precautions of Rape unfortunately agar koi rape ka waqua hota hai tu kese karwai karni hoti hai.

Dosto rape aik  aisa nasoor hai jo ke Pakistan India main iss ki Sharah buhat ziada hai .Yahan pr logon ko iss se niptne ke liye sahi se jaan kari na hone ki wajah  se rape ka mulzim bach niklne main kamyab ho jata hai  . or agar Fir ho bi jaye tu Evidence na hone ki waja se bach jata hai
Hum ne yahan pr buhat se cases dekhe hain jin main log mutasra khandan ko drate hain ke courts main app ki badnami ho gi or app ko kuch hasil nahi ho go jis ka nateeja yeh niklta hai mutasra women apna haq chor deti hain . or mulzim adam pervi case  bach jata hai
Dosto Agar Time pr iss ka Medical krwa kr  Fir darj karwa di jaye tu Mulzamon ka bachna takreeban namumkan ho jata hai .
Iss main app kasoor main hone wale hadse ki masal le lain agar mutasra afrad bache waqat per medical karwa kr un ke khalaf FiR darj karwate tu un ki wajah se mazid bache rape ka shikar hone se bach jate .

Kisi  rape ki soorat main 

  • Sab se Pehle 15 per call karain . app soach rahe hon ge wajah 15 per call karne ki .tu wajah yeh hai ke 15 ki call Police station main nahi jati balke police ke ala officer ki tarf se qaim karda center main jati hai jahan se wireless ke through on duty police app ke  taraf rwana kr di jati hai .or us ka record wahan pr moojod rehta hai . jis ko hum badd main hasil kr ke aik evidence [shahdat ] ke toor pr istmal kr sakte hain
  1. 15 call jin cheezon main help karti hai
  1. 15 per call karne se mulzim bahag jate hain
  1. app ke phone ka record mutalqa office main record ho jata hai
  1. Police madad ke liye aa jati hai
  1. or yeh record fir darj karwane main madad karta hai
  1. or is record ko hum case main shahdat ke toor pr bhi pesh karte hain

  • 2 : 15 per call ke bad app ko mutasra oorat ya bache ka medical karwana hota hai

  1. jo ke jitni jaldi ho sake buhat zaroori hai . wajah kion ke agar  Medical karwane main dair ho gai tu rape ke shawahid jisim se mit jain ge
  1. jin main admi ki mony ke jo nishanat moojod hote hain wo dhone ya nihane se khatam ho jain ge
  1. jisim per zakham ke nishanat madham ho jain ge jis ka faida mulzim ko puhnche ga

  1. Medical karwane ka tareeka

  1. medical karwane ke liye foran polic station se rajoo karain or wahan pr application dene se pehle mutasra oorat ya bache ka medical karwane ka mutalba karain . jo ke jitni jaldi ho sake zaroori hai
  1. agar police station wale kisi wajah se app ki baat nahi sunte tu app ye medical mutalqa alaqa majstrate  se approval le kar karwa sakte hain jo ke app ko foran approval de de ga . 
  1. medical ho jane ke baad un ko app apni application dain  or maloom afrad ko namzad karain application main or namloom afrad ko namaloom afrad main likhain
  1. or likhi hoi application dena zarroi hai wajah kionke aksar aisa hoa hai ke zubani batai gai story main police wale dandi mar dete hain or app ki story ko iss tarah se likh dete hain ke aik bara juram chota nazar aata hai jis ki wajah se mulzim ki zamanat assani se ho jati hai .
  1. lihaza  likhi hoi application dena zaroori hai 
  1. us ke baad agar Fir darj nahi hoti   tu app Session court ke through karwa sakte haih Fir through session court  ka tareeka main page per moojod hai
Mazeed mufat qanooni mashwara jaat ke liye call karain
03244010279


Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks






























 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation