High Court Main Appeal Karna ,Writ Karna ya kisi Case ke bare main maloom karain ya Dair karna

Dear Readers

aaj hum baat karain ge High Court main  Kese appeal ki ja sakti hai jub app Lahore se kisi door daraz k zila main rehte hain or high court main appeal karna chahte hain or app k wakil sab app k sath kam ki ziadti ki wajah se Lahore nhai aa sakte tu hum app ko Appeal , Bail, Writ ,.etc karwa kr dain ge  .
Jin Documents ki zaroorat hoti hai  Apeal , Bail ,Writ. etc

  1. Copy Id Card Petitioner ( Mudai)
  2. Order jo k app k khalaf lower court ne kiey hain jin k khalaf app ne highcourt jana hai 
  3. or kuch documents har case ki noeet k hisab se hun ge . wo hum app ko call per guide ker dain ge

Proceedure



  1. App ne yeh documents hum ko farahm karni hain agar app humare wakil bhai hain tu app ko tu documents ka pata hu ga . magar sailin k liye wo hum ko call karain or tamam documents collect karain .
  2. after collect tamam documents hum ko Tcs kar dain hum agle aik do dino main app ka case high court main file kar k app ko  case number bata dain ge or us main pash hu kar notices bhi karwa dain ge or date k bare  main bhi bata dain ge
  3. or agar on date par app ki zaroorat hoi tu app ko bula lain ge agar app ki zaroorat na hoi tu hum khud pesh ho jain ge . 
  4. after complete process hum app ko Order Tcs or post office k through bhaij dain ge

Maloomat 


Humare punjab main buhat se izlaa hain or un main se buhat se logon ko case ke bare main  Maloomat hasil karne main mushkalat ka samna karna parta hai or agar hum ne nia case Writ ,Appeal etc dair karni ho tu hum kia kar sakte hain
Humare han Punjab main se Lahore High Court main buhat door door se Wukla brothers or saileen aate hain jo ke apne cases ke bare main janne ke liye ya dair karne ke liye buhat ziada mushkal ka Shakar hote hain jiss ki bari waja Lahore se dori hai , yehi masla dosre izlaa main bhi hai  . so agar kisi bhi saail ka ya Wakil bhai ,bhain ka case Lahore High Court main lga hoa hai ya wo Lagwana chahte hain tu feel free to call us  . Inshallah humara pora tawan app ke sath hu ga
Iss ke ilawa High court ke app bhi hai jo ke app  Play store se down load kr ke apne cases ke bare main maloom kr sakte hain .Lahore High Court main Lagai gai  Hidayat ki Pics neeche di gai hain taake app ko cases ke bare main janen main aasani hu .jiss ke ilawa app Help line per call kar sakte hain Mazid maloomat ya kisi bhi pershani ki soorat main humain call karain   
03244010279
03454375944



Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog Which is not possible without your copration, plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks

Popular Posts













































 






















Comments

  1. Mujhy ak vakeel krna hi Apne counstrion KY Kam Ka hisab krne KY liye or ghr apna khalu krwne KY liye

    ReplyDelete
    Replies
    1. G call us and tell me detail 03244010279 whatsapp

      Delete
    2. Jab koi ap ki izzat harab kare through social media to hum us per kaise case karskate hai court me .

      Delete
    3. App FIA main us ke khalaf application dain full sabot ke sath. parcha karwain.

      Delete
  2. salam. ap se pochna hai k session court k kisi apeal k faisy k against highcourt mai apeal per or faisla aany mai kitna time lgta hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam g kai qisam ke cases hote hain. appeal main Lahore high court main bht rush hota hai agar aap ki appeal manzoor manzoor ho jati hai tu kai saal bhi lag sakte hain. magar iss ke baraks agar Islamabad high court main appeal hai tu wahan per jaldi hu sakta hai. magar phir bhi time lagae ga

      Delete
    2. sir jahaiz wapsi ka case family court ne haq mai dia jis per session court mai apeal kr k stay le lia ex ne. ab apeal us k haq mai hai. hum highcourt jany ka soch rahy session court k faisly k khilaf.

      Delete
    3. G thk hai call karain ya whats app to know more detail 03244010279 whatsapp

      Delete
  3. assalam o alaikum. sir mera beta 9 mah ka hai or baap ne khrcha nhi dia koi. wo abusive tha jis ki waja se mai ne khula li or bachy ki maintainance b maangi. ab us ne custody ka case kia hai. sir hazanat mery pas hai. kya wo custody le skta? or mujhy guardianship k liye abhi se apply krna chahye ya hazant k baad?

    ReplyDelete
  4. App ko guardianship ki zaroorat nahi agar wo custody ke liye case kare ga tu us ko millne ki ijazat mil jaye gi or agar wo reguler milta rahe ga or pay karta rahe ga tu chution main us ko ghar le kar jane ki ijazat mil jaye gi.magar custody abhi bht door ki baat hai wo jaldi nahi milti.khazanat ke baad ka bhi confirm nahi

    ReplyDelete
  5. sir us ne mai jb father k ghar thi to dhamkiyan di bacha cheen leny ki.jis k saboot hn mery pas. usko ghar ki ijazat di to wo bachy ko ni aany dy ga. koi solution hai iska?

    ReplyDelete
    Replies
    1. aap us ko ijazat na dain milne ki agar wo bache ko le kr bhag sakta hai or agar dhamkia deta hai tu court se harrassment karwa lain or agar wo bache le bhi jai tu 491 sec ke tehat bache aik week se pehle bramad hu jate hain

      Delete
  6. civil court ma case dismise honey ka baad civil court ka faisla ktne din ma ajata hai or high court ki fee kitni hai or kab tak high court ma jana hota hai

    ReplyDelete
  7. Mubashar Rehman.sir agar army sa bandy ko zid ma aa kar officer nokre sa nikalwa dy choty sa case ma to Kiya Banda discharge from service ho to dobara nokre barhal ho sakta ha plz

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation