Meri Zameen bank ne neelam kar ke age bech di. mera kuch hu sakta hai.

Meri Zameen bank ne neelam kar ke age bech di. mera kuch hu sakta hai.



Dear Reader                     
                    Ajj hum baat karain ge bank se qarz ju  log lete hain or zameen ko gehne rakhte hain . yeh aik sachi kahani hai ju ke humare aik client ke sath pesh aya .so hum share karna chahte hain ke app logon ko bhi muhtat rehna chahye . yeh kisi or ke sath bhi pesh  aa sakta hai .
yeh kuch arsa pehle ki baat hai ke wo banda hum ko court ki building main mila , or yeh kaha ke app mere kagaz check karain or main chief justice pakistan ko application dena chahta hun , kia wo meri baat sunain ge. hum ne us ko bithaia apne chamber main or chaye waghira palai. or jab hum ne farigh hu kar us ke kaghaz check kiye tu hum ko bara dukh hoa .us ki story hum hum us ki zubani pesh karte hain .
                 us ke kagzat bata rahe the ke us ne zameen ke ooper karz lia tha . koi 15 ya 16 saal pehle.
Q .hum ne poocha ke app ne qarz kio lia.
Ans. us ne jawab dia ke main ne qarz khud nahi lia tha , koi close jannene wala dosat tha us ko le kar dia tha.
Q. qisat kitni teh pai thi bank ki taraf se ju app ne wapis karni thi
Ans. tu us ne ju bataya ke koi 500 ya 700 se ziada na thi
Q   . app ne bank ki aqsaat wapis kio nahi ki
Ans . yeh ke qaraz main ne us dosat  ko le kar dia tha aqsaat us ne wapis karni thien.
Q   Ab ki zameen neelam hone ke baad bank ne aage sale bhi kar di hai tu ab app ka wo dosat kahan hai jiss ko app ne qaraz le kar dia tha .
Ans  . ji wo wafat paa chuka hai .
Q     Tu ju iss ki oolad hai wo kahan hai app un ke pass nahi gai.
Ans     main gia tha un ke pass wo kehte hain ke wo qabar main para hai  humara walid us se jaa kar le lo
Q   main ne poocha app ki zameen kitni thi
Ans  5 Qila  ( 5 acre)
Q   qaraz kitna le kar dia tha
Ans    taqreeban 70,000 rupees
Q   agar wo iqsaat nahi de raha tha tu app iqsaat de dete .
Ana   bas tawjah naa di
Q   App ka case jab bank ne court main lagwaya tha app ko notice aya tha ..
Ans G  aya tha main aik do baar gia bhi thaa .
Q  . phir  kia  hoa
Ans. humare khalaf case decree hu gia
Q  .   kitni raqam thi decree ki
Ans.   koi 3  lakh rupees
Q  .   app ne phir yeh raqam aada kio na ki
Ans .  Bas ki hi nahi gai
Q .      App ko us waqat pata nahi chala jab neelami ho.
Ans.  bank ne hum ko notic na hone diye or khud hi apne bande ko zameen bech di . or us bande ne foran further transfer kar di . or abb wo jga do hath agge sale kar do
Q  .Phir app ne kia kia
Ans. G hum us ke baad high court chale gai . high court ne order kia ke raqam jama karao or main ne 300000  teen lakh  jmaa karwa kar raseed high court main de di .
Q .   phir High Court se kia faisla Aya.
Ans.   High Court ne humari petition dismiss kar di ke app ko itne mowaqe diye gai . or neelami sab sahi tareeqe se hoi or koi illegality sabit nahi hoi .
Q  phir app ke pass supreme court jane ka ikhtyar tha app nahi gai .
Ans . Nahi itne raqam nahi thi nahi ja sake .

Yeh saari baat sunnene ke baad mujhe buhat dukh hoa ke aik aadmi ke zameen  5 Acre or ansaani hamdardi ke tehat kisi ko apni zameen ke kaghz de kar 70000 rupees qaraz le dia . ju ke ghalat tu na tha magar jis ko le kar dia us ne iqsaat ada na kieen . or le kar dene wale ne bhi tawajh na di . court ki karwai ko bhi mazaq samjha . or un ko yeh bhi pata na  laga ke kab zameen neelam hu gai or kab further transfer hu gai. abb aise client ki hum kia madad kar sakte the or wo chahta tha ke mujhe application likh dain main ne chief justice sab ko deni hai . wo application tu hum ne likh di . or us ke baad banda nahi mila . or hum log andaza laga sakte hain ke us ne kahan ghalti ki .
 Nateeja
                 ke hum ko apne haqooq per soi nahi rehna chahiye . kionke qanoon khud kehta hai ke main un logon ko madad karta hun ju apne haq per jagte rehte hain .
                   
For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights.we will answer your every question,so we need to your help to achieve our goal . plz tell people about this blog and subscribe our you tube channel and follow us at the end of this post .

Our Popular Posts
Court Marriage ka Procedure in Pakistan

























  Case transfer karwana aik city se dosre city










































 






















Comments

  1. I want to use this opportunity to say every big thanks to Dr Ekpen for restoring my relationship back to normal by casting a love spell on my partner to love me again. Contact Dr Ekpen today at (ekpentemple@gmail.com) or on whatsapp +2347050270218 if you want to be happy in your relationship again.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation