Domicile certificate

Domicile Hasil karne ka Tareeka

Ajj kal domicile ki Zaroorat buhat ziada hai . Government Job hasil karne or Admission ke liye iss ki zaroorat hoti hai or iss ke ilawa bhi iss ki zarrorat pr sakti hai . hum koshish karain ge ke logon ko iss ke hasool ka tareeka bataya jai .take app ko ba aasani Domicile mil sake . domicile banana bra hi aasan sabat hu skta hai agar app ka id card jiss sheher ka hu us card pe dono addresses usi shahr ke likhe hun tu agar address kisi dosre sheher ke hun tu mushkal pesh aati hai . agar aik address dosre sheher ka hu tu yeh kam thori mushkal se kia ja sakta hai .


Domicile Banane ke Liye kin documents ki zaroorat hoti hai

  1. Id card ki copy and original ID card
  2. Father's ID card copy 
  3. Bijli ka Bill
  4. Pictures

  1. Noc un logon ke liye zarori hai jo kisi dosre sheher ka banana chahte hain 
  2. tamam Documents ko collect karain or Alaqa courts per jain  jo app ke Mutalqa courts hain . or wahan se domicile ka form khareedain . or us ko fill karain or jo fees us per pay karni hoti hai   yeh fee 32 chlan per bhar kar bank main jama karwain or bian halfi Ishtam le kar likhwain  .or us ke bad tamam documents ko  submit karwa kar raseed hasil karain 
  3. lakin iss se assan tareeka bhi hai wo yeh ke app apne documents kisi nazdiki lawyer ko de dain ya mutalqa kchehri ja kar wahan per buhat se tout mil jain ge or app ko documents banane or bank chalan bharne se chutkara mil jaye ga
  4. Hum yeh service provide karte hain agar aap Lahore se domicile banwana chahte hain  app apne documents ki copies  hum ko neeche diye gai email per email kar sakte hain . feel free to call us and send ur documents
Fore more information call or whatsapp
0324-4010279






























 























Comments

  1. Replies
    1. Mera domicail gom ho gaia h ab wo kase bane ga

      Delete
    2. jaha se banwaia tha wha se duplicate nikal jai ga. application dain or banwa lain

      Delete
    3. Agr koi jaga li jaye ur wahan ka domicle banwana ho to Kia father je is card ki zarorat par sakhti hai?
      Job ke lie kisi ur city jaga ke domicle banwa sakhty hain us ke lie process????

      Delete
    4. G ban sakta hai us ke liye aap ko pehle wala domicile khatam karna pare ga or waha se NOC lena hu ga us ke baad nia domicile ban sakta hai.

      Delete
  2. Mere pas I'd card nh ha to mai beform k zariye domicile banwa saqta hn and mere father ka bhi I'd card nh ha uska I'd kho gya ha or mere father passed away Hain mujh koi taryeeb batao mother bhi passed away ha isliye I'd card nh bana rahe Hain kahrhe Hain k inter clear karo abhi inter m hn last year ha clear karne mai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa . g bhai aap ka agar b form bana hoa hai tu aap ka card banne main koi masla nahi hu ga . or agar card nhi bante tu app nadra pr civil case kar sakte hain . or domicile aap ka b form pr ban jai ga

      Delete
  3. Aoa sir mujhay btaye domicel se adree kaisay change krwaya ja sakta hai

    ReplyDelete
  4. Mere pass 10 saal se pada hai kisi kaaam ka nahin

    ReplyDelete
  5. sir domicile husband name galat kar diya ha ono nay us ka kya tarika ha

    ReplyDelete
  6. Sir me mianwali ka domicel bnwana hy mera vote father na vote Faisalabad ma hy tu kiya vote change hona zaruri hy

    ReplyDelete
  7. Sir kya metric k certificate ke base py domicile ban jay ga?

    ReplyDelete
    Replies
    1. domicile ke liye metric ke certficate lazmi nahi hai just apne id card ki copy walid sab ke id card ki copy bijli ka bill or passport size pics darkar hoti hain or agar pehle kisi city se bana hoa hai tu wo cancel karwa kar NOC chahye hoti hai

      Delete
  8. Mi govt servant hun mi ny service book mi domicle ur I'd change karwana hai price
    Pri

    ReplyDelete
  9. Mara domicile gujranwala ka h aur I'd card faislabad ka h kai m otrs job k lea apply kar sakti hn

    ReplyDelete
  10. Sir mara domicile gujranwala ka h aur mare shadi faislabad hoi h mara I'd card husband k name s faislabad ka bana hoa h ab m gujranwala m rahti hn to kai m otrs gov job k lea apply kar sakti hn plz guide kar dy

    ReplyDelete
    Replies
    1. jaha ka domicile bana hai waha per apply kar sakti hain

      Delete
  11. Sir me domicile online bnwa Sakta hon agr bnwa Sakta hob Tu plz process?

    ReplyDelete
  12. kya chote bachon ka domicile ban jaye ga

    ReplyDelete
  13. Ager original I'd card bany ksy liey gya ho kya hum token number pay domcile bana skty ha

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation