Land revenue case laws , revenue court case laws , revenue department ruling , Intiqaal Patwari , Farad, revenue record main changing judgements and Case laws




The land revenue department in Pakistan is responsible for managing and collecting land revenue, maintaining land records, and overseeing matters related to land ownership and use. It plays a crucial role in the administration of land-related policies and ensures the proper assessment and collection of land taxes. If you have specific questions or need detailed information, it's advisable to contact with us to talk about provincial land revenue office in Pakistan.



پاکستان میں لینڈ ریونیو ڈپارٹمنٹ لینڈ ریونیو کے انتظام اور جمع کرنے، زمین کے ریکارڈ کو برقرار رکھنے، اور زمین کی ملکیت اور استعمال سے متعلق معاملات کی نگرانی کا ذمہ دار ہے۔ یہ زمین سے متعلق پالیسیوں کے نظم و نسق میں ایک اہم کردار ادا کرتا ہے اور زمین کے ٹیکس کی مناسب تشخیص اور وصولی کو یقینی بناتا ہے۔ اگر آپ کے مخصوص سوالات ہیں یا آپ کو تفصیلی معلومات کی ضرورت ہے، تو یہ مشورہ دیا جاتا ہے کہ پاکستان میں صوبائی لینڈ ریونیو آفس کے بارے میں بات کرنے کے لیے ہم سے رابطہ کریں۔





Judgements on land revenue record





Case Laws and Judgements on Land revenue.



Sabqa register haqdaran se new register main indraj karte waqat written mistakes ko door karne ke liye Farad badar jari ki jati hai.
2018- YLR 1813 (b)



Revenue record main indraj ki durstgi ke liye agar kisi party ka title mutnaza hu TU civil court ki jurisdiction nahi hai, balke jurisdiction revenue officer ko hu ga
2018 CLC 292



Purane revenue record ki sirf zubani tardid Kafi nahi hai.
PLJ 2017 Peshawar 41 (c)



Revenue record main har new wrong entery aik new cause of action paida karti hai.
2017 CLC 1288



پٹواری کے شجرہ میں اگر کسی نا بالغ کا نام شامل ھو تو اسکو جا ئز اولاد ثابت کرنے کے لیۓ ڈی این اے کی ضرورت نہ ھو گی
Pld 2010 lahore 422





Durstgi ka ikhtiar civil court ko hai.
PLJ 2017 SC ( AJK) 86
2004 SCMR 604





Waqat ( tasdiq) verification intiqal village ke numbardar samait two weeks ki Shanakhat lazmi hai
2017 MLD 1792




Jamabandi ko truth of presumption hasil hai  2016 YLR 32 note 46



Revenue department main review application file karne ki mayad 90 days hai. 2016- MLD 1793 (b)



Revenue officer under section 20 sub section 3 land revenue act apne matehat revenue officer ko koi application barai report and inquiry bhaij sakta hai
2016 YLR 35
PLJ 2015 Peshawar 345




Intiqal ki parat patwar ki bajai parat sarkar ko preference di jai gi .
2016 MLD 135




Revenue department housing Society ke khasra gardawari na kar sakta hai
2015- CLC 473 (d)



Revenue department main ghalat indraj chahye new hu ya old iss main durstgi ka ikhtiar revenue authorities ko hai. 2015 CLC 1445



Intiqal se koi haq paida nahi hota hai or intiqal ko iss shakhas ne sabat karna hai jiss ke haq main tasdiq hoa hai. 2015 CLC 680 (b)
2008 SCMR 855




Sarkari land ka allottee under section 135 Land revenue act taqseem ka haqdar nahi hai 2015 MLD 759





Intiqal per signature and thumb impressions hona lazmi na hai
2015 MLD 191+378(c)




Khasra gardawari ka talaq tayyri khasra  gardawari ki date se hai na ke fasal kashat karne ki date se
2014 SCMR 914




Intiqal Tamleek ko challenge karne ki sorat main revenue court ko ikhtiar saamat nahi hai balke civil court ko ikhtiar saamat hai 
2014 SCMR 1524





Intiqal Tamleek ko sabat karne ke liye revenue officer, patwari, or intiqal ke gwahan ko pesh karna lazmi hai
2013 CLC 52






Revenue officer revenue record main Registery ka indraaj Karne ka paband hai 2014 CLC 1014(b)





Revenue authority ke faisle resjudicata apply na hun ge or na hi civil court se immovable property ke hasool ke liye dawa dair karne ki raah main rikawat banain ge. 2013 CLC 632




Revenue officer zameen ki had bandi kar ke najaiz qabaz ko bedakhal Kar sakta hai. Rasta ki had barari ke liye dawa nahi kia ja sakta
2013 CLC 1823




Land revenue act main section 29 limitation act apply na hota hai.
2012 CLC 1365





Board of revenue ko under section 8 land revenue act 1967 review key ikhtiarat hasil Hain lakin iss ke liye dosri party ko notice dena lazmi hai.
2012 CLC 185
PLD 2009 L 467





Intiqal sale ke liye register intiqal ke ilawa roznamcha waqiati main signature and thumb impressions hona lazmi hai 2011 SCMR 153





Patwari report agar revenue officer ki tasdiq verification na hu tu report ki koi value nahi hai 2011 YLR 872





Revenue officer through gardawar ya khud had barari ke karwai kar sakta hai 2011 YLR 872




Intiqal per amal daramad , intiqal verification date se shroo hu ga
2011 YLR 2232 (c)




Shehri property ki Taqseem ke dawa  liye revenue court ko ikhtiar saamat nahi hai
2011 YLR 1724




Revenue court title ke mutalk civil court ke faisle ke paband hai execution file karna lazmi na hai
2010 CLC 146
2004 SCMR 117





Jamabandi main indraj na hone ki sorat main intiqal ki koi value nahi hai . 2010 CLC 1629






Revenue court, mehkma maal ya setllment record main kisi ghalat indraj ki durstgi kar sakta hai.
2009 CLC 542




Koi bhi shakhas revenue record ki verified copies le sakta hai
NLR 2009 REV L 26





Intiqal ke waqat sirif mutalqa numbardar ki verification ko dursat tasleem kia jai ga 2008 SCMR 855




Civil Court ki decree ki bina per intiqal tasdiq karna mehkma maal per lazmi hai PLJ 2008 L 392
PLJ 2006 SC 400
2005 SCMR 1617





Board of revenue ki karwai main civil procedure code apply hota hai
2007 CLC 1028





Mehkma maal ko municipal commetti ki haddood main waqia residential building ki had barari ka ikhtiar nahi hota. 2006 CLC 1028





Ghalat intiqal property koi haq paida nahi karta
2005 SCMR 1690 (d)
2001 scj 33





Under section 18 west Pakistan land revenue act 1967 revenue officer ke kisi order ki wajah se revenue officer ke khalaf koi dawa ya criminal karwai na hu sakti hai
2005 CLC 235





Taqseem ke bghair shamlat deh ke makhsoos khasra numbers ki had barari nahi hu sakti
2004 CLJ 166




Revenue officer ghalat indraj ki durstgi kar sakta hai magar iss ko registered sale deed main changing ka ikhtiar nahi hai. 2004 SCMR 1530




Municipal commetti ki haddood ke bahar zameen ko zubani sale ke through bhi transfer kia ja sakta hai aisi sorat main 100 rupees se ziada zameen ki sale or purchase ke liye registration hona lazmi nahi hai.
2004 SCMR 515 (b)





Qabayli ilaqa ke ilawa pore Pakistan main West Pakistan land revenue act 1967 apply hota hai
2004 YLR 1161




Unverified ghair tasdiq shuda intiqal ki koi value nahi hai
2003 CLC 1118





Siraf column malkiat or column possession ko ahmiat di jai gi na ke column lagan ke indraj ko ahmiat di jai gi. PLD 2003 L 194





Agar khasra gardawari or jama bandi main tazad hu tu jamabandi ko preference di jai gi
Pld 2002 L 48




Parties ko notice dene ke bghair had barari nahi hu sakti hai.
2002 MLD 375 + 406





Kisi bhi building ka malak zameen se le kar chat tak malak consider hu ga
2000 YLR 2286




Defaulter ka zaman bhi defaulter ke zumre main aata hai.
2000 CLC 1648
1993 MLD 828




Roznamcha waqiati public document hai or iss ki verified copy qabal dakhal shahadat hai 1999 YLR 1979




Mehkma maal ke through fraud intiqal main malwas honey ke sorat main DDOR ko application durstgi intiqal di ja sakti hai
1996 MLD 256




Unit se kam zameen bhi qabal e taqseem hai. Paragraph 22 to 24 land revenue act khalaf Islaam hai.
1994 SCMR 899




Mutasra parties ko notice diye bghair intiqal ko review na kia ja sakta hai.
1993 SCMR 1357



Mehkma maal fraud se hasil ki gai civil court ki decree ki paband nahi hai
PLJ 1992 Rev 107
1992 CLC 1609




Asal defaulter ke arrest honey ke baad iss ke zaman ko qaid main na rakha ja sakta hai
1992 CLC 1286







For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.































 























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation