kar di jai iss ko sachai ka darja hasal rehta hai
2015 YLR pesh1751

Jab intqal ko challange kia jai tu bar pore zore se intqal se faida uthane wale per hota hai ke wo intqal ko saabat kare
2012 YLR pesh2047  PLD 2006 SC 84 Rel

محکمہ مال میں کسی غلط اندراج کو درست کروانے کیلۓ کوئ LIMITATION نہ ہے۔
2004 SCMR 1502 

Agar kisi ne apni zameen ka intiqal apni Zindagi main challenge na kia hu tu wafat ke baad iss ki olad challenge nahi kar sakti hai (2016 pLJ lahore 124)

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.

                                                                

Popular Posts


































































 






















Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation