Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.





Bachon ka Kharca hasil karne ka tareeka 


Dosto humare han buhat se bache or un ki maain bache ka kharcha aadalt ke through qanoon ka knowledge na hone ki wajah se hasil nahin kar pati  . hum iss blog ke through logon main awareness paida karna chahte hain .take Bache or Maain apna Kharcah hasil kar sakain.kharche ke ilawa after divorce kon kon se legal rights hain or wo kon kon se cases kar sakti hain .


How much child maintenance should a father pay in Pakistan?



Child maintenance cases deal under family Court act 1964 , and family court decide the maintenance of children.

Points which any court keep in mind to decide maintenance of minors.
  1. Income of father.
  2. Expensise of minors.

Roughly idea of maintenance of Child

Court in these days 5000 per head maintenance decide per head, if the father is very poor or jobless.

 Almost 30000 per head court maximum expenses court decide, but it is not end court can decide more if the income of father is better and expenses are more.

 

Court marriage procedure




                                                                                   
                                                    iss video main yeh mozon discuss kia gia hai

kharcha kon kon hasil kar sakta hai

  1. shadishuda oorat jiss ki talaq na hoi ho
  2. Bache jin ka bap kharcha  na de raha ho chahe talaq ho chuki ho ya nahi . bahe kharca lene ke haqdar hain
  3. konsi Adalat main kharca ka dawa hota hai jawab hai Family court or Guardian Court .
  4. Q. Kharcha  kitna mile ga
  5. ans .jis qadar husband ki amdani [incom] ho gi kharca us ke hisab se lage ga kam se kam kharcha 2 se 3 hazar ho sakta hai ( per head)
  6. Q  kia kharca lazmi lag jaye ga
  7. ans . jee kharcha cancer ke mareez ko bhi maaf nahi kia jaata  magar iss ke liye app ko case main wait karna par sakta hai

  • Abori kharcha / interim maintenance 
Abori kharcha ya interim kharcha bhi kaha jata hai. Yeh wo kharcha hota hai ju court case ke aaghaz per fix kar deti hai. Kionke shroo main case start per hota or court ko abhi evidence lena hoti hai magar bache ki zaroorat ko dekhte hoe court shroo main ju kharcha maqarar karti hai us ko aboori kharcha kaha jata hai. Final kharcha ke moqa per agar oarat sabat kar de husband ki income ziada hai tu court final kharcha phir husband ki income ke hissab se ziada kar deti hai. Or abori kharcha main ju aap shroo se pay kar rahe hain court ke orders ke mutabaq baqaya raqam aap decree ke baad case start hone wali date se pay karte hain. Maslan agar abori kharcha 5000 tha or final kharcha 8000 maqarar hu gia tu aap ko 3000 rupia case start hone se le kar pay karna hu ga after decree.

Tareeka

  1. App ko family court main kharcha ka dawa dair karna hota hai jo ke aik wakeel ke through dair kar sakte hain
  2. shroo main summon or notices ke baad jab pehli dafa masalhat ki date hoti hai tu us main judge aboori kharcha order ke through jari kar deta hai
  3. aboori kharcha app ko case main milta rehta hai jab tak case chalta hai
  4. or agar husband ada nahi karta tu wo jama hota rehta hai or case ke akhar main  yakmusht  husband ko ada karna parta  hai
  5. kisi bhi pershani ki soorat main app call kr ke mashwara kr sakte hai
  6. 0092-324-4010279  WHATSAPP AVIAILABLE

Kia Agar bache Beech main likh diye jain tu kharcha maaf Hu Sakta hai

Bht se logon ko yeh Ghalat fehmi lagi hai ke agar bache likh diye jain tu kharcha maaf hu jata hai. Aisa kuch nahi hai because ke agar ke agar likhne se bachu ka right khatam hu jata tu har koi likh kar jaan chura leta or bachu ko kharcha na milta or na hi qanoon ki ahmiat hoti aap khud sochain ke court ne karwai karni hoti qanoon ke mutabaq. koi bhi istam ju qanoon ke khalaf likha gia hu chahe wo kisi bhi qanoon ke khalaf hu null and void hu ga.



Case laws about maintenance of minors 

Case laws related maintenance Court Decisions


Lepalak bachi bhi sagi bachi ki tarah bap se kharcha leene ki haqdar hai.
Plj 2023 lahore note 111

لاہور ہائیکورٹ نے قرار دیا ہے کہ نابالغ کے خرچہ میں  سالانہ 10% اضافہ۔ بنیادی رقم بیس ویلیو جو کہ ڈگری کی گئی ہے اس پر ہو گا۔، نہ کہ کمپاونڈ بنیادوں پر 
10%Annual increment on Maintenance Allowance...

Rate of annual increase in maintenance has also been fixed by legislature to be at ten percent and the base value (i.e. the maintenance fixed by the court)
2022 MLD LAHORE 1762

 فیملی کورٹ میں مدعیہ کا پیش ھونا ضروری نہ ھےمدعیہ بزریعہ ایجنٹ یا اٹارنی بھی پیش ھو سکتی ھے۔

2011-ylr-3034


فیملی کورٹ بچوں کا خرچہ مقرر کرنے کے لیے کسی بھی ادارہ کو ریکارڈ کےساتھ پیش ہونے کا سمن کرسکتی ہے 
2019 PLD 102 LAH


#maintenance #نان_نفقہ 
لاہور ہائیکورٹ کے تین ججز پر مشتمل فل بنچ نے اس امر کا حتمی تعین کردیا ہے نان و نفقہ کی ڈگری کے قابل اپیل ہونے کا تعین فی کس خرچہ نان و نفقہ سے ہوگا نہ کہ مدعیان کے مجموعی خرچہ نان ونفقہ سے۔
ایک مقدمہ میں فیملی کورٹ اگر چار مدعیان کا خرچہ نان ونفقہ 4500 روپے ماہوار فی کس ڈگری کرتی ہے تو اس ڈگری کیخلاف اپیل دائر نہ ہوسکتی ہےخواہ مدعیان کامجموعی خرچہ نان ونفقہ 18000 روپے ماہوارکیوں نہ بنتا ہو
Question:
Whether a decree for maintenance granted for an amount less than Rs.5000/- per month to each of the plaintiffs is appealable under section 14(2)(c) of the Family Courts Act, 1964 by the judgment debtor if the aggregate amount of the decree is more than Rs.5000/- per month? 

Answer:
In terms of section 14(2)(c) of the Act, a decree for maintenance granted for an amount less than Rs.5000/- per month to each of the plaintiffs is not appealable. 
Syed Naeem Ali Adv
Writ Petition No.126306 of 2017 
Muhammad Aslam Vs. Judge Family Court, Ferozewala, etc. 
Announced in open Court on 13.02.2024




PLD 2023 Lahore 317
PLJ 2023 Lahore 323

باپ بیٹی کا خرچہ نان و نفقہ اور اسکی شادی کے اخراجات بھی ادا کرنے کا پابند ھے 
Father is bound to pay reasonable maintenance allowance as well as marriage expenses of his daughter.

Maintenance--Word “maintenance” has been defined in Black’s Law Dictionary (9th Edition) as under:
“….. 5. Financial support given by one person to another ...”

In Oxford Dictionary it has been defined as under:

“The money needed for somebody's living expenses; act of providing this money.”       

Right of maintenance does not limit itself only to food, raiment and lodging but also entails all other necessary expenses for mental and physical wellbeing of recipient. 

When a woman has attained puberty she needs help and assistance of her father to formally enter matrimony--Father must function as guardian on her behalf in such marriage to enable his daughter into contract of marriage--A father is not only bound to maintain his daughter by providing financial support for her food, clothes, lodging, education, health etc. till her marriage but also responsible to bear expenses incurred on her marriage according to his financial status.
LAW  ABOUT THE FAMILY COURT ACT 1964

[58][17A. Suit for maintenance.– (1)    In a suit for maintenance, the Family Court shall, on the date of the first appearance of the defendant, fix interim monthly maintenance for wife or a child and if the defendant fails to pay the maintenance by fourteen day of each month, the defence of the defendant shall stand struck off and the Family Court shall decree the suit for maintenance on the basis of averments in the plaint and other supporting documents on record of the case.
            (2)  In a decree for maintenance, the Family Court may:
(a)  fix an amount of maintenance higher than the amount prayed for in the plaint due to afflux of time or any other relevant circumstances; and
(b)  prescribe the annual increase in the maintenance.
            (3)  If the Family Court does not prescribe the annual increase in the maintenance, the maintenance fixed by the Court shall automatically stand increased at the rate of ten percent each year.
            (4) For purposes of fixing the maintenance, the Family Court may summon the relevant documentary evidence from any organization, body or authority to determine the estate and resources of the defendant.]

For more information call or WhatsApp 03244010279  

                               







Popular Posts










































































 






















bhachon kis custody kese hasil ki ja sakti hai neeche wali vide main discuss kia gia hai .

Question: اگر 
بیوی اپنے والد کے ساتھ شوہر کے گھر رہنے کے لئے جاتی ہے 
اور شوہر کہے ،
میں تمہیں ساتھ نہیں رکھتا ، میں طلاق دوں گا 
، 
کل تک سامان جہئز بھی پہنچ جائے گا 
اور واپس والدین کے گھر بھیج دیتا ہے

شوہر جان کر بیوی کو ساتھ نہیں رکھتا 

تو اس صورت میں بھی اگر عورت خلع کی طرف جائے 
تب بھی past maintenance کا حق کھو دیگی۔

Answer: Orat sabqa kharcha lene ka haq rakhti hai magar sabqa kharch sabat karna thora mushkal hota hai.
Orat sirf apne kharcha ka haq tab khu deti hai jab wo ghar abad karne se inkar kar deti hai. Lakin bachu ka kharcha kisi sorat maff nahi hota chahe ghalti husband ki hi ya wife ki kharche ki zimadari husband ki hai 

                                                  

Comments

  1. Husband adalat mai hazar hi nai ho raha 8 month ho gay bachey ka kharcha ka case kia howa .. wo italy hota hai pakistan b aaia notes b miley news paper mai b dia fir b hazar nai ho raha ..

    ReplyDelete
  2. G case app ka decree hu gia hai ? kionke agar 2 ya 3 mah party na aye or ikhbar ishtahar ke baad yaktarfa decree hu jata hai .or us ke baad ijarah lag jata hai jis ko execution bhi kehte hain . or agar wo nahi aa raha tu us ki property ke documents de kar us ki property auction karwain . ya agar prooperty us ke nam per na hai tu warrant girftari ke baad us ko girftar bhi karwa sakte hain

    ReplyDelete
  3. ager wife apni marzi sy talak ly to kya phr b kharcha dena prta hi. bacho ki kafalt ka.

    ReplyDelete
  4. G bilkul chahe talaq bv apni marzi se le ya shohar ki ghalti hu. chahe kuch bhi hu bacho ka kharcha tu har haal main baap ko ada karna hota hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sir bv ager khud khulla lay tu phir b bacho ka kharcha dena pary ga? Ager baaap kahy k mujy bachy nhe chyea main maaa ko likh deta ho kiya phir b kharcha dena pary ga

      Delete
    2. iss sawal ka jawab kai bar dia ja chuka hai comments main, court aap ki paband nahi hai. or bapp likh de ya na likhe kharcha maaf nahi hota chahe cancer ka mareez hi kio na hu. agar bap na de ga tu kon de ga aap ke bache ko

      Delete
    3. Ak bachy ka kitna karcha bnta per month

      Delete
    4. AS per income of his father. bap ki income k hisab se kam az kam 3 or 4 hazar or limit koi nahi

      Delete
  5. Meri sister talak lena chati hy shohar talak de nahi raha hy pershan kar raha to kya karain

    ReplyDelete
    Replies
    1. wo nahi de raha koi baat nahi, buhat se ooratain through court talak leti hain. hum aap ko nahiat hi easy tareke se aik mah main talak dalwa sakte hain call to consult
      0092-324-4010279 whatsapp available

      Delete
    2. Assalamualaikum Sr Kisi Shohar Ne Talaq Di Ho Or Us Shohar Ne 10 15 Sal Bucho Ka Kharcha Nh Diya Ho To Kia 10 15 Sal k bad Bewi Kharcha Wasool Kr Skti Hai Or Us Urait Ne Shadi Bhi Nh Ki Ho Mgr Us Shohar Ne Shadi Ki Ho To Wo Buche To Nh Le Skta Na Maan Se Please Sir Rply I'm In Very Trouble

      Delete
    3. W slam Jee orat case kr ke kharcha wasool kar sakti hai larki ka kharcha us ki shadi tak or larka hu tu us ko 18 saal tak us k bap kharcha dene ka paband hai.sabqa kharcha sabat karna mushkal hota hai agar app sabat kar pain to sabqa bhi mile ga magar shaid itna purana na mile or bache agar itni dair se aap ke pass hian tu lena us ke liye bht mushkal hai kionke aap ne aage shadi nahi ki or us ne shadi kar li hu

      Delete
  6. Talaq k bad bacho ka kharcha shohar deta hy theek lekin bad me bacho ka haqdar to nahi ban jaega?

    ReplyDelete
    Replies
    1. nahi aisa nahi hota for more information call or whatsaap 03244010279

      Delete
  7. nahi iss base per ke wo kharcha pay karta raha hai haqdar nahi banta , haan agar ap aage shadi kar leti hain or wo nahi karta tu phir ban sakta hai. ya dosri soorat yeh hai ke wo aap se ziada ameer hai or aache tareeke se bachoon ke parwaris kar sakta hai tu yeh us ka plus point ho ga magar 7 saal se chota bacha phir bhi nahi le sakta

    ReplyDelete
  8. Myray x- husband dosry shyhr may hoty hn or wo khud bhi wakil hn .bachi ka kharcha 10 mahiny say nahi dy rahy... JUDGE jb fasla krny lagti hn to kabhi aun ka waqil case say withdraw kr lyta hn to khabhi kuch ... OR sunnay may ya a raha hn k yaha say fasla ho bhi jay to mujy bachi k kharchy k leya apny x- husband k city may ja kr 1 new case krna pary ga .

    ReplyDelete
  9. G aap ke liye masail hu sakte hain. aap ka case faisla hone ke baad yehi case aap ke husband ke city main chala jaye ga.or agar aap kehti hain k wo khud wakil hain tu aap ko un ke sath bath kar baat karni chahiy. jiss se aap ka masla jaldi sort out hu jai ga.

    ReplyDelete
  10. Means court k through bat na kary direct bat kary.2 sal tk dyta raha hn aus k bat band kr deya dyna bhi agr may ya case khatam kr do to kya wo muj say myri byti lyny ka dawa to nahi kr dy ga .. MYRI 2nd marriage ho gi hn or myray x-husband ki bhi... BYTI 7 sal ki ho gi hn..

    ReplyDelete
    Replies
    1. aap ki bachi aap se lene ka dawa nahi kare ga .aap call per bat karain 0092-324-4010279 whats app main aap ko detail main bata du ga

      Delete
    2. Aslam-0-Alaikim! Bhai main parganet hun mera husband kharcha nahi dera meri phely bhi 1 beti jo 3 sal ki h us birth time b mery husband ne 1 rupya khrcha ni diya or ab b beti k time sulha jar k legia tha ab main nahi jana chahti or apne bachon ka khrcha lena chahti hun main uski income kesy prove kro 1 jaga job ni krta job chorta rheta

      Delete
    3. W salam agar aap sulah kar lain tu ziada bahtar hai. kionke yaha pr kharcha dena bap ko bht mushkal lagta. ju bap apne ghar main 10000 bhi aik bache pr kharch kar leta hai agar court 5000 bhi us aik bache ka lagati hai wo bap k liye mushkal hu jata hai dena.for more information 0324-4010279 whatsaap

      Delete
  11. agr may ya case khatam kr do to mujy kya application dyni ho gi. K wo bad may byti lyny k leya koi or case na kr dy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Helo aslam o alaikum sir plz mri help ki jia mre 3 bete ha r mre husband ki death ho chuki ha r mri har cheez mra gold pese wagera mre husband k sb kuch mre sasur k pas ha wo mjhe de b nhi rahe r kharch b nhi dete mine un py dawa kia ha court mi to wo ulta mjh se mre bache mang rahe ha unho ne bacho ki custudyka case kia ha mi kya kro plz bta de

      Delete
  12. Mery husband ne mjha ghr se nikal dia aik beta hy 3 saal ka aur agy me 6 months pregnant hn Meri divorce na hui hy na me lena chahti hn Mery husband ki income almost 1 lac hy mjha khrcha k liey kya krna ho ga khan pe case krn aur kitna khrcha mily ga mjha

    ReplyDelete
    Replies
    1. G bache ke kharche ka case family court main file hota hai.aap ko income court main prove karna pare gi. shroo main kharcha interim lagta hai or prove karne ke baad final hu jata hai. mazeed maloomat ke liye call karain 0092-324-4010279 whatsApp available

      Delete
  13. G bache ke kharche ka case family court main file hota hai.aap ko income court main prove karna pare gi. shroo main kharcha interim lagta hai or prove karne ke baad final hu jata hai. mazeed maloomat ke liye call karain 0092-324-4010279 whatsApp available

    ReplyDelete
  14. ASSALAM o Alaikum
    Meri bv khud ghr chor kr gyi hy. Pregnant hy. Mazeed ye k 2.75 years ka mera beta b le gyi hy. Beta mere pas rehna chahta hy. Financially wo mustehkam nhi hn. Bete ki mere standards k mutabiq prwerish nhi hrhi wahan. Kia mujy beta mil skta hy?

    ReplyDelete
    Replies
    1. bache lena aasan nahi.aap ko kharcha pay karna pare ga parwarish wo kare gi

      Delete
  15. agar shohar kharcha deta ho aur kahy us ko bchy sy milma hy par maa ni chahti ho milwana tu kya koi hal hy is ka??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa . G bhai agar bache ka kharcha aap pay kar rahe hain or bache se nahi mil paa rahe. matlab yeh keh aap ne guardian court main bache ki custody or milne ke liye case file nahi kia . aap ko guardian court main case file karna pare ga jiss main court schdule bana de ge aap ke milne ka.jiss main monhly meetin or eid per aap ghar bhi le kar jaa sakain ge or iss ke ilawa aap birthday per or dosre function per or garmion ki chution or sardion ki chution main bhi mil bhi sakte hain or ghar bhi le ja sakte hain

      Delete
    2. Or meeting kernay k liay ya eid and function etc per ghar lay janay k liay kitna pay kerna paray ga? or kitnay days tak pass rakh saktay hain garmiyoun ki chutiyoun etc main? Kindly reply me plz.

      Delete
    3. Sir esi fesla ki copy chye kesy hasil kroun

      Delete
    4. court ki library se ya mujhe call karna 0324400279

      Delete
  16. Aoa sir.mary bhai ki death hogae mny apni bhabi sy shadi ki ab mara ak bcga hy ak saal ka mari waif gr chor k chali ge hy.mary bhai ka plaat tha wo un k bacho ka tha...mari waif ny mary nam ka CNIC nh bnaya...mny usko talaq dadi hy.ab wo bacho ka gadian srtifacat bnwa rahi hy.wo ya zaher nh kr rahi k mary bhai k bad us ny muj sy shadi ki hy......is k bary main btan k main kia krun.bachy ka kharcha mny dana hy teen hzar par wo nh laty.uno ny 13 hzar bnaya hwa hy.....main ya chata hun k jo bacho ki chiz hy wo bachi k name py hi ho.mujy aap ya b btayn k ab us ka bhai k polaat main hisa hy ya nh..or hisa srf mary ami abu or bacho ka hy.us ka arada tisari shadi ka v hy.bachy kdr jayn gy agr wo shadi krti hy to.or mara bacha mujy mil skta hy kia...mujy wtsup num snd kryn.

    ReplyDelete
  17. Sir meri divorce ho gi hy meny or mere husband ney 2 bachy adopt key thy beta or beti talaq ky bad bachon ka kharcha adit sy 50000 lagwa family court sy lagwa or sath x husband sign key agar mey kharcha 1 month roka to mery warent graftari jari ho jay 8 month khrcha dia ab kahta hy mery bachy nahin hy adopted hy mey kharcha nahin do ga es ky bary mey mughy batay mey bhut disturb hon wo bhut rich admi hy or wo bap bhi nahin bun sakta es ly hum ney bachy adopt key thy

    ReplyDelete
    Replies
    1. aap ka aik special case hai. adopted bachon ka apne waldain ki jaidad main hisa hota hai after death of parents.call me 0092-324-4010279 whatsapp available

      Delete
    2. Sir bachon ky hiqiqi father ki death ho chuki by mother NY shadi kar li hy bachon ki age 1 or 2 years thi jub hum ney lye bachon ky parents bhut poor thy ab any es father ki property mey his hy en ka

      Delete
  18. jee thek hai main ne isi liye number dia tha ke iss ka hal nikala jai. aap konse zila se hain.qanoon ke tehat tu ju bache oorat le kar aati hai pehle khawand se tu wo bhi agle khawand ke pass rehte hain . magar un ke kharche ki zimadari real bapp pr hi rehti hai.

    ReplyDelete
  19. Aoa i want to ask k shohar ager bivi ko talaq dy papers k through or jahn likhty k hein k main falah binte filah ko talq deta hun or us ki jagh khud ka naam likh dy tou talaq ho jati ha or kisi gawah k sign b mojood na hun

    ReplyDelete
    Replies
    1. Qanuni tor per divorce nahi hoti iss ke liye sirf papers per hi dena zaroori nahi balke iss ke liye teen mah main teen notices union council ko 3 hi bv ko dena hote hain. or us ke baad teen bar union council aap ko bula kar reconciliation karwane ke koshish karti hai or agar reconcilation fail hu jati hai tu phir talaq ka certificate jari ho jata hai.

      Delete
    2. for more information call 0324=4010279 whatsapp available

      Delete
  20. Salam.is three time talaq at a time is a real talaq r not plz guidence

    ReplyDelete
    Replies
    1. no there is procedure of talaq . aik mah main aik send karni hoti hai union council main bhi or bv ko bhi

      Delete
  21. A.o.a sir ya batain mujha ka agar talaq ho jati hy to bacho ka kitna mahana wazefa dena parhta hy fee bacha ka

    ReplyDelete
    Replies
    1. sepration ke baad chahe talaq hoi hu ya na hoi hu bacho ka kharcha dena parta hai.wo aap ki income ke hissab se lage ga
      kam az kam 3 or 4 aik bache ka ziada ki limil nahi

      Delete
  22. Sir mire bive khola k bad dosri shadi Kar k bachy ko apny pass rak sakti ha...bacha 2yers.6 months ka ha agar bive dosre shadi karti ha ..tu Mai bachy ko Lee sakta ho ya Ni...plz plz ans me...

    ReplyDelete
    Replies
    1. bache ko rakh sakti hai dosri shadi k baad bhi . agar aap ne bacha lena hai tu aap guardian court se rabta karain or wahan per apne aap ko maldar show karain or bache ka acha kharcha pay karain . or yehi aik tareeka hai ke court jab dekhe gi k aap bache ki achi parwarish kar sakte hain or maa nahi kar sakti tu bacha aap ko mil jai ga .

      Delete
  23. Agar koi admi apny bache ka kharcha nai deta to os ki kaya saza hy.souna k wo 6 month saza kaat kr kharche se bari o zima ho jata hy kaya ye thik hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. App ki bhool hai.aik saal saza katne ke bawajood kharcha wahan hi rehta hai . bari uz zama sirf kharcha pay kar ke hu sakte hain

      Delete
  24. mujhy lugta hey k mera waqeel meray husband k saath mil gaya hey mein nay may 2019 say bachon k mentenence ka case kiya howa hey lekin ab tuk kuch nahi mila mein kya karon ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap konse zila se hain. or aap ka case kis stage per hai. or kitna abori kharcha laga tha.so call us for more information 03244010279 whatsapp

      Delete
  25. bewi 4 saal baad court chali jai.4 saal se koi contact nhi hy na oska na mera .or 2 bachey bhe hy jin se koi contact nhi 4 saal se wo aramse zindagi guzar rhi thi .ab achanak court chali gai or 4 saal ka hisaab mang rhi hy .jb keh mai osey dobara rakhna chahta hn.tallak nhi dena chahta or na mai dun ga.kyaa hoskta hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai char saal se aap ne un ki khabar nahi li . or abb un becharu ne char saal baad kharcha manga hai tu aap ko us per bhi itraz hai. rakhna chahte tu orat ki izzat karo or us ki family ki bhi or out of the court un se sulah karo . yehi hal hai

      Delete
    2. Asslam u alikum,
      Sir agr ort khula le or bachy sary 9 sal sy Bry Hy or wo khdy hm maa k sath rhna chahty hyn tu us sort my court Kya fesla de ga ,,,,or bachu ka khrcha Mily ga ,,,,,,,,or agr ort dosri shadi kry tu bachy ko waps tu le skta Hy shohr ,,,

      Delete
    3. bhai w salam agar bache bare hain tu phir us soorat main court dekhe gi k kon bacho ko acha khila or praha sakta hai or achi perwarish kar sakta hai. phele bache court maaa ko de gi agar aap sabat kar du k main achi parwarish kar sakta hun tu aap ko mil jain ge. bacho ki marzi bhi poochi jai gi. or agar maaa ko bache milte hain tu kharcha aap ko dena hu ga

      Delete
  26. court se case khtam krney ka kya tareeka hy .mai tallak nhi dena chahta

    ReplyDelete
  27. Bhai na salam na dua na koi aata pata . or na aap ka case. kisi ka case aap kese khatam karwa sakte hain . agar aap nahi dena chahte talaq tu apni wife ko out of the court manin or sulah karain through rishtadar. otherwise aap court main kuch nahi kar paien ge

    ReplyDelete
  28. AOA Sir mene 1 divore lady se shadi ki thi jis ki pehle se 3 betiyan thin jo mere samne rukhsat hoi hai mene bhi is mai help ki hai
    magar shoro se us ki bari beti mere khilaf thi or apni pasand ki shadi karna chahti thi jis k lie us ne apni maa se talaq ka bhi dawa kia tha k agar meri maa talaq leti hai to mai bhi pasand ki nahi karungi
    ab 4 sall bad woh beti apne shohar se tlaq lekar ghar beth gai usi larke k chakkar mai jis ki waja se meri life disturb ho gai hai buhat ziada
    meri wife kale ilam k chakkar mai pari hai or mustakil kuch na kuch kara rahi hai mai chahta hon k mujhe mera jo 1 beta hai woh mil jaye woh abhi 3 sal ka hai kia posible hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. w salam . bhai pasand ki shadi karna tu us ka right tha. agar aap log pehle hi us ki shadi un ki manpasand jaga per kar dete tu na aap ki zindgi kharab hoti na us ki.
      Raha mamla bete ka jo abhi teen saal ka hai . wo aap maa se nahi le sakte.

      Delete
  29. 2 3 hazar khrcah to bht km hota hy 2bachy hun husband ka apna km ho dubai mein 1 se 2 lakh tk kama laeta ho bachun ki study or baqi sb khrcah ho to faida hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. kharcha income k hisab se lagta hai . shooro main aboori kharcha kam iss liye hota hai k us waqat aap ne court main shahdat pesh nahi ki hoti. tu aboori kharcha court laga deti hai ke aik dafa kharcha shroo hu jai us ke baad hisab hu jai ga after evidence agar kharcha ziada hu jata hai tu wo case ke shroo hone se le kar tamam baqi kharcha dene ka paband hu ga

      Delete
    2. For more information call us 03244010279 whatsapp

      Delete
    3. Aoa,sir mein USA rehti hoon,mera 1 beta hai uski age 4 saal hai,meine apne shohar ko spousal Visa pr USA bulaya tha per yahan atay hi green card le ke woh humein chhor ke alag move ho gaye.bache aur meri zimedari uthani toh door ulta mere se zewer aur paise letey rahay.mein job nahi kerti,apne waledein me gher hoon.ab meine finally bache ka kharcha apply kia hai per woh kharcha dene ke bajai chhup Gaye hain.mera sawal yeh hai ke ager mein bache ko le ke Pakistan ajaoo aur Pakistan mein child support apply kerun toh kya wahan koi action lia jaye ga??aur doosra sawal yeh hai ke bache ka kharcha lena bache ka haq hai ya nahi?humari divorce nahi hui aur na mein divorce lena chahti hoon.
      Shukriya.

      Delete
    4. sorry for late reply. dukh hoa sun kar aap ki story.yeh hai k agar aap ka husband USA main hai or aap Pakistan aa jati hain tu yaha pr kharcha wasool karna mushkal hu jai ga.kionke yaha pr se court us ko girftar nahi kar sake gi.call me ya whatsapp for more information 0092-324-4010279 whatsapp

      Delete
    5. Assalam u alaikum sir kaise hn ap sir mere kuch sawal hn ap se sir maine divorce de diya hai aur 2 bachy hn mere jb se nikah howa mere sasural walo ne nikah nakama na mujhe diya na he union council me jama krwaya jb maine talaq de di to talaq ky bad unho ne tempar nikah nama bana kar union council jama kr diya molvi ko kuch paise de kr unho ne tempering kr ky 5 lakh likhw diya haq mehar ab maine sary saboot to akhty kr liye hn molvi ko pakar bhi liya woh man bhi gya phir maine us se ifidvet banwaya ab sary saboot to mere pas hn mera case 18 mah se chal rha hai sargodha family adalat main lekin woh log zaleel kr rhy hn tareekh pe tareekh le kr juj sahib bhi bht susti se case chala rahy hn ab iska koi hal bta dain please

      Delete
    6. Bhai aap k sath phone pr baat hu gai thi case ki jaldi sanwai or jald khatam karne ke liye high court jana pare ga against family judge

      Delete
    7. AsA, mara sawal ha Khula file Karna k Liya kharch kitna aay GA?

      Delete
  30. Maine apne husband se khula ly li hai aur court ne khula grant bhi kar di hai. Mera aik beta hai jis ki age 1.5 year hai. Judge ne monthly paisy fix kar diye hain bachy k liye. Main ye janna chahti hon k main paisy kis terha se ly sakti hon? Ya court me koi account open hota hai? Ya in paison ka koi record hoga court ne? Please tell me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sorry for late reply,court main jab pese jama husband karwata hai same day ya usi waqat wo raqam wife ko wasool karwa di jati hai or wife se signature or thumbs le liye jate hain . ya aik or tareeka hai k husband pese court ke account main jama karwa deta hai or wife us ko aaplication de kar aik procedure adopt kar k bank se wasool kar leti hai . for more information call 0092-324-4010279 whatsapp

      Delete
    2. Sir mjhy divorse ho gi r Meri aik beti b h 2 sal ki jisko sath likh dya h to kiA Mai apply kr skti usk khrachy k ly

      Delete
  31. Sìr marey hasbnd na dosri shadi ki hai marey 2 baty hain usny case kiya hai k buchy maa k pass theek nhi rahy gyn woh bht ameer hain 6 msh sa kharcha b nahi diya na main koi case kiya kharchy ka ab main kai karu

    ReplyDelete
    Replies
    1. acha us ne case kia guardian court main or aap ne bacho ka kharcha bhi nahi manga. agar us ne dosri shadi kar li hai tu wi jitna bhi ameer hai phir bhi bache lene us ke liye mushkal hain. aap bacho ke kharche ka case zaroor karain . for more information 0324-4010279 whatsapp

      Delete
  32. Respected sir Mayree shaadi ko 15saal Ho gay hain. 4saal. Say aapis main jhagraa rehtaa ha
    Maray do baitay hain 12 or 14 saal un ke Umer hA. Zahni tor pay dono zero hain.
    Talak kaa pehla notice baij dia ha.
    Aap ye Batain Buchay kis K paas rahay gain.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Maan ke pass hi rehti hain betian.kionke court samjhti hai k jawan hoti hoi betion ko maa ki zaroorat hoti hai. or shadi tak ka kharcha husband ko dena hota hai. agar aap ne abhi divorce ka certificate nahi lia tu aap sulah kar lain . yehi behtreen hal hai

      Delete
  33. Sir bivi widoww thee is k do Buchay b thay jin ke kafalet MA nay kee allaah ke mehrbaaani say
    .is say pehlay mayre do shaadian huin jo naakaam hui
    Ab ye bivi bud zubaan hA. Jahaan Bucho ko rukhaa huvaa ha wahaan mahol theek nahi mamoo heroin peetaa hA. Bivi kaa Apna bara baita cigarette peetaa hA. Naani naanaa ke death hogai ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. App court main apply kar sakte hain pr jese aap ne pehle du teen shadia ki thien yeh aap k khalaf jati hai baat.yeh nashe ki batain aap bata tu sakte hain pr sabat karna mushkal hota hai in court .

      Delete
  34. In K mahol main MA apnay Bucho ke pervarish K Haq may nahi
    Is k baaray main Batain plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mahool ko ghalat aap court main kese saabat karain ge . hai koi aisi FIR ki copies ya koi or cheez.

      Delete
  35. Sir agr baap bachy ko khrcha ni dy rha tu kitni saza hoti hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. iss main saza nahi hoti.sirf kharcha wasool karna hota hai or agar aap kharcha na dain tu kam az kam aik saal k liye band kar dete hain jab tak kharcha nahi dete or agar aap ko aik saal baad chora jata hai tu iss ka matlab yeh nahi k aap ka case khatam hu gia aap ka kharcha phir bhi aap ne dena hota hai

      Delete
  36. Asalam o alikum sir
    Sir kiya wife without divorce k bachy layne ka haq rakhti he jbkh bachy khud court mn 3 dafa apny byan record kr choky hn or maan khud gar sy mujramana twar pr frar houi thi

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      g bhai bachon ka haq man ka hi hota hai chahe khud gai ya aap ne nikala shadi intact hai ya divorce hu gai bache man ke pass hi rahain ge.

      Delete
  37. Sir case chal rha ho to devorce ho skti ha kia?

    ReplyDelete
    Replies
    1. divorce aadmi kisi waqat bhi de sakta hai.case k doran bhi

      Delete
  38. I'm divorced not through papers mh bachoh ka kharcha lena chahti hu x husband k Achi job hai 2 ghar Gari hai Lykin mh adalat mh Yeh Sab kasy prove karuh wo insan tu khta mh kangla huh mery pas khuch ni.

    ReplyDelete
    Replies
    1. G papers k bghair court talaq ko nahi manti.jab tak divorce certificate jari nahi hu jata aap apna kharcha lene ki bhi haqdar hain. 2nd agar us k pass gari hai aap us ka number dain court main ju us k nam per hai or ju property hai us ka prove dain agar bank account ka pata hai us ka batain.jahan job karta hai us ka batain. court k pass ikhtiar hai wo kisi bhi organisation ko bula kar information le sakti hai.

      Delete
  39. Mera beta 2 saal ka hai.
    Mare shadi ishi ghar mai hohe hai us ghar mai phlye bhi 4 talaq ho gaye hai 5ve mere talaq ho hai.
    Is bina par mera bach mai jahe ga asani se ya nahi?
    Mai ne jaj ko bataya tha in ka kam hai shadi karna bacha pida karna aur khula lena. Aur unho ne mana k hamare ghar 5 talaq ho gaye hai.
    Jaj ne akher mai mai mujhe bola ap ne saboot nahi deya k 5 talaq ho gaye hai. Mai saboot kaha se do.
    Aur kese do.un ghar mai 3 bhno ko 2 bhai ko hohe hai talaq.
    Mai karachi mai rehta ho. Mere wife andorone sind mai rahte hai.
    Mujhe bacha lana hai lazmi keu k wife k ghar ka mohool bohot khrab hai. Wo paise wale hai aur mai nahi ho paise wala.

    ReplyDelete
  40. G bhai judge ko iss baat pr convince kia ja sakta hai k 5 logo ki talaq hoi hai. aap jahan pr hoi hai talaq mutalqa union council se niklwa sakte hain. mehnat tu karni pare gi kionke court bghair prove or record k koi order nahi kare gi

    ReplyDelete
  41. Aoa, mjhy ye btaden pls k agar bv divorce leti ha shohar or us k ghr walo k Tang krny ki waja se or apni beti k behtr mustaqbil k lye divorce Lena chahti ha q k baap koi kharcha nhi uthana chahta beti ka tou Kia wo bd Mai apni beti se milny ka dawa krskta ha? Jb k wahan beti mehfuz na ho. Or wo apni bton se beti ka dimag b kharab krny k qahil hon tou?

    ReplyDelete
    Replies
    1. G milna tu us ka right hai. Magar custody mushkal hai . Ap kharcha ka case kr sakti hain. More information call me 0324-4010279 whatsapp available

      Delete
    2. Or agr wo kharcha dene p amada na hon tou b milny ki ijazat deti court father ko?

      Delete
    3. nahi kharcha na dene per property jo husband ki aap batain ge us ko sale kr k aap ko kharcha dia jai ga or agar property na hu tu warrant girftari jari hu jate hain.

      Delete
    4. Or agr divorce na Hui ho lakin shohar ne bv or beti ko kafi mahiny tk khabar na li ho tou b Kia talaq k bd wo beti se milny ki ijazat Court se leskty?

      Delete
    5. Milna un ka right hai or kharcha wasool karna aap ka .court milne ka schedule bana deta hai.

      Delete
  42. me hamla hon mjhe divorce dydi mre shohar ny ab bachy ka kharcha kski zmedari hy ?or iska triqa kya hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa hamla orat ko divorce nahi hu sakti jb tak k wo delivery se farig na hu jai. Call me for more information 0324-4010279 whatsapp available

      Delete
  43. Sir mera haqmeher 3.5 tola gold hy jo k mery husband ny ly k bach diya ta.ab m khula lana chahte.to kya khula lany ke surut m mery shor ko haqmeher maf hojy ga ya usy ada krna pry ga.

    ReplyDelete
    Replies
    1. g yeh case thora sa pacheda hai. aap ko sabat karna pare ga k husband ne le kar bach dia hai. other wise court consider karti hai k zewar orat k pass hota hai. or khulla ki sorat main aap ne ju faide liye hote hain wo wapis karne ka order bhi hu sakta hai. for more information call 0324-4010279 whatsapp

      Delete
  44. Me apni bv ko nahi chorna chahta magar os ke Ghar wale legae hain or os ke kan bhar rahe hai jis ki wajah se wo naraz hai Mai osay chorna nahi chahta mujhe qanoni Kiya haQ hai ke Mai apnay Bache or bv ko leke asako ,Bache 4 or 5 sal ke Hain,

    ReplyDelete
    Replies
    1. G bhai aap ke pass remedy hai k aap dawa kar sakte hain conjugal rights ka k main apni bv ko basana chahta hun. or ghar wale nahi bahj rahe hain.or aap konse city se hain ?

      Delete
  45. A.o.a sir ya batain mujha ka agar talaq ho jati hy to bacho ka kitna mahana wazefa dena parhta hy mari income 35000 h or mra bacha be 6 mah ka h or kia bachy k alwa bv ka be kharcha dyn parta h ...

    ReplyDelete
    Replies
    1. bv ka kharcha iddat tak hota hai 3 mah after talaq.bache ka kharcha 4 se 5 hazar lag sakta hai agar wo sallary ka prove dete hain tu . aap kis zila se hain ?

      Delete
  46. Aoa.ma ne apney shohar se aledgi le ki ha.jaheez ka samaan b utha liya ha.ma job kerti hun r parents b financially strong Hain.husband hath uthatay thY iss liye separation li.unki salary b 80k plus ha.kia muje maintenance ka case kerna chaye?last April se main apne parents ki taraf hun.jb samaan uthaya tu husband ne aik affidavit pe sign krwaye.k laraye jaghrey ki waja se ni reh saki r samaan le kr ja ri. Un k nazdeek ma ne unko chora ha.iss situation ma kia Meri maintenance lagy gi aur lagy gi tu kitni?

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam G bilkul bacho ka kharcha lena bacho ka haq hai or agar abhi divorce nahi hoi tu aap apna kharcha bhi le sakti hain. baqi husband k nazdeek aap ne chora hai iss se koi faraq nahi parta har case main orat batati hai k mere shohar ne mujhe teen kapro main ghar se dhake de kar nikal dia hai or husband batata hai k us ki bv us ko chor kar chali gai hai apne azdwaji haqooq ada nahi kar rahi. for more information call or whatsapp 0324-4010279

      Delete
  47. Family court ka likha hota k 6 months ma faisla kr deti ha.meri dost k case ko 7 months ho gye Hain abhi tk sirf mafamehat to poncha ha Yani start b ni hoa. Corona jesi situation ma aur prolong ho jye ga.kesay case jaldi khatam hoga?

    ReplyDelete
    Replies
    1. case ko khud hi jaldi chalana hota hai. khud choti choti dates le kar. likha hoa hai 6 mah ka magar judge bhi kia kar sakta hai agar aap khud hi kam jaldi na karain.jaldi case karwane ke liye high court main early hearing ke liye apply karna parta hai . call me if you wanna know 03244010279 whatsapp

      Delete
  48. Assalam o alikum, ma apnay husband sa khula lana chat Ho, is blog k through kafi info mili jazakAllah. Mara question ha k family court sa khula lana ma kitna kharch hota ha? Please reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      yeh blog aap logo ki bhalai k liye banaya gia hai.Kharcha kisi bhi case ka fix nahi hota mukhtalif wukla mukhtalif fees charge karte hain. hm lahore se hain or bhi kai cities main humare dosat mojod hain aap ki help k liye call me 03244010279 whatsapp
      Qanun seekhain or izat se zindagi guzarain

      Delete
  49. Assalamu Alaikum sir Main Ek sal pahle a apni biwi ko Talaq di thi aur aur 1 sal ke bad usne Mere khilaf bacche ke kharche ka case Kar Diya aur aur Mujh Tak notice Kisi bhi tarika Na pahunchne Diya aur aur and Mein notice Jo bheja Gaya vatari ke upar tha aur mere khilaf Ek Tarfa kaarvayi kar aur mere khilaf degree ho gai iska Ab kya solution hai main jaanbujhkar talaq Nahin di thi Jo Meri Biwi thi wa jaanbujhkar mujhe bataya Gaya Ghar Se a bag Gai thi

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam
      sorry for late reply. bacho ka kharche ke case yaktarfa bhi decree hu gia hai tu koi baat nahi aap iss main 12/2 ki application de kar decree set a side karwa sakte hain. magar yeh phir hu jai gi kionke bache tu aap ke hi hain or aap kharcha nahi de rahe. bacho ka kharca court cancer k mareez ko bhi maaf nahi karti . or iss main yeh bhi nahi k talaq aap ne di ya us ne li ghalti chahe wife ki hu kharcha father hi pay karta hai

      Delete
  50. Assalamualikum, mujhay meray husband nay talaq dai di hai in written meray teen bachay hain 6,4,2 years k mai chahti hun k bacho ki custody unkay father ko di jaey aur mujhay unsay month mai atleast 3 times milnay ki permission di jaey kya yeah possible hai.

    ReplyDelete
  51. I was mentally tortured a lot i left my husband's home because of his family members i want they takecare of there children by there own.. how can i give custody of children to his father? plz ans

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jub aap custody un ko de dain gi tu phir milne dain ya na dain. phir aap ko guardian court main dawa karna pare ga milne k liye. or guardian court allow karti hai aik baar mahine main wo bhi court premises main.

      Delete
  52. Asalam o alaikom
    Sir me abi apne husband pe kharchy klye case krna chahti hu to is ka Tariq Kia hai hmare talaq ni Hui r m 3month pregnancy this Meri jb unho me nikala ta mujhy ghar se ab beta 2 sal ka hai r husband n mangni b ki hai to case ko strong krne klye Kia kru may plz help Kare...

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap ko kharche ka dawa karne k liye family court main Lawyer ke through dawa dair
      karna pare ga.mazeed maloomat ke liye call or whatsapp 03244010279

      Delete
  53. sir mera 1 beta hy biwi khud hi chli gai hy agr min bachy ko b talaq min likh don to kya phir b mujhy kharcha dena pary ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai yeh pata nahi kis bande ne logo ko bataya hai k bacha likh do tu kharcha nahi parta. likhna na likhna aik barabar hai kharcha dena hi dena hai likhne se kia bache ko roti mil jati hai bache ki perwarish bap ki zimadari hai or kharcha kabhi maff nahi hota

      Delete
  54. Aoa sir agr shohar per bachon ka kharcha par jay or wo Na de to usay jail ho Sakti hay? Agr ho Sakti hay to kitni or phir us k bad to kharcha nai Dena pare ga? Please guide me

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salalm
      Bhai iss ka jwab pehle bhi main de chuka hu k iss main jail main koi saza nahi sunai jati husband ko jail iss liye band kar dia jata hai k wo kharcha de apne wajbat ada kare jese hi wo apne wajbat ada kar deta hai ya koi zamanti de kar yaqeen dala deta hai us ko jail se raha kar dia jata hai or agar wo kharcha na de tu us ko aik saal tak jail main band rakha jata hai or us k baad yeh nahi k us ki raqam maaf hu gai jese hi koi property ko pata chale ga court wo property sale kar k raqam recover kare gi or aik saal k baad bhi aap ko jail main dala ja sakta hai or kai logo ko dala bhi hai

      Delete
  55. Meri 11 sal ki byti hy mra shohr mjy divorce k bhany krTa hy or hr wqt zulm ziyadtian krta hy khta nikal dyga mra hq mehr main kch jaedad ni uski to khta nikl dyga kia meri byti ko bhi hq ni milyga agr wo mjy chor dy u
    Mery susr ki jaedad is lye wo apny nam ni krta taky usy hmari byti h
    Ya mjy kch dy uski family mili hue hy us sy please mjy guid kren allah na kry wo divorce kry to kia meri olad rul jaeygi

    ReplyDelete
    Replies
    1. salam
      Ju jaidad app k susar ki hai jab susar ki wafat hu gi tu shohar k nam pr aa jai gi kisi ki zindgi main warasat main hisa nahi milta.warasat main hisa wafat k baad milta hai. or aap ko shohar ki jaidad main se hisa mile ga us ki wafat or susar ki wafat k baad chahe wo susar k nam hi kio na hu.

      Delete
  56. Brother ye kaisa kanoon hy mard ki agr ak percent b galti na hu phr b bv apni maa aur bheno k kheny py ghar chor jay aur bacho ko door kar dy bap se , baap ka kia kasoor hy use kiu majboor kar dya jata ha wo kasy ray apny bacho k bgair horat nay start se e fitna dala hy ak izat dar bebas baap kia kary kis se jaa k faryad kary k use usk bachy dy do

    ReplyDelete
  57. Mra ak masoos sa beta hy do saal ka mri bv choti c bat py maa k kheny py ghar chor gai hy aur talaq ly rai hy ma apny bety k siwa nai reh skta ma kia karu koi to iska hal hu ga , horat ny hmesha tbha e kia ha mard ko

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bro hm baat karte hain ju Pakistan ka qanoon hai. or ju cheez qanoon main nahi hai wo court nahi kar sakti. kionke court wohi faisla de sakti hai ju k qanoon hai. agar qanoon ko theek karna hai tu wo Parliment ka kam hai. Hum log apne siasi leedro k haq main tu bht bari bari relian nakalte hain or long march karte hain magar apne haq k liye kabhi nahi bole.

      Delete
  58. Muje mere husband n mara tha to mere abu lye aye ghr ab 2 month k husband na rabta kr rhy hain na kharcha da rhy hain ayse surat me kya krna chaiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap case kar sakte hain kharche ka plus saman jahez , divorce haq mahar etc. agar aap sulah karna chahte hain tu us k liye bhi aap se pocha jai ga

      Delete
  59. Mera bacha abi 5 month k hai plz muje koi mashawra dy dye

    ReplyDelete
  60. Replies
    1. G aap case kar sakte hain kharche ka plus saman jahez , divorce haq mahar etc. agar aap sulah karna chahte hain tu us k liye bhi aap se pocha jai ga

      Delete
    2. if need more information call 03244010279 whatsapp

      Delete
  61. aoa. sir mai ne husband se khula li hai. us ki mother ne shadi per mujhy kuch purany zewar diye thy. nikah nama mai zewar ka indraj nahi hai. kya wo zewar mujh se khula ki soorat mai wapas le sakta hai?mujhy haqmeher ada nahi kiya gya. us ne zewar wapas maangy hain lekin zewar ki koi raseed nai hai us k pas.us ne koi gahalat raseedain lagai hai jo zewarat mujhy nahi diye gy or extra zewar claim kia hai.is soorat mai judge kya decide kr skty. please guide krain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Zewar saabat karna aasan nahi hota.Call me for detail 03244010279 whatsapp

      Delete
  62. sir mere shadi ko 10 saal ho gy ha 3 byty ha mery but un ke maa uboht marti ha bacho ke jaan k o b hatra ha is sooratr ma bacho ke custody kis k pass rhy ge

    ReplyDelete
    Replies
    1. Marne ka issue court nahi mane gi kionke court samjhti hai ke koi bhi maa bache ke liye best woman in the world hai. so app guardian court main jab aap case karain ge tu bacho ko milne ka right tu aap ko mil hi jay ga so aap ko chahy ke jab bhi koi zakham bache ke jism pr daikhain mulaqat ke duran tu court ko aagah karain . or agar court ko bawar hu jai ke oarat bache ki parwarish sahi nahi kar rahi or aap us se achi parwarish kar sakte hain tu court aap ko custody de sakti hai. magar aap ko wait karna pare ga or bachu ko reguler kharcha pay karna pare ga.

      Delete
  63. Aoa, agr case decree ho jaye or husband pakistan mein ha hoon or total income b maloom na ho tou court kiya faisla dy gi? kiya decree k baad pakistan any ka intezaar krna pary ga?

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam G agar total income ka pata na hu tu aap ko wo cheezain
      court ko batani chahiye k us ki property bank balance or gari ya koi aisi cheezain jiss us ki mali hasiat ka pata lag sake court ko tu agar aap kuck bhi na de sakain tu phir bhi court apni marzi se us ka guess kar ke kharcha lagai gi ju ke kam az kam bhi 4000 per head hu ga. or process tu hai bahar se pakrne ka magar wo yaha per use nahi karte aaj kal kai court id card block kar rahi hain jiss se bht naqsan hota hai.jaidad hai tu wo qaraq hu jai gi agar us ke nam per kuch nahi phir us ke warant jari kar de gi court or phir ap ne girftar karwana hai us ko jab aap karwa sakain

      Delete
    2. Sir property ha name py. Property ki detail b waqeel saab ko di hain or case decree b ho rha ha per wakeel keh rhy decree k baad 3 month lagain gy phr warrant hoga or phr us ki property k through court ap ko karcha dy gi. Ap mujhy confirm kr dain k kiya property k liye wait krna hota?

      Delete
  64. Sir mjhy daivorse ho gi r Meri aik beti h 2 sal ki jis ko unlogon ny sath likh dya h to kiA Mai usk karchy k ly apply kiA h to mily ga r notice milny k bad usk name Jo zameen to usny apni sis k name krwa d to esi sort m kiA ho skta h plzzz kuch btay

    ReplyDelete
    Replies
    1. kharche ka case karain beech main likh kar dene se koi faraq nahi parta aik case ke silsala main jiss main aik aadmi ne ap ne 5 betian likh kar di thin us husband pr case kar ke us se kharcha wasol kia or koi bhi cheez ju ghair qanooni hai agar us ko istam per likh lia jai tu us ki koi qanooni hasiat nahi kharcha lena bachon ka qanooni haq hai iss ko likhne se koi faraq nahi parta

      Delete
    2. Sir property hain name py. Or property ki detail wakeel saab ko di ha woh keh rahy hain ap ko 3 month wait krna pary ga phr koe giraftari hogi us k baad property sale hogi.

      Delete
    3. G blkl wait karna pare ga jab decree hu gi or us main wo pay nahi kare ga in execution tab ja kar aap us ko girftar or jaidad ki qarqi karwa sakain gi

      Delete
  65. Salam sir mre hasbnd ny mjhy divorse di r Meri aik beti h 3 saal ki usko b sath likh dya means usk sath he talaq khtm kr lya to kiA asi sort Mai Mai us p khrachy k case kiA h ub wo log hazard nh ho rhy just 2 bar huy h wo log hazard jb abori khrcha lga to usk bad a nh rhy esi sort Mai kiA ho skta h

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam wo nahi aain ge tu court yaktarfa kar de gi case or un ka right shahdat dene ka close kar dia jai ga. 17 A section ke tehat aap ka case decree hu jai ga.or us ke baad execution hu gi jiss main us ke warant girftari or property attatch hu gi bas hosla rakhain time lagta hai court proceeding main

      Delete
  66. meri shadi 2016 dec mn hue the husband ny kbhi thk sy kam nhi kiye agr mn ny kam start krwna chaha tu us mn ny kamyeb nhi hue phr 2019 mn beti hue meri aur mery husband srf 47 din pass rhy meri beti k aur phr ghr mn narazgi kr k mjy chor kr chaly gy hm rent pe rhty thy aur mn khud job krti the aur beti ki birth sy phly kuch pesy b mery husband ny karaz k tor pe liye koi idea dain mjy kia krna chahye ab

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa G acha nahi ke khud hi jan chor gia hai.jab aap ne karna hi sab kuch khud hai tu abhi bhi khud job kar lain or bachi ke kharche ka case file kar ke us se kharcha wasool karain. or aap apne saman jahaiz ka dawa or dosre wajbat ke liye bhi dawa kar sakti hain

      Delete
    2. Kindly info dy skty hn mn kesy case krun kia koi Gov wakeel mjy nhi mil skta court ki taraf sy aur kia kia process h

      Delete
    3. Aoa G aap kaha se hain. or sarkari wakil nahi milta khud hi karna parta hai call me to know process

      Delete
    4. Thank you Sir mn Gujranwala sy hn Kindly send us your Mobile no

      Delete
  67. Aslamualikum.sir agar admi kharcha na day saky tu fir kia ho sakta hai..miu k adalat ny kharcha buhat zaida laga dia aboori ...3 bachoon ka ka 10500 meri salry 15000 hai

    ReplyDelete
  68. Salam
    Sir mera question hy k mere wife k sath understanding nahi ho ski 3 se 4 mah k gap me 2 divorce dy di hy mene zubani. But ap jb mamla zyada kharab huwa to is se phly k me usy divorce du us ne kharchy k liyay case kr dia. Me ab usy nahi rakhna chahta. Kya me adalat k samny 3rd divorce dy sakta hy case proceed hony se phly?

    ReplyDelete
    Replies
    1. aap kaha se hain or kitne bache hain aap ke'

      Delete
    2. Me zafarwal se hu 1 beta hy mera

      Delete
    3. Bhai aap ko kia zaroorat pari thi ya hai jaldi divorce dene ki.
      bache ka kharcha aap ko jwan hone tak dena pare ga or bacha us ke pass rahe ga or kharcha 10 percent salana barhta bhi rehta hai. abhi bhi koi tareeka kar ke sulah kar lo

      Delete
  69. salam. agr ek admi ki pay ek lakh se oper hai or akela rehta hai. tab maintainance kitni lagy gi bachy ki?

    ReplyDelete
  70. salam. agar admi ek lakh se oper kamata ho or akela ho to bachy ki maintainance kitni lagy gi?

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam . bache ka kharcha show krain or us ki amdni bhi prove karna pare gi interim maintenance tu kam lgta after evidence ke 10000 se ooper lag sakta hai baqi yeh judge ki \dicreation hai koi cheez fix nahi

      Delete
  71. aoa. bachy ka aboori kharcha 7500 minimum hai. agar ek admi akela rehta hai or income 1 lakh se oper hai to court kitna kharcha laga sakti andazan?

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye kisi ne afwa urai hoi hai ki minimum 7500 hai main aap ko masal deta hu dec 2020 main bhi court ne 1500 kharcha laga hai . or yeh sabat aap ne karna hota hai ke kia income hai husband ki or staus hai . main ne 20000 se ziada kharcha nahi dekha k court ne lagaya hu . aap ne convince karna hota hai court ko

      Delete
  72. AOA, advocate sb, agar walid bachon ko kharcha na diata ho or income 1 lakh se ziadha ho , to kia baligh bachay be harchay ka haqdaar hongay? or nabaligh ko kitna mil sakta hai, ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bete ko kharcha 18 years tak or beti ko shadi tak milta hai or court decide karti hai aik lakh agar aap prove karain tu ziada se ziada 10000 per head

      Delete
  73. Aoa..main 6 month's pregnant hun.. mere susral walay greedy hain..mere ghar walay enko Ziada pochtay nahi en k greed ki wajah se...aur en logon ny b mera contact khatam krwa diya mere ghar walon se... mujha shak hai meri delivery k baad mujhse bacha cheen k mujha talaq dai dain gain...shayad bacha lay k abroad faraar ho jayen gain mere husband.. maina unko 3,4 lakh k 2 passports banawanay ki baat krty souna hai... mujhse nikkah nama maang rahay k tumhara cnic apny naam ka banawana hai bachay ka bay form banwana hai. .plz help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bacha cheenana itna aasan nahi jitna aap samjh rahi hain. suckling baby ya koi bhi bacha ju aap ki custody main hu aap ko under section 491 court aap ko wapis le deti hai within few days. or bache ko bahar le kar jane ke liye guardian ship leni hoti hai ju aise nahi mil jati.call 03244010279 whatsapp

      Delete
    2. ok.Thank you sir,You have made my day

      Delete
  74. Assalam o Alaikum
    Sir mujhe ap sa ye pochna hai kay meri sister ko unkay hudband kay divorce de di hai.un hona ek beta hai 4 months ka unhone koi kharcha nahi dia us kay pedish say ab tak or ab hone nay case kia haicasday ka to ye pochna hai kay humme kia karna chahye kia wo bachalay sakhta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jab aap case na karain ge tu wo tu karain ge abb aap bache ke kharche ka case karain or un ke case main bhi aap pesh hun aa gai samjh. bache se milna un ka haq hai or kharcha lena bache ka haq hai. 4 months ka bahca le nahi sakte abhi bht chota hai or lena wese bhi husband ke liye asan nahi hota .

      Delete
  75. sir meri sis me khula li hai kiun 5 saal say uska husband larai kr k ghar chor kr chala gaya tha or koi rabita nahi kiya 1 bacha b hai susral walon ne larky ko jaidad say alag kr diya tha humne karaye ka makan lay kr diya howa tha 5 saal say larka gaib tha ab ab khula liye howe almost 3 sall ho chuky han ab larky ne case kr diya hai bety k liye na koi kharcha na ataa na pata tha or poora muhaly ko pata hai wo 1 number ka frudy admi hai bohat say logon k to usne paise dene han

    ReplyDelete
    Replies
    1. aoa G aap ne apna kharcha lene ke liye ke liye koi case kio nahi kia itna arsa aap kharcha khud se karte rahe iss main bache ka kharcha ab bhi banta hai or man ka kharcha sabqa banta hai or us ke ilawa agar aap case karna chahain tu saman jahez or us ke sath haq mahar or kai dawe abhi bhi kar sakte hain or yehi iss ka hal hai. bache ka kharcha ka lazmi karain.

