Farad meaning in property | what is farad in property in Urdu | types of farad in property | Fard ki Iqsam kitni hain Property ki fard kese Hasil kar sakte hain



Kinds of Fard and process of fard


What is farad in property


Farad property is a document related record of land in revenue record.

Fard property meaning in Urdu 

Fard aik documents hai jiss se kisi zameen ,  ka khasra number khatooni number or zameen ya kisi dosri property ka  status pata chalta hai yani k iss ka sabqa malak kon tha or us ne kis ko bechi or kis ne kharidi or agar us per koi stay hai tu us ka indraj bhi hu ga or agar us ko koi yr nahi hu jati property sale nahi hu sakti. zail main aik fard ki pic show kar raha hu aap logo ko samjehane ky liye



Property fard




Fard kahaa se jari karwate hain

Fard jari karwane  k du places hain
  1. Ilaqa Pitwari
  2. Computer Section (online)
Halqa patwari k pass tamam ilaqa ka record hota hai or app waha se fard ki naqal hasil kar sakte hain
or Pakistan k kuch ilaqon main record computerized hu chuka hai waha pr app mutalqa computer section se record jari karwa skte hain.

Fard ki Iqsam
 
Fard ki bht sari Iqsam hain
  1. Fard brai record
  2. Fard brai Bae ( sale)
  3. Fard brai zamanat
  4. Fard brai loan
  5. Fard brai Rehan ya girwi
  6. Fard brai Hibba
Fard Brai Bae ya sale

yeh sab se aham Fard hai or yeh jab patwari jari karta hai tu iss ki rapat likhta hai or roznamche main indraj karta hai or jab tak us ka result nahi nikal aata wo dubara fard barai sale ya bae malak ko bhi jari nahi karta. aap poochain ge ke malik ko kio dubara jari nahi karta iss liye k malak kahin aik plot du logon ko bech kar dhoka na de de. iss tarh agar malik fard brai sale jari karwata hai or wo us se kahin kho jati hai tu wo us ke bare main mutalqa police station main rapat darj karwai ga or us ki investigation hu gi through police k aya k us fard k zarea se property ko sale tu nahi kia gia or agar police apni investigation k baad report deti hai k waqi gum hu gai hai or property sale nahi hoi tu pitwari us ko apne record main likhe ga. or phir dubara fard malik ko jari kar sake ga.
or dosri soorat main fard brai bae hasil karne k baad us ki register banwai jai gi or us ke baad pitwari k pass wo indraj karne k liye aaye gi or us main nia malak samne aa jai ga. 

Fard brai Zamanat
  
Yeh wo Fard hai ju ke koi malak pitwari k pass jai ga or batai ga ke main ne falan bande ki zamanat deni hai or mujhe fard barai zamanat jati kar di jai. fard barai zamanat jari karwane ke baad mutalqa court verification ke baad zamanat manzoor kar le gi or aap ko property fareez hu jai gi us waqat tak jab tak case ka faisla nahi hu jata, case ka faisla hone ke baad aap court order ko sath laga kar court main application de kar court se apni property dubara bechne ke qabal bana sakte hain.

Fard barai Rehan 

Jab aap apni property ko renan rakhte hain tu aap ko fard bari rehan  jari karwana hoti hai.Usi tareeke se aap deed bana kar register karwa dete hain.

same isi tareeke se aap dosri fard bhi jari karwa sakte hain.



For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.













































 























Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation