NTN kese banaya ja sakta hai
Dear Readers
Ajj hum baat karain ge ke NTN kia hai or kese banaya ja sakta hai. NTN mukhfaf hai national tax number ka.yeh kis tarah se banaya ja sakta hai . aap ko Fbr ki website per ja kar account banana hu ga . or apna email address dena hu ga or tamam wo maloomat ju form per aap ke samne aain gi fill karna hu ga. sab se pehle aap ko apna id card number dalna hu ga ju ke aap bghair dash ke dalain ge .
iss ke baad apna name jese ke form main poocha ja raha hai wo likhain ge
us ke baad jahan per aap ne apna phone number likhna hai . aap ne phone number se pehle country code likhna hu ga jese agar mera number 03244010279 hai tu 00923244010279 likhna hu ga .phir iss ke baad apna cell number repeat karna hu ga wo bhi same hi tareeke se likhna hu ga.phir iss ke baad aap ne apna email address dalna hai or us ke baad same address ko confirm bhi krna hai.
jis ke baad aap ko form ko submit karna hu ga.jiss ke baad aap ke mobile per code aa jai ga ju aap ne neeche wale khane main dalna hai . rsend karain.
aab aap ne id card number se login hona hai or aap ka passwords mail main aa jain ge. or aap NTN number ban jai ga
Pehle se register afrad NTN apna account kese dhond sakte hain
purane account ke bare main jannen ke liye aap ne mobile ke write msg main ja kar ATL likh kar space deni hai or phir id card ka number likhna hai. jese " ATL 3520144663385 " 9966 per msg send karna hai or aap ke account ki information ka msg app ko masool hu jai ga.For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.
Comments
Post a Comment