      Delete
  76. ASSALAM O ALAIKUM!! G mujhy thori rehnumai chahye thi Talaak ky hawaly sy.. Bat yun hy k merri shadi june 2020 mei hoi hy or meri wife ab pregnent hy almost hopefully next mnth tk Delivery bhi hojye ab woh naraz ho ker makaay bethi hoi hy due to some reasons, hum ny kaafi manany ki koshish ki jisky lye relatives ko bhi daala gya but they said k hum ny nhi bheejni bachi apni, mujy kindly help out krdein ky mei osko ab urgent base par talaak dena chahta hoon through Notice toh iska kiya tarekakaar hy yad rahy she is pregnent now adays toh kia delivery sy pehly talaaq mosaar hojaygi.?? Mujhy kaanooni ways bta dein ky hogi ya nhi or agar han toh phir kaisy notice ready kervaon?? Kitna kharcha hojyga?? Or 3 ki 3 talaak 1 hi notice per deni hongi ya elehda elehda 3 notices per deni hogi??Abhi CNIC per oska old name hi hy.
    Kindly mujhy thora detailed brief kerdein thanks a lot Have Good Mornin' .....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa salam G call or whatsapp aap ka masla routine se hat kar hai
      03244010279

      Delete
  77. aoa. sir kis age mai baap bachy ko ghr le ja sakta eid per ya chuttio mai? kya mother usko rok sakti?

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap ko case karna pare ga guardian court main custody ka or agar wo khrche ka case karte han tu aap ko khrcha dena hu ga regular basis pr phir schedule banaie gi court or aap mil sakain ge bache ko reguler basis pr. jiss main kisi function pr garmio ki chution main sardio ki chutio main or events per like birthday or iss ke ilawa bhi kisi dosre function per ju ke app ke ghar main hun aap court se ijazat le kar le ja sakte hain, magar yeh sab ke liye pehle app ko court ko itmad main lena hu ga or batan hu ga ke hum reguler pay kar rahe hain. or hum khate peete ghar se hain or bache ki achi dekh bhall ker sakte hain

      Delete
    2. sir maintainance case mother ne pehly he kia hai wo ada nahee hui abhi tak ek saal ki maintainance banti hai. is soorat mai kya kia ja sakta? mother visitation rukwa sakti?

      Delete
    3. mai mother hun sir. ek saal se maintainance case adalat mai hai. aboori maintainance ni lgai judge ne. ek saal se jahaiz per ex stay le k betha hai or ata nhi. ab custody case kr dia or visitation le li same court se. kuch pay ni kry ga or bachy se mily ga. mai kya kr sakti rehnumai krain please

      Delete
    4. aik saal se kharcha laga or pay nahi kia. abb tu qanoon bara sakhat hain kuch date per agar husband kharcha pay na kare tu court 17A section ke tehat us ka right of defence close kar deti hai or aap ka case decree hu jata hai. aap bhi court ko request krain hu jai ga. or saman per stay tu kabhi mila nahi or agar wo custody case main milna chahta hai tu aap kharche ki demand karain or phir bache ko milain

      Delete
    5. sir ye jo ghar ki visitaion hoti hai chtiyun mai ya birthday per. sir kis age k bachy ko court ijazat deti? agar bacha 2 ya 3 saal ka hai to ijazat milti?

      Delete
    6. G mil sakti hai agar court ko itmad main le lain bacha jana chahe or dosri party ko bhi itraz na hu

      Delete
  78. assalam o alaikum. sir mery husband ne mery nikahnamy ki copy chori kr li hai mery documents se. nikah per molvi unki taraf se tha or uska mujhy or ami logo ko koi pata nahe. hum 2 behen bhai hn bus. bhai chota hai to us ko bhi andaza nahe koi. ab masla ye hai k mai khula lena chahti. haqmeher mera 5 lakh ada nhi hua. nikahnamy ki ghair mojudgi mai kya kia ja sakta? court khud se nikalwa saki nikahnama? us k gawah boht jhooty hn. hum ghareeb log hain. agar wo jhoot bolty k ada kia hai to hum kahan se laain gy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa salam aap khulla ka case na karain balke sirf haq mahar ka case karain or agar bache hain tu bacho ke or apne kharche ka. agar us ne nikah nama chori kar lia hai tu nikah ki video hu gi or pics bhi lazmi hoti hain or gwah bhi hun ge shadi ke tu aap case karain or dhondain molvi ko bhi aap ka haq mahar decree hu jai ga

      Delete
  79. salam. mery 2 bachy hain. ek beti hai 3 saal ki. or ek beta hai jo abhi ek saal ka b ni hua. mai ne khula le li hai or sath bacho ka khrcha b manga hai. bacho ka baap custody case kr k beth gaya hai. ek do baar visit kia bacho ko court mai visitation lagi hai. ab wo chahta k ghar le kr jy. mera beta boht chota hai. mai nahe chahti k itny choty bachy ko us k hawaly krun. kya ghar le jaany se ruk sakta?

    ReplyDelete
    Replies
    1. W salam G court main aap batain sari baat court Ijazat nahi deti chote bache ko le kar jane ki. saari baat achi tarah se batain or hu jai ga inshallah

      Delete
    2. jo beti hai 3 saal ki. us ko bhi abhi samajh ni itni. bus bolna seekha hai abhi. mujhy bolta hai ghar le jaon ga court se. kya beti ko le jaany ki ijazat mily gi? us k ghar mai koi nahe jo sambhaly. bhai or bhabi hai jisk apny bachy hain. kya beti ko le ja sakta?

      Delete
    3. Supreme court ki aik authority hai jiss main inho nain sab schedule bataya hai ke bap garmio ki chutio main or sardio ki chutio main or salgirah per or agar ghar main koi function hu tu le ja sakta hai magar court ki ijazat se abb aap ne apni sari baat batni hai ke inn ke ghar main kia masle hain jiss ki wajah se hm nahi bhj sakte or judge poori baat sune ga or agar banta hu ga tu phir hi ijazat mile gi.bache ki raza mandi bhi poochi jai gi.

      Delete
    4. sir phir matlab ye hai k bacha jb tak samajhdar ni hota to ni jaa sakta na? sir ye jo schedule bana hua hai ye to donu party ki agreement se hai. agar koi party razi ni ya bacha b khof mehsus kry to tab b kya court force kry gi?

      Delete
  80. Mujy khula ly no hai or bachoo ka kercha bhi lyna hai mainy ek bar phely bhi khula ka case kya tha or compromise kerleya tha jo shartain mai likwaee thi wo mery hadband pori nahi kerahy mujy bachoo ka kharcha bhot mushkil sy dety hai jesy mai in sy bheak magrahee ho or muj sy or bachoo sy milny bhi nahi aaty

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap ko ab phir se khulla ka case karna pare ga or sath main ebacho ke kharche ka bhi dono case akthe hu sakte hain or usi main aap apne sare saboot pesh karain ge or us ke sath hi agar koi or bhi nan nafqa ka case karna chahte hain tu kar sakte hain. for more information call or whats app 03244010279 whatsapp

      Delete
  81. assalam o alaikum. sir agar minor bemar hota hai to ilaj ka kharcha baap alag se deta hai ya maintainance se he mother ko poora krna parta. agar bachy ko court visitation bemari ki waja se nai krwai ja sakti ho to kya tareeqa hai uska?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Court main application dain or kharcha ki demand karain or hospital admit hai tu reesedat lagain or court visitation ke liye nahi kahe gi.

      Delete
    2. Per yad rakhain ke bacha beemar aap ki ghalti ya laparwahi ki wajah se nahi hona chahye.

      Delete
    3. sir jo infections hain mosam ki waja se ya halki bemari bukhar. us per visitation se chutti mil sakti? us k liye kya kar sakty?

      Delete
    4. Court main khud pesh hu jain or sari sorat hall bata dain. ya koi or bahana laga dain chuti mil jai gi

      Delete
  82. assalam o alaikum. sir kya visitation rights baap k hain ya phir married phuphi chachy waghaira b aa sakty minor ko milny? kya court ijazat deti?

    ReplyDelete
    Replies
    1. case tu bap hi kare ga or agar wo bhi sath milne ke liye aa jain tu koi baat nahi hai. court kio itraz kare gi magar makhalif party koi aisa itraz na kare ju court ko manna pare.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon ki custody of minors after divorce or separation