Biana wasool kar lia hai or registery karwa kar nahi de raha. specific performance,tameel e mukhtis

suit for specific performance,permanent injunction

                                                                          




Specific performance ka dawa



 aaj hum baat karain ge ke aksar dekha gia hai k property ki lain dain main log biana lene ke bad, registery karwane se inkari hu jate hain or jiss bande ne biana dia hota hai wo buhat ziada mushkal ka shikar hu jata hai, tu ajj hum batain ge us ke khalaf hum kia karwai kar sakte hain .
wajoohat wajah inkari
  1. sab se bari wajah yeh dekhi gai hai ke property ka rate ziada hu jata hai or bechne wale ki neeat kharab hu jati hai or wo nai rate per bech kar ziada pese kamane ke lalch main aa jate hain .
  2. kai log just logon se raqam hatyane ke chakar main bhi biana pakar lete hain or baad main inkari hu jate hain

karwai  (remedy )ju in logon ke khalaf ki ja sakti hai.

  1.   Specific performance (dawa tameel e mukhtis )
  2.   FIR 420,468,471
Dawa specific performance dair kia jai ga jiss main app ko wo ishtam lagana hu ga jiss per app ne biana kia tha wo 1200 wala ishtam hota hai ju ke bank ki tarf se jari hota hai. agar app ne wo ishtam per biana na likhwaia hoa tu app ko stay lene or case karne main bhi problem pesh aa sakti hai.
Stay order
                   dawa dair karne ke baad pehli date per app iss case main stay order le lain ge after arguments, jiss ke baad app ke case ki baqaida samaat shroo hu jai gi,

Raqam Jama karwana

Court Mudai ko order kare gi ke apni baqaya raqam Jama karwain taake court ko yaqeen hu ke aap bonafide hain. Raqam jama na karwane per court aap ka case kharaj bhi kar sakti hai.

Specifice Performance ka dawa Seller ki tarf se.

Bechne wala bhi agar raqam aada  na kare tu wo   bhi court main specific performance  ka dawa kar sakta hai.

Decree

          case chalne ke doran agar parties ke darmian sulah hu jati hai tu behtar warna case ke akhar main shahdton   ke baad decree jari kar di jai gi jis ke zareea se app registery karwa sakain ge .

For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights.we will answer your every question,so we need to your help to achieve our goal . plz tell people about this blog and subscribe our you tube channel and follow us at the end of this post ..

Specific performance Grounds for dismissal a suit


Specific performance Grounds for dismissal a suit




Specific performance Grounds for dismissal a suit

Our Popular Posts

Affidavit ya bian e halfi بیا ن حلفی
Court marriage ka Procedure In Pakistan
Taqsim e Jaidad ka Dawa (Partition ) Punjab Parti...
dosri Shadi ka Tareeka
Stay Order Hasil karna
Bachon Ka Kharcha Lena After separation
police station main istamal hone wale 25 register ...
FIR darj karwane ka tareeka
Zamanat Karwane ka Tareeka






































































 
























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation