Govt employees ke Rights as Suspension .transfer . back benefits etc through court


Government employee"s rights

Sarkari Mulazameen ke Haqook through court 

Dear readers aaj hum baat karain ge sarkari mulazmeen or un ke haqooq ki . sarkari mulazmo ko apni mulazmat ke doran buhat se masil se do char hona parta hai jiss main se  transfer kar dia jaana . haq rakhte hoe bhi kisi post pr tarqi na pana ya suspend hu jana or us ke liye bahali ki koshish karna . lihaza iss tarh ke buhat se masayal hain jiss se har sarkari mulazam apni mulazamat ke doran guzrta hai . so agar kisi jaga pr us ke haq ki haq talfi hoti hai tu wo us ke khalaf kia chara joi kr sakta hai

Punjab service tribunal 

Punjab service tribunal aik aisi aadalat hai jo ke punjab ke sarkari mulazmeen ke cases sunti hai .  Punjab ke mulazmeen ka matlab hai wo malzmeen jo Punjab gov ke under mulazam hain .wese tu punjab main buhat se mulazmeen hain jo ke Wafaq  (Federal) ke under hain jin ko Punjab service tribunal main challange nahi kia ja sakta .app ko court main case karne se pehle mehkmana apeal main jaana pare ga agar app ka mehkma ap ki appeal ko reject kr deta hai tu app us ki copy le kr  tribunal main aa sakte hain  .

Documents 

Case file karne ke liye jis qadar bhi documents available hun wo app apni petition ke sath laga sakte hain .service card , appoinment letter .transfer letter , apeal jo app ne mehkme main ki thi with mehkma ka jawab

Federal Service tribunal 

yeh wo court hai jo ke un sarkari mulazmeen ke cases sunta hai jo federal ke under mulazm hote hain . iss main bhi app ko case file karne se pehle app ko mehkmana apeal karni pare ge .
Mazeed maloomat ke liye humare wukla se mashwara  Mufat karain

0324-4010279 Whats app available
0345-4375944 

Related pages

Our Popular Posts
Court Marriage ka Procedure In Pakistan





























 






















Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks

Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